Hello Friends, Naye Saal ki aapko dhero Subkamnaye… Aasa karta hu aapka ye saal abhi tak ka sabse acha saal jaye.
Jesa ki abhi aap dekh rahe hoge, India me abhi sabse jada paise ki lee den par hi garmahat hai jabnse ₹500 or ₹2000 rupee ke note band huee hai.. or abhi Indian Government ne ek bhut hi badiya App banaya hai jiske ware me aapne kahi se sunn to liya hi hoga, jiska naam hai BHIM.
Agar aap BHIM App use karte hai ya karna chate hai to aapko abhi me kuch jankare dene wala hu jo aapko pata honi chaiye or wo jankari sabke liye bhut jaruri bhi hai use karne se phele, to chaliye start karte hai.
Page Contents
BHIM App se Sambandit Sabhi Sabalo ke Jabab
1: BHIM App Kya hai ?
BHIM ka full form hota hai Bharat Interface for Money. Ye ek App hai jiski madad se badi aasani se paiso ka len den kiya ja sakta hai or ue UPI interface par kaam karta hai. Iss app me aap apni bank account ko connect kar sakte hai or fir aap kisi bhi account me paise transfer kar sakte hai Mobile Number ya Payment Address ki madad se or inki madad se paiment le bhi sakte hai.
BHIM App ko National Payments Corporation of India (NPCI) Finance ne Banaya hai.
Also Read: UPI kya hota hai uski jankari
2: Kitna Time Lagta hai BHIM App me Paise transfer karne me ?
Isme paise bhut hi jaldi transfer kar sakte hai. Isme jo payment hai wo ek bank account se dusre bank account me jati hai or kuch hi second me payment complete ho jati hai.
3: BHIM App use karne ka koi Charge lagta hai kya ?
Nahi, BHIM app bilkul hi free hai or isme koi charge nahi lagta.. par yaha ek baat or dhiyan me rakhne wali hai wo ye ki jo APP hai uska to koi charge nahi hai par ho sakta hai aapki jo bank hai wo UPI or IMPS ka charge le.. par abhi ye bilkul free hai or ummid hai bank bhi iska koi charge nahi legi.
4: BHIM App Use karne ke liye konsa Version hona chaiye ?
BHIM App use karne ke liye aapko ek Smartphone ki jarurat hai, jisme Internet hona chaiye. Aapka Account jis bank me hai wo UPI Payments supported hona chaiye or aapka jo mobile Number hai wo aapke bank account me connect hona chaiye.
5: Kya BHIM App sabhi Mobile me chalta hai ?
Abhi BHIM App sirf android ke liye hai or ye Android version 4.1.1 ya usse upar ke version me chal raha hai.. ho sakta hai aage or bhi jo mobile version hai unke liye bhi aa jaye.
6: Mobile Banking chalu karna jaruri hai kya BHIM App ko use karne ke liye ?
Nahi, Aapko Mobile Banking chalu karne ki bilkul jarurat nahi hai, sirf ye jaruri hai ki aapka Mobile Number aapki bank account me connect ho.
7: Kya kisi Particular Bank me account hona jaruri hai kya BHIM App ko use karne ke liye ?
BHIM App ko use karne ke liye or Direct Bank account paise transfer karne me liye aapko kisi ek Particular Bank me account hona jaruri nahi hai. Abhi lagbhag sari Bank UPI Support karti hai or agar koi bank bachi hai to wo bhi jald support karne lagegai.
BHIM App Supported Bank ki List
- Allahabad Bank
- Andhra Bank
- Axis Bank
- Bank of Baroda
- Bank of Maharashtra
- Canara Bank
- Catholic Syrian Bank
- Central Bank of India
- DCB Bank
- Dena Bank
- Federal Bank
- HDFC Bank
- ICICI Bank
- IDBI Bank
- IDFC Bank
- Indian Bank
- Indian Overseas Bank
- IndusInd Bank
- Karnataka Bank
- Karur Vysya Bank
- Kotak Mahindra Bank
- Oriental Bank of Commerce
- Punjab National Bank
- RBL Bank
- South Indian Bank
- Standard Chartered Bank
- State Bank of India
- Syndicate Bank
- Union Bank of India
- United Bank of India
- Vijaya Bank
8: UPI-PIN kaise set kare Bank account me BHIM App ke andar ?
UPI PIN set karne ke liye aap Main Meun me jaye, jaha aapka Bank account aapne add kiya hoga, uske baad UPI PIN for selected account select kare.
AB aapko aapka jo ATM Card hai uske last ki 6 digit dalni hai or jo expire date hai wo dale.. fir aapke Mobile par ek OTP aayega wo daal kar aapko verify karna hai or uske sath aap UPI PIN bhi set kar sakte hai.
Note: SBI ke jo Pure ATM Card hai unme expire date nahi hai to aap Expire Date me 01/49 dale.
9: Kya Ek se jada Bank account connect kar sakte hai ?
Abhi BHIM App me ek time par sirf ek Bank account connect kar sakte hai, agar hame dusra bank account use karna hai to hame phele wala bank account remove karne dusri bank account connect karna padta hai.. par Feature me ham ek se jada bank account bhi ek sath connect kar payege.
Abhi hamara jo ek Bank account BHIM me connect hai agar hame koi payment sent karta hai to ussi me jati hai.
10: Mobile Number jo BHIM App me use karna hai wo hi Number Bank account me register hona jaruri hai kya ?
Haa, Aapka Jo Mobile Number Bank account me register hai wo hi Number aap BHIM app me use kar sakte hai.
11: BHIM App use karne ke liye kya kya jankari deni padegi ?
App me sabse phele register karna hota hai, jo hamare Number se direct ho jata hai.. or hame hamare debit card ki last 6 digit dalni padti hai or uski expire date.. itni detail dalne par baki ki jankari automatic bank se aa jati hai or ye bhut secure tarike se hota hai to aapko kisi baat ki tension lene ki jarurat nahi hai ki aapka bank detail kahi leak naa ho jaye.
12: Kya BHIM APP Use karna Secure hai ?
Haa bilkul, ye App bhut secure hai or aapko kisi bhi baat ki tension lene ki jarurat nahi hai, bass aapko yaha ek baat jo dhiyan me rakhni hai wo ye ki jo aap App ne PIN set kare wo kisi ko naa bataye..
Maanlo aapka mobile kahi kho gaya ya chori ho gaya to bhi koi problem nahi, koi bhi BHIM App ko use nahi kar payega jab tak usko PIN nahi pata hogi.. or koi Chor to uska use kar hi nahi sakta, q ki nahi to bank detail se pata chal jayega ki kis account me paise gaye hai :)
13: BHIM App ko use kaise kare
Isko Use karna bhut hi aasan hai, SImple aap sabse phele to Play-store se App ko Download kar lijiye.
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=in.org.npci.upiapp&hl=en”]BHIM APp Download[/button]
Ab aapko App Open karna hai, fir app me Phone Book access karne ki permission magega wo hame allow karna hai.
Next karne par hame hamari SIM select karna hai jo hamare bank account me register hai, uske baad hamara number verify ho jayega.
Ab Menu me ja kar aapko Bank select karna hai jisme aapka account hai, or fir usko add karde.
iske baad ATM ki last 6 digit or expire date daal kar UPI PIN set karna hai.
Payment sent, Recive karna bhi aasan hai.. aapko samne option mil jayege.. or Aap QR Code ki madad se bhi kar sakte hai. Payment sent karne ke liye Mobile Number, ya ek Virtual Address bhi banta hai wo uski madad se transfer kar sakte hai.
BHIM APP ki Kuch or jankari
14: EK Din me kitne paise Transfer kar sakte hai
Ek Din me ₹20,000 transfer kar sakte hai or ek bar me ₹10,000
15: BHIM App kitni Bhasa me hai ?
Abhi ye App sirf 2 bhasa me hai Hindi or English par jald hi or bhi bhasaye isme add ki jayegi.
16: BHIM App me kya kya kar sakte hai ?
- Iss App me ham hamare bank ka pura kaam kar sakte hai:
- Payment sent kar sakte hai..
- Payment recive kar sakte hai jo direct Bank account me aata hai.
- Account me kitne paise hai wo check kar sakte hai.
- Kitne Paise aaye-gaye wo check kar sakte hai.
- QR Code ki madad se fast payment bhi kar sakte hai.
- Kisi ko Payment ke liye Request bhi send kar sakte hai.
inke aalawa bhi bhut se features hai jo isme add hone wale hai, jese multipal bank account use karna..
To Friends, mere hisab se ye ek bhut hi badiya kadam hai hamari government ki taraf se.. or isse sabhi ko bhut faida bhi hoga.. Me aapse last me ye hi khena chahuga ki aap bhi BHIM use kare or aapko kisi baat se ghavrane ki bhi jarurat nahi hai ye bhut secure hai or Government se Aprove bhi.
Agar aapka koi sabal ya sujab hai to aap comment karke jarur bataye, or agar aap isko use nahi karna chate to iska karan bhi jarur bataye or agar aap isko use kar rahe hai to aapko iski sabse khaas or achi baat kya lagi wo bhi bataye..
Aapse me ek baat or khena chahuga ki aap iss app ka use karna apne Family Members ko bhi sikhaye or Cashless ban jaye :)
Information Source: https://d2pv62lkmtdxww.cloudfront.net/npcipay/faq/faq/en_US/index.html
Ye Bhi Padhe:
Thanks for the valuable information. Some of them were unknown. Keep your article flooded with such true information
transaction hone ke bad use delete kese kre
wo delete nahi kar sakte… haa aap uss contact ko hide jarur kar sakte ho .
Sir me bhim app ko share kese lat sakta hu
Agar bhim app se paise transfer krne ke baad beneficiary ke acc. Me paise na jaye aur mere account se paise kat jaye to paise kaise refund hoga
wo kuch time me automatic aa jayege.
Creatively build me up
Bina paisa lagaia paisa kamia
Hello sir ,
Bhim aap mei kewal number
Ke alawa English ke word use nahi kar sakte kya jaise
Ac no..VKRNGEEUP1412039
IFSC..UBIN0531553 . hai toh hum bhim aap ke jariy aad kar transfer kar sakte hai kya .tell me ,this about
Good night sir;!%
Sir mera gmail account nahi ban raha hain to main kya Karun plz bataiye na!!
Dikkat kya aa rahi hai..Kaha par wo aap bataye to sayad me aapki help kar pao.. Gmail account kese banate hai uske ware me mene site par diya hai .
Bhim app me mobile no. dalne par bolta hai ISS no.ka use dusre a/c no. me BHI hua hai . Mujhe yah btlane ki koshish Kare ki mere mobile no . Mere 3 a/c no. Me BHI hai to Mai bhim app use Karne ke liye kya Kru pls reply me
Aapke jitne bhi bank account me wo number add hai aap unme se koi bhi ek bank account select kar sakte hai..
Hello sir bhim apps se kisi ke account mein money bhejna ho to uske pass bhi bhim apps hona jaruri h? Agar nahi to kaise plz tell me (email id)
Agar bhim app samne wale ke pass nahi hai.. To aap unka account number or ifsc code ki madad se bhej sakte hai..
Sir ,, jis number pe mene account on karvaya tha vo sim ab mere pass nahi h or ab Jo sim h uspar account nahi h .agar chahu to us pahle vali sim se password etc le sakta hu but sim nahi
So mujhe karna chahie
Pls help me….. Jaldi hi email I’d pe reply karna
MOBILE/ PAYMENTADDERS में क्या आयेगा ,,
अगर रजिस्टर्ड फोन न. आयेगा तो ऐसा भी नहीँ हो रहा है , बताओ क्या करे
Mobile number hi hota hai..
Mai custom template bhi use Karke dekh liya kuch bhi change nahi ho raha. Kuch extra solution bataiye na
Aap muje kya error aa rahi hai uska screen leke or detail me likha kar email karo.. Admin@RohitMewada.com par
.
template change Karke dekh liya koi fayda nahi hua ab kya karu
Aare aap blogger ka defult template use kar rahe hoge.. Aap koi third party template upload kare..
template bhi change Karke dekh liya wo bhi kai bar ab kya karu
mere blogger blog ke main page par kewal 1 hi post show ho rahe hai jabki Maine post settings me Dono jagah 5 set kiye hue hai. post me jump break ka use krke bhi dekh liya koi fayda nahi hua ab ise kaise thik karu
mere blogger blog ke main page par kewal 1 hi post show ho rahe hai jabki Maine post settings me Dono jagah 5 set kiye hue hai. post me jump break ka use krke bhi dekh liya koi fayda nahi hua ab ise kaise thik karu
Template change kar dijiye
Plz Help Me Sir Mera Mobile Root Karna Hai Galexy Grand prime hai jo kingo root sw nh ho paa raha hai
koi aisi shopping site hai jo payment mobile oprator se bhi accepect karta ho matlab paisa mere sim ke main balance se kategi
kyoki main dailyhunt par mobile oprator dwara purchase kiya tha
Abhi to nahi hai..Par feature me jarur aa jayegi
Aapne bahut he aachi jankri de h ,aap ke post likhne ka tarika bauth he aacha h , sir aap mujhe v aachi post likhne ka tarika batye taki may v apne blog http://www.techindime.com ko aap k blog jaya famous blog bana saku.
Read More n right more.. Dhire Dhire improve ho jayega
रोहित जी बहुत ही अच्छा पोस्ट किया है पर अच्छा होता की आप भीम ऐप का फुल इमेज अपलोड करते
Sir bhim app bharose ka he kya?
haa bilkul
bahut achi jankari di hai rohit sir. mujhe apka interview chahiye. ek month se contact karne ki koshish kar raha hu. can you please contact me on yasirkhansaqlaini@gmail.com
Aap muje mere personal email part contact kare..
Admin@RohitMewada.com
Thanks
Good Post Bro
बहुत ही बढ़िया article है। …. Thanks for sharing this!! :) :)
kya BHIM App ko Bina Internet ke Use kar sakte hai aur USSD Kya hai
abhi nahi.. par iske upar bhi kaam chal raha hai..
hi sir mera ek saval hai kya me apki site par ek post likh sakta hu or me us post me apni youtube ka link add kar sakta hu jisse mera youtube channal femouse ho sake or post me apna name bta sakta hu sir mere channal ka name hai indian support or me mobile trick ki video bna rha hu to kya me apki site par mobile se related post kar sakta hu sir please answere
haa bilkul kar sakte hai
sir maine apne bhlog ko dusre gmail id per shift keya tha kuch hour phale and laptop band kr kuch time baad open keya and jab blogg ke ley login keya tab mera working panel ni tha waha.mere website kiranking or analytic mai koi change ni aaya hai so please koi idea de jisse mai apne blog ke working panel ko wapas paa saku and meri mehnat bhi nekar na ko
Aapne dusri email ko kya permission di hai wo bhi dekhe.. Agar aapne admin nahi banaya to aap sari chije nahi dekh payege..
Great Article bro…
rohit bhai mera blog hai aap use ek baar dekhe aur koi suggestion kare
Mobile me home page tikh se open nahi ho raha.. Aap template change kare possible ho to..
Bhot hi accha jankari share kiya hai aapne nice post bro
Bhaut hi upyogi jankari di hai aapne……sach me yeh App bahut damdaar hai…..mera manna hai ki ek din yeh app sabhi ke mobile me hoga……dhanyavad!
Hello Rohit bhai main aapse ik sawal puchna chahta hun please repley fast ::
@1.kya ham PayPal main (bina bank account, pan card) verify kiye apne dusre PayPal account main paise transfer kar sakte hai ik hi contery main…?
@2.kya main fake email se PayPal account bana sakta hun (ik bar verify karne ke bad dubara hame email ki jarurat padti hai ya nahi)
Mere do sawalo ka dhayan se padhkar pura jawab dena
Aap ek paypal account se dusre paypal account me transfer kar sakte hai..
Agar aap fake email id se batayege to verify kaise hoga or baad me kabhi agar aapko forgot password karna huaa to wo bhi aap nahi kar payege.
wau Bro Nice Post , Aajakl Aapla Phone Bhi Band Aa Raha Hai, Kyu
Sir blog ke liye achha template konsa hai Jo seo, responsive, good design ho.
अच्छी जानकारी दी आपने सर । नए ब्लॉग पर ट्रैफिक बढ़ाने का एकदम परफेक्ट तरीका बताने की कृपा करें। धन्यवाद
iske u[par mene post dali hai.. or aage bhi me dalne wala hu..
Bahut achi tarah se samjhaya hai sir. hdfc ka khud ka upi tha magar mene bhim ka istmaal kiya to achha laga.
har bank ka alag alag bhi hai.. par ye gov ne banaya hai
hello Rohit, this is aisha, me apki site read krti hu, i have learnt so many thing, maine apna fb progile ko page me convert kr diya ha, but ye samajh nhi aa raha ki paise kamane ke liye, fb profile ko kaha kaise sell krna hai, plz help me. thankx
Agar aapki page par lakho me life’s or followers hai to aap kuch sites hai jaha sake kar sakte hai.. Ya paid post share karke bhi paise kama sakte hai..
Hello sir maine apko guest post send ki thi
sir mane apki successful story likhi hai pls read kre or koi opinion de
Thanks Brother, mene usko read kiya….. Dil se thanks ji aapne mere ware me likha ..
Good knowledge bro