140 Character Se Lambe Tweets karne ka Asan tarika

Kisi bhi baat ko apne social circle ke bich share karne ka sabse aasan jariya hai twitter.

Read: Twitter par account kaise banaye.

Advertisements

Twitter ki sabse badi khubi yahi hai ki yah micro blog ki principle par kaam karti hai, kahne ka matlab isme 140 character me hi apni baat likhi hoti hai.

140 Character Se Lambe Tweets karne ka Asan tarika Hindi me help

Kai baar aisa hota hai ki hum apni baat 140 character me poora nahi kar pate, aise me ya to hume apni baat bahut had tak choti likhni padti hai ya fir alag se tweet likhne ki jarurat padti hai.
Kuch web tool aise bhi hai jinki madad se hum lambe tweet bhi kar sakte hai, me aapko ek aise hi tool ke baare me batane ja rha hun jiska naam hai TallTweets.

tall tweets kaise karte hai site ki madad se

Iske liye aap www.talltweets.com par jaiye, is site par jane par aapko twitter par sign in ke liye kaha jayega.
Jaise hi aap sign in karne ke liye Sign in with Twitter ki button par click kare.

Twitter account se sign in kare

Ab ek New Page Khulega, Jisme hame apna Twitter ka Username or password daal kar TallTweets ko allow karna padega.

Tall Tweets ko allow kare twitter pat
  1. Apna Twitter username dale
  2. Password dale
  3. Authorize app ki button par click kare.

ab wapas Tall Tweets ki site par aa jayege.. ab ham apni lambhi Tweet Type kar sakte hai.

lambhi tweets kaise kare twitter par
  1. Apni Tweet type kare kitni bhi lambi ho 140 sabd se lambi bhi ho to koi dikkat nahi hai.
  2. Tweet kis prakar karna hai wo select kare –
    1. Tweetstorm (text) – isme aapka message agar 140 sabd se lamba hoga to wo 2 tweet ya usse jada me bat kar twitter par tweet ho jayega..
    2. Tweetshot (image) – hamara jo bhi message hai uske text ka photo khich kar twitter par share ho jayega.
  3. Tweet ki button par click kare last me.

Is Trha aap 140 character se lambe tweet kar payenge.

Actually yah web tool ek khas tarike se kaam karta hai, ye lambi tweets ko 140 character me vibhajit kar publish karta hai. ya fir uski Photo le kar usko publish karta hai.
Iske jariye aap aasani se lambi tweets kar sakte hai.

Aapko post accha laga aur aap aise hi kuch aur useful post padhna chahte hai to HMH.pe or mere blog visit karte rahe..

Read: Twitter me Photo or uski Information kaise update kare

Share on:

Mera naam Govind Swami hai, me HinglishTech.In ka founder hun


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

26 thoughts on “140 Character Se Lambe Tweets karne ka Asan tarika”

  1. Wow, kya baat hai Twitter ko lekar mujhe hmesha problem aata tha lekin ye padh sab khatam ho gya bahot hi sundar jankari hai.

    Reply
  2. Hello Rohit g
    Hamesa Ki tarh mujhe apki ek or help chahiye. . Mene apna facebook page new id se banaya hai ab mai usko purani id par kese le ja sakta hu.
    Or page par blog Ki all post ko kese dalte hai

    Reply
  3. Hi Rohit,
    Mene Apni ek site Google AdSense pe Submit kiya lekin Google AdSense ne Use approv nahi kiya .
    Phir vo vese hi rah gaya aur 1 mahine bad fir se mene ek nayi site submit kiya lekin mere pahli site ke karan vo submit nahi Hua.
    Phir mene AdSense account ke setting me jakar us ko cancel account kar diya or menee dusri site ke liye submit kiya.
    Submit karne ke bad Me Jab Google AdSense me login karta hu to login nahi hota koi bhi browser me.
    To ab me kiya karu please bataye.

    Reply
  4. bhai mere samaj nahi aa raha hai ki mai kis company ke ads lagau. mera adsense abhi apporve nahi hai. ap aap hi bataye mai kis company ke ads lagau jiski ppc jayada ho . media.net aor chitika ke alava

    Reply
  5. blogger pe jakar jab bhi main new blog par click kar raha ho toh samne blog name ,address ka form aa raha hain par new blog par click kar raha ho toh kuch nahi ho raha.dusra page bhi nahi aa raha.kya karo?

    Reply
  6. me ek tempte purchase karna chahta hu jo me template kharidunga wo hamesha ke liye ho jayegi ya phir se renew ya phir se kharidni padegi rohit ji mkr template thoda check kar ke bata dijiye

    Reply