Blogging aur youtube dono hi paisa aur naam kamane ke liye best maane jate hai. India me bhi bahut se log in dono se acha-khasa paisa kama rahe hai aur aajkal to inhe full-time job ki tarah bhi liya ja raha hai. Par ek newbie ko ye topic ( Blogging vs Youtube ) hamesha se hi confuse karta raha hai. Isliye aaj me aapko in dono ke baare me detail se hindi me bataunga.
Itna to aap jante hi honge ki blog aur youtube channel kya hai aur inhe kaise banaya jata hai. Agar aap nahi bhi jante to ye post padhkar aap in dono ke baare me detail se jaan sakte hai.
To friend ab jante hai ki blogging aur youtube channel banane ke liye kya-kya chahiye ?
Page Contents
Blogging vs Youtube ?
Agar aapke mind me bhi ek sawal ghumta rehta hai or aap confuse hai ki kispar work kare to aap is post ko pura read kare, isme mene har point ko cover karne ki kosis ki hai jo aapko pata hona chahiye.
Blogging ke liye requirement
- Domain name and hosting kharidne padegi.
- SEO ka acha knowledge hona chahiye.
- Writing & communication skill achi honi chahiye.
- Regular hona padega.
Youtube channel ke liye requirement
- Video editing ka knowledge
- Youtube SEO ki jankari
In dono ki requirement jaane se pata chalta hai ki youtube channel banana thoda aasan hai. Ab jante hai ki in dono ke plus point aur negative point kya hai.
Blogging vs Youtube : Fayde aur limits
- Agar blogging ke plus point ke baat karen to sabse bada plus point ye hai ki khud ka domain name aur hosting hone ke karan koi bhi hamara blog band nahi kar sakta. Lekin youtube me thoda sa bhi galat ho jaye to channel suspend ho sakta hai. abhi Bahut logo ke Channel delete kiye hai Youtube ne.
- Youtube me hum sirf ads ke liye adsense hi paryog kar sakte hai jabki Blog par hum koi bhi ads network use kar sakte hai.
- Blogging me reader ke sath direct connection ban jata hai aur author aur reader kafi close aa jate hai but Youtube channel me aisa bahut kam hota hai. Jaydatar viewer to channel ke admin ko jante bhi nahi hai.
- Blog se hum khud ki Email list (Newsletter) bana sakte hai jise kabhi bhi paryog kiya ja sakta hai bina blog ke bhi Par Youtube me ye option nahi hai.
- Youtube me jyada knowledge ki jaroorat nahi padti hai jabki blogging me SEO, Backlink, Domain, Hosting, Theme etc. ka knowledge hona bahut jaroori hai.
Kisme hai jyada kamai/Paise ?
Blog aur Youtube channel me earning ke liye Jyadatar Adsense hi prayog kiya jata hai. Adsense me earning 2 chijo par depend rahti hai –
View: Youtube par blogger ke mukable 10 se 15 guna jyada view aate hai but ad view ki baat karen to ek blog page par hum kayi ad laga sakte hai jisse iske view bhi pageview se 5-6 guna ho sakte hai.
CPC aur RPM: CPC ( Cost per click) aur RPM (1000 ad view par earning) ke maamle me blogging jyada best hai kyonki blog ka CPC aur RPM Youtube se high hota hai. uska karan ye hai yaha jo main High CPC Keywords hai ham unko achi se use kar sakte hai.
Blogging vs Youtube : Conclusion
Ab baat aati hai ki dono me se best kaun sa hai aur hum kise chunna chahiye to mein aapko wahi chune ko kahunga jisme aap ka jyada interest hai. Yani ki Jisme aap aaj ya 2 saal baad bhi baur na ho. Aur best bhi vahi hai jis par daily naya de sako aur apne visitor ko khush rakh sako.
Iske sath sabse best option hai dono ko ek sath prayog karna. Isse aapko aur adhik fayda hoga.
Aapko karna ye hai ki ek hi topic se related blog aur Youtube channel banaye aur dono par daliy same post karen. Isse aapka double promotion hoga.
To friends, Ye post aapko kaisi lagi comment karke jaroor batayen aur post ko share bhi karen.
Thanks.
Agar aapko bhi HMH Guest Post karna hai to aap yaha jaye.
bahut badiya information sir keep sharing
Bhai mere khayal se youtube aur blogging dono sahi hai.
Blogging me knowledge jyada chahiye jaisa ki apne btaya sahi he bro
nice information sir
Maine abhi new blogging start ki kyu ki Adsense ke Hisab se blogging best h yaha cpc thik rehta h youtube cpc thoda low rehta hai hindi content ke liye
Thanks for telling blog and youtube..
Which is better blogging or YouTube.. please suggest me
Well written post sir thanks for your work
Blogging aur you-tube dono hi apni jagah behtar hai, par main blogging me jayada behtar hu iss liye maine ise chuna, BTW thank you so much aap ne bahut si important baate batayi hai yaha 🙂
Aapka Ye Article Bahut Hi Helpfull Hai,,,Aur Aapbe Bahut Hi Acche Se Samjhaya Hai
Bhai bahut hi achha article hai. Apka bahut bahut dhanyavad share Karne ke like.
Blogging aur you-tube dono hi apni jagah behtar hai, par main blogging me jayada behtar hu iss liye maine ise chuna, BTW thank you so much aap ne bahut si important baate batayi hai yaha :)
Sir. me apke sabhi post ko padta hu esliye please sir. app meri thodi help kar dejeye mera chanal monetize nahi ho raha hi 4000 hours ka watch time mang rahe hi app ke liye ye kuchh nahi hi aap mere is video ke link ko apni next post me rakh dejiye ye isi post me jisse kareeb 10000 views aa jaye please sir bahut ehsaan hoga aapka kuch nahi ja raha or ye koi galat video nahi hi sir please 🙏🙏 https://youtu.be/vwYRnOymxA8
Bohot sahi bhai.. Naya kuch mila is post me. Thank you and I like your blog. Bohot achha hai hindi me sab thik se samjh jata hai.. Thanx
Thanks Rohan..
awsome article sir
bahuti badiya kam kar rahe he sir
SEO,
Backlink
bare me bataye sir
SEO ki Jankari yaha hai
Backlink ki jankari yaha hai
Aapko jo bhi jannna ho, aap phele search kar liya kare site par.. aapko mil jayega… thanks
Very nice & interesting article
Thanks Brother
Thanks bhai
Sir adsense payment 15 din tak bank account me na aaye to kya kare
aap bank se contact kare.. jiska aapne swift code diya hai.. wo hold par daal dete hai agar koi nahi aata hai to.
Sir mere pass non-hosted Adsense Account Hai jise me mere wp blog par use kar ra hu ta us Account ko YouTube par use karsakta hu ya nei
bilkul kar sakte hai.. or jab aapka blog bhi usme approve ho jayega to aapka account nonhosted ho jayega.
Bhi ab to youtube bahut hi katin ho gaye . Humko bloging hi achhe lagte . Kewal paise kamaneke liye nahi . Ab Writing ek shoak ban gaye . Ho sake to mere blog pe thora time ke liye yakr dekh lena . mysomehelp.com
aapne bhut hi badiya blog banaya hai..
Bro mai ek YouTube channel banaya hu jis par mai only creative Commons ke video upload karta hu kya isse hame kisi tarah ka fayda ho sakta hai.
jo normal faida hota hai wahi hoga.. wass isme ye rahega.. agar aap direct youtube editor ka use karke CC video ko apni channel me dalege to copyright nahi aayega.
bloging me jyada paisa he
Ye depend karta hai.. Aap kis me Jada acha kar sakte hai.. ????
Mujhe video banane me zyada maza ATA hai… So YouTube zyada pasand hai… But earning low hai usme
Earning Low hai to Views Badao ;)
Mujhe video banane me zyada maza ATA hai… So YouTube zyada pasand hai… But earning low hai usme
Nice post
Thanks
ohhhh hello mister are you very. cunning
Brother.. mere pas itne time nahi rheta ki me sabko personally reply kar pao.. mene sayad aapko FB par jo group hai wo join karne ke liye link bhi diya tha aap usko join kare.. yaha click karke
Hello Rohit Bro
maine abhi 4 din pehle hi blogger par new blog banaya hai
hindiwritershamshul.blogspot.com
isme kya kya karoon plz check kar k bataiye…
Hello Rohit Bro
maine abhi 4 din pehle hi blogger par new blog banaya hai
hindiwritershamshul.blogspot.com
isme kya kya karoon plz check kar k bataiye…
bese rohit bhai mera manna hai ki har blogger ke liye ek youtube channel hona chahiye.
or har ek youtuber ke liye ek blog honi chahiye jisse unhe achha response mil sake.
bese bahut saare youtuber or blogger yesa kar bhi rahe
haa, me aapki baat se 100% agree hu.
mujhe personally lagta hai blogging hii sahi hai… video blogging ke mukable
Haa brother.. sabse main yahi hai.. ham jisme jada ache hai wo haare liye jada acha hai.
Rohit Bhai,
Mujhe Lagata hai dono apne-apne jagah par sahi hai aur dono me kuch naa kuch problem to hai. But YouTube me Har din aap kuch naa kuch aage badh rhe hote hai yani yaha par kabho Loss nahi hona.
jabki Blogging me kabhi hum aage hote hai aur kabhi piche,
Brother, sambse main hai ham kisme apna best de sakte hai.. wo hai hamare liye best.
blogging jyda accha hai youtube se kyunki isme CPC bhi jyada milta hai youtube se
abhi kuch time se youtube ka CPC kam tha.. abhi wapas normal ho gaya hai.
nice post…
Nice post sir
Rohit bhai mene apko guest post send ki he apko mili kya . Please aap mujhe bataye
aapko admin@rohitmewada.com par send karna hai.
Bhot Hi Acchi Jankari Di HAi Apne. Thank You Sir
blogging aur u tube se earning ki bahuta badhiya jankari di apne padh ke mujhe to fayeda hua mai apne blog par iska upyog karooga
bilkul Brother.. agar aap dono ko use karege to double faida hoga..
Sir SEO Meta Description Me commas Ka use karna chaiye ya Nahi for example this / how to make app, how to make & app, how to build app, how to create app, / kya is tarah hame apne meta description me ya ya keywords me commas Ka use karna chaiye isse site ke seo per koi effect to Nahi padega…???
aap use kar sakte hai.. par aese online keyword likh kar discrition ko spam karna hi hai.. isse acha hia aap post me kya hai wo aap do line me bataye taki koi agar usko read kare to usko ye pata chal jaye ki post me kya hai.
Thanks For Publish my Post! LOVE YOU.
Most Welcome Brother..
Vaha Rohit sir aapne bahut achhi Jankari di hai.
Blogging or youtube dono hi platform badiya lekin jo log camera face karne me problem mashshus krte h unke liye blogging best h or jo likh nahi skte unke liye youtube .
But Adsense ke hisab se blogging best h yaha cpc thik rahta h youtube cpc thoda low rahta h hindi content ke liye
Thanx for telling about blogging and youtube
ye aapne sahi kaha..
achhi jankari hai sir… mujhe kabhi kabhi aisa lagta hai ki jis tarah se youtube ka khumar badhte ja rha hai logo pe esliye future me blog ke traffic pe bad effect padega kyoki jo chiz blog post padh ke samajha jata hai whi chiz agar hum video dekh lete hain to samajhne me aasani hota hai……. kripya apna ray dijiye…….
Video dekhne me jada achi se samaj aata hai.. wass video agar koi nahi dekhta to uska karan hai internet ki slow speed.. par aage chalkar ye badna hi hai to log video dekhna hi pasand karege to hame blog me bhi video ad karna hi padega.
dekho mene apka channel subscribe kara aur comment bhi kiye aur like bhi. fir bhi app meri madad nahi karte ho…why
Bhatti saab apne bhut badhiya topic liya hai kafi sare blogger duvidha me hain ki vo youtube pr chle jaye pr ye post padhne ke baad blogging me intrest aur badh jayega .
Thanks! I hope, Isse logo ko madad milegi.
Hmm sir mujhe bhi writing achha lgta h so blogging mujhe achha lgta hai ….
haa to ye to achi baat hai brother,..
NICE IMPORMATION SIR I HAVE SOME QUESTION ABOUT H1,SUBHEADING AND MINOR HEADING IN BLOGGER…
1.heading hamari blog ke tittle hoti hai aur hum post main is ko use nahi karsakte yes/no.
2.subheading hum post main kitne baar use karsakte hai.
3.aur minor heading kitne baar
4.ager hamari post main 7 heading ho to per kya kare subheading ka use kitne baar aur minor heading ka use kitne baar karsate hai please help me sir…!!!
Aap Post me H2, H3 H4 tags use kare.. or ye kitne hona chaiye ye iss baat par depend karta hai ki aap kis topicv par post likh rahe hia.. jese jo main topic hai wo H2 ab uske andar 3 4 jitne topic hai wo H4 or agar inke bhi andar kuch topic hai to Minor heading yahi H4 .. iss trha se use karna hai.
Bahut hi achchhi jankari hai aapka Bharti ji. Aapne saare points ko sahi se bataya hai. Thanks Rohit bhai, itne achchhe post ko apne blog mein jagah dene ke liye.
Thanks ????
Bhai me Pakistan se hun. Apka blog har roz visit karta hun bhai. Me bohat dair se blogging karaha hun but mere custom domain nah hone je waja se mujhe problems arahi he. Bhai kia ap please mujhe godaddy se Rs99. Me domain ledogy ? Apka bohat abhari rahunga. Bhai please…. Mere pass Credit card ya or kuch bhi nahi he jisski waja se me ye le nahi sakta please reply karo.
Brother aap group me post kare apni ye problem.. Waha me ya koi or jarur help kar dege..
Bhai Ap Kharid do Please. BHAI apka bohat abhari rahunga.
Bhai Me kab ka blogging karaha hun but mere samne ek problem arahi he. Me 14 saal ka hun mera credit or debet koi card nahi he. Bhai mujhe custom domain ki zarurat he kia ap mujhe le ke de sakte ho ? Domain Godaddy se siraf 99Rs Me. Bhai please apka bohat abhari hunga. Agar ap ledogy ????
Brother aap iske liye group me post kare fb ke..
I think blogging is better than YouTube.
Yaa brother ❤️.. Agar aapko likhna or likh kar pane views share karna jada pasand hai to blogging aapke liye best hai.. Baki kuch ka aesa bhi ho sakta hai.. Likhna itna pasand naa ho par camera ke samne aaram se bol lete ho. To unke liye YouTube best hai.. ????
Right Sir