Facebook Group kya hai, Facebook Group kaise banate hai

Facebook sabse jada use hone wali social Networking or me phele bata chuka hu kaise Facebook par account banate hai or kaise Facebook Par Page banate hai.. inke aalawa bhi me bhut si tips share ki hai jo aap yaha dekh sakte hai.

Aaj Ham dekhege Facebook Par Group Kaise banate hai or Group se sambandit kuch bate bhi janege, to chaliye

Advertisements

Facebook Group kya hai, Facebook Group kaise banate hai

Page Contents

Facebook Group Kya Hai ?

Facebook Group ek Page hi hota hai, jisme log join ho kar ek community banate hai.. bha par Group ke har member Post kar sakte hai. Kisi topic kar discussion kar sakte hai. Group me jin logo ka ek jesa interest hai wo join kar sakte hai. Group me Page se jo sabse alag hai wo ye ki isme group ka koi bhi member post kar sakta hai.

Ye Kuch Topics hai jinpar ham Facebook Group Bana sakte hai

  • Kisi bhi Topic Par Bana sakte hai.
  • Books ke liye bana sakte hai, jisme uske bare me baat kar sate hai.
  • Business ke liye bana sakte hai
  • Apne Local Area ke liye bana sakte hai
  • Help ke liye bana sakte hai, jaha sab ek dusre ki help kar sake

inke aalawa bhi koi bhi topic ho, aap uske liye group bana sakte hai.. Muje ummid hai aapbhi jarur kisi na kisi Group me add hoga, ya kisi ne aapko add kiya hoga.

Facebook Open, Close, Secret Group me Anter

 

Open

Closed

Secret

Kon join kr sakta hai?

Koi bhi Join kae sakta hai, group ka koi bhi member add kar sakta hai
kisi ko bhi

Koi bhi join karne ke liye kha sakta hai. Koi bhi add kar sakta hai
jo group me hai

Koi bhi join ho sakta hai. Par sirf jab koi usko add kare

Group ka naam kon dekh sakta hai.

Koi bhi

Koi bhi

Sirf Group ke member

Group ki post kon dekh sakta hai.

Koi bhi

Sirf Group Member

Sirf Group Member

Group ko Search kar sate hai.

Koi bhi

Koi bhi

Sirf Group Member

Group me chal rahi halchal kon dekh
sakta hai. (Likes, Posts apne Home page par)

Koi Bhi

Koi Bhi

Sirf Group Member

Facebook Page or Facebook Group Me Kya Antar hai

  1. Facebook Page kisi famus chij ke liye hota hai, jisko log follow karte hai, jabki Facebook Group me sabhi log Post kar sakte hai or kisi topic par discuss kar sakte hai.
  2. Page ko Privte nahi bana sakte, uski jo post hai wo sab dekh sakte hai, jabki Facebook Group ko ham Private bhi bana sakte hai.
  3. Page par jo Page ka Admin hai sirf wo hi post daal sakta hai, Group me jitne bhi join hai sab kar sakte hai.
  4. Agar koi Brand hai to uske liye Page banaya jada hai, Par agar kisi tipoc ke bare me baat karni ho to uske liye Group badiya hai.

Facebook Group Kaise Banaye

Group Kaise banaye uske liye aap muje follow kare step by step

Step 1: Facebook me login kare

Step 2: Ab aap Home Page me aa jayege, Ulte haath side aap dekhege ki Groups ka option diya hai.

home Page par lohin karke Groups par jaye create group

Aap kis-kis Group me add hai wo dekhne ke liye more par click kare

Step 3: Ab aapke samne Groups ki List aa jayegi jo aapne banaye hai ya fir aap unme add hai.

Groups ki List jinme aap jon hai

Apna Group Banane ke liye +Create Group ki button par click kare.

Step 4: Ab ek Popup Window Khulegi

Group banane ke liye group ki puri jaankari dale or apne friend ko add kare

  1. Apne Group ka naam dale jo aap banana chate hai.
  2. Members me apne Friends ko add kare. (abhi kam se kam ek ko add karna jaruri hai.)
  3. Agar Group ko Favirate me add karna hai to ✔tik karde.
  4. Privecy me aap kesa Group Chate hai usko Select kare. Open, Closed ya Secret Group kya antar hai yaha dekhe.
  5. Last me Create Ki button par click kare.

Step 5: ab Icon ke liye option aayege

group ke liye Icon select kare

  1. Apne Group ke liye icon select kare.
  2. Ok ki Button par click kare

Ab aapka Group Ban chuka hai, Agar isse sambandit agar aapka koi or sabal hai to aap puch sakte hai.

Facebook Group Delete kaise kare

Ek Baat ka diyaa rakhe Group ko Delete karne ka koi option nahi hai facebook par, Agar aapne koi Group Banaya hai or aap usko Delete karna chate hai to aapko Phele jinte bhi member hai unko remove karna padega fir aap last me khud ko remove karle.. *Phele khud ko remove naa kare agar aap admin hai or khud ko remove kardiya to koi dusra admin ban jayega.

Aap Group ko Band karna chahi to Archive bhi kar sakte hai, jiske baad koi bhi Group me Post, Comment nahi kar payege.

Also Read: Facebook Account Kaise Delete karte hai

Hindi Me Help ke Group se Judne ke liye yaha Click kare

Facebook ke bare me or koi bhi jaankari chaiye to aap puch sakte hai.

Facebook Account kaise Hack kare ye sabal naa puche, isme me aapki koi help nahi kar sakta. Agar jaanna hai to 100 par call karke naam batao, wo aapko Password bata dege.. :) #DontTri

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

101 thoughts on “Facebook Group kya hai, Facebook Group kaise banate hai”

    • Aapko khud se karni hogi.. Agar aap kisi automatic software ka use karege to aap spam khelayege..

      Mene ek post dali hai post publish karne ke baad kaha share kare aap usko read karo..

      Reply
  1. Sir mai apne group se galti se admin se remove ho gaya hun ab koi dusri membr admin ho gayi h .wo mujhe admin nahi bana raha h kya karun plzxxx

    Reply
  2. Rohit bhai mene ek group bnaya h but pta nhi kya ho gya group m mere kisi bhi members ko mere group m post krne ka options hi nhi mil raha plzz help me

    Reply
  3. sir mera fb per ek group hai usme kafi members add hai lrkin me ab kisi bhi members ko remove krna chayta Hu to wo mujhse list me nahi milta kuch hi logo ke naam show krte hai. …me normally phone per hi use krta Hu gts 7582 Samsung
    iske liye koi solutions hai

    Reply
  4. Hlo.. Sir.
    Mene group se 2. 3 post delete kar diya or usike baja se me 24 hr ke liye block ho gaya kiya karu

    Reply
  5. Hello Rohit sir mere fb account par photos upload nhi ho rha hai, jab mai photos upload Karta hu to ye ( Sorry, no new photos were uploaded. Please try again.) aa jata hai please help me

    Reply
  6. Comment:
    mera ek group tha wo kisi anjan insan ne mere ek friend k name ki id bana kar muje bola bhai admin bana do mene us par trust kar kar admin bana diya
    usne admin bante hi muje block kar diya group se
    or ab mera group wo chala raha h plz someboddy help me
    us group me 72k members h or me waha na ja sakta hu or na kuch kar sakta hu
    group ka nam h
    pyaar tune kya kiya

    Reply
    • Jo aapke friend us group me add hai.. Unko group ki hacked report karne ko kaho.. Facebook check karke jo abhi new change huee hai unko hata kar aapko for admin bana degi

      Reply
      • Mera ek group tha uska id band ho gya jha me admin tha ab vha pe kuch mambar gandi post kar rhe he me kya karu ki group delete ho jaye ya fr me meri dusri id se admin bn jau

        Reply
  7. Comment:hello bro me ak group banaya hai. bahat sare group me join opction atahai lekin mere group me nehi atahai plz helf..

    Reply
  8. sir maine ek group banaya uska admin hu mai kisi ko group se bahar nikalne ke liye kaise nikalu please detail me samjhaye jaldi plz sir

    Reply
  9. sir me apne blog ki post ko 3 ya 4 facebook group me share karta hu to mera facebook temporary block ho jata hai…. muje apne sare facebook Group me apni post ko share karna ho to kaise kar sakta hu..

    Reply
  10. रोहित जी प्लीज मुझे बतायें कि facebook group मे एडमिन केसे जोङे

    Reply
  11. रोहित जी, बहुत अच्छी जानकारी दी है आपने. आपकी वेबसाइट अच्छी और जानकारीपूर्ण है.

    Reply
  12. sir mera naam kushal hai, mene ek group banaya hai, usme kai members glt post krte hai, kya aisa kuch ho skta hai ki jab koi bhi member group me kuch post kre to wo pehle admin ke dvara apporved ho….

    Taki glt post ko group me aane se roka jaa ske, pls sir help

    Reply
  13. Bhai plz ye batao ki agar apne group ko dusre group me kaise bataye ki hamare group ko add kro…mtlb apne group ka promote kaise kare

    Reply
  14. Mere grp me 12708 membrs he mujhe kuch logo ko remove krna he.to unhe remove kese kru.remove ka option b pata he but aise remove krunga to unka naam aane me bahot ghante lag jayenge.kok aisa option ni he ki search ho jaye unka name?

    Reply
  15. sir mai nay Fb pay aik group banaya hai. galti say us ki setting secret ho gae hai. mai usay open kerna chata hoon. plz help me

    Reply
  16. Agar kisi group KO ham hi create kiye hain to uss group me jitne bhi member hain usko ham hi remove kr sakte hain ya koi bhi kisi ko bhi remove Kr sakta hai?

    Reply