Hello Blogger or Website Owners.. Agar aapki website WordPress par ya self hosted hai to sidhi si baat hai aap Hosting ka use to karte hi hoge..
or, agar aap lambe time se hosting use kar rahe hai to aapko kuch na kuch problem ka samna bhi karna pada hoga.. or aapke mind me ye sabal bhi jarur aaya hoga.. “Best Hosting konsi hai“, jo sasti bhi ho, Fast bhi ho, Secure bhi ho or jinki support bhi achi ho..
To aaj aapko aapke iss sabal ka jabab milne wala hai, q ki me apne 6 saal ke Blogging career me bhut si hosting use ki, mhegi se mhegi bhi.. sab ki kuch khasiyat to rheti hi hai, par uske sath sath kuch problem bhi hoti hai hai..
par abhi jo Hosting me use kar raha hu, usko use karte hue muje 8+ month ho chuke hai, or muje kisi bhi problem ka samna nahi karna pada.. to ab me pure confidance ke sath khe sakta hu ki mere hisab se sabse best hosting Cloudways hai.
Chaliye jante hai Cloudways kya hai or Q me isko use kar raha hu..
Page Contents
Cloudways Kya hai?
Cloudways ek managed Cloud hosting platform hai, jisme ham jitni bhi popular Cloud Hosting (Amazon, Google Cloud, Digital Ocean, Kyup, Linode or Vultr) hai unko badi aasani se bina kisi technical knowledge ke use kar sakte hai..
Note: Signup karte time 10HMH coupon dale, jisse extra 10% Discount mil jayega.. 3 mahino ke liye.
Agar Aap koi share hosting use karte hai, to unme aisa hota hai, ki jitne data ki hame jarurat hi nahi hoti utna ham le lete hai jiske paise bhi jada lagte hai or hame website ki sahi speed bhi nahi milti..
Par agar aap meri tarah in sab ka itna Technical knowledge nahi karte to Cloud Hosting ek sar dard ho sakta hai, q ki waha naa hame cpanel milta hai, or naa my SQL, isliye jada paise dekar share hosting use karna hi sahi rehta hai.. par wahi sar-dard ko khatam kiya Cloudways ne.
Cloudways me simple clicks me ham apni site bana sakte hai Cloud Hosting me..
Wese to jitni me khasiyat batao utni kam hai jab tak aap khud se use karke naa dekhe.. par agar aap thode time se website chala rahe hai to aapko pata hoga kya kya chije hai jo jaruri hai ek badiya hosting me.
- Fast Response Time
- Use karne me aasan
- Automatic Backup
- Security
- 24×7 Support
- Price kam ho.
- aasani se manage kar sake.
ye upr jo point mene bataye wo sab mere hisab se ek badiya hosting me hone chaiye, jo sab muje mile cloudways me.
Cloud Ways ke kya faide hai
Speed
Agar aap koi dusri hosting use kar rahe hai to aapko yaha usse double speed to aaram se milegi.
Dedicated Environment
Aap yaha jo bhi service use karna chahe uspar pura control rahega, ki kitni memory or kitne Apps use karna hai, jo Share hosting me nahi rheta.
SSD Based Hosting
Powerful of simple service hai jiska response time best hai, jisko koi bhi bina technical knowledge ke use kar sakte hai..
Built-in Advance Caches
Caches bhi puri tarah se optimize hai, jisme Memcached, Varnish and Nginx and Redis ki madad se bhut fast response milta hai.
PHP 7 Ready Servers
PHP 7 sabse letest or sabse fast predecessor hai, jo iss service me default aata hai.
Free WordPress Cache Plugin
Website ki speed bhut jada mayne rakhti hai, or ham jo plugin use karte hai bhut war aesa hota hai ki wo sahi se supprt nahi karti to hame kuch nuksan bhi hote hai.. par inki Free or sabse best cache plugin bhi hai.. jiska naam hai Breeze jisko use karte hi aap apni site ki speed me fark mhesus karege.
CloudwaysCDN
CDN website ki speed ko badane me or server load ko kam karne me bhut kaam aate hai, or aap yaha simple click me CDN ko on kar sakte hai.. or yaha sabse khas baat iski wo ye ki ye bhut sasta bhi hai agar dusre CDN se compare kare to..
Automated Backups
Server or site ka backup kitna jaruri hai, wo to aap jante hi hoge, q ki pata nahi kab kya badwad ho jaye or harama pura data chala jaye ya hack ho jaye.. to uske liye bhi hame yaha ye faida hai ki automatic hamare server ka backup liya jada hai daily, or simple click me ham wo apne computer me bhi download kar sakte hai.
Free SSL in 1 Click
SSL certificate ranking factor hai ye google ne officially kaha hai, matlab ab wenbsite me HTTPS hona jaruri hai.. or agar ye sahi se naa lagaye to bhut error bhi aati hai.. par wo kaam yaha bhut aasan ho jata hai, q ki ham simple 1 click me SSL certificate install kar sakte hai.
Dedicated Firewall
Cloudways ke sabhi server protracted hai jisse agar kahi se fake traffic aaye, ya kuch attack ho site par to wo usse site ko nuksan hone se bachata hai.
Regular Security Patching
System regular or automatic scan karte rheta hai server ko, or agar kahi kuch gadwad dikhti hai to turant hame usko notification mil jata hai.
Auto-Healing Servers
Bhut war servers me kuch error bhi aa jati hai, par aapko uski bhi yaha tension lene ki jarurat nahi hai, wo automatic tikh ho jati hai.
Two-Factor Authentication
TFA aaj ke time me bhut jaruri hai, taki agar koi kisi tarha se hamara password pata kar bhi le, jab bhi hamara account secure rahe.. to aese me hame yaha ye suvidha bhi milti hai ki ham 2 step verification on karke apne account ki security bada sake.
Up-To-Date Application
yaha jo bhi application hai unko ham ek click me install to kar hi sakte hai, uske sath sath hame yaha ye tension bhi nahi rheti ki application update hai ke nahi.. q ki wo automatic update hoti hai.
Live Billing
koi bhi hosting use karte hai, to uska ek war paisa le liya jata hai.. par hame pata nahi chalta ki hamne kitni memory use ki ya kitne paise ka hamara bill bana, par ham yaha wo sab kuch detail me dekh sakte hai.
Easy to Upgrade
Kisi bhi hosting me jab hamara traffic badta hai to hame dusra plan lena padta hai, par ham yaha simple ek click me uski memory bada sakte hai.. matlab wo tension bhi khatam. :)
Iske aalawa bhi bhut se faide hai, or kuch technical faide bhi hai.. fir bhi mene jitne faide aapko bataye utne se aap ye to samaj gaye hogi ki ye ek best hosting hai.
Baat kare WordPress ko isme use karne ki to wo bhut aasan hai, simple hame software me wordpress select karke install karna hota hai.. jo ek click me ho jata hai..
Cloudways me WordPress kaise Install kare or agar dusre hosting par WordPress site hai to usko kaise Cloudways me transfer kare uske ware me step by step aapko algi post me bataoga..
Wese wo sab process bhut aasan hai, aap khud se bhi kar sakte hai.. bina kisi technical jankari ke.. fir bhi agar aapka usse related koi salab ho to aap comment karke puch sakte hai.
CloudWays par account kaise banaye
wese account kaise banate hai kisi bhi site p[ar wo aap jante hi hoge, .. par mene kuch special discount ka bandobast kiya hai aapke liye jo aapko 10% extra discount dilayega.
Simple aap sabse pehle Cloudways ki site par jaye.
Ab aapke samne cloudways ki website open ho jayegi.. usme aapko GET Started For Free par click karna hai.
Ab Next Page me Form open hoga..
- Apni EMail Address dale.
- Password dale Cloudways account ke liye.
- Blogger select kare, agar aap ek blogger hai to.. warna aap apni marji se kuch bhi select kar sakte hai.
- kitni rage tak aap use karege usme 5-50$ select karle.
- Sabse important: Got a Promo Code? par click karke 10HMH Code dale, jisse aapko 10% Extra discount milega 3 months ke liye..
- Start Free par click kare..
Ab aapke email par ek mail aayega cloudways se usme di link par click karke apne account ko verify kare..
To iss trha aapka account banke tayar ho jayega.. ab aap khud se try kare.. wese me agli post me puri detail ke sath step by step aapko batane wala hu.. Video ke sath ki kaise ham apni wordpress site isme bana sakte hai.
Aapko kya lagta hai, ye Cloud hosting kesi hai.. or aap isko use karege ke nahi..
Hindi Me Help Hack hui thi, sayad aap uske ware me jante hoge, uske baad me security ko lege bhut strict huaa hu.. or uske baad se hi me isko use kar raha hu.. mene abhi tak iske ware me isliye nahi bataya tha kisi ko q ki usse security ka risk rehta hai.. par ab mujhe pura conform hai ki meri site secure hai.
Cloudways ke sath sath aap HostAdvice.com bhi try karke dekh sakte hai, jo ki ek badiya hosting hai.
At Last:
Ab aap Jaan chuke hai, Cloudways kya hai or agar aap apni site ispar banate ho to aapko kya faide hone wale hai..
Agar aapka sabal ho isse sambandit kuch bhi to aap comment karke jarur puche, or aapko kya lagta hai iss Cloud Hosting ke ware me wo batana naa bhule..
सर , आपके द्वारा पोस्ट की गई जानकारी वास्तव में मेरे जैसे नए बंदे के लिये बहुत ही महत्वपूर्ण है ।
मैं गतवर्ष से ब्लॉग शुरू करने की सोच रहा हूँ , परन्तु पूरी जानकारी न होने के कारण अभी तक शुरू नहीं कर सका । आज होस्टिंग से सम्बंधित मिली जानकारी से एक कदम आगे बढ़ा हूँ । ब्लॉग शुरू करने के बारे में और अधिक जानकारी प्राप्त आपसे कैसे प्राप्त होगी ? कृपया मार्गदर्शन करने की कृपा करें । धन्यवाद
top hosting aapne achhi jankari di hai
Bahot bahot achhi Info share ki hai aapne Rohit bhai..Is Artical se bloggers ko kaafi fayeda hoga…Thanks For Sharing…
Nice and very informative post sir. Thanks for sharing with us.
Vry nice
Good job sir ..
Sir maine blog site bnaayi hai… Domain le ke.. Blog ke sath.. But hosting nahi li h… Toh kya leni padegi… Hosting
nice post sir.i have a question hostgator hosting is good for heavy traffic.
Cloud aaya me cpanel ki facility milti hai ya nahi.
Milti hai
Useful post sir Thanks For Sharing.
sir aapka article follow karke mene bhi cloudways par apna domain shift kar liya
10$ me kitne din service milti hai.
one month
one month..
Sir aapko kuch idea hain ki google jo blogspot pe free hosting deta hai wo kon sa hosting plan rahta hain ?
Bhai. Unke khud ke Google cloud server hai..
Thanks for such great information Rohit Bhai.
Cloudway ka detailed review karne ke liye aapka shukriya…
sach kaha jaaye to, is blog se hume har din ek chiz sikhne ko milta hai…
thank you for working hard for your visitors…
Rohit sir kya 10$ wali hosting sahi hai
bhai acha pura paise se nahi, unki service se pata chalta hai.. wese cloudways best hai or uska bhi $10 hai..
Sir Cheap Hostings ka baray ma btao Godaddy Renewal boht expensive ha
verry nice information
bahut hi achhi jaankari di hai apne
Bahut achhi jaankari share ki sir Aapne ..
sir hostgator se achha hai ye cloudways ?
dono, par cloudways muje jada pasand aaya.. q ki ye uske according sasta or acha hai.
Nice rohit keeps it up
Bahut hi badhiya hai ye jaankari … Hamesha ki tarah har baar aap ek achi jaankari leke aate rahte hai …
Thanks…
very nice article sir.
it helps me alot. thankyou
AdSense suspended account ko, kaise blog mei add kar Santa hu?
Keu ki naya account google approve nahi kar rahi hai.
Or bar bar bol rahi hai “google be ek person k piche ek e account provide karte hai”
Plz any solution rohit Bhai?
thanks such a great information sir
very nice article bhai
well done
Very nice sir. Bhut acchi jankari di aapne cloudways ke baare me. Its help me alot.
Plz suggest me something to increase traffic on blog
Very nice sir. Bhut acchi jankari di aapne cloudways ke baare me. Its help me alot
Cloudways ke bare me badhiya jankari dene ke liye aapka bahut shukriya.
Bahut badiya sir
Sir jo post pahle se bhut se log likh chuke ho lekin usme use hone wale keyword par com. Low hai to kaise ham us post ko likh sakte hai jisse wah rank ho sake
jo post phele se hai, usse jada achi se or jada detail ke sath karna hoga..
aap ko hacking se releted koi information hai to bloggers se share kijiye #Rohit Bhai
sir kya auto blogging karna sai hai kya?
bhai mene try nahi ki.
Bhai which theme Your using
newspaper
Bhai main apna blog blogger se wordpress me lana chahta hu to mere traffic per kuch asar hoga kya
Bhai agar 20 crore see zyada traffic aane lage 1 mahine me to konsa plan choose karu cloudways mei. Plz inform sirji……. Thank You
Aap simple uski memory badha dijiye wass..
Sir mai confuse hu acchi service kiski hai
bhai mene hostgator bhi 1+ year use kiya hai wo bhi acha hai.. par muje dedicated hosting me dikkat aai thi.. or uss hisab se cloudways sasti or best hai..
Rohit bhai apne bahut achhi jankari di hai
sir mera blog par abhi itni traffic nahi aati hai jo me koi bhi mehngi hosting use kar pau kya ap mujhe bata sakte hai me apne blog ke liye konsi cheap web hosting use karu abhi me wordpress managed hosting use kar raha hu but ye itni khaas nahi lagi mujhe.
agar aapki site par jada traffic nahi hai, to aap Hostgator se Baby plan le lijiye..
Hostgator Hosting 50% Off Offer Discount Coupon [22-23th May 2018]
thanks rohit sir.
Thanks For Sharing. Mai isi topic ko dhundh raha tha.
Hello sir pls help me?
1. agar koi mere wp selfhosted blog par wrong,porn,spam traffic generate kar rha hai to usko kaise roku?
2. agar koi mere blog ke porn sites par bhut saare spam backlinks bana rha hai, to usko kaise roke?
3. or kisi ne mera 1 week me adsense account distroy karne ki dhami de hai?
ab me kya karu? pls help me sir…
1. Bhai agar same IP se traffic aa raha hia to aap unko block kar dijiye..
2. aap backllink check kare, agar koi galat site hai to aap search console se bad backlink remove kar sakte hai.
3. Agar Fake CLick aa rahe hai to aap Adsense ko uski report kare.
Hello sir ham isme khata khol diya hu par esko kaise manage kare
Bhai, simple hai.. aapko app create karna hoga.. agar aap acount me login karege.. to waha aapko uska video bhi dikh jayega..
wese me hindi me jald hi uski post dalne wala hu, kaise usko use kare..
Aap 8+ mahino se Cloudways hosting use kar hi rahe he or jo aapne yaha iske itne sare fayde bataye he unhe dekhte huae me bhi iske upyog ke baareme jarur sochunga.
bilkul bhai..
Good ! Rohit Brother CloudWay ki price kya he?? Or suggest kardo acchi Service konsi Hai ! me Bhot Confused hu!! thanks!
$10, $22, $44 plan hai.. wese $10 best hai new website ke liye..