Android App Ka Naam Aur Icon Change Kaise Kare [Without Root]

Dosto aaj mai aapke liye ek aisi Trick lekar aaya hu jiske bare me bahut kam log jante hai, is Trick ki Madad se aap kisi bhi app ka nam or icon change Kar sakte hai.

Aapko to pata hi hoga ki Android apps ka Icon hamesha Default hi rahta hai joki ap change nhi kr pate hai. lekin aap ka batana chahunga ki men eek esi trick khoj nikli h jis ki madad se Ham Kisi bhi Android Apps ko Apne hisab se customize kar sakte hai.

Advertisements

Is trick ki sabse khaas bat ye h ki isko use karne ke liye apko apna android mobile root karne ke zarurat nahi hai. Aap Unroot mobile me bhi is trick ko bahut aasani se use kar sakte hai.

Is trick ki madad se ap apne personal apps bhi chupa skte h unke nam or icon change krke. Apne app pr kisi settings ki pic lga dijiye fir koi bhi admi us pr jyada dhyan nahi dega or use pta nhi chalega ki ye settings app nhi blki kuch or hai.

Agar aap chahte hai ki bhi apne android phone me kisi bhi app ka nam or icon change kar paye to is article poora jarur padhe warna kuch bhi samajh me nhi a payega. Adhiktar log ye hi galti karte hai fir bad me bolte h ki trick kaam nhi kr rhi.

Kisi bhi Android App Ka Naam Aur Icon Change Kaise Kare

Android Apps ka Naam Aur Icon Change Kaise Kare

Step 1: Sabse pahle aapko apne smartphone me ek Android app install karna hoga jiska naam hai “Icon Changer Free”. Aap is App ko seedhe play store se Install kar sakte hai. Me aapko niche Link de rha hu aap Download par click karke Apps ko Install Kar sakte hai.

Icon Changer Free

Step 2: Is app ko open karne ke bad app Icon par click kijiye.

Step 3: Ab aapke samne aapke sabhi Apps Show hone lagenge. Unme se aapko jis bhi Android apps ka Naam Aur Icon Change karna hai us par click kijiye.

Step 4: Jaise hi aap kisi App par click krenge to ek new Option aayega usme aapko kuch settings karni hai. Usme “Change” par click kariye. Or uske baad ek Popup option apki screen pr khulega usme “Gallery” par click kijiye aur aapke Mobile me se kisi bhi icon ko select karke save kar sakte hai.

Step 5: Ab aap wapas Apps me aa jayenge. Aap yaha par dekh sakte hai ki naya icon lag gya hai.

Ab aap yaha se Apps ka Naam bhi Change kar sakte hai aap apne se jo bhi nam likhna chahte hai wo likh sakte h. Ab finally “OK” par click kar dijiye ab kuch seconds me aapka Apps save ho jayega aur aur aapke Home Screen par Show hone lagega.

To dosto is tarah se aap apne Android Apps ka Naam aur Icon Change kar sakte hai. Ab agar aapko ye jankari acchi lagi ho to apne Dosto ke sath Share kijiye. Aur kisi bhi madad ke liye Niche Comment box me comment kr ske hai.

Share on:

I am Nikhil Bansal, I live in jaipur and pursuing B.Tech. I am the owner of technicalhack.com


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

28 thoughts on “Android App Ka Naam Aur Icon Change Kaise Kare [Without Root]”

  1. Sir g ye aap Kam to kr Raha h pr is AAP se new icon create ho Raha h wo porana icon to same hi rehta hai wo change nhi hota hai
    Is ke liye kiya kiya jaye

    Reply
  2. मैंने Facebook के Icon को change करके Whatsapp कर दिया , और Whatsapp के Icon को Change करके Facebook ????

    Reply
  3. Nice bhai aapne mere man ki bat kar article post kiya hai esa lag raha hai.

    Me bahut din se is topic par soch raha tha aaj jankari mil hi gayi

    Tnx

    Reply