Jo Internet aap use karte hai wo aaj hamari life ka ek bada hissa hai, Aapko ye bhi pata hona jaruri hai ki hamari di hui jankari online share hoti hai, to aese me hamari jo privacy hai us par asar padta hai..
Ham Jab Internet use karna start karte hai to hame pata nahi hota, kya privacy hai.. kis site ko kaise use kare wagera wagera.. to aese me ham bhut si aesi sites par bhi apna account bana lete hai jinki hame jarurat hi nahi hoti.. to unpar dali hamari detail hamari privacy ko kam karti hai..
Aapko ye bhi pata hona chaiye Google ham par kaise najar rakhta hai.
Online kisi bhi site par account banana to bahut aasan hota hai, simple hame uske signup form ko bharke account banana hota hai.. par agar hame kisi site ke account ki jarurat naa ho, ya hamne double account bana liye ho to kaise account ko delete karne me thodi dikkat aati hai. aaj me aapki ussi problem ko solve karne wala hu.
Agar aapne kisi site par apna account bana liya hai or aapko wo delete karna hai, to aap thodi mehnat karke usko delete karne ka option search kar hi lege.. par agar aapko kisi bhi site ke account ko one click me delete karna hai to wo bhi aap kar sakte hai.
Me aapko ek aesi site ke ware me hi batane wala hu, jiski madad se aap Internet ki lagbhag sabhi popular sites ke account ko delete kar sakte hai simple kuch clicks me.
Me jis Website ki baat kar raha hu wo hai JustDelete.me
Page Contents
Justdelete.me Kya hai
Iss Website me Internet ki lagbhag sabhi popular site ke account ko delete karne ki jankari or Account delete karne ki direct link di hui hai.. or kis website ka account delete karna aasan hai ya kitna muskil hai or delete hoga ke nahi wo bhi ham iss site par aasani se dekh sakte hai.
Account Delete karna kitna aasan hai
Kisi bhi website ke account ko delete karna kitna aasan hai ya muskil usko yaha 4 category me bata gaya hai.
Iss Website par hame site ke naam ke background me 4 colors show hote hai, unse pata chalta hai ki jo website hai uska account ko delete karna kitna aasan hai ya muskil.
- Easy – Account ko delete karna bahut aasan hai.
- Medium – Account ko delete karne ke liye thodi extra process hai.
- Hard – Account ko puri tarah se delete karne ke liye site ki customer services se contact karna padta hai.
- Impossible – Account Delete nahi ho sakta.
Account Delete Kaise Kare one click me
Aapko kisi bhi site ke account ko delete karna hai to aap sabse pehle to aap is site par jaye
Ab aapko puri website ki link milegi.. ab aap jis website ke account ko delete karna chahte hai us par click kare (Aap scroll kar sakte hai ya fir search bhi site ko).
Ab aapko karna ye hai.. jis website ke account ko delete karna hai us par click kare.
jo bhi website hai aap uske naam ke niche aapko 2 chije or dikhegi..
- Account delete karna hard hai ya easy
- Delete karne ki information
Account delete karne ke liye aap jo website ka naam hai us par click kare.. to direct delete karne ka page open hoga uss website par..
Note: Aapko Link name par click karne ke baad website me login karna hoga account ko delete karne ke liye.
Ye Jarur Read kare:
- Facebook account ko Delete kaise kare
- Google Account ko Delete kaise karte hai
- Blogspot Blog ko Delete or Undelete kaise kare
To Friends umeed karta hu aapko ye choti par helpful jankari pasand aai hogi, q ki bhut war hamare liye kisi site ke account ko delete karna bahut mushkil pad jata hai.. par ham iss site ki madad se badi hi aasani se kisi bhi site ke account ko delete kar sakte hai.
Iss Site ka ek Chrome Extension bhi hai jiski madad se ham direct bhi kisi bhi account ko delete kar sakte hai.
Aap JustDelete.me ka Chrome Extension Install kare
Agar aapko is website ko use karne me kahi problem aa rahi hai, ya aap jis website ka account delete karna chahte hai uski link aapko is website par nahi milti hai to aap comment karke jarur bataye,.. ham aapko uss website ke account ko delete karne ki direct link provide karne ki puri koshish karenge..
Achaa likte hai sir aap…..Aapki post bahut useful hoti hai
btana bhai delete krna ki jankari
Namskar Sir ji itani achchhi jankari ke liye dhanyabad gmail id do ban gayi hai to usko kaise delet karege. koi image copy right hai ya nahi kya offline pata chal sakata hai aur usko screen sot ke madhyam se blog me use kar sakate hai aur blog ka banner bannane ka koi achchha sa free offline software bataye
Dhanyabad
Pramesh
Nice post keep Blogging
Is trick se Maine saare ke saare faltu ke account delete kar diye.. Par kya Facebook bhi delete kar sakte hai..
haa bilkul.. facebook account delete kaise kare uski detasil me jankari yaha hai
bahut acha likha sir ,,, but sir uc-union account kesse delete kartey hai
Aap UC Union ka account delete nahi kar sakte… agar aapko uski jarurat nahi hai to aap usko use na kare.. or jankari ke liye aap is link par check kare – http://doc.union.ucweb.com/index.php?title=FAQ_for_Getting_started
sir aapne kaafi acchi post likhi hai.. mujhe isse kaafi madad mili hai thnqq sir
Welcome Rahul :)
bahut acchi post hai bahi bahut useful hai
Thanks Bro
Aap ki detail post kaa hume besbrise intejar rahega & thank you sir ji for your kind reply
thanks
hello rohit, aapki ye post mere liye kaafi helpful rhi. iss post ke liye dil se thanx. sir please aap ek baar mere blog visit kre or btaaye ki mujhe apne blog ko kis tarah improve krna chahiye. thanx
mene aapka blog check kiya.. aapne acha banaya hai..
aapke liye sirf ek suggestion hai abhi… jiska jada to koi fark nahi padega par agar aap jo contant us page hai uska permalink me contact uss hi kar dege to jada acha rahega..
thanx for suggestion :-)
Hi Rohit Ji
Yah post kyu vapas Hinglish me?
Humare dwara kisi site par bnaye account ko delete karna kaafi muskil kaam hota he lekin aapne jo yahaa justdelete.me ke dwara account delete karne ki process batayi he isse yah kaam kaafi aasaan dikh rha he,mere bhi kaafi sites par bekar accounts he unhe delete karne ke liye me is tips kaa jarur upyog karunga.
Yah bahut hi useful tips he kyuki isse hajaro log jinke kaafi bekar account he or jinko sites se account delete karne ki process ke baare me koi jaankari nahi he unko bahut fayda hoga
Hey Asween ji, sabse phele to thanks aapke itne valuable comment ke liye..
Hinghlish me mene q post ki usko me ek detail post me apna view share karuga.. baki agar aapko nahi pata to me bata tu.. Hinghlish Blog me sabse phela blog HMH.pe hi hai..
Aur Aaphi Ko Dekhkar Itne Hinglish Blog Bana Hai, Ye Bhi Hai Kyuki Mai Bhi Inhi me Se hu
Yah ek bahut hee useful jankari share kiya hai aapane har bar ki tarah.
Lekin aapaka blog regular update nahi hone ke karan mere jaise aur bhi bahut sare users ko hmh par visit karane ke bad jab kuch naya nahi milata to nirasha hoti hai.
I hope ki aap hamari bato se sahamat hone aur kuch aisa kadam lemge jisase ham sabhi ko khushi hogi.
Dhanyawad
Thanks Vishnu ji.. or ab meri kosis rahegi.. aap sabhi ki jada se jada help kar saku.. thanks :)
Hello Rohit Sir Bahut Hi Useful Janakri Di Hai Apne Or Mera Ek Question Hai apse Apne Ye Powered By Google Wali Jo Post Hai Ye Kaise Add Ki Kya Mai Bhi Ye Post Add Ads Use Kar Sakta Hu Or Kaise
wo adsense ka feature hai.. jab hamari site par jada traffic aata hai to ye option enable hota hai adsense me.. jisko matched content khete hai.