Aapka Agar Blog hai ya Youtube Channel hai to aapne Adsense ka Naam to jarur suna hoga, or aap ko uske ware me thoda bhut to pata bhi hoga ki ham usse paise kama sakte hai. Par aapke Dimag me kuch sabal hoge Adsense se Sambandhit jiska jawab shayad aapko abhi tak nahi mila ho to yaha aapko wo sare sawalo ke jabab milne wale hai.
Adsense Kya hai agar aapko nahi pata to wo aap yaha dekh sakte hai.
Adsense se sambandit mene Sabal likhe hai jo log aksar pucha karte hai ya jaanna chate hai, to aap Har sawal ko Padhe or uska jawab bhi padhe.. Me dabe se keh sakta hu aapko bahut kuch aisa jaanne or sikhne ko milega jo aapko abhi tak nahi pata tha. To Chaliye Start karte hai.
Page Contents
Adsense FAQ in Hindi
Note: Kuch Sawal or Jawab aese hai jo sirf aapko jab samaj aayegi jab aap Adsense Pehle se Use karte hai, unme confuse naa ho, or agar kahi aapko kuch samajh naa aaye to aap comment karke puch sakte hai.
Adsense ke liye Apply karne se Pehle Kya kare?
Adsense ke liye Agar aap apply karne wale hai to aapko Sabse pehli baat to jald bazi bilkul bhi nahi karni hai or apni site ko puri trha se teyar karne ke baad hi Apply karna hai.
Yaha Padhe: Adsense Adsense Account Approved Karane ke 11 Tarike Hindi Me.Hinglish Blog ke liye Adsense Apply karne par konsi Language select kare?
Hinglish se matlab hai jese HMH par likha huaa hai. to agar aap bhi aese likhte hai apne blog par to aap Hindi select kar sakte hai.. par ye jaruri bhi nahi hai kuch logo ne english select ki thi or unke bhi account approve hue hai.
Adsense Apply karne ke liye kitni post or Visitor hona chaiye?
Kitni Visitor ho ya kitni Post ho uski koi Value nahi hai. Par aapko apply karne se phele ye dhyan jarur dena hai ki site sahi se design ho or kam se kam aap badiya 15 post publish kar chuke ho. Visitor kitne bhi ho usse site ke approve hone par koi asar nahi padta.
Kya Domain lekar Apply karne se Adsense jaldi Approve ho jata hai?
Haa, Agar aap apne blog me adsense apply karne se phele Domain add kar lete hai to adsense ki team ko lagta hai ye thode series hai Blog ko le kar to thoda faida to milta hai approve hone me.
Ads Blank (Khali) Q aate hai site me?
Jab kisi site ko adsense ke liye apply karte hai to site fully approve hone ke 2 steps hote hai. Phela Adsense ke liye apply kare fir jab approve ka email aa jata hai to hame ads code bana kar site me lagana hota hai. Fir Adsense ki team site ko visit karti hai or dekhti hai site sahi hai fir automatic ads dikhne lagte hai.
Ads ko dikhne me 1 mahine tak lag sakta hai ya fir ho sakta hai 10 minute me dikhne lage.. usme aap ya me kuch nahi kar sakte.. aap ads code laga kar apni site par dhyan de.Blogger me Post ke Bich me Ads kaise Lagaye?
Aap Chahe to Ads ke Code ko kar Post ke Bich me add kar sakte hai par usme bhut matha pachi hai or time bhi lagta hai. Aap Template me ads ke code add karke aasani se use kar sakte hai Ads ko har post me laga sakte hai.
Blogger Post ke Bich Mein Adsense Ads kaise Lagaye kahi bhi uski jankari.1000 Visitor par kitni income hoti hai Adsense me?
Iss Sawal ka jabab me pehle ek post ke madhyam se de chuka hu.. aap usko padhe. 1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai uski Puri jankari detail me.
Google Adsense ke Faide Kya hai use karne ke?
Online earning karni hai to mere hisab se Google Adsense ka jabab nahi.. par aisa nahi hai aap dusre ads network bhi use kar sakte hai or Google Adsense Sabse acha hai. Google Adsense Use Karne Ke Fayde in Hindi yaha diye hue hai.
Ek Page par Adsense ke Kitne Ads use kar sakte hai?
Aap EK Page me 3+3+2 ads laga sakte hai. Matlab 3 Ad Units, 3 Link Ads or 2 Search Ads hai.
Update: Adsense ne Ads ki limit hatadi hai, aap kitne bhi bhi ads ek par par use kar sakte hai, par jada use karne se loading time badega isliye jada se jada 4 ads use kare.Adsense ka Floating(Screen par Fix) Ads laga sakte hai?
Nahi, aap nahi laga sakte. ye Google Adsense ki policy ke khilaf hai. Agar aapne aesa kiya to aapka adsense account kuch hi ghanto me block ho jayega. To aesa karne ka Soche bhi nahi.
Adsense Ads me Synchronous and Asynchronous ads Kya hai?
Dono Ads ke Type hai jo alag alag tarah se load hote hai. Chaliye dono ko dekh lete hai kaise Load hote hai.
Synchronous: Jese agar Site par 3 ads lage hai or jab site load ho rahi hai to tino ads ek ke baad ek load hoge. Matlab phele ek load ho jayega uske baad dusra ads load hona start hoga fir tisra load hoga.
[<———Ad1———>] [<———Ad2———->][<——-Ad3———->]
Asynchronous: Site par 3 Asynchronous ads lage hai to site load hone par tino ads ek sath load hone lagte hai. isme aisa nahi hota ki pehle ek load hoga uske baad dusra.
[<———Ad1——–>]
—–[<——–Ad2———>]
———–[<——–Ad3———>]Konse Ads Type use kare, Synchronous or Asynchronous Adsense me?
Asynchronous use kare, iska faida ye hai ki sare ads ek sath load hoge to ads load hone me kam time lagega jisse site ki loading speed badegi or jo server load hota hai wo kam hoga.
Low CPC wale ads block karne se Income badti hai?
Haa, par bhut jada nahi. Jese aapko ye to pata hi hoga ki India me low CPC wale ads hi aate hai, to agar aap Low CPC wale adblock karke USA wale High CPC Ads India ke visitor ko dikhoge to koi faida nahi hoga.. To kehne ka matlab aap Ads ki jo category chahe block kar sakte hai par ye pakka nahi ki usse aapki income me badhotri ho.
Adsense ki Income Kaise Badaye?
Aap jo Ads ke CPC hai us par koi control nahi kar sakte or wo kam jyada hota rehta hai, par aap CTR ko control kar sakte hai. CTR Badhane ke liye Ads ko alag alag jagah par lagaye or uska Type or design wagera change karte rahe. Alag alag jagah ads laga laga kar dekhe ho sakta hai aapki site ke hisab se konsi sahi jagha hai wo pata karne me aapko mahino lag jaye par practical karte rahe.
Adsense se Kitna Kama sakte hai?
Ye aesa sabal hai jiska jabab sabke pass hai ya kisi ke pass nahi hai. Q ki Online kamane ki koi limit nahi hai ki kitna kama sakte hai. Jitna kaam karenge, jitne jada visitor aayege utni jada income hogi.
Jada se Jada kitna CTR safe hota hai?
CTR to jitna jada hoga utni ho income hogi ye to aapko pata hoga. Par agar aesa hone lage ki jitne bhi visitor site par aaye wo sab ads par click kare to adsense ko to lagega naa ki isne inse bola hoga ya ads aesi jagah lagaye honge ki jo visitor hai wo or kahi click kar rahe honge par ads par click ho rahe hai.. to aese me adsense account khatre me aa sakta hai.
Aap Ads Legal tarike se lagaye or usme koi chedkhani naa kare to 25% CTR bhi safe hai Adsense account ke liye. Par agar aap Adsense ki policy ke khilaf ja rahe hai jab itna CTR mil raha hai to account khatre me aa sakta hai.Block URL(Website) ko wapas kaise Unblock kare Adsense me?
Jab koi Site Block hoti hai to usko wapas unlock karna naa mumkin ke wara war hai, Fir bhi aap Appeal kar sakte hai. Appeal karne se phele aapki site q disable hui hai uska karan jaan kar usko jarur tikh kar le. Adsense ki Puri Polices ko follow kare phele.
Kya ek Website par ek se jada adsense Account use kar sakte hai?
Haa aap kar sakte hai. Agar aap ek website par ek se jada account use kar rahe hai to aap ko use karne se pehle ek war adsense ki Policy puri jarur pad leni chaiye, q ki agar aap war war site par adsense ke account badlege to ho sakta hai aapke account block ho jaye.
Infolink or Adsense Ads ek Sath Use kar sakte hai?
Haa, aap bilkul use kar sakte hai Infolink or Adsense ko ek sath use karne me koi problem nahi hai.
Kitne Paise hone par Payment milti hai?
100$ hona chaiye jab hi Payment milti hai.. usse kam nahi.
Adsense or Affiliate Marketing ek sath kar sakte hai?
Haa, Affiliate Marketing or Adsense ko ek sath use karne se Adsense me koi dikkat nahi.. par me aapko suggest karuga aap jaha Affiliate marketing use kare yaha ads naa lagaye.. warna user aapki Affiliate link ki jagah ads par click karke wo saman kharid lega jisse aapki utni income nahi hogi jitne Affiliate Marketing se ho sakti thi.
Agar Adsense ki kisi Policy ka Palan na kare to kitne time me Account Block ho jata hai?
Iska koi Time limit nahi hai, ho sakta hai 30 minute me account block ho jaye ya fir 1 hafta bhi lag sakta hai. To Adsense ki Policy ka palan jarur kare.
Kya Ek Adsense Account ko alag alag Website/Blog par use kiya ja sakta hai?
Haa Bilkul.. EK adsense account ko aap kitni bhi website ya blog par use kar sakte hai uski koi limit nahi hai. Yaha dhiyan dene wali baat ye hai ki aap jitni bhi website ya Blog par adsense use kare unme se ek bhi aesi website nahi honi chaiye jo adsense ki policy ka palan naa karti ho, nahi to aap ka adsense account block ho sakta hai.
Adsense CPC kaise Improve karte hai?
Isme koi Direct Trick nahi hai. Adsense CPC badhane ke liye jitni bhi Money Wali Categories hai, unpar article likh kar Quality Traffic la sakte hai, jisse High CPC wali Ads aapki site par aayegi.
Payment kab send hoti hai or kitne Din me Mil jati hai Adsense se?
Ans: Adsense har mahine ki 21 tarikh ko Payment send karta hai, or uske 2-3 working day me wo paise hamari bank account me aa jate hai. kabhi kabhi aisa ho jata hai ki agar kisi adsense account me koi gadwad nazar aati hai to payment ko hold par dal dete hai par account ko check karne ke waad payment send kar di jati hai. to koi bhi farji tarike se paise kamane ka soch rahe hai adsense se to sochna band karde.
Agar Adsense se Payment sent ho chuki hai or abhi tak aapke account me nahi aai to aap apni bank se contact kare.
Adsense Payment Kyu Late ho jati hai kabhi kabhi Adsense ki uska karan yaha mene share kiya hai.Adsense Account Verified kaise kare or PIN kab aati hai?
Adsense Account ko Verify karne ke liye hamare diye hue Address par ek PIN aata hai wo hame account me dalna hota hai. Jo PIN hai wo Adsense Account me $10 hone ke baad bheja jata hai. Yaha ek baat ka jarur dhiyan rakhe apna Address bilkul sahi dale.
Address Verification PIN Nahi Milne par Kya kare?
Adsense Account ko Verify karne ke liye jo PIN bheji gai hai agar wo aapko 15 din tak nahi mile to aap Duwara PIN send kar sakte hai Adsense account me se. 3 war PIN bheje jane ke baad bhi agar PIN hamare diye address par nahi aati to Document Upload karke bhi Address Verify kara ja sakte hai. Document se Verify karne ka option 3 war PIN bhene ke baad aata hai.
Adsense me Ads ke View alag hai Site ke Pageviews se?
Agar aap Adsense use karte hai to aapne dekha hoga ki jo Blog/Website ke Page VIews hote hai wo Adsense ke Views se alag hote hai uska karan hai ki aapne ads kaha lagaya hai or ad load hua ki nahi.
Jese agar koi visitor aaya or aapne ads site me niche laga rakha hai or wo visitor niche gaya hi nahi to us ads ka view count nahi hoga.1 Person 2 account bana sakte hai Adsense par?
Nahi, Bana sakta. Par haa Aap bana bhi sakte hai par wo ek hi persaon ke 2 account nahi rahenge. aap aisa kar sakte hai ki ek apne naam se or ek apni family member ke naam se adsense account bana sakte hai.
Adsense ke sath uc union use kar sakte hai kya?
Haa kar sakte hai, aap kisi bhi dusre ads ke sath adsense ads use kar sakte hai. Was aapko ye dhyan rakhna hai ki jo ads aapne lagaye hai wo pop up ads naa ho or adsense ke ads se thodi dur ho.
Kya Blogger me bina domain name kharide adsense account approved karaya ja sakta hai kya?
Haa Bilkul, Blogger Google ka bhi hai or Adsense bhi.. or aapne dekha hoga Blogger ke Deshboard me Adsense ka option aata hai.. Aap Bina Domain add kiye bhi Blogger me Adsense use kar sakte hai.
Hosted or Non-Hosted Adsense Account Kya hota hai?
Google ki jitni Service hai, jese Blogger, Youtube agar aap inse Adsense ke liye apply karte hai to jo account hoga wo Hosted account hoga. Matlab jo Ads aap use kar rahe hai wo unpar use kar rahe hai jo Google ke hi hai. Par agar aapki koi Site hai or aap ko uspar ads use karna hai to aapko non-hosted account chaiye.
Page Level Ads Kya hai Adsense me?
Ye Adsense ke Ads ka hi ek Type hai jo sirf Mobile par dikhte hai. Isme Website me Niche ek ads dikhta hai or kabhi kabhi agar website ki koi link open karte hai to bich me ek ads aata hai.
Estimated earnings or Finalized earnings Kya hai Adsense me?
Estimated Earnings: Ye wo earning hoti hai jo Daily, & Din ki or 30 Din ki earning hoti hai. Ye jo earning hai usko ham fix nahi maan sakte hai kitne hi mileage.
Finalized Earnings: Ye wo earning hai jo aapki hui hai, ye har mahine ke last me add hoti hai. Jo aapki estimated earning hai agar usme kuch earning aesi hui hai jo fake click ya aesa kuch bhi to wo hata di jati hai. jo Finalized Earning hoti hai wo hi milti hai.Youtube ki Income Kab add hoti hai Adsense me?
Agar aap Youtube Adsense se Pause Kamate hai to aapne dekha hoga ki jo Youtube ki earning hai wo daily add nahi hoti. Wo har mahine ki 15 tarikh ko Adsense account me add hoti hai.
Adsense Ads par Khud Click kar sakte hai kya, ya kisi se khe kar click karwa sakte hai kya?
Nahi, Nahiiiii…… Agar aap Click karenge ya kisi se khe kar bhi click karwayege to aap apne adsense account ko khatre me dal rahe hai.
Adsense Account Approve kaise kare ?
Adsense Approve kaise kare, uski jankari aapko yaha milegi.. jisme bataya hai aapko kya steps follow karni hai jo aapka adsense account jaldi approve ho jaye.
Adsense Term Condition or Privacy Policy kya hai ?
Adsense Term and Condition in hindi, aapko yaha milegi.
Google Adsense Ads Policy Kya hai?
Google Ads Policy bhut hi Strick hai, jo aapko pata hona chahiye.. Adsense Ads Policy in Hindi yaha hai.
Youtube Channel or Website ko ek adsense account se connect kar sakte hai ?
Haa, aap Youtube Channel or Website ko ek hi adsense se connect kar sakte hai, or agar aap alag alag adsense account banayenge to aapke account block bhi ho sakte hai, isliye ek hi adsense account banaye or jitni bhi youtube channel or website ho ek hi adsense account me connect kare.
Adsense Invalid Click se kaise Bache ?
Invalid Click ka matlab, farji ya galti se huee, or inse bachne ka tarika hai ads aisi jagha naa lagaye jaye jaha click kisi or par kar rahe ho or ads par click ho rahe ho or khud kabhi ads par click naa kare or naa kisi ko click karne ke liye kahe.. Google usko track kar leta hai.
Invalid Click ki Report kaise kare Google ko uski jankari yaha hai.Adsense PTC website ke sath use kar sakte hai ke nahi ?
Yes, PTC yani Pay to Click.. ye aesi website hoti hai jo middle men ka kaam karti hai.. matlab user ko advertiser tak phuchane ka.. par isme aisa kuch nahi hai ki Adsense use nahi kar sakte.. wo bhi sath me dusre ads network ke use kar sakte hai.
Kya lazy load adsense se earning kam hoti hai ?
Nahi, Lazy Load ka matlab hai jab uss content ki jarurat ho jab wo load ho.. aese me agar ham Adsense ads lazy load use karte hai to jab bhi user scroll karke ads ki jagha par aayege ad load ho jayege.. to isse earning par koi asar nahi padta.. website ki loading me jarur faida hota hai.
Google Adsense Team se contact kaise kare ?
Google Adsense eteam se contact karne ke 3 mail tarike hai:
– EMail: adsense-support@google.com
– Contact Form
– Adsense ForumGoogle Adsense Account Disable hone ke baad kya kare?
Agar aapne ya kisi or ne aapke account me kuch bhi aesa kiya jo Google allow nahi karta to aapka account hamesa ke liye delete bhi ho sakta hai.. ab agar account delete ho chuka hai or aapne nahi kiya to kaise Google se Appeal kare uski jankari yaha hai.
Adsense ki Payment Daley kab hoti hai?
Adsense se payment 21 ko sent hoti hai, par agar uss date me holiday ho to payment late ho sakte hai.. Detail me yaha read kare.
Adsense Ads Limit kya hai?
Agar hamari website par jo user aa rahe hai, wo Ads par galti se click kar rahe, ya kuch aese react kar rahe jisse Google ko lage ki jis user ne click kiya hai usko nahi pata ki usne ads par click kiya to Adsense Ads limit laga deta hai jisse unke advertiser ko nuksan naa ho. jisme har war Page load hone par Ads nahi dikhte.
Adsense Ads Limit kaise Sahi kare?
Isko sahi karne ka sirf ek ye tarika hai, Quality Traffic laya jaye Google se.. jitna jada traffic aayega utni hi jalti ye Problem tikh hone ke chance hai.
Agar Adsense Account me Earning nahi ho to kya wo Band ho jata hai?
Nahi, ek war Adsense account approve hone ke baad, bhale usme kuch bhi earning naa ho.. wo band nahi hota.
Youtube Video Monetize on Kab hota hai?
Youtube Channel par ek saal ke andar 4000 hours Watch Time or 1000 Subscriber hona jaruri hai, jab Video Monetize karne ka option aata hai.
Adsense Term and Condition kya hai in Hindi
Adsense ki term and condition ko follow karna kitna jaruri hai wo to aapko pata ho hoga, agar aapne Adsense ke liye apply kiya hoga to.. to uske liye hame pata hona jaruri hai ki akhir Adsense term and condition kya hai.. agar aapko Hindi me Term and Condition read karna hai to aap yaha read kar sakte hai.
At Last:
Dosto ummid hai aapko bhut se sabalo ke jabab mil gaye hoge, Fir bhi agar aapka koi Sabal hai Adsense se Sambandit koi bhi to aap Comment me jarur puche.. Aapke Sabal ka jabab jarur diya jayega or usko Post me List bhi kiya jayega taki or logo ki Help ho sake.
Aapko Ye Jankari kesi lagi Comment me wo batana naa bhule.. Agar aapko kisi sabal ka galat jabab lag raha ho to wo bhi jarur bataye..
Page ko Ctrl+D dave kar Bookmark kar lijiye, Future me aap ka koi bhi sawal hua to uska jawab yaha mil jayega
Thanks
sir meri 1 dollor se jayada earnings nahi ho rahi hai please help me
Bahut hi Sundar post
Kya me adsense display ad code ko apni disri website par use kar sakta hu kya ??? Ya phir mujhe apni nai approval website ke liye dusre display ad unit create karna hoga ??
Bhut hi badiya likha hai aapne thanks
Kya website par organic traffic aana jaruri he Google AdSense approval ke liye
nahi, par agar traffic aayega to approve hone me thoda time kam lagta hai.
So great information Sir.
sir mene apni ek site AdSense se approve karvai thi par 2 mahine se usme ad hi nhi lagai. maine socha jab site par jyada traffic aa jaye tab lagau ga, or jab me ad lagane gaya to vapas se approve karne ke liye bhejne ko keh rahe hai. mene approve ke liye diya or aaj 10 days ho gaye par abhi tak review hi aa raha h. sir please help
aap ads code apni site me lagaye, uske baad jese hi approve hogi ads dikhna start ho jayege..
Very right information mere bahut kaam ayegi 👌
great post sir keep sharing
Please follow my website to get information about gel bôi trơn lifestyles
Bahut badiya list hai apki site me
Sir
Aap ne bhot accha btaya
hellow sir , bhut badiya artical hai sir apka meri bhut help hui hai isse mera adsense se related dout bhi clear hogai hai bhut ty sir for this imformation.
Halpfull article hai bahut kaam aye ga
Bahut hi badiya article hai apka nice information
very good information Bhai.Hume Apka Yeh article Bahot Achchha Laga hai Bhai good article Bhai…….
THANKS …
Bahut hi sundar Post likhi hai aapne
Thanks for sharing valuable information
Very informative information, thanks for sharing with us…..
Bhai Mere Adsense Account Me Payment Method Me “Wire Transfer to Bank Account” Ki Jagah “Bank Transfer to Bank Account” Bata Raha Hai. Aur Second Payment Bank me Jama Nahi Hua Hai. Mera First Payment Sahi Se Jama Ho Gaya Tha.lekin Second Payment Me Problem aa Rahi Hai…Please Answer
bahut hi badhiya information di hai aapne
Kya aap log hamari help kar sakte ho agar aap mujhe ek do follow link de do to to bhai mere liye yeh khusi ki ki baat hogi sir
Meri nayee site hai
Jo government jobs news Provide karati hai
Url hai https://www.surkariresults.i
Very Very Nice
Excellent post sir
Adsense content policy error ko kaise door kare
Apke Ad-sense questions & answer iss post ne meri jo queries thi ad-sense se related solve hogai hai. Thankyou so much
Rohit bhai mai yaha janna chahta hu ki kya blogger se bane website ko google adsence ka license milta h ya nhi…???
bilkul use kar sakte hai uspar bhi..