Facebook Free Basic Kya hai or Iski Sachaiye Kya hai

Hello friends, in dino internet par Facebook ki service ‘Free Basics’ ko lekar bahut charchaye ho rahi hai. Aap logon ko bhi facebook par is baare me notification mili hogi ki aap bhi ‘Free Basics’ se judi apni rai TRAI (Telecom Regulatory Authority of India) ke pass bhejen.

free basic kya hai or iski sachaiye kya hai

Jo log nahi jante ki Free Basics kya hai unhen main is post ke jariye puri jankari dene ki koshish karunga ki aakhir free basics hai kya, aapko ise support karna chahiye ya nahi, iske piche motive kya hai aadi sabhi chijon ke baare me main aapko btaane ki koshish karunga.

Advertisements

Facebook Free Basics Kya hai?

free basic by facebook kya hai

To aaiye sabse pehle jante hai ki Free basics hai kya. Karib ek saal pehle Facebook ne ‘Internet.org’ naam se ek service shuru ki thi jiske piche unka maksad ye tha ki internet ki pahunch duniya me har ek vyakti ke pass pahunchai jayen.

‘Free Basics’ bhi Internet.org ke antergat hi ek programme hai joki india me shuru kiya gya hai. Facebook ne India me Free Basics india ki hi ek telecom company Reliance ke sath milkar shuru kiya hai. Free Basics ek App hai jiske dwara users internet ki kuch basic services jaise ki Wikipedia, Weather reports, News Updates aadi free me use kar sakta hai.

Yahi nahi Free Basics ke dwara user ‘Facebook‘ ko bhi free me yani ki bina kisi data charge ke use kar sakta hai. Lekin ye abhi kewal Reliance ki SIM card par hi available hai.

Free Basics me galat kya hai?

ab bahut saare log soch rahe honge ki Free Basics to un logo ke liye bahut hi labhdayak hai joki internet ka kharch nahi utha sakte aur unhen iske dwara free me internet uplabdh ho jayega. lekin main aapko bata dun ki Facebook ka ye programme Net Nutrility ke khilaaf hai.

Net Nutrility ke khilaaf isliye kyonki Free basics ka use karke log kewal kuch hi websites ko free me use kar sakte hai jabki dusri sites ko open karne ke liye unhen bhugtaan karna padega joki sidha sidha net nutrility ke khilaaf hai. Net Nutility ke baare me aur adhik jankari ke liye ye post padhen.

Facebook ko isse kya fayda hai?

Ab aapke dimaag me ye bhi aaya hoga ki free internet dene se Facebook ko kya fayda hoga. to main aapko bta dun ki Facebook ko isse bahut hi bda profit hone wala hai. Darasal Facebook ka ye free basics sachmuch me free nahi hai. Aap niche diye gaye screenshot me saaf dekh sakte hai ki Facebook par photos v articles dekhne ke liye ve aapko reliance se data pack kharidne ke liye keh rahe hai.

facebook free facebook ki sachaiye kya hai

Ab aap hi btaiye ki kya ye sachmuch me free hai? Facebook, Reliance aur ve companies jo ki free basics me invest kar rahi hai un sabhi ko bahut bda profit hoga agar aap Free basics ko support karenge to. Sabse pehle dekhiye Free basics chalane ke liye aapko ek reliance ki sim ki jarurat padegi.

Iske liye aap reliance ki SIM kharidenge to isse sidha sidha fayda kiska hoga? Of course reliance ka hoga. Aur fir jab aap Facebook jyada chalayenge to fayda kiska hoga? Facebook ka. jo aur sites free basics par free me chalengi unka bhi aise hi fayada hoga unki sites jyada chalengi to sidha sidha unka profit hai.

Free Basics aur kuch nahi ye to ek tarika hai internet par kabja karne ka joki Facebook dwara chalaya jar ha hai. Jo users Free basics chalayenge unki saari private information Facebook ke hawale ho jayegi.

Main Facebook Free Basics ke motive ko ek udahran ke dwara aapko samjhata hu. Maan lijiye koi aapko car chalane ke liye free me petrol deta hai lekin vah decide karta hai ki aap car kewal do hi directions me chla sakte hai. To ab aap hi btaiye agar aapko kisi aur direction me jana hai to aap kya karenge, aap apna hi petrol kharidenge. Hai na?

Yahi khel Facebook khel rha hai. Veh free basics ke dwara kewal kuch hi services free me provide kar rha hai aur jab user kisi aur service ko bhi use karna chahte hai to iske liye use bhugtaan karna padega. To doston ab aap hi btaiye ismen free kya hua?

Facebook free basics ke users ko vahi services dega joki veh chahta hai. Isse internet par lagbhag lagbhag Facebook ka hi adhikar ho jayega. Joki sarasar galat hai.

Kya aapko free basics ko support karna chahiye?

free facebook ka naa kahe

Shayad ab to aap samajh hi gaye honge ki Free basics aapke liye faydemand hai ya nahi. Ye to free internet ka bas ek sapna bhar hai. Jo dikhne me to free lag rha hai lekin vastav me aisa hai nahi.

Facebook free Basics me sath galat kya hai?

  • Ye service kewal un users ko uplabdh hogi joki reliance ki sim use karenge.
  • Free Basics par kewal Facebook v iski kuch partner sites hi chal sakti hai.
  • Sabhi ko internet uplabdh karana iska lakshay nahi hai sabhi ko Facebook uplabdh karana iska maksad hai.
  • Kul milakar dekhe to free basics ka idea ek business plan hai jiska sabse jyada fayda facebook ko hone wala hai.
  • Agar koi vyakti internet service afford nahi kar sakta to veh aisa phone kaise afford kar sakta hai jisse veh internet access kar saken.

Isliye main to aapko yahi kahunga ki aap free basics ko support n Karen.

Free Basics ko support n karne ke liye kya Karen?

Aapko facebook par kai baar notification bhi mila hoga ki aap bhi free basics se judi apni rai TRAI (Telecom Regulatory Authority of India) ke pass bheje. To sabse pehle main aapko bta du ki jab aap us par click karenge to Facebook TRAI ke pass automatic ek email bhej dega joki kuch is prkar hai:

“To the Telecom Regulatory Authority of India, I support digital equality for India. Free Basics provides free access to essential internet services like communication, education, healthcare, employment, farming and more. It helps those who can’t afford to pay for data, or who need a little help getting started online. And it’s open to all people, developers and mobile operators. With one billion Indian people not yet connected, shutting down Free Basics would hurt our country’s most vulnerable people. I support Free Basics – and digital equality for India. Thank you.”

In hindi translation:

“To the Telecom Regulatory Authority of India, main india me digital equality ko support karta hu. Free Basics jaruri internet services jaise communication, education, healthcare, employment, farming, aadi tak hare k vyakti ki free me pahunch bnata hai. Yeh un logo ki madad karta hai joki internet ke kharch ko afford nahi kar sakte aur jinhe internet chalana shuru karne ke liye thodi help ki jarurat hai. Aur yeh sabhi logo, developers, aur mobile operators ke liye khula hai. Free Basics ko band karna un ek billion logo ke liye bahut hi dukhad hoga joki abhi tak internet se nahi jude hai. Main free basics aur india me digital equality ko support karta hu. Thank you.”

To doston agar aap free basics ko support nahi karna chahte to please aisi kisi bhi notification par click n karen. Aapke ek button par click karte hi TRAI ke pass ek email send ho jata hai jismen btaya gya hota ki aap free basics ko support karte hai. Isliye aisi kisi bhi notification par click n Karen.

SAVE THE INTERNET!

Free basics ke bare me aur adhik jankaari ke liye ye youtube videos dekhe:

AIB Video on save the internet:

Abhishek mishra’s video on free basics:

https://www.youtube.com/watch?v=9pQACoPtWN0

Ab aapke kya bichar hai Free Basic par wo bataye, ho sakta ho aap free basic ko support kar rahe ho or aapke pass usko support karne ke koi acha karan ho..

Is Jankari ko jada se jada logo ko share kare taki hamara aane wala Internet ka Future acha ho.. Thanks.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

33 thoughts on “Facebook Free Basic Kya hai or Iski Sachaiye Kya hai”

  1. Rohit ji aap ki artical bahut hi bahetrin hoti hai aur aapkaa blog realy bahut hi usefull hai….aur aapke aapkeblog se maine bahut bahutkuch sikhaa hai….kyaa aap meri eek help karenge….yah mere blog kaa address addresshai hasimajakduniya.blogspot.com

    Isko aap dekh kar bataa sakte hai ki kyaaa kami hai jo mujhe vijitar bhut hi kam mill rahe hai….. aur ek or problem hai jaise aapki website kaa tital hai hindi me help…or jab jabmain google par search kartaa kartaahu to aapkaa blog open ho jataa hai but mere blog kaa addres shai hasi majak duniya….par yah nhi hotaa but jab puraa address daalkar ex- hasimajakduniya.blogspot.com to open hotaa hai…..to plesae hame guide kare kaise is priblrm se chutkara milegaa….
    Aapke blog kaa ek chotaa saa reader…nadeem

    Reply
  2. A once complacent population is becoming involved in government workings once again. Incumbant Republicans & Democrats are being retired as we are unnndstadrieg it has taken members from both parties to act so incompetantly to bring us to the point we are now.

    Reply
  3. Hum kahte hai ke logo ko paise kaise kamaye magar Wo Muj se puchte Rahte haie kaise hoga blog aur YouTube Se paise kamayi .. Magar maina YAHA Apne par dlunga….

    Reply
  4. Sahi hai Rohit ji logo ko iski Pori sacchai ka pata chalna chahiye … Maine ise use kiya iska webpage wese hi khulta hai jese croma browser par googleweblight use kar rahe Ho jo dekhne me achha nahi lagta or normal mode karne par asliayat samne ati hai Ki free kuch nahi hai..

    Reply
  5. Rohit ji youtube hame view ke paise dete hai ya phir ppc ke paise dete hai.youtube ke video ke bich me ad kaise lagate hai

    Reply
  6. hello sir h1 h2 tag kya hai .isko likhne ke liye template edit karna padega ?
    ek baat aur.kya har post ka alag -2 h1 h2 use karna padega

    Reply
  7. jaankari share krne e liye thank you ye jannkari kafi kam logo ko hai but bhut log iske support me hain kyui unko iske baare m nhi pta hai.

    Reply
  8. ROHIT JI MENE APNA BLOG PAR SIGN UP AH GYA MENE BLOG SE SIGN UP KAR DIYA MUJE CODE V MILA JISKI MAINE WIDGET AD KAR DI 15 DIN HO GYE PAR MERI DITE PAR ADS NHI SHOW HO RHE KESE HONGE ADD PLZZ MUJE BTAYE KYA KRU
    ye meri site.dekhiye

    Reply
    • Aapka adsense jab approve ho jayega to. Email aayega aapke pass.. Agar aapka blog adsense ke layak nahi huaa hoga.. Matlab koi kami hogi to ho sakta hai approve na ho. Ads dikhne me 1 mahina tak lag jata hai kabhi kabhi..

      Reply
  9. AdSense achievement
    Lifetime ad impressions: 1,000

    Congratulations! On January 31, 2016 you reached a lifetime ad impressions achievement. Learn more

    is ka kya mtlb hai

    Reply