Whatsapp kitni popular application hai wo to aap jante hi hoge, or iss app ka intna popular hona banta bhi hai q ki isme regular update bhi hote rhete hai or kuch aese feature bhi hai to logo ko bhut pasand bhi aate hai. WhatsApp ke New Feature jo abhi add huee hai ya ho hone wale hai uske ware me ham jaanne wale hai.
Abhi kuch time phele hi Whatsapp ne security badane ke liye 2 step verification add kiya tha, iske sath sath aap Voice Call, Video Call, Live status ke ware me to aap jante hi hoge.
Abhi Whatsapp me ek or bada update aane wala hai, jo logo ko bhut pasand aayega.. Jo New update aane wala hai usme ham send kiye huee message ko cancel kar sakege ya edir bhi kar sakege.. isse ye fayda hoga agar kisi ko galti se koi message send kar diya hai to ham usko delete kar sakege.
Aapke sath bhi aesa jarur huaa hoga kabhi na kabhi, ki aap kisi or ko koi message send karna cha rahe ho or galti se kisi or ko chala gaya ho.. aese me fir hamara kya hota hai uska andaja to jo galat message hamse send ho gaya hai usse hi lagaya ja sakta hai. Par ab aesa nahi hoda.
WhatsApp ki New Update Kya hai ?
Whatsapp ki jo new update hai, uska naam hai Revoke, jiski madad se ham send kiye huee message ko wapas bula sakte hai or fir chahe to usko edit karke double se send kare ya fir delete karde.
Abhi ye jo update hai wo Beta version me hai iphone ke liye, par jald hi sabhi user ke liye aa jayegi or muje ummid hai iss new update ke baad jo whatsapp ki popularity hai wo or jada badd jayegi.
Aap Screenshot ke dekhe kaise aayega option Revoke karke ka.
To Firends aapko ye jo feature hai usse kitni help milegi ya aapko iski jarurat hai ke nahi wo aap comment karke bata sakte hai ki aapko kya lagta hai.. ye acha hai ya nahi.
Whatsapp ki or jada jankari ke liye hamari dusri post read kare:
Nice post
mai b Rohit bro snagit use karta hu ..but mere se nhi ban raha h ek logo mere website ka Bana Doge plz..mujhe v apne blog ke image ko add karna h ek logo Bana kar mail kar Doge plz
mai b Rohit bro snagit use karta hu ..but mere se nhi ban raha h ek logo mere website ka Bana Doge plz..mujhe to
Brother. logo snagit se nahi banega.. or mene ek friend se banbaya tha.. muje bhi nahi aata acha banana too..
Sir plz help me mera jo phone h uske app menu me app ke name shi nhi aa rhe he for Example-(File M…ger)
Ye File Manager H Sb Isi Tarike Se Aa Rhe H or Koyi App Open Karta Hu To Uske Options m Bhi Aisa Hi Hota H KuCh Pata nHi Lagta jese ki select all
Ye aise aata h (…ct All)
Jb m switch off karke open karta hu phone tb ye thori der k liye thk ho jata h par thoti der baad ye fir aisa hi ho jata h mene apna phone factory reset bhi kiya tha ye fir aise hi ho gya .
Sir mjhko ye btao isko m kaise thk karu isse mujhko read karne m dikkat ho rahi h or m apna ko flash nhi karna chahta.
brother aap iske liye to service center hi dikhao mobile ko.
1 number Article sir …yah post padkar vakahi me Hume bahoot sikh mili hai Aap esi tarah blogging krte rahe aur Indian blogger Ka nam Roshan kare – sir me bhi Government blogger hu .plz 1 bar mere site ko dek kr bataye .meri site aap ko kaise lagi
THanks Brother, aapne acha blog banaya hai.. or agar aap regular rahe to aap usse acha kar sakte hai.
Kya isse Jo message Glati se send ho jata hai wo delete bhi ho jayega
ji haa, yahi kaam hai iss feature ka
Hindimehelp ka logo Kaise Banaya aapne wo logo ki bat kar raha hu Mai Jo aap apne blog post me aadd liye ho
wo mene Photoediting software se lagaya hai.. snagit use karta hu me image ke screenshot or edit karne ke liye..
Nice Post Rohit Sir Please Mujhe Btaiye Ki Mai Apni Site Ka Traffic Kaise Badhau
Regular or useful article dale.. jo phele se naa ho or jinki logo ko jarurat ho .. jisse help muje.. logo ko fayda ho aese article.. uske liye aapko mhenat to karni padegi..
nice article sir
Achha Fischer he
Rohit Bhai ye jankari to bahut hi best hai lekin kya ye only iPhone user ke liye hai.
abhi beta version me hai.. par jald hi sabke liye aa jayega..thoda wait kare :)
nice rohit bhai
Hello Rohit Sir
Bahut Accha Or Upyogi Article hai Whatsapp User Ke Liye :)
Rohit Sir Mane Apko Mail Kiya Hai Guest post ke liye uska Reply nhi kiya apne
Hello Rohit Sir
Bahut Acchi Post Hai WhatsApp Users Ke Liye :)
And Sir Mai Guest Post Krna Chahta hu Hindimehelp Pe Mane Apko Mail kiya Hai
nice information bhai