Hindi Me Help One Year Success Story [1st Anniversary]

Hello Friends Aaj (20 Feb) mujhe batate hue badi khushi ho rahi hai ki Aaj Hindi Me Help (HMH) website pure Ek Saal ki ho gai hai or Jo HMH ka maksad tha aaj dekh kar lag raha hai ki wo pura ho raha hai or bilkul sahi Direction (Disa) me ja rahi hai.

Hindi Me Help One Year Success Story

Hindi Me Help aaj kis mukam par hai wo alag se kisi ko batane ki to jarurat nahi hai q ki aise bhi sabko samaj me aa hi jata hai, par bhut si aesi bate hai jo aap logo ko pata hona chahiye jisse aap bhi HMH ka jo maksad hai uska hissa ban sake.

Advertisements

Bhut Log Blogging Start karte hai to uska sabse main karan hota hai Paise Kamana or Naam kamana par HMH ka usse thoda alag hai sayad issi liye HMH or websites se thodi alag dekhi jati hai..

Aaj me aapko Is Post me wo sare secret batane wala hu ki Kya Karan hai ki HMH aaj is mukam par hai or aap bhi is Mukam ya isse bhi ache mukam par kaise pahucha sakte hai.

Page Contents

Hindi Me Help Ka Maksad

Aapko site dekh kar pata to chal hi jata hoga ki site par kya jankari di jati hai or uska maksad bhi ye bhi hai. Internet Ki Jankari Hindi Me Dena or us Jankari ki madad se Hindi Jaane walo ki Help karna..

Jo HMH ka Maksad hai wo uske Naam or uski Tagline se bhi saaf samaj aa jata hai agar samajhne ki kosis kare too..

Hindi Me Help Mobile Big Logo new

Hindi Me Help ki Starting Kaise Hui

Ek Simple Banda (Rohit Mewada) jo Mechanical Engineering kar raha tha jo Padai me bhi average, jisne Apne Papa ji se jid karke ek Laptop liya Lekin usko baad me usse laga ki usko Laptop ki itni jarurat nahi thi jitni usne jid ki lene ke liye..

Jada tar log jinke pass Laptop Computer hota hai to wo sirf kya karte hai Facebook, Youtube or Game iske aalawa uska koi use nahi hota unke pass. Par mere Paas Laptop aane ke baad mene usme or logo ki trha Facebook nahi chalai..

Mene Google me search kiya “How to Create a Website” q ki muje laga sab Facebook Chalate hai to q na aisi koi website banai jaye, or Fir muje Blogger Platform ke bare me pata chala jo Google ki free service hai.

Ab mene usme apna Blogspot Blog bana liya or muje usme interest tha to mujhe jab bhi time milta apne collage ke kaam se me blog me kuch naya sikhne ki kosis karta or fir usko apne blog par apply karta or jab wo sahi se ho jata to me apne blog ke apni language me likh kar post daal deta taki aage mujhe fir se us jankari ki jarurat pade to kahi jana naa pade.

Jab mene Apna Blogger par Free Blog banaya tha us time mujhe bilkul bhi nahi pata tha ki iski madad se paise bhi kama sakte hai.. Meri Engineering to chal hi rahi thi or sath sath me apni blogging ke interest ki baja se har roj kuch na kuch naya sikhte or usko apne blog me apply karke dekhne ke baad uski post bhi daal deta..

2 Saal me hui $5 Income

2 Year tak mene apne Interest ke liye blogging ki or jab tak 1₹ bhi nahi kamaya Blog se.. Q ki muje usse paise kamane ke bare me pata bhi nahi tha or mene us blog ke bare me kisi ko bataya bhi nahi q ki mujhe lagta tha ki agar me kisi ko bataoga to wo mujhe par hasege ki Mechanical Engineering kar raha hai or blog banaya hai. Is liye mene apne blog ke bare me kisi ko nahi bataya.

Ek din ki baad hai ek banda mila jiska Blog tha.. wo apne dosto me hi baat kar raha tha or bada khus ho kar kha raha tha ki usne ek blog banaya hai.. or jitne bhi bha khade the wo sab uski baat bade diyan se sun rahe the.. or jab usne mere blog ka naam le kar kaha ki mene blog banana is blog se sikha hai to mere dimag ne to 2 minute ke liye sochna hi band kar diya Q ki mujhe nahi pata tha mere blog se kisi ko koi Help bhi mil sakti hai..

fir usne kaha me apne blog se 7000₹ per month kama raha hu or usme mere blog ka kaha ki ye to 50,000₹ se upar kamata hoga par asliyat us time sirf muje pata thi, ki me kitne mama raha hu.. Jab mujhe pata chala ki income bhi kar sakte hai apne blog se..

Fir mene us bande se contact kiya or pucha ki wo kaise income kar raha hai to usne muje puri jankari di ki wo kaise income kar raha hai. Usne bataya ki hamari site par ham ads laga kar paise kama sakte hai..  mene usko nahi bataya ki wo dusre jis blog ki baat kar raha tha wo mera hai..

uske baad jo mera Interest tha wo double ho gaya Blogging me.. or fir mene search karna start kiya “Earn Money Online” or fir mujhe ads networks ke bare me pata chala..

Meri jo sabse pehli earning thi online wo adfly se thi or wo matra $5 thi.. par jab wo paise mere pass aaye to mujhe lag gaya ki ab isme hi kuch karna hai.. Fir mene Bidvertiser ke ads lagaye or usse 30000₹ ke lagbhag mere pass aane lagejo 2-3 mahine tak aaye.. Fir mujhe pata chala ki Google Adsense bhi kuch hai or mene uske liye apply kiya par approve nahi hua q ki bhut si kamiya thi us time meri site me.

Fir mene ek or blog banane ki sochi starting se jism me puri chije clear clear dalne wala tha.. Blogger par blog bana kar Domain se add kiya (rnhckr.com) jo aaj nahi hai..

Ab mujhe blog ke bare me achi jankari thi or mujhe pata tha ki isse income bhi kar sakte hai.. to ab mera main focus tha ki ham kaise jada traffic laye apne blog par.. or trha trha ke tarike tri kiye or unse sikha ki kaise kya hota hai.

Ab jo meri website thi me uske bare me logo ko direst bhi bata deta tha.. to logo ka mujhse direct ek hi sawal hota tha ki kaise banai or kaha se sikhi website banana hame bhi banana hai. to me unko khata tha ki meri site par jao or tum bhi website banana sikh jao ..

Agar Logo ki Help Karoge to Dusre Log bhi Aapki Help ke Liye Hamesa Teyar Rahege.

Me Jisse bhi apni site ke bare me batata wo sab mujh se khate ki yaar hindi me bata or sayad issi baat se mere dimag me ye idea aaya ki jo problem muje aai hai agar me usko dusro ke liye solve kardu to or logo ki help bhi ho jayegi or ussi bhane meri thodi income bhi ho jayegi. Sabse main to tha ki mera Interest tha isme.

Hindi Me Help ka Idea kaha se Aaya

Jo Idea hai Hindi Me Help ka wo ek din me nahi aaya tha.. Jo Idea hai uska Dimag me aane ka karan hai bhut logo ka mujse khana ki yaar tu Hindi me bana apni website to hame bhi usse Help mil jayegi.. To ab itna to clear tha ki Hindi Me ek Website banani thi jisse logo ki Hindi Me Help ho sake.. or issi Trha HindiMeHelp.com Naam diyaan aaya or mene turant usko register kar diya.

Hindimehelp.com Domain ko mene 2014-09-20 ko Register kiya tha, lekin muje us time tak clear nahi tha ki website kesi banao or kya kya usme dalu..

Hindi Website me banane to ja raha tha par yaha ek or badi Problem thi mere saamne or wo ye ki muje Hindi (हिंदी ) Type karna nahi aati thi.. uska option to tha ki me Google Input Tool ki madad se Hindi likhu par mere Dil ne kaha nahi yaar aese maje nahi aayege..

Fir jo starting me mere dimag me jo Idea aaya tha ki jo Problem muje aai thi uska hi solution de kar help karni hai to mene socha muje Hindi Type karna nahi aati to kya hua bhut logo ko nahi aati, or mere jese bhut log hai me unki madad kar sakta hu Hinglish me blog likh kar.

To fir mene 20 Feb 2015 ko Hindi Me Help ki Starting ki jisko aaj pura ek saal ho chuka hai.

Blogging Me Kaha kaha hui Pareshani

Jese ki me phele hi bata chuka hu ki mene Blogging Interest ke karan start ki thi to usme muje jo bhi pareshani aati thi me usko search karke solv karta jisme muje or bhi jada maja aata tha.

To Agar koi mujse ek line me puchna chahe ki muje koi pareshani hui to me sidha usko kahunga ki Nahi, Muke koi pareshani nahi hui Blogging me..

ek baat dhyan rakhne wali hai ki: agar hame apni success ko enjoy karna hai to uske liye katnaiya hona jaruri hai, nahi to jo hame milega usko ham Injoy nahi kar payenge..

Problem 1:

Sabse Badi Paresani to Jab aai thi jab meri Engineering Complete hui or muje select karna tha ki me apne Interest ka kaam karu ya fir jiski padhai ki thi uss field me Job..

Mera Dil to hamesa ye hi khata tha ki Blogging hi karu par Ghar walo ko ye yakeen dilana ki me Blogging me bhi apna career bana sakta hu wo bahut mushkil tha. Q ki uss time kisi problem ki baja se meri blogging se koi income nahi ho rahi thi. or Ghar walo ko bhi dar tha Q ki wo ek Faisla meri puri Life kesi rahegi decide karne wala tha..

Ab mene Ghar par nahi bataya ki me aakhir karna kya chata hu or mene Government Job ki teyari ka kha kar ek saal ka Time maga or kaha muje coaching karna hai uske liye to Ghar walo ne koi sawal nahi pucha or kaha jo karna hai wo karo bas acha karo.. Ab mere pass ek saal ka Time tha or mene ek coaching bhi join kar li par mera usme bhi man nahi lagta.. or 2 hafte baad hi mene coaching jana bhi band kar diya..

Issi Time mene Hindi Me Help Banai or Ghar par uske bare me kuch nahi bataya.. Jab meri Pehle mahine ki Income aai Hindi Me Help se to aap logo ko bata nahi sakta mujhe usdin kitni khusi thi. mene 3 mahine baad ghar par apne Papa ji ko bataya ki ye meri site hai or me aage ye hi karna chata hu or isse meri itni income bhi ho rahi hai. Fir bhi unko pura bharosa dilane me Time laga.. mene unhe nahi bataya tha ki me coaching nahi ja raha hu.

Problem 2

Jab Hindi Me Help ke liye Hosting li to Credit Card naa hone ke karan mene ek India ki site se hi Hosting le li.. uska natija ye huaa ki site Din me 3-4 bar down ho jati or us time bhi muje samaj nahi aa raha tha ki kya karu q ki uss time mere paas itne paise nahi the ki me dusri hosting kharid saku.. Fir jab mere paas Hindi Me Help ki income se utne paise aaye to mene Hostgator par Baby Plan liya. 2 Mahine tak mere ussi hosting me website wo time me kabhi nahi bhul sakta..

Baki to koi aesi Problem nahi aai ki muje uske bare me jada dikkat hui ho.. or me Phele hi bata chuka hu agar mujhse koi problem aati hai to usko solve karne me mujhe bahut maja aata hai.. or yaha to mera Interest hai to Problems me or jada maja aata hai.

Kisko Guru Maanta hu or kon muje Motivate karta hai ye sab karne ke liye

is sawal ka Jawab hai mere Papa ji.

wese to muje jisne bhi thoda bhut bhi mujhe sikhaya me un sabko sacche Dil se apna Guru maanta hu par kisi ka naam pucha jaye to me sirf apne Papa ji ka kahuga. Unhi ki kahi hui baat jo mere Dil-Dimag me hai or ye sab karne ko majbur khati hai..

Mera Target: Har roj kam se kam ek Nayi Chij sikhna jo Kal tak nahi aata tha.

Me Ghar se bhar zaroor rehta hu par har baar jab me unse baat karta hu to mujhe bahut kuch naya sikhne ko milta hai, or me apne kaam ke liye or jada Motivate ho jata hu.

Jo mera kaam hai wo mumkin bhi jab huaa jab Papa ji ka Support mila.. Me apne aapko bahut hi jada Lucky maanta hu ki mujhe aese Family mili jo har tarah se muje support karti hai mere har ache kaam me.

Hindi Me Help ki Uplabdhiya

Hindi Me Help ko pura ek saal ho gaya hai aur bahut si chije haasil bhi ki ek ek saal me or aage bhut si hasil bhi karna hai. Sabse Badi uplabdi jo me maanta hu wo ye ki HMH ki madad se kisi ki Help ho rahi hai bhale wo kisi bhi tarike se ho.

HMH ki Popularity ka andaja aap uski Alexa Rank se bhi laga sakte hai.

hindi me help ki alexa rank ek saal baad

Hindi Me Help ke ek saal ke visitor (20 Feb 2015 to 19 Feb 2016)

Hindi Me Help one year visitor

Hindi Me Help par ek Saal me 36377 Comments huyi jo apne aap me ek badi uplabdhi hai.

Bhut logo ka sabal hai or wo jaana chahte hai ki meri Hindi Me Help se kitni Income hai to me un sab dosto se Sorry khana chahunga. Me apni Income share nahi kar sakta uska aap chahe jo bhi karan samje.. Bas me itna bata sakta hu meri income 6 Digit (₹₹₹₹₹₹) me hai per month. Please muje kisi dusre blogger se compare naa kare ki wo apni income share karte hai to me bhi karu.

Uplabdhiya to bhut mili par unme se ek jo aapko Jarur Motivate kar sakti hai, Hindi Me Help ki Income se Bike li..

Hindi Me Help ki income se Bike li

Bate to itni sari hai aapko batane ke liye ki agar me 10000 shabd ki post likhu to bhi kam pade.. to Abhi ke liye itna hi or koi aesi jankari jo muje laga aapko pata hona chahiye Hindi Me Help ke bare me jisse aapko thodi bhi help mil sake to me usko jarur share karuga.

Last me Dil se Thanks Khana chahunga Sabse pehle God(Bhagwan) ko, Apni Puri Family ko, Hindi Me Help ke Paid Author’s ko, Hindi Me Help par Guest Post ki un sab ko, Har ek Visitor ko Jisne Hindi He Help ko ek bar bhi khola ho, Har ek us Bande ko jisne Hindi Me Help ke bare me kisi ek ko bhi bataya ho, Har ek comment karne wale ko jisne Hindi Me Help par comment kiya, or har us Insan ko jo Hindi Me Help ke liye acha/bura kuch bhi sochta hai..

Thank You God

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

440 thoughts on “Hindi Me Help One Year Success Story [1st Anniversary]”