Kisi bhi site ya blog ke bare me janne ke liye uska About us Page hota hai jisme uske bare me likha hota hai.. Ye ek aesa Page hai jo bhut jaruri bhi hota hai site ke liye..
Agar aap Adsense se paise kamana chahte hai to Contact Us, Privacy Policy Page or About us Page hona bahut jaruri hota hai, Jab hi hamara Adsense account Approve hota hai..
About Us Page Kaise Banaye or Usme Kya kya Likhna chahiye chaliye jaante hai..
Site ka Badiya About Us Page Kaise Banaye
About Us ka Matlab hai Hamare Bare Me. Hame Is Page me Hamare bare me or site ke bare me likhna hai.. Jisko koi bhi pad kar site kis bare me hai, Site ka Maksad kya hai, Kis chij ki site hai, Kisne site ko banaya hai, or bhi bahut kuch.. Chaliye Point wise dekhte hai.. Kya Kya Add karna hai About Us Page me..
- Kis Topic Par Site hai.
- Site ka Maksad Kya Hai.
- Site ka Target kya hai.
- Aap kya Service dete hai site par.
- Kya faida hai aapki site ko use karke.
- Site ke Intro ka koi Video ho to Add kare.
- Site ki Ek Choti story likhe.
- Site ka Idea kaha se aaya
- Site kab banai
- Koi Motivational story apni site se sambandhit
- Apne Bare me bataye aap kon hai, kya kiya or kya karte hai.
- Apna ek badiya Photo dale.
- Apni Social Account ki Link dale (Facebook Page, Twitter) jisse agar unko aapki site pasand aaye to wo aapko Like, Follow karle.
- Contact Us Page ki Link bhi add kare, taki koi aapse contact karna chahe to kar sake.
- Aapki site par agar koi badiya post hai to aap uski link bhi add kar sakte ho Page me.
Inke alawa bhi aap Likh sakte hai, Ab aap samajh gaye hoge ki About Us Page me Kya Likhna hai.. To ek badiya About Us Page Banaye Apni site ke liye..
Ek Baat ka or diyaan rakhe, likhna is prakar hai jaise visitor aapke saamne betha hai or aap usse hi baat kar rahe hai.. Acha Impression Jamega.
Blogger me Kaise Add kare Contact Us Page
Simple aapko Page Add karna hai, Chaliye dekhte hai kaise –
Blogger me Login kare, Fir Deshboard me jakar Page ke section me jaye.
Ab Page Editor khul jayega
- Sabse Pehle Page Title box me About Us Dale
- Ab Body me jesa Upar bataya, aap Apni Site or Apne Bare me Badiya tarike se Likhe.
- Last me Publish karde Page ko.
Is Page ko Menu me jarur add kare, jab hi koi isko dekh payega.
Aap jitna ho sake badiya About Us Page Banane ki Kosis kare.. Example ke liye hamara About Us Page Dekhe..
Agar aapko Lagta hai kuch or bhi hai jo About Us Page me add karna chaiye to Comment karke Jarur bataye, Mujhe Khushi hogi ki aapka bhi Kuch yogdan hai HMH:)
Bhai, aapka article padhke maza aagaya! About Us page banana itna crucial aur interesting ho sakta hai, yeh mujhe pehle se nahiiiiii pata tha. Aise points ko consider karna, jaise site ka maksad, target audience, services, aur site se hone wale faide, sach mein important hain. Jab ek website ke About Us page par aise details hote hain, toh visitors ko site ke bare mein sahi jankari mil pati hai aur unka interest bhi badh jata hai.
Maine aapse pehle itne gehre tareeke se About Us page ke bare mein nahi socha tha. Par ab samajh gaya ki, isme site ke identity aur purpose ko express karna kitna zaroori hai. aapke points padhkar, mujhe bhi apne news website ke liye ek powerful About Us page banane ka idea mila hai.
Sach kahun toh, aapse seekhne ko mila. Ab lagta hai, mujhe apne About Us page ko redesign karke, readers ke liye ek engaging experience create karna padega. Thanks bhai, tere helpful tips ke liye!
Thanks bhai 👍👍👍 you do really great job
Very useful information, thanks for sharing with us.
आपने बहुत ही बढ़िया पोस्ट शेयर की है
bhai maine website banayi hai to home page main kya kya contant dalna chahiye or kya kya likhna chahiye. please guide me bro please .
Hello SIr thanks for guide
Sir meri website pr rank nhi hota SEO bhi krtii hoo phir bhi traffic nhi ata SIR ap blogging me expert ho plz meri help karo
THANK YOU:)
एक और बेहतरीन पोस्ट के लिए आपका धन्यवाद।
Hii..Sir mera ek blog hai jiska mai niche link de raha hu.ise dekh kar aap bta do ki mujhe abhi isme kya kya kya karna hai..
Rochakthathya.blogspot.com
Bhadiya rohit bhai , thanks
Thanks,
Bahut Badiya Sir Ji
Hi, very good articles
Thanks for sharing.
Hi, very good articles
Thanks for sharing keep up the good work.
sir about us page mein photo lagana jaroori hai ya nahi
Wo aapki marji hai. Aesa koi rule nahi hai..
Aapne te tip batakar kam aasan kar diya
Sir mere blog me back link bahut kam hai isse bdhane ke liye kya kare.
bhaut achi post hai bro
hii mera ek blog hai youngestadda.com
mere blog ko 1 month ho gaye hain..
blog par visitors jyada nahi hain..
mera question ye hai ki kya main apne blog ko AdSense ads ke liye apply kar du ?
kya mere blog par AdSense lag jayega? please ek bar mere blog ko visit karke batayen ki kya blog AdSense ek ads ke liye ready hai please reply zarur karen
Aap Adsense ke liye apply kar sate hai.. par agar visitor nahi hai to adsense ka koi matlab bhi nahi hai.. or approve bhi jab hoga jab kam se kam daily ke 300-400 visitor hoge.. usse kam me to income bhi 00 ke warabar hi hogi.
sir aap ke dwara di gyi jankari hamare liye bahut useful hai