Blogger ki har Post Me Search Description Enable Kare

Is tutorial me me aapko banaoga ki ham apne blog ke har post me description kaise add kate hai. Hamare Blog ko Google me laane ke liye Meta Tags to add kiya tha par usme hamari har post ke liye alag alag description add nahi hota hai.
Description add karne se hamari post ki rank badti hai or agar ham description add nahi karte to jo hamari post ke phele 150 sabd hote hai bo search me dikhte hai.
Search engine me apne blog ka Search Description kaise dikhata hai or usko kaise enable kare blogger me
Google Search

Page Contents

Search Description kya hai

Ye hamari Blog or Post ke bare me jaankari hoti hai, jisme ham 150 sabd me us pure page ke bare me batate hai ki isme kya hai. Jo Description hai wo search results me dikhta hai or facebook, twitter par share karne par bhi dikhta hai. ye isliye important hai q ki visitor issi ko padne ke baad hamari site par aata hai. Ye 150 sabdo ke andar hona chaiye q ki sirf 150 sabd hi dikhte hai.
Tip: Jis bare me Aapki Post hai ussi ka chota description likhe, Post ko 150 sabd me hi samjane ki kosis kare.

Kaise Enable kare Meta Tags Description

Sabse phele Aapko Apne Blog ke Home page ka search Description ko enable karna padaga. Fir aap Har ek post me Description add kar sakoge.
1. Blogger ke Deshboard me jao, Setting >> Search Preference me jaye.
2. Meta Tag, edit par click kare.
3. Ab Yes select karke Apne Blog ke bare me ek chota description likhe, ki aapka Blog kis topic par hai or usme kya kya hai. 150 sabd se jada nahi hona chaiye.
4. Last me SaveChanges par click kare.
Ab aapke blog ka description ko likhene ke baad…

Post Me Kaise Add kare Search Description

Post me description add karne ke liye Post ko editor me khole. Aap usme side me dekhege ek Search Description ka option hai. usme aap apni post ke bare me 150 sabd likhe.

Search Description Box  Agar nahi hai

Agar aapke Post editor ke bagal me Search Description box nahi dikh raha iska matlab aap koi dursa template use karte ho. Uske liye aap simple ek Code add kare template.

1. Blogger Deshboard >> Template >> Edit Template
2. Ab Apne Template me Ctrl+F daba kar <head> search kare or uske niche ye code dale.
<b:if cond='data:blog.metaDescription != &quot;&quot;'>
<meta expr:content='data:blog.metaDescription' name='description'/>
</b:if>

3. Template Save karde

*Agar aapka Blog WordPress par hai to ye option aapko Yoast Plugin me mil jayega :)

Advertisements

Search Description Q Jaruri hai

Ye jo Search Description hai hamari post ka isse ye faida hai ki jab bhi koi search karega search engine me to usko Hamari Post ka Title or ye Search Description hi dikhta hai. To Agar aapne 3 line me bata diya ki is post me kya hai to aapki blog ki traffic me jarur badotri hogi.

 Blogger se related sari Post yaha Pade

Ummid hai ye jaankari aapki Help jarur karegi aapke blog ki raffic badane me. Agar aapka Blogger se related koi bhi sabal hai to aap mujse puch sakte ho.

Internet se related Sabal HMH Group me post kare.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

111 thoughts on “Blogger ki har Post Me Search Description Enable Kare”

  1. Sir post editor ke saath jo description hai usme jo hum post ke rhe hai uske bare me likhna hai ki hmara pura blog jis wishy me hai wo likhna hai

    Reply
  2. Sir maine apko bahut follow Kiya hai main apka bahut bada fan hu.
    Maine bhi ek blog banaya hai. Aur domain bhi kharid liya hai. Mere bloge kya kami hai , mujhe mere blog Ko badhane ke liye kya karna chahiye kuchh tips dijiye ,
    http://www.sanjuinworld.com

    Reply
  3. Mobile se blog post karti hun.to mere post me “search description” nahi hai. To main “ctrl+F”se nahi kar sakati hun.to our koi dusara option hai.

    Reply
  4. hello sir
    Mai ek New blogger hu aur meri site me search description elable kiya hai. har post ke liye search description likhata hu lekin jab bhi post search engine me show hoti hai to post ke niche search description show nahi hota hai, direct post first ki 1 se 4 lines show hoti hai. aisa kyu hota hai ? Aur search description search engine me dikhane ke liye muze kya karana hoga pls bataiye…

    Reply
  5. sir mene sab kar liya par mere descripsen me ye aha rha hai TIPS18 SOCIAL MEDIA. FACEBOOK likes. Like. TWITTER followers. Follow. GOOGLE + followers. +1. Created By ThemeXpose. Google Translate …

    Reply
  6. Mera blog serch karne par esa likha hua aata he..
    “This blog is not hosted by Blogger and has not been checked for spam, viruses and other forms of malware.
    Yes No”

    Reply
  7. rohit sir,mere pas ek lsptop h “lenovo ideapad” sir usme data bahut kha rha hai uske liye kya karun mai.plz help

    Reply
  8. hallo sir hi me dharam singh parmar mene blogger banaya tha o blogger me bhul gya to please batana cahoge ki kese pata lagaya jay us wepsite ko kese kholu me please help me

    Reply