Apni Bhasa me likhne ka Widget Website ke Liye

Ye to aap jaante hi hoge ki duniya bhar me bhut si bhasaye boli or likhe jaati hai. par agar ham Mobile Laptop par likhte hai to sabse aasan English me hota hai q ki uske saare sabj Keybord par dikhte hai. issi topic par mene phele ek tool share liye tha Type Hindi in English, usme ham English me type karke hindi type kar sakte the.

Aaj ussi ka latest version me aap logo se share kar raha hu. Iski khas baat yaha hai ki ye or bhi bhasa ko support karta hai likhne me.

Advertisements

 Aap in Bhasa me likh sakte ho

Amharic, Arabic, Bengali, Chinese, Greek, Gujarati, Hindi, Kannada, Malayalam, Marathi, Nepali, Oriya, Persian, Punjabi, Russian, Sanskrit, Serbian, Sinhalese, Tamil, Telugu, Tigrinya, Urdu

Apni Bhasa me Likhe

Is Tool ka aap is page par to istmaal kar hi sakte hai par agar aap isko apni website par jodna chate hai to aap niche diye code ko copy karke apni website par dale.

Is code ko copy kare

<div style="text-align: center;"><iframe src="https://english-2-hindi.blogspot.com/" width="100%" height="210px" frameborder="0" scrolling="no"></iframe>
</div>

Agar aap WordPress par add karna chate hai to aap Text Widget me iss code ko save kare or agar aap blogger par jodna chate hai to HTML/Javascript widget me add kare.

Is tool ko apne blog par lagane ka sabse bada ye faida hai ki aapke blog par agar koi apni bhasa me likh kar comment karna chata hai to bo is tool ki madad se likh sakta hai.

Appko ye tool kesa laga, or agar aapko apni website ya blog par jodne me kuch bhi paresani aati hai to aap muje bataiye. Agar aapke kuch sujaab hai is tool ke liye to aap bo hame jarur bataye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

76 thoughts on “Apni Bhasa me likhne ka Widget Website ke Liye”

    • Bhupendra ji Proof Reading ka matlab hota hai, jo likha hua hai ussi ko dhiyan se read karke unki galtiyo ko tikh karna.. to ye Hindi me bhi ussi trha hoga jesa English me.. ab isme aapko doubt kaha hai me samaj nahi pa raha hu..

      Reply
  1. bro aapke post ko padhte padhte jab neche aata hun to side men ek popup window khulke aati hai jisme ki aapke do post hoti hai mera blog hindiknowladgepatra.blogspot.in hai main usmen aise he popup window add kerna chahta hun please help me

    Reply
  2. Excellent job sir.
    mujhe do chij detail se bataye sir
    1.mera youtube channel ko mai adsense account me link kar diya hu aur apna blog ko bhi usi adsense account me link karna chahta hu to kis prakaar se karunga.
    2. blog me ads ko kaise add kare.
    aap iski jaankaari whatsaap par denge to meharbaani hogi 8809246989

    Reply
  3. Rohit bhai aap is tool ko kis tarah buid kiye isme kon se codes ka use kiye ho.
    aur please aap aise tool mujhe bana ke dijia aur usme apki site link nahi hona chahiye..

    please aap mere email me tool code send kar dijia
    .
    I wait your mail..

    Reply
  4. sir mein computer ke bare mein abhi jyada nahi janta hoon isliye aap meri email id par saral bhasa mein bhej de pls kyonki mein aapke is tarike ko samajh nahi pa raha hu SIRJI mein ab Emitra ka kaam LE raha hu isliye mujhe hindi tool ki vises jarurat hai meri email id -ramprasadgautam348@gmail.com hai….

    Reply
    • Nahi.. Par agar aap wo hi likhege to iska matlab aap mujhse completion karna cha rahe hai.. Or aesa karne par apko nirasa hath lagegi q ki meri site ki rank achi hai or popular bhi to koi meri site par and ke baad aapki site par nahi jayega.. Isse acha aap kuch alag hi dale taki agar wo meri site par na mile to log aapki site par jaye.. Ummid hai aap mera khane ka matlab samaj gaye hoge.. :)

      Reply
  5. happy dipawali rohit sirji mai ek hospital me kam karta hoo or vahaper hindime kaam karna padta hai muje hindime type karna nahi ata to kya mai ye tool vahaper use kar sakta hoo ager haa to thoda details me bataiye na Sir please Sir

    Reply
    • aapko ye open karke isme likhna padega uske baad copy karke usme dalna padega.. par isse acha ki aap google Input Tool ko install kare us computer me jisme hindi type karna hai. jo offline bhi kaam karta hai

      Reply
  6. Sir plz Apne whatsapp group mai add kare mera number 9473781379 sir jab mai whatsapp se message karta hu to app ans kayo nahi dete

    Reply
  7. me re ko blog par photos upload karna he fresh image chai he sir koai isi wapsited he photos ka koai link na ho asa sir aap jo photos adit kar teho usee hindi me help .com likha aata he sir vokese adit kar te ho sir vo sab help chai he

    Reply
  8. COMPUTAR ME ENGLISH LIKHNE PAR GUJARAYI LIKHE ASAA KON SAA SOFTWARE HE JO HAM ENGLISH ME HINDI ME HALP LIKHE TO USKA GUJARATI ME HINDI ME HALP HI LIKHAYE PLW HALP ME

    Reply
  9. Rohit bhai aisa nahin ho sakta ki me ms office me hindi me type kr ke use apne blog me copy past kar du.
    Aisa ho sakta hai kya please bataye..

    Reply
  10. sir muje esa koi tool batay jisse me english tiping ko hindi me badal saku. keyu ki hindi tiping mere liye bahut jaruri hai.
    or me jaldi se jaldi haindi tiping sekhna chhta hu. pilese sir koi upaay batay.
    me jeyda tar ms – office par work karta hu.
    to aap muje isska upay meri Email – Id par bhej dena. pilese sir

    Reply