Yoast Plugin Signal Green Kaise kare | SEO Tip

Agar aapka Blog WordPress par hai to aap Yoast Plugin to jarur use karte hoge, apne article ka SEO analyse karne ke liye, ki aapne sahi se SEO kiya hai ya nahi.. or agar aap Yoast me sabhi signal Green karna chahte hai to sahi post par hai.

Yoast Plugin ke sbhi signal ko Green kaise kare wo janne se phele kuch baatein hai jo aapko pata hona chahiye, agar aapko inke ware me sahi jankari nahi hai to please pehle aap inko read karke samje:

Advertisements

Agar aapko upar diye Topic ke ware me jankari hai to aap teyar hai Yoast plugin ka sahi tarike se use karne ke liye.

Yoast Plugin Signal Green Kaise kare | SEO Tip - Wordpress

Page Contents

Yoast Plugin Kya hai ?

Yoast WordPress plugin hai, jisme SEO ki settings hoti hai.. iski madad se post ka SEO analyse kiya ja sakta hai focus keyword set karke.

Simple ham kha sakte hai Yoast plugin hame On Page SEO karne me help karti hai, or kahi kuch gadbad hoti hai to uske bare me batati hai.

Note: Agar aapka Blog Blogger par hai, fir bhi aap iss post ko pura read kare, Q ki bhale aap yoast plugin use naa kare par jo point hai wo pure karna jaruri hai SEO ke liye.

Yoast Green Signal Kya hai:

WordPress me post likhte time niche ek box aata hai yoast plugin ka, jisme ham focus keyword daal kar post ka on page SEO check kar sakte hai, jisme hame pata chalta hai ki SEO me kaha kya kami hai.

yoast signal ko green kare

*Jab Post likhte hai to Yoast ke kuch point to green asani se ho jate hai , par kuch aese point bhi hote hai jo green nahi ho pate, to uska kya karna hai or kaise iski madad se SEO Friendly post likhe chailye dekhte hai.

Green All Yoast Plugin Signal

Sabhi point ko detail me batane se pehle me aapko bata du, jo bhi point hai wo kisi trna program kiye gaye hai.. to ho sakta hai aap sahi kare fir bhi kuch point green naa ho. to aapko uss baat ki jada tension lene ki jarurat nahi hai.. wass sabse main hai ki aapko sabhi point ke ware me sahi jankari ho.

Focus Keyword Dale

Ye sabse main or sabse jada jaruri hai Focus keyword, q ki jo aapki post ko analyse kiya jayega wo issi ke hisab se kiya jayega.

Focus keyword for yoast plugin

To jo bhi keyword dale ko puri research karke dale, yaha aapko wo keyword dalna hai jisko aap target kar rahe hai ki usko search kare to aapki ye post aaye.

Keyword Kya hai uske baare me detail me mene bataya hai aap usko read karke keyword kya hai usko achi se samje.

Jese hi focus keyword dalege, uske hisab se kaha kya kami hai wo batai jayegi, agar kahi kuch kami hogi to red signal aayega.

Ye Point hai jo hame sahi se karna hai:

  • Title: Title me focus keyword add karna hai, or uski length bhi itni rakhni hai ki search me puri dikhe. or jankari ke liye read kare: Post Title likhne ke tip
  • URL: SEO URL set karna hai, jisme focus keyword hona chaiye. url jada lamba bhi nahi hona chaiye.
  • Meta Description: Meta description wo hota hai jo search engine ya social site par Title ke niche dikhta hai. Ye 2 lines me hota hai, jisme hame wo dalna hai jisko read karke pure article me kya hai wo samjha ja sake. isme apne focus keyword ko use karke likhe taki clear ho sake ki kis ware me article hai.
  • Image:
    • Kam se kam ek Image jarur use kare.
    • Image ko upload karne se pehle usko rename kare.
    • Image ko rename karne me focus keyword add kare.
  • Post Content:
    • First paragraph me focus keyword add kare, taki starting me hi clear ho sake ki post kis ware me hai.
    • 300+ Words ki post likhe, wese to jitni detail me post likhenge utna jada acha hai.
    • Chote chote paragraph likhe, taki read karne me aasan ho.
    • Subheading me Focus Keyword add kare.
  • Link:
    • Internal Link: Post se blog ki dusri post jo related ho unko link kare.
    • External Link: dusre site ke useful link bhi add kare jo post se related ho, jisse reader ko help mile.
  • Keyword density: jab aapki post puri complete ho jaye, uske baad dekhe jo focus keyword aapne dala hai, uss hisab se apne kitne war usko use kiya hai. ye signal isliye hai ki aapko focus keyword bhut jada war bhi use nahi karna hai. Keyword Density kya hai or kitni honi chahiye uske ware me mene detail article share kiya hai aap usko jarur read kare.

Ye jitne bhi point bataye, unko sahi se karne par post ka on Page SEO pura ho jayega.. iske sath ek or option bhi hota hai Readability jiska matlab hai article read karne me kaisa hai wo bataya jata hai, par agar aapka blog hindi ya Hinglish me hai jaise Hindi Me Help hai to aap iss part par dhyan naa de, wass uske jo point hai unko samje.. ki read karne me aasan ho.

At Last:

Hope ab aap samaj gaye hoge, jo point Yoast plugin me bataye jate hai wo kya hai or unko kaise green karna hai..

*Ek Tip hai aapke liye, ki jab bhi post likhe to in Point ko dekhe jarur, par post ko natural tarike se likhe taki jo aapke reader hai wo usko sahi samajh sake.. aesa naa ho in point ko green karne ke chakkar me aap post ki quality gadwad kadre..

Agar aapka koi bhi sawal hai to aap comment karke puch sakte hai, or aapko ye jankari kesi lagi wo bhi jarur batye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

66 thoughts on “Yoast Plugin Signal Green Kaise kare | SEO Tip”

  1. भाई हिंदी आर्टिकल लिखता हूँ https://thehimachal।com/ पर लेकिन इस में तो कभी भी ग्रीन आता ही नहीं, आप ने भी बाकियों की तरह बताया हिंदी में हुआ है कि English वाले आर्टिकल को Yoast में कैसे करें । हिंदी के लिए कैसे करें ये आज तक कोई नहीं बताता, क्या कोई font चेंज करना है या ऐसे ही चलने देना है जैसे चल रहा है। बताने कि कृपया करें

    Reply
    • भाई आपका कंटेंट इंग्लिश में है हिन्दी में यह कोई मुद्दा नहीं है , जैसा इस लेख में रोहित जी ने बताया है आप ठीक वैसा ही कीजिये क्यूंकि ब्लॉग पोस्ट चाहे किसी भी भाषा में हो सबका प्रोसेस समान है .

      Reply
  2. Bhai aapse ek request hai kya aap meri website check karke bata sakte hai ki isme kya problem hai meri post ke yoast signals sabhi green hai fir bhi traffic nahi hai 15 din ho gay website ko banaye please help.

    Reply
    • bhai 15 din hi to hue hai.. itni jalti koi result nahi milta.. or signal green hone se traffic aaye iska koi samband nahi hai.. phele aap SEO ko tikh se samjo fir aapko samaj aa jayega un green signal ka kya matlab hai..

      Reply
  3. sir mei hindi mei likhta hu mere sare signals green nahi hote usko kaise green karu aur aapke dwara batayi jankariyo se meri kafi problem door ho gayi dhanywaad

    Reply
  4. 1.Sir seo title green nhi hota है।
    2. रेडबेलटी भी ग्रीन नही होती है
    3.ब्लॉग में amp set किये हुए 10 दिन हो गया लेकिन वेबमास्टर में नही दिख रहा है।
    प्लीज sir एक बार मेरी साइट देख लीजिये और कमी को बताइए

    Reply
    • 1. Title me focus keyword add kare green ho jayega..
      2. agar aapka blog hindi me hai to yoast me readability greeen nahi hogi, q ki wo english ke hisab se hai.
      3. Amp ki detail aap google webmaster me dekhe.. kuch error to nahi hai.. or thoda wait kare ho jayega..

      Reply
  5. Bhai baqi sab to theek hai lekin ye title pr green signal nhe hota hai..
    Apke hisaab se kitne word ka title hona chahye…
    Ek bar mera blog check krke btaye ke koi aur kami to nhe hai….

    Reply
  6. Bahut achhi post aisi post abhi tak internet par mujhe nhi mili. Thanks! Bhai aapse ek Q. H mere blog me हिंदी font use karta hun yaani hindi me likhta hun to me title me focus keywords kaise add kru ?
    Kya me focus keywords bhi hindi me daalu ?
    Ek or Q hai mere blog me https enable hai par jab http se open karte hai to bhi open ho jata hai me http ko https par redirect karna chahta hun kaise kru koi plugin ya koi or trika ?

    Bhai mere blog ko dekh ke btana usme kya kya kmi hai.

    Thanks!

    Reply
  7. Bahut achhi post aisi post abhi tak internet par mujhe nhi mili. Thanks! Bhai aapse ek Q. H mere blog me हिंदी font use karta hun yaani hindi me likhta hun to me title me focus keywords kaise add kru ?
    Kya me focus keywords bhi hindi me daalu ?
    Ek or Q hai mere blog me https enable hai par jab http se open karte hai to bhi open ho jata hai me http ko https par redirect karna chahta hun kaise kru koi plugin ya koi or trika ?

    Bhai mere blog ko dekh ke btana usme kya kya kmi hai.

    Thanks!

    Reply
  8. thank you bhai me bhi pareshan ho gaya tha green karne ke chaker me bhai aap mere blog ko ek bar jaror dekh kia me blog likh skta hun…

    Reply
    • bhai muje lagta hai aapne post tikh se read nahi kiya.. green hone ka matlab hai yoast ke hisab se SEO tikh kiya hai.. par ye jaruri nahi hai.. wass aapko pata hona chaiye kya kya karna hai.. or wo sab point mene post me bataye hai..

      Reply
  9. रोहित भाई पोस्ट अच्छा है। लेकिन आपसे एक बात पूछनी है।

    Reply
  10. Sir main apne blog ko wordpress par transfer krna chahta hu, so please mere kuch swalo ke jwab de dijiye.

    1. Mere blogger blog per day 4000 pageviews hai aur analytics me 1000+ pageviews hai. To aise me muje konsi hosting leni chahiye ? I mean share hosting ya paid.

    2. Mene apni sabhi posts ke html me adsense ads ke code lga rakhe hai to kya blog ko wordpress par transfer krne se pahle muje un sabhi codes ko remove krna hoga ? Ager ha aur main aisa na karu to kya hoga ?

    3. Kya blog ko wordpress par transfer krne ke baad meri sabhi posts ke permalinks change ho jayenge ?

    Reply
    • 1. Share-hosting paid hi hoti hai bhai. or jitne aapke traffic hai basic plan me bhi sahi se manage karo to aaram se chal jayegi..

      2. sabse pheli baat post me code add karke ad lagana sahi tarika nahi hai.. aapko templat me code add karna tha.. baki agar aap wordpress par tranfer kar rahe hai to aap plugin ki madad se sab post me ek sath ad laga payege.. har post me ad code lagana kisi bhi condition me sahi nahi hai.

      3. wo aapke upar hai.. wese blogger me date aati hai jo aap wordpress me remove kar sakte hai.

      Reply
  11. Sir mene domain kharida aur aapne btaya wesa hi kiya aur 24 hours hogaye jb site kholta hu to apne aap site to open nai hoti pr upper apne aap run hoti hai jisse mere pageviews ek sat 100-200 ho rhe hai aur nahi site open ho rhi hai to mai kya kru sir aaj ek din mai 1000 pageviwes hogaye jbki kal 50 ta i don’t know kya ho rha hai sir plz help me

    Reply
  12. SIR….
    SIR MERA GOOGLE ADSENSE SUSPEND HO GAYA THA….
    JAB SUSPEND DATE KHATAM HUWA HO 1-2 DIN BAD MERA GOOGLE ADSENSE KA BALENCE DOLLAR MYNASH ME HOGAYA HAI ….
    LEKIN 7DIN KA 2$DIKHA RAHA HAI AND BALANCE – ME HAI …..

    https://vinay1tech.blogspot.in/

    KYA KARU…………
    PLS HELP ME

    Reply