Google AMP kya hai or Blog me AMP kaise Apply kare agar aap ye janna chate hai to aap bilkul sahi post par aaye hai. Google AMP jisme AMP ka Matlab hai Accelerated Mobile Pages jisme jo Page hai wo bhut fast load hota hai mobile me.
Is samay 70% se adhik log internet ka use mobile device me karte hai. Isliye google ne amp project launch kiya taki mobile me website jyda speed me open ho. Jisse user ka interest badhe aur online content ko bad hawa mile.
Website Speed Google Ranking Factor hai ye to aap jante hi hoge.. ki jo fast load hoti hai wo upar aati hai search me.
Page Contents
Google AMP Kya Hai
Google AMP ek standard project hai jise google and twitter ne milkar launch kiya hai. Yeh project html and css par work karta hai. Yeh JavaScript code ko compress krke html me modify kar deta hai jisse page fast load hone lagta hai.
In sort khe to google amp ek aisa page hai jo page se extra content and widget ko remove karta hai.
Dome ke liye aap Hindi Me Help AMP version dekh sakte hai.
Yeh AMP Project feb 2016 me aaya tha. Aaj ke samay me kafi ye popular bhi hai.
Blogger Me Google AMP Kaise Setup Kre
Worpress ke liye bhut se WordPress AMP Plugin uplabd hai , jinki madad se WordPress blog ko AMP enable kar sakte hai.
But Blogger or Blogspot website me aisa kuchh nhi hai. To agar aapko Blogger me AMP Apply karna hai to pura kaam khud se manuly karna hoga. Blogger me AMP Apply karna wese jada muskil kaam bhi nahi hai, agar aapko Coding ki thodi basic knowlage bhi hai to aap aasani se AMP Apply kar lege.
Kaise Apply karna hai Google AMP Blogger par uske liye Steps ko follow kare.
Step 1: Download Google AMP Blogger Theme
Sabse pahle apko Google AMP Blogger Template download karna padega. Kai website free google amp theme deti hai aur aap paid theme bhi le sakte hai. Use download kre aur apne blog me Template upload kar de, Theme upload karne se pahle uska backup lena naa bule purani theme ka taki koi badwad naa ho.
Step 2: How Write Post In Google AMP
Ab apka blog google amp ho jayega. Ab aapko amp tag hi use karna padega jaise AMP Image, AMP Adsense Ads, amp style AMP Video etc.
Jab bhi ab aap post karenge to compose ki jagah html option ka use karenge. Iske liye sabse pahle us page me uplabdh sabhi html tag remove karna hai. Kyoki isme div tag pahle se maujud hote hai jise amp page error manta hai. Ydi aap ise remove nhi karenge to div tag se realated error aane lagegi jisse amp me apka page google me index nhi hoga.
Iske bad apko post me image aur ad bhi amp me insert karni hai. Ye tag bhi hum batayenge ki kaise amp image insert kiya ja sakta hai.
Step 3: Modify Old Post In AMP
Ydi apke blog me pahle se post hai aur unme image ya tag non amp hai to search console me errors so hoga. Aur use google amp me index nhi karega balki wo non amp page ke jaise show hoga.
So ydi apna blog bina page error ke sath show karna chahte hai or website ke sabhi page amp me show karna chahte hai to old post ko modify or html me edit kre. Jaise ki amp image lagaye, div tag and style remove kar de. Amp ad ka use kre. Ydi fir bhi koi errors aati to comment kre.
Google AMP Image Kaise Banaye
Google amp image banane ke liye amp-img tag ka use karna hai. Jab hum image insert karte hai to wo non amp hoti hai aur uska html code <img src= …. </img> hota jisme jha par bhi img bus likha hai uski jagah amp-img likhana hai. Or neeche diye gaye image tag ka use kre.
<amp-img src="hindimehelp.jpg" alt="hindimehelp" height="450" width="700"></amp-img>
Is code me apko src ke aage jo invited comma me jo hindimehelp.jpg likha hai uski jagah apni image ka link dalna hai jise aap amp image me insert karna chahte hai. Aur is prakar aap amp image post me insert kar sakte hai.
Adsense AMP Ad Kaise Banaye
Adsense amp responsive ad post me lagane ke liye sabse pahle neeche diye gye code ko copy kre.
<amp-ad layout="fixed-height" height=100 type="adsense" data-ad-client="ca-pub-13563278374853" data-ad-slot="0123456789"> </amp-ad>
Ab is code me jo ca-pub-13563278374853 likha hai uski jagah apko apni adsense id dalna hai jo ki adsense har publisher ko deta hai. ise publisher id kahte hai.
Aur ad slot ke aage jo invited comma ke under number hai usko apne ad slote code se remove karna hai. Jab aap ad crate karte hai ya ad copy krte hai to usme yeh code hota hai. Yeh apki ad unit id hoti hai.
AMP Video Kaise Embed Kre
Video Embed karne ke liye sabse pahle neeche diye gye code ko copy kre
<amp-video width="480" height="270" src="/video/tokyo.mp4" poster="/img/tokyo.jpg" layout="responsive" controls autoplay> <div fallback> <p>Your browser doesn't support HTML5 video.</p> </div> <source type="video/webm" src="/video/tokyo.webm"> </amp-video>
Ab src me diye gye code ko apni video ke url se replace kar de. Isi tarah aap you tube ke video bhi amp me use kar sakte hai. Iska code ye hai.
amp-youtube data-videoid="mGENRKrdoGY" layout="responsive" width="480" height="270"></amp-youtube>
Ab is code me video id me you tube video ki id se replace karni hai. Ab apka you tube amp me ho gya hai.
Dosto ummid hai apko ye post jarur pasand aayi hogi. Ydi apko isme koi doubt hai to comment me sawal puchh sakte hai.
Agar aapko bhi HMH.pe Guest Post karna hai to uski Jankari yaha hai.
Sir, Aapki post bahot hi achhi hoti hai hamesha, mera saval hai ki mere blog me 170 se bhi jyada article hai lekin ab me AMP use karna chahta hu to kya mujhe meri sabhi post me one by one jakara AMP setup karna padega? kya koi or rasta hai jisase kaam asan ho sake. Please reply jarur karna.
Thank you
Nahi, aapko sabhi post me nahi. aapko Template me edit karna hoga.. or agar aapka blog wordpress par hai to aap AMp Plugin install karke kar sakte hai.
Bhai Blogger me table of content kaise banaya jaata hai plz reply.
Blogger Par Posts Me Table of Contents Kaise Add Kare uski jankari yaha hai.
apka post mujhe bahot achha laga sir . bahut helpful bhi rahi.
thank you sir
Bhai ap bahut achi Jaankari dete ho, any one search kr rahe ho
sir g agar dev tag ko remove krna hai to is ki jagha kon sa tag lagana hai please tel me
sir g agar tag ko remove krna hai to is ki jagha kon sa tag lagana hai please tel me
JAnkari Achhi Hai Kya Ispar koi Video aap bana sakate hai .?
Hello Sir,
Maine Hal hi me Blog se wordpress me switch kiya he. Mere Blog me Karib 5k trafic thi lekin jabse mene worpress me move karne ke baad mene Jetpack Pluging me meri trafick chek ki to all time ki trafic “0” hi bata rahi he.
Kya meri sari mahenat bekar chali jayegi? Please kuch Advice dijiye sir.
sir mujhe codding nahi aati
codding me dalna hai kya sir
haa, agar aapko coding nahi aati to me apko suggest karuga aap isko naa kare.. warna bhut se errors aayege.
बहुत अच्छी जानकारी है सर
धन्यवाद..
Bahut badiya Post hai sir muje is post se kafi madad mila hai …
AMP ke bare me achcha post hai.
Blog feed me image nahi aayegi yani show nahi hogi. isko bhi post me update kar do. Nice post.
Ooh thanks for update..
Amp me kys table show hogs ya nahi. Kyuki table mere liye jaruri hain.
Yes kys table amp me show kar sakte hai. But iske liye amp ke kuchh tag use karane honge.
Iski jyada demand hone par iske bare me hum artical likh denge. But iske liye 50 request milani chahiye.
Really nice post? keep up thw work..
Thanks rahman
Hello
Very nice article, very useful and meaningful information. Thanks for sharing such a great post.
Thank You
Sir maine trah trah ka template change kiya but site fast loading nahi hoti hai
Ankit ji. theme code ko compress kar lo. Isse apki website ki speed me kafi improvement aa jayegi. Aur website bhi fast load hone lagegi.
useful information ke liye dhnyabad
Sir mera ek problem hai mera website open nhi ho rha hai error likha rha hai please help kya kre
Apki website kis plateform me hai aur usme Kya error show ho raha hai. Detail me bataye.
sir kya ye google amp hamare website ki ranking me bhi madad deti hai please sir reply karo
Ranking ke liye every seo factor important hai but google amp se website ko speed up kar sakte hai. Yeh bhi seo ka ek part hai.
Good information rohit bahi $$$$$ koi .com domain buy karo yrr mara lia
Bhai aapne blogging kaha se sikhi
बहुत बढ़िया पोस्ट लिखा है आपने, धन्यवाद! इसी तरह से हमे Guide करते रहिए…
Bhaut achhi jankari step by steo
Bahut bahut shukriya sir……. Mujhe isske bahut zaroorat thi…
bahut hi kam ki jankari share ki hai apne. muje isi article ki talash thi.
Bhai yr kya aap aapki site ko amp karte hue video bana sakte ho please ,
By the way nice article but video se jyada ache se smj payenge please
Thank you
nice post bro..keep up the good work thanks for sharing
Nice Article keep up the good work bro.
useful information bro thanks for sharing
ब्लॉगर amp template है या नहीं कैसे पता करे pls tell me
this is good post and very helpful for the bloggers
बहुत ही अच्छी जानकारी दी है आपने ! अभिनंदन
Thank you sir, for this important information. Please continue this work for us and give us important information like this.
NYC Post, Thanks For Sharing Brother :)
bahut achi jakri di hai aapne,me bhi esko use karke dekhta hu
Bahut Acchi Info Sir
Thanks bhai ea bahat helpful he
Aur mera mobile me html edit kyu nehi hota he ?
sir me jab GT matrix par page speed check kr rha hu to mujhe “Serve resources from a consistent URL” problem aa rahi hai ar page speed score 73% aa rha hai iska kya karn hai.
kahi ye problem isliye to nahi aa rahi hai kyoki me ek image ko ek se adhik post me use krta hu.
kya ek hi image ko bar bar use krna galat hai
बहुत बढ़िया पोस्ट लिखा हैं अपने। मुजे इस पोस्ट से बहुत हेल्प हुआ।
sir, i have a question kya WordPress ki new website pe AMP enable krna chate ya nhi?
Bhai mene amp plaging jb se install kia hai mera blog hi nii khul raha hai..
Ab is ko kese thik krun…?
kisi plugin ya theme ke karan error aai hogi.. aap dusra amp plugin try kare.
Badhiya Post Thi.. Aisi Gaust Post HMH ki Quality ko Aur Badhaa Deti Hai..❤️
Bahut achhi jankari di apne thanku
NICE POST Bahut Hi Achhi Jankari DI he
Sir google amp use karne se kya site ki ranking boost hoti hai
Hi,
Aapne bahut achi jankari di hai blogger ke liye .thank
Hi,,
Nice information,Sir amp use karne ke kya fyde hai .
Bhai Apka Shukria Google AMP Ki Jankari Dene Ke Liye , Shukria Bhai…