HMH Hack Kaise Hui or Kya Badi Galti hui

Hello Blogger’s, Hope aap sab badiya hoge, or aapki Website bhi badia hogi, or jo HMH ke sath huaa, wo aapki site ke sath kabhi nahi hoga, HMH kaise Hack hui or kya galti rahi meri wo sab me aapko is post me batane wala hu, taki aap ye galti naa kare.

HMH Hack hui thi, ye sayad aapko pata hoga, or ye pure 31 Hours Down rahi, jisme mera sirf site se jo earning hoti thi sirf wo nuksan nahi huaa, uske sath mera bhut sa nuksan huaa jiske ware me abhi me bataoga.

Advertisements

HMH Hack Kaise Hui or Mujse Kya Galti hui

Page Contents

HMH Hack Kaise Hui

HMH Hack hone ka karan tha muje VPS ki sahi jankari naa hona or uske sath hi usme kuch Bug hone ke karan hacker ko uske through hack karne me aasani hona.

Meri jo hosting thi wo VPS Plan tha, jiska Monthly charge ₹₹6,000 tha, jisme muje memory or baki jo sab chije chaiye thi wo to mil rahi thi par security ke mamle me hosting company ka khena tha ki ye bhi aapko bhi karna tha jo muje samaj nahi aaya.

Or sabse main baat ham normal hosting lete hai to hosting company ke pass uska backup rheta hai, par VPS Hosting ka Backup bhi hame hi set karna padta hai jo mene nahi kiya.. to muje mera purana backup bhi nahi mila hosting account se.

VPS me hame hi puri setting karni padti hai, par muje uska jada knowledge nahi hoge ke karan mene usko sahi se set nahi kiya.. or usski ka fayda hacker ne uthaya.

Hacker ko jese hi access mila site ka, usme sabse phele to database ko pura phele barbad kiya uske baad delete kar diya, uske baad site ki jo files thi, unko bhi pura barbad kar diya..

To ab condition ye thi, me uss hosting se apni site ko sahi nahi kar sakta tha, to ab mera sabse phela target tha ki kaise bhi karke muje Post ka backup mil jaye..

Iske liye mene Developer se contact kiya par unko bhi kuch samaj nahi aa raha tha ki kaise kya kare, par ye kaho meri kismat achi thi, jo mene 2 din phele hi database ka backup liya tha, offline download karne ke liye par download to nahi kiya uss din par wo mene main directory se nikal par bahar daal diya tha uska Zip file..

Hack hone ke baad usko download karte uske phele hosting company se meri hosting account ko block kar diya, q ki VPS me kuch aese action bhi liye gaye jiske karan hosting account ko vlock kardiya gaya.. or sath me mera VPS server bhi down ho gaya.

ab mene hosting company se contact kiya, ki muje kaise bhi karke wo data chaiye.. to unhone kaha ham puri kosis karege.. or jese hi server sahi huaa mene sabse phele database ki file download ki..

Meri Sabse Badi Galti

Ab baat aati hai meri kaha galti hui or mere pass backup q nahi tha,

Bhut se mere friends ne mere pass call kiya, message kiye.. or FB Group me bhi sabse apni taraf se puri help karne ki kosis ki..

Par me aapko bata du, mene kya galti ki thi, mene Updraft plugin se backup set kar rakha tha, to Backup direct DropBox me ho jata tha.. par yaha mene ek bat ka dhiyan nahi diya ki site ka size 1 GB se jada ho gaya hai.

dropbox me hame 2 GB free space miltra hai or HMH ka size 1.2GB tha  or mene site ke 2 backup dropbox me save rahe aesi setting kar rakhi thi, to uske baja se dropbox me sabhi file backup ho rahi thi, sirf database ki file ka backup nahi ho raha tha.. or mene iska dhiyan nahi rakha ye meri sabse badi galti thi.

Mere Pass VPS me kuch error ke message aaye the, jisme muje alert kiya gaya tha ki kuch aesi activity mere account me ho rahi hai jo sahi nahi hai.. par mene uss baat ko jada series nai liya, nahi to muje ussi time hosting company se contact karna tha.

Hack hone ke baad condition ye thi, mere pass database ka 1 mahine purana backup tha, files ka pura backup dropbox me tha, or mera VPS server down ho gaya tha.

yahi karan tha ki HMH 31 ghanto tak down rahi..

Ab me uss hosting company se aage continue bhi nahi karna chata tha.. q ki me security ka apne se khayal to rakh sakta hu, par muje aesi hosting chaiye thi jisme hosting company bhi uska pura khayal rakhe.

Jese hi muje HMH ka Pura Backup mila mene usko turant dusri hosting me host karke HMH ko Live kiya. isme mere bhut se friends ne meri help ki..

Mene iss time me bhut logo ke call bhi attend nahi kiye, uska karan tha.. jada tar uss time sabke ye reply aa rahe the ki aapke pass backup to hoga, backup q nahi liya, roj backup lena chaiye.. or me iss bato ko sun sun ke pak gaya tha..

haa me manta hu ye meri galti thi.. par wo galti mujse ho gai thi.. jiska aage me ab hamesa dhiyan rakhuga or aapse bhi ye kahuga ki aap bhi backup regular lete rahe.

Abhi HMH Digital Ocean par hosted hai, isme thode technical knowledge ki jarurat padti hai, par me jald iski series daluga HMH.pe taki agar aap bhi apni site ispar sift karna chahe to aaran se kar sake.

Digital Ocean ki khas baat ye iska jo hosting charge hai wo ab sirf 2k per month lagega, jo mera phele 6k lag raha tha or dusri baat jo muje sabse jada pasand aai wo ye ki iska server Bangalore me hai yani ki site India me fast load hogi.

Agar aapko bhi Digital Ocean par Hosting lena hai to aap iss link se le sakte hai, jisme aapko 10$ free credit bhi mil jayega.

Digital Ocean $10 Offer

Hack se Kaise Bacha Jaye

Sabse phele to me aapko clear kardu, Internet par kuch bhi 100% secure nahi hai.. Kuch jada secure hai to kuch kam..

aapko apni taraf se puri security tips to follow karna hi hai.. sath sath aapko website ka pura backup kahi save jagha lekar bhi rakhna hai.. agar site ke sath kuch galat ho to turant jo hamare pass backup hai usko upload karke site ko Live kar sakte.

Automatic Backup ke liye bhut si plugins hai, jisme me Updraft best hai.. jisme aap daily ka backup set karde dropbox me, iske sath sath kam se kam hafte me ek war site ka pura backuip lekar computer me bhi download kare.

Hosting bhi achi use kana bhut jaruri hai, iss mamle me meri hosting to achi thi.. par mera jo plan tha uske security ka dhiyan bhi apne ko bhi rakhna padta hai wo galti hogai mere sath.

To ab aapko clear ho gaya hoga.. HMH ke sath kya huaa or kya karan tha jo HMH 31 Ghanto tak down rahi.

or haa ek baat, jispar muje doubt hai or jiske kuch clue mile hai wo mene apne ek uncal ko diye hai jo Cyber Security me hai.. wo uska pata karege..

Mera jo Nuksan huaa ab wo batata hu..

  • Site ki meri jo hosting plan tha usme abhi 4 mahine ki hosting baki thi, par wo muje chorna pada..
  • Muje Developer ko $300 dena pada.. q ki wo kaam aesa tha normal banda nahi kar sakta tha..
  • Search engine me bhi iska bura aasar pata hai,
  • HMH ki kuch file missing bhi hui, jinko fir se banana pada.
  • iske sath meri site OfficialKalam.com site ki file ka backup usme tha jo me recover bhi nahi kar paya.. ye mere liye sabse bada jhatka hai.. or iski me paise me value nahi bata sakta.. q ki wo meri 1 saal se jada ki mhenat thi.

kher jo huaa, wo ache ke liye hi hot hai, me jo laparwahi kar raha tha. uska sabak muje mil gaya.. or agar jo abhi huaa wo aajse 2 3 saal baad hota or agar jab me recover bhi nahi kar pata to mera kya hota..

To Friends.. Ye rahi HMH Hack se judi bate.. Ab konsa Attack huaa tha, or uska kya tarika tha wo me jab muje pura pata chalega uske baad aap logo se share karuga..

To wass aapse ek hi baat khena chahuga.. Blog ka Backup secure jagha jarur rakhe or Badiya se blogging karte rahe..

Agar aapka Blogger par blog hai to usko kaise secure kare uski jankari yaha hai.

Happy Blogging!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

90 thoughts on “HMH Hack Kaise Hui or Kya Badi Galti hui”

  1. Meri site open nhi ho rahi hai “HTTP Error 500” aa rha h mene support se bhe contact kiya but unhone bola ye apko kud he karna hoga. Ya developer se krvao , bhai developer to me kud he hu but samajh me nhi a rha kaise sahi hoga ye please help krdo bhai. Mene cpanel me bhi jake dekha udhr bhi koi error show nhi ho rha or .htaccess file bhi show nhi ho rahi hai me bhaut ummid ke shatt HMH pe comment kar rha hu ki aap reply kroge bhai , mene ess error ki post hmh group me bhi dali h aap udhr screenshot dekh ke bta dijiye please 🙏 2-3 days se site down h.

    Reply
  2. कोई बात नही कठिनाइयों को चीर के आगे बढ़ने में जो मजा है वो ओर किसी चीज़ में नही…

    Reply
  3. Thank you for your Informatic post,
    Jaisa Ki @Rohit ji, Aapne bataya ye sahi hai ki blog or uski hosting ki full security jaruri hai, Go-daddy iske liye sign in ke samaye aapko 2-Step verification deta hai, Par kya ho agar uske baad bhi woh hackers aapka data chori kar le, iske liye toh hume apne computer ko bhi secure rakhana padta hai naa….?
    Kyunki cPanel me Login hone ke baad se lekar Logout hone tak ek loop hol bana hota hai,
    Apne ye bhi bola ki ab aap Digital Ocean par hai par kya Hostgator ki hosting Sahi nahi,ussme Secrurity kye liye kya kare, Abhi mera blog BLogger par hai mai soch raha tha ki ise WordPress par le jaun, Par aapka ye article thoda Unsecure wali feeling deta hai Please help me..

    Reply
    • brother sabse pheli baat itna aasan nahi hai kisi bhi site ko hack karna.. or agar ham alert rahe to koi hack nahi kar sakta.. aap hostgator se hosting le sakte hai.. VPS plan me muje security khud add karni thi jo mene nahi ki ye problem thi.. baki aap hostgator se le sakte hai koi problem nahi hogi.

      Reply
  4. Brother Ki Site Recover ho gayi.
    Meko bs ye sun k Acha laga
    Baki kisne kiya kyu kiya? Ye to wahi janta hoga.
    Really, You’re my idol Brother. M very happy for you.

    Reply
  5. bhaiya mera naam vikas hai mai class 8th me padta hu aur maine aapke blog se bahut kuchh sikha maine aapke kai pages bhi offline padne ke liye download kiye the jo mai aapko send kar dunga aap mujhe contact karenge to mujhe bahut khushi hoga mera number hai 7898688187 ya 9109605083
    mai bhi aapke jaisa ek website banaunga aapke dwara maine bahut gyan prapt kiya thanks
    jaldi reply karna bhaiya agar aap busy hoge to baad me reply kar dena kyoki mai 9:55 me school jaata hu aur 4:00 ghar aata hu mai kabhi kbhi internet use karta hu jab mere papa kaam karke aate hai to mai wifi use karta hu

    Reply
  6. Sir abhi mene apke blog ki “”All Post”” (Sitemap) per Click kiya… Mujhe to abhi bhi yakeen nahi ho rha ki aapne kitne Arricles likh diye…

    I’m Shocked,,, Per brother isse ye baat Clear ho gayi… ki mahnat ki Koi Kami nahi hai.. Dil kholkar Hard_Work kiya h… Rohit bro ne…

    Isse me bhi Motivate hua… Thnnx

    Regards,,

    Harshit

    Reply
  7. Bhaiya aapke saath galat hua jab summer holiday chal raha tha to aapke website pe mai roj aata tha
    Uske baad school start hua to aapke website pe na aa saka lekin aaj aapke website ko dekha aur pata chala ki aapke saath bahut galat hua
    Lekin maine 2-4 post offline padne ke liye download kiya tha mai o aapko send kar dunga mera school time 10:00se 4:00 baje tak hai
    Mai class 8th me hu mere paas 3g phone hai mai kabhi kabhi small data pack se net chalata hu mujhe aap contact karoge to mai aapke full help karunga mera number 9109605083 aap mujhe kisi din(sunday) chat karoge to mujhe bahut khushi hoga agar aap free hoge to chat karna kyoki mai aapka time barbaad nahi karna chahta.

    Reply
  8. Bhaiya aapke saath galat hua jab summer holiday chal raha tha to aapke website pe mai roj aata tha
    Uske baad school start hua to aapke website pe na aa saka lekin aaj aapke website ko dekha aur pata chala ki aapke saath bahut galat hua
    Lekin maine 2-4 post offline padne ke liye download kiya tha mai o aapko send kar dunga mera school time 10:00se 4:00 baje tak hai
    Mai class 8th me hu mere paas 3g phone hai mai kabhi kabhi small data pack se net chalata hu mujhe aap contact karoge to mai aapke full help karunga mera number 9109605083 aap mujhe kisi din(sunday) chat karoge to mujhe bahut khushi hoga agar aap free hoge to chat karna kyoki mai aapka time barbaad nahi karna chahta. Mujhe saayad reply karne time lag jaaye kyoki mai 2-3 days wala hi data pack kabhi kabhi dalwata hu

    Reply
  9. Rohit Bhai Mera Blog Blogger Par Hai Me Abhi Soch Hi Raha Tha Ki Me Apne Blog Ko WordPress Par Sift Kardu Par Ab Me Aapki Ye Post Pad Kar Samaj Nahi Paa Rahu Ki Me Apne Blog Ko WordPress Par Sift Karu Ki Nahi Karu Aap Meri Is Me Help Kardege To Mere Liye Acha Rahega

    Reply
    • Brother sabse pheli baat pata nahi aapko aesa q laga ki mene kuch galat share kiya.. kher wo aapko thinking hai.. baki jo mere sath huaa hai wo mene share kiya taki or kisi ke sath naa ho.. or agar aapko in sabki jankari hai to aap hostgator ke VPS plan ke ware me puch lijiye.. wo usme hame only server dete hai. usko hame hi manage karna hota hai.. security bhi hame hi dekhni padti hai.. jo mene nahi kiya.. baki mene kaise kya kiya.. kaise data recover kiya wo me hi janta hu.. n sorry agar aapko koi baat buri lagi ho to. par mera yaha share karne ka sirf ye tha.. jo galti mene ki wo or koi naa kare.

      Reply
  10. Rohit Bhai
    Aapke sathi bohot hi bura hua hai. Paise Ka loss aap cover kar sakte ho but aapki dusri site Ka backup gaya ye bohot bura hua hai bhai. Aapko kya lagta hai bhai aisa kaun aur kyu kar sakta hai? Aur aisa karnese usko kya mila hoga ?

    Reply
    • Brother.. jo bhi hota hai ache ke liye hota hai.. muje iss sabse bhi bhut kuch sikhne ko mila. jisse muje aage bhut faida milne wala hai.. jisne kiya q ki kiya wo to wahi janta hoga..

      Reply
  11. सर एक बार मेरे Blog पर जाकर 2 चीजो के बारे मे बताये..
    1. मुझे Template Change करना चाहीये या नही.

    2. Content लिखने का तरीका कैसा हे.

    बताना जरुर ताकी मे कुछ changes कर सकु

    Reply
  12. Rohit bhai kya aap hame bata sakte hai koi template fake traffic bhi show karta hai mai aapka banaya hua hmh blogger template use karta hu,Dusri baat aap 5-6 line ka link ads kaise banate hai…

    Reply
  13. kuch din pehle mera bhi blog hack ho gya tha lekin Allah Ka shukar Hai mene 4Days Pehle iska Backup Lekar Rakkha Tha Aur Ab Mene Ise Recover Kar Liya Hai Ab Main Har Roz Backup Set Kar Dunga Thank You For Information?

    Reply
  14. Mera Ek Saval He Rohitji, mera blog he vo blogger me banaya he to kya wo hack ho sakta he. or aap mera blog check karke bata skte he ki kesa he.

    Reply
  15. Koi na sir ….Kuch experience hi mila hai aapKo or aapne ese share karke hmari bhi help kar di …Thanku sir jo hua sir bhul jaiye koi na aapke website ko to koi hack kar sakta hai but aapke talent ko nhi ….Aapme etni efficiency hai ki aap ak nhi bahut hindimehelp jaiSi website bna sakte hai …..Anyway don’t mind ab aap achhe se work kariye god bless you

    Reply
  16. congrats Rohit bro !!!!!!! I know what is hard work or jb esa kuch hota hai to kaisa lgta hai mai samjh skta hu dil puri trh tut jata hai,,, but after all HMH is live that’s a good think :) never be disappoint

    Reply
  17. sir meri bhi site hack ho gayi thi wordpress me site banane ke baad 2 din me hack ho gayi thi,
    isliye wordpress mujhe acha nhi lagta,maine apni khud ki site design n devlop ki n puri security k saath

    Reply
  18. thank u sir ji hame bahut khusi huy hai ki apki site wapas aa gayi hai aur mai kahna chaunga ki sabhi blogger hacker se bhche apni site ka dhyan de aur ye tips ham life mai yad rakhenge aur sabhi friend ko sir ji apke tarph se ye kahunga ki jitne bhi hamare dost blogging karte hai sabhi log apni site ki suraksha rakhe thanks.

    Reply
  19. thank u sir ji apki site vapas mil gayi mujhe bahut khusi huyi ki apki site open ho gayi hai aur age se mai bhi alerat rahunga ki hamari bhi site mai koi problam na ho aur sir ji apke tarph se ham sabhi blogger ko kahunga ki apni site ki suraksha rakhe thanks.

    Reply
  20. Oh very bad sir but koi bat nahi aapka blog thik to ho gaya na
    Rohit sir aapse ek bat karne ke liye mai vist kiya pata chala ki aapka blog hack ho gaya tha
    Aaise mai yahi puchna chahta hun aap koun si template use karte ho please hme bataiye

    Reply
  21. सबसे पहले तो congrats sir, आपकी site सही हो गयी पर ये होने से थोडा फायदा हुआ की आप भी बहुत कुछ नया शिख गये और हमे भी कुछ नया शिखा दिए | बहुत सारे blogger(मै भी ) इस घटना से पहले backup नहीं लेते थे पर अब समझ में आ गयी की ये कितना जरूरी है |

    Reply
  22. Koi baat nahi bro jaisee bhi aapki site vapas open ho gayi ye aapke aur hamare liye khushi ki baat hai. Is hacking se bhi logon ko abhut kauch seekhna pada.

    Reply
  23. Hacker ne Aisa Karna Nahi chahiye tha. hindi me help ka agar backup Nahi milta to New blogger ka Bahot bada nuksan Ho jata

    Reply
  24. Sir, Hosting service sabse best Amazon ki hai lekin ye bhi achhi hai.
    Mera ek sal nikal jaye fir amazon se hosting lunga.
    But site live hone ke liye congress.

    Reply
  25. आपने इसमे updraft plugin के बारे में बताया सच मे ये plugin बहुत अच्छी लगी। आपके aleart करने के बाद मैं भी इसी plugin से backup लेता हूँ और मैंने अपने ब्लॉग पर इसके बारे में पोस्ट भी लिखी है कि इससे सीधे google drive में automatically daily backup कैसे लेते है।

    Reply
  26. Thanku fr sharing this bro..!! Hme bhi aapke diye huye tips ko follow karna hoga..!! Yeh hadsa kisi ke saath bhi ho sakta hai..!!

    Reply