Aapki Google Adsense account me aesa aa raha hai kya: “Automatic payment pending: Bank account ****” jisme progress ki jagha Pending bata raha hai!
Tension naa lijiye, Bhale ye aapki Adsense se pehli payment hai wo aapko hi milegi, wass thoda time lag sakta hai.
Google Adsense se har mahine ki 21th ko payment sent hoti hai, jo ki automatic process ho jati hai hamare diye hue bank account me.
Agar automatic payment pending bata raha hai uska matlab hai ki abhi Payment adsense se sent nahi hui hai..
To ab iska karan kya hai, ya hame kya karna hai ye sabal jarur aapke mind me aa raha hoga.. Paise ka jo sabal hai 🤑 ..
to iska simple sa jabab hai aapko kuch nahi karna, sirf thoda wait karna hai.
Adsense Payment Kab aati hai
Adsense ka jo payment system hai wo kuch iss trha hai, aap image me dekh sakte hai.
- 2 tarikh ko Pichle mahine ki kitni Earning hui hai adsense me wo show hoti hai.
- 20 tarikh ko jo Payment hame milne wali hai wo finalize hoti hai, agar kuch fake invalid click hote hai to uske paise cut ho jate hai.
- 21 tarikh ko hamare duye hue Bank account me payment sent kardi jati hai..
- Payment Bank me aane ke baad, Bank usko Verify karke hamare Bank account me daal deti hai jisme 30 tarikh tak ho sakti hai.
Jesa ki aap date dekh kar samaj to gaye hoge, kya process hai or kab Adsense ki Payment Bank account me aati hai..
Agar payment ke Bich me Saturday ya Sunday aa jaye to Payment ki date thodi badh sakti hai.
*agar aesa hua ki aapne bank detail galat daal di, to bhi aapko tension lene ki jarurat nahi hai.. aapki wo payment wapas Adsense account me aa jayegi, jisko aap Bank Detail adsense account me sahi submit karke Next month me magwa sakte ho.
Bank Detail aap 20 tarikh ke pehle submit karege, jab hi uss mahine ke 21 ko payment aapko milegi, warna payment next month ki 21 ko process hoti hai.
—
Aaj Black Friday (23/11/2018) hai or usse Pehle Thanks Giving Day manate hai US me, to jo Automatic Payment Pending bata raha hai Adsense me, uska yahi karan hai.
Muje lagbhag 10-15 logo ne pucha ki hamari adsense payment q nahi aa rahi, Google Adsense me Automatic payment pending bata raha hai, ab kya kare?
To uske baad jab mene apna khud ka Adsense account dekha, to usme bhi wahi dikha raha tha. ;)
iska simple sa matlab hai, Black Friday ki baja se ye delay hua hai payment me.
At Last:
Agar aapki Payment abhi tak nahi aai hai, to aapko ye jankari milne ke baad, jarur Dil ko sakun mila hoga.. ki chalo koi tension wali baat nahi hai, Payment Pending batana normal hai.. :)
Agar aapko Adsense se related koi bhi jankari chaiye to aap yaha dekh sakte hai, jisme mene Adsense se related 60+ sabalo ke jabab diye hai.. jo har adsense user ko pata hona chaiye.
Agar aapka abhi bhi koi Adsense payment se related question hai to commnet karke jarur puche.. or aapka payment aaya ke nahi wo bhi bataye..
Hello sir, mera 1 AdSense account ki payment aane ke bad disable ho gya tha. to kya me vahi payee name or bank account ko apne dusre adsense me use kar sakta hu.
haa kar sakte hai, par me aapko suggest karuga aap dusra bank account use kare, name same hi rehne de koi issue nahi.
sir, mera jab pehla payment AdSense se release huva tab muje bank mai tuch id profe ke sath paise kaha se aa rahe hai vageri ki puchh tas ke liye bulaya gaya tha. to kya ye sabhi bank ke sath hota hai mera bank bank of baroda hai.
starting ki payment aati hai jab aisa hota hai.. ek form fill karate hai.
bhut bdiya post sir, bhut bdiya
Bahut shanadar information he sir ji
सर् बहुत बढ़िया जानकारी है,
सिर मेरे ब्लॉग पर ट्रैफिक नही आता है क्या करूँ जिससे उस पर ट्रैफिक आये हेल्प में,
sar adson ka aproble nahi mil raha kya karain kuch acha sa methud hi bta do please
bhai aapne reply nahi kiya, main reply pane ke liye aapke is page par bahut baar aa chuka hoon bhai please reply kijiye
1. kya 20/12/2018 ke pahle ki sari earning ( yani ki this month + balance ) hame pay ki jati hai ya phir jitna balance me dikh raha utna hi .
2. bhai mera 100$ aaj 10/12/2018 ko poora huwa hai yani ki kuch is tarah se hai,( mere blogspot blog se )
Balance $91.58
this month 8.51
toh kya mera bhi payment 21/12/2018 ko meri bhi payment send kar di jayegi ya nahi, kya 20/12/2018 ko meri sari earning jodkar payment ki jayegi ya sirf balance .
2. Aapne social sharing ka kaun sa plugin use kiya hai
agar 30 date ke pehle 100 complete ho jate hai to next month ki 21 ko aate hai…
Rohit G mera adsense me CTR 20-21 Tak chala jata hai To CTR Badane se koi problem to nahi hogi
20-21 thoda jada hai.. agar aapne kahi aesi jagha laga rakhe hai ads jaha galti se click hota ho to turant waha se ads ko hataye..
Rohit sir mera pending show nahi kar rha likha aa rha hai -automatic payment wire transfer to bank accounts
Aa jayegi tension naa lijiye.. Agar aapne bank account add kara hua hai to aapko kuch karne ki jarurat nahi hai.
Kafi acchi post h sir
Thanks rohiy bhai mera payment Agya hai 760$ thanks
please real name in comment.. warna wo spam mana jayega.
rohit sir ye pending payment kab issue hogi abhi tak pending he show ho rahi hai.
Aap post Tikh se dekhe mene bataya hai.. Agar holiday hota hai to payment delay hoti hai.. Or abhi black Friday cyber Monday ki baja se late hue hai.. 1-2 din me aa jayegi.
Lekin robot.txt se disable kaise karte hai thoda bataiye na detail me. mujhe disable karna nahi aata.
robot.txt disable nahi karna hai.. usko edit karke jo error page aa rahe hai unko block karna hai.. ye thoda advnace hai.. agar aapko uski sahi jankari nahi hai to abhi aap uske muje change naa kare.. jo page aapki site par nahi hai unme error aa rahi hai to jada bada issue nahi hai.. ye uski post publish karuga.. par abhi thoda time lagega..
crawl error kuch site par search karne se aa rahe hai jo maine kabhi bhi post likhi nahi hai uske bhi aa rahe hai to ise fix kaise karte hai.
aap robot.txt se disable kar dijiye, agar kisi or directory me error hai to.
sirf site ke pages hai aur kuch tags and categories hai jise maine change kiye the. aur kuch post delete ki thi. to is se redirect karu kya.
agar aapne delete kiye hai to aap wo redirect kar dijiye..
Sir,
Yoast SEO plugin ke search console me jo crawl error Desktop, Smartphone ke 404 error ko kaise fix karte hai thoda detail me bataiye. Plz
Aap pehle ye check kare jo error page hai wo konse hai.. Bhut war jo site par search hota hai wo bhi index ho jate hai.. Agar aese page hai to aap robot.txt se Search page results ko block kare..
Aap Google search console me dekhe error message aaya hoga.
22 Nov was Thanks Giving Day
23 Nov was Black Friday
24 Nov Saturday
25 Nov Sunday
Now Pending payment problem solve after 26th Nov
Yes, yahi karan hai..
Nice information sir thank you very much…..aapki post se thodi rahat mili…thanks again
Thanks
Kaafi achha article hai for all adsense users…..
Thank you for sharing Rohit bhaijaan…🙏🙏
Thanks Bhai
Ha sir nhi nikla abhi tak adsense payment mera v
Aapne bahut hi helpfull jankari di hai thanks share karne ke liye …
Nice information sir thank you ery much
Chalo koi tension wali bat nhi hai… Me bhi tension me tha…
Thanks for the post Rohit bhai.
Great 😁
Wese bhut log tension me aa gaye the isliye post share karni padi..
Abhi tak payment jari nhi hua hai. Phli bar itna late ho rha hai. Lekin aapki post se thodi rahat mili hai.
Thanks.. Keep earning 🤑
Bhaiya post badhiya he.
Accha aapko mene mail kiya woh wala problem ka solutions dijiye bhaiya
Bro meri first payment aane wali hai is month to mujhe bank m jake apni details verify to ni karani pdegi ya automatic hi mere bank account m payment aa jayegi.
Swift code wale bank m jane ki jsroorat to ni h..???
Nahi jane ki jarurat nahi hai.. Wo verify ke liye aapke pass call kar sakte hai.. Agar adsense se payment sent home ke 2-3 din tak bhi payment naa aaye to aap bank se contact karke puch sakte hai.. Ki kya aapki koi payment aai hai.
nyc post bhai
adsens ke paise pytamse to nikl jaate hai kya bhai
Aapka sabal sahi samaj nahi paya aap kaha se nikalne ka keh rahe hai.. Bank me to aata hi hai.
Good morning rohit sir
Mere bank wale 25 $ extra cut kr rahe hai.
Or jo invoice me show ho raha hai 500rs and 50rs 50 rs wo alg yani 25$+ 600😢
Sir mene Bank wale ko btaya ki mere kisi bhi friend ke itne nii cut hote
To wo bole ki adsense 15$ nii bhr raha and bank ka 10$ fee hai sir mene bht paisa unhi brbad kr diya Q ki dusre Bank me account nii hai..
To sir mujhe kia krna chahiye plz help sir
Sir kia Bank wale mujhe se fraud kr rahe hai…?
Or agar kr rahe hai to in pr complain kese krun
Isme aesa nahi hai Bank ware Fraud kare.. Q ki wo sab likha hua proof hai to usme wo kuch galat nahi kar sakte.. har bank ke alag alag charge hota hai..
Aap SBI use kare..
Bhai meri ek account se nikal chuka hai..Dusre account ka nahi nikla hai abhi
Par aapke Youtube CHannel to 3 hai ;)
Adsense account 2 hi hai
Satish bhaiya ka total site kitne he yeh bhi bata dijiye 😉
i always watch your youtube videos and start my own news eportal thanks .. god bless u