Blogger Me Labels kaise Use Kare Post Category Ke Liye

Blogger ek aesa platform hai jo free to hai hi saath me bhut saral bhi hai. Ham bhut aasani se blog banakar usko chala sakte hai. Blog ko banane ke baad ham uspe apne article daalte hai, par ham jo article blog par daalte hai bo alag-alag category ke hote hai. Blog me bhut aasan hai har Article ko alag-alag karna uski catrgory ke mutabik, Is Post me ham bo hi sikhege.

labels ko blog me kaise use karte hai

Blogger me ham apne Blog ke Post ko Label ke jariye arrange kar sakte hai.

Advertisements

Chaliye jaante hai labels ke baare me bistaar se, or jaante hai kuch koman sabaalo ke jabab

Page Contents

Blogger me Labels kya hote hai

Labels ke jariye ham aasani se apni post ko category me daal sakte hai. Jese maan lijiye aapka jo blog hai aap usme Gaane, Poem, Jokes, SMS bagera daalte ho, To jab aap koi post likh rahe ho to usme kya hai uska label jodkar usko uski category me set kar sakte ho.

Labels ka kya use hai

Jesa ki mene bataya labels ki madad se ham post ko category me set kar sakte hai. Jab koi Visitor hamare blog par aata hai or agar bo sirf Jokes hi padna chata hai to bo Jokes ki label par click karega to us label me hamne jitni bhi post ko rakha hoga bo saari post aa jayegi jayegi.

Kya Faida Hai Labels Se

Labels ki madad se Hamare blog koi bhi achi trha se use kar payega. Ye to aap jaante hi hoge ki har insaan ki soch alag alag hoti hai or uski jarurat bhi alag alag. Label ki madad se jis category ki post usko padna hogi bo aasani se pad payega. Is ka ek or faida hai bo ye ki agar koi visitor aapke blog par aata hai or usko jo chaiye bo usko mil jata hai to bo aage bhi aapke blog par aata rahega. :)

Blog ki traffic badane ke liye kya kare.

Kaise Jode Labels Apni Post Me

Jab ham Post likhte hai to aap dekhoge ki bagal me kuch option hai. unme sabse upar ka option hai Labels

Blogger blog me labels ko kaise jodte hai blog me catogery banane ke liye

  1. Aap jo post likho usme post ka jo label ho, bo daal de. ek se jada label use karne ke liye comma (,) ka use kare.
  2. Jo label phele se aapne use ki hai dusri post me bo aapko niche dikhegi. Aap unpar click karke apni post me jod sakte ho.

Kitne labels bana sakte hai or ek post me kitne jod sakte hai.

Blog me ham kitne bhi label use kar sakte hai, bas use karte samay ye diyaan rakhe ki un label ka koi matlab ho. Agar aap faltu ke label use karoge blog me to isse aapke blog ke visitor ko dikkat hogi, ab muje ye batane ki koi jarurat nahi ki agar apne blog ke visitor ko blog ko chalane me agar dikkat hoti hai to bo dubara aayega ki nahi.

Blog ki ham ek post me 20 label tak jod sakte hai, par me aapse kahuga ki aap jitna ho sake utne kam label use kare post me.

Mere Suggestion Labels ko blog me use karne ke liye

  1. ek label me 3 sabd se jada use naa kare. example: Funny-Jokes, SMS
  2. ek post me 3-5 labels hi use kare
  3. lebel ke jo sabd hai bo aese rkhe jinko pad kar samj sake ki is category me kya hai.

Labels ka Widget Add kare Blog me

Aap ne blog ki post me Labels add kar diye fir bo aapke post ke niche dikegi. agar custom template use kiya hai to label ho sakta ho post ke upar ho. Post me sirf bo label dikhti hai jinko aapne us post me add kiya hai. Hamare blog me Use hui puri label ko blog ke side me dikhane ke liye hame uska widget add karna padega.

Sabse phele apne Blogger ke Dashboard me jaye fir Layout me jaye ab Add new Gadget par click kare or List me se Labels ka widget select karle

blog me labels ka widget ko add kare

Ab labels ki setting apne anusaar kare fir save kar de

labels ki setting ko set karke save karde

Saari Setting karne ke baad apne blog ko khol kar dekhe, kuch is trha dikhega.

blog me labels or labels ka widget

  1. Blog me Post ke side me aap dekhoge ki Aapko aapke blog ki label dikhegi
  2. Post ke niche post me istmaal ki hui label dekegi

Labels ka Link kaise Pata kare

Labels ka link pata karne ke liye label par click kare, uske baad jo page khulega bo us label ka link hoga.

link kuch is prakar hoga

http://Blog-Ka-Naam.blogspot.com/search/label/Label-ka-Naam

*Aap agar menu me kisi category ko add karna chate ho to us label ke link ka instmaal karo.

Ab aapki baari hai muje kuch batane ki, mene is post me bhut se topic cover kiye hai blogger label se sambandit. Aap muje bataiye aapko ye jaankari kaise lagi or agar aap or kuch bhi jaanna chate ho label ya fir Internet se related koi bhi jaankari to comment karke muje bataiye. Muje aapki har mumkin help karne me bhut khusi hogi.

Blogger ki Puri Jankari Hindi Me

Apne Blog ko Google ke Search Me Lane Ke Liye Meta Tag Kaise Jode or janiye kaise Google me Post ko Top par laye

Happy Blogging!

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

145 thoughts on “Blogger Me Labels kaise Use Kare Post Category Ke Liye”

  1. Bro meri ek side banai h blogger m pr mere jo label h wo post link nhi ho pa rhe h kuch pta nhi chl rha h hr cheez krke dekh li h shayad theme ki wajah se ho rha h kya aap bta skte h theme ko label se kese link kre plz 🙏 apki bhot meher bani ho gi

    Reply
  2. rohit ji maine labels banakar mere menu baar me add kar diya hai aur unme labels ke url bhi daal diye hai
    but search ingine me mere labels show nahi ho rahe iska karann robot.txt hai me inhe search ingine me show krvana chahta hu iske liye robot.txt ko kaise change kru

    Reply
  3. Hello,
    Sir blogpost ko custom domain ke sath use karta hu. Mere Blog me category ke andar Sari post nahi show ho rahi he, meri catagory me 15+ post he lekin har ek catagory ke andar sirf 5-6 post hi show ho rahi he. esa kyu hota he. PLease iska koi solution batao.

    Reply
  4. Rohit sir me new hu or aapki hindi me help ki side se hi mene ek bolg bnaya h but sir me level bna ke bhi post typ karta hu to wo lavel me aata h but lavel ke baher bhi show karta he me cahta hu ki wo baher show na kare only lavel per click karne pe hi wo post show kare or mene aapki hindi me help website ki help le ke lavel or lavel widget kar ke bhi dekha but fir bhi post baher bhi show kar raha h ab aap hi meri help karo sir ki jo post me lavel me typ laru wo baher show ma kare only level pe click karne pe hi show kare plzzz help me sir

    Reply
  5. Main blog ko Google ke webmaster par upload karna Chahata tha Lekin main template nahi set kar pata hon please mujhe btaiye Aur acche se samjha dijiye

    Reply
  6. rohit sir m 18 years se phele email id ,you tube account ,blog etc. bana sakta hu agar ha to m mere bhaiya ke naam se paypal,adsense account bana karere blog aadi se jod sakta hu ya m mere friend ki email id use karke blog aadi bana ke bhai ke paypal se jod sakta hu I hop aap samajh gaye honge please bataao.

    Reply
  7. Rohit bhai maine blog banaya ha.or apne jse kaha template ..to mai new blogger theme mai jakr template download kiya or upload kiya ….ab may kiya karu……aap agar muje ya bataye…..step by step kiya koru….bhai muje a itna acha lga …….may ap ki side ki regular use krnewala bnda hu….bhai plzzzzzz help me.

    Reply
  8. Hlo bhai muje ye puchna h ki jaise maine koi post likhi vo kisi page me kaise add hogi jaise koi post publish ki hmne vo Post android se related h or vo Menu ke android tricks ke page me kaise ayegi plz bta do 8222914321 whatsapp

    Reply
  9. Bhai
    Good morning mai
    Gaurav mai ek blog banaya hu jisme aap Ka wala Templeton lagana chahta hu
    Maine aapka Templet download kiya hu but
    Mere blog par nahi lag raha hai
    Please help karo Na bhai Kaise lagau

    Reply
  10. Rohit bhai mai apne blog ke homepage pe categories banana chahta hu.. jaise all jokes,funny jokes,santa banta jokes,shayri… matlab jaise jokes visitor chahta hai usko uss category me mil jaye.. plzzz rohit bhai bata do..

    Reply
  11. Rohit bhai mai apne blog k homepage pe category banana chahta hu.. jaise all jokes,funny jokes,santa banta jokes,shayri.. kisi visitor ko santa banta jokes pasand hai toh wo santa banta jokes ki category pe click karega toh use sare santa banta ke hi joke mile… plzz rohit bhai bata do…

    Reply