Free Offer Kaise Paye Idea, Airtel ya Kisi bhi SIM Par

Dosto aaj jo jankari me aap logo se share karne ja raha hu usse aap apne or apni family members ke mobile recharge me paise bacha sakte hai, me aapko jo trick batane wala hu uski madad se aap Free Offer pa sakte hai apne number par.

Wese to bhi JIO ke karan lagbhag sabhi companyo ne apne plan saste kar diye hai par agar aap Free Offer chate hai to wo aap aasani se pa sakte hai.

Advertisements

Me jo trick aapko batane wala hu wo mene idea or Airtel par test ki hai, par muje lagta hai ye har Mobile network par kaam karegi.

Also Read: 

to chaliye jaan lete hai kaise apne mobile Network par offer pa sakte hai.

Free Offer Kaise Paye Idea, Airtel ya Kisi bhi SIM Par

Free Offer pane ke liye kya kare

Aapko simple kuch steps ko follow karna hai.

Step 1: sabse phele to aapko ek SMS send karna hai 1900 par, Message me type karna hai PORT 98xxxxxxx1 (apna Nobile number).

post number likh kar send kare 1900 par

Note: Tension mat lijiye :) me aapko apka number port karne ka nahi khe raha hu, wass aap ye message send kar dijiye.. aapke pass return me ek message bhi aayega.. par hame uski koi jarurat nahi hai q ki ham port kar hi nahi rahe hai.

port ka message karne par code aata hai

 

 

Important Note: aapka SMS charge ₹1 lagega..

Step 2: Ab aapko kuch nahi wait karna hai, jis company ki aapki SIM hai uske costumer Care se aapke pass call aauega.. ye call turant bhi aa sakta hai ya fir 1-2 din bhi lag sakte hai.

Step 3: Ab aapke pass jab costumer care se call aayega to wo aapse port karne ka karan puchege, to simple aap khe dijiye ki aapke bhut jada charge lag rahe hai or koi offer bhi nahi hai.

Yaha Trick ye hai ki, wo aapse phele puchege ki aap q port kar rahe hai or fir aap port naa kare uske liye wo aapko offer bhi dege..

To yaha aapko karna ye hai ki aapko koi bhi dusri company ke ache offer batana hai ki usme ye fayde hai.. to wo aapko usse acha offer de kar aapko patane ki kosis karege ;)

Mene Kaise kya kiya Free Offer ke liye:

Mene apni Idea ki sim se port ka message kiya fir mere pass call aaya to mene karan bataya ki koi offer nahi hai or bhut jada charge bhi lagta hai call or data ka.

to unhone muje offer kiya ki aapki call charge 10p/m lagegi or aapko 300 me 30GB data milega agar aap port naa karte hai to..

wese bhi muje port to karna tha nahi ;) , mene khe diya haa tikh hai agar muje ye offer milta hai to me port nahi karuga.. ye jo offer hai muje 3 month ke liye mila hai..

Ye jarur nahi aapko bhi yahi offer mile, wo aapke luck or aapke importance par hai ki wo aapko kya offer dete hai.. aapko port karne se rokne ke liye.

Same mene Airtel me bhi kiya to usme bhi muje ache offer mila.

To me aapko suggest karuga ki aap bhi is trick ko jarur try kare..

muje ummid hai aapko bhi ye jankari pasand aai hogi, or aap try jarur karege. Is jankari ko apni family or Friends se share karke unko bhi free offer pane me madad jarur kare.

Jarur Read kare: Online Internet Se Paise Kaise Kamaye in Hindi

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

68 thoughts on “Free Offer Kaise Paye Idea, Airtel ya Kisi bhi SIM Par”

  1. Hello sir help .meri site ko AdSense se block kar diya hai.jab me kisi or AdSense ke add site me add karta hu to show nahi hit hai..sir aapko to expriance hai.aap bataye me aage kya karu…

    Reply
    • block kar diya hai to uska karan aapko email me bataya hoga.. or aap jab bhi kisi new site par ads lagayege.. to sabse phele blank ads hi aayege.. jab site full approve hoti hai uske baad ads dikhna start hote hai.

      Reply
  2. hi rohit bro.Aapke post ka har kisi ko wait hota hai.Lekin mai ye janna chahta hu ki kya aap phir se blogging me kadam rakhne wale hai.Dusri baat port ka kya matlav hota hai.Bro aap blogging kyu chhor diye hum aapko bahut miss karte hai.

    Reply
  3. Bro Ye Idea to aap kafi acchi hai but Abhi tak mai ye nhi Jan paya ki ye port kya hota hai our post karne se kya hota hai,Agar iske bare me Bata do to bhai badi mehrwani hogi

    Reply
  4. sir mere laptop par ek problem aa gaya hai mai jab kisi bhi browser jaise mozila firefox ko open kya aur fir google par search karta hoo to koi aur search engine me automatic search hone lagta hai
    mujhe lagta hai ki mere laptop ka data koi hack kar raha hai is problem ka solution aapke paas hai to aap plz bataiye
    google par search karne par iss search engine par automatic search hone lagta hai nova.rambler.ru.

    Reply
  5. Hi Rohit Sir

    Bahut hi badhiya tips he or khas kar un logoke liye jo apni network service provider company badlna nahi chahte or apni current sim par hi badhiya se badhiya offer prapt karna chahte he,yah tips 100% kaam karti he.

    Reply
  6. Sir,maine pehle bhi aap se poocha tha ki agar blogger ki website ho toh woh foreign countries mein open hogi k nahi.Aap ne bataya nahi.
    Please help

    Reply
  7. नमस्ते सर। सर अभी मैं आपसे सिर्फ दो question पूछ रहा हूँ। please sir मुझे उनके जवाब दे।

    question – 1

    मान लो मैं सरकारी नौकरी पर post लिखना चाहता हूँ। मैंने सरकारी नौकरी के तीन keyword search किये 

    1- सफलता के मूलमंत्र              monthly search    1K — 10K  Low

    2- सरकारी नौकरी पाने के उपाय monthly search   10K — 100K  Low

    3- सरकारी नौकरी के तरीके        monthly search   100K –1M   Low

    सर मुझे ये बताये की मुझे post में कौन से keyword को प्रयोग करना चाहिए। जिससे मेरी post first page पर rank करे और मेरी post ज्यादा से ज्यादा search में आये।

    question – 2

    अब post का टाइटल बताये 

    1- सफलता के मूलमंत्र             

    2- सरकारी नौकरी पाने के उपाय 

    3- सरकारी नौकरी के तरीके       

    मैं post का टाइटल Long tail keyword को ही same बना दूँ या इन Long tail keyword में आगे कोई शब्द जोड़कर टाइटल बनाया जाये। जैसे – 

    4- आगे कोई शब्द जोड़कर सफलता के मूलमंत्र      टाइटल बनाया जाये 

    5- आगे कोई शब्द जोड़कर सरकारी नौकरी पाने के उपाय    टाइटल बनाया जाये 

    6- आगे कोई शब्द जोड़कर सरकारी नौकरी के तरीके      टाइटल बनाया जाये 

    या फिर इन Long tail keyword में पीछे कोई शब्द जोड़कर टाइटल बनाया जाये। जैसे –

    7- सफलता के मूलमंत्र पीछे कोई शब्द जोड़कर         टाइटल बनाया जाये 

    8- सरकारी नौकरी पाने के उपाय पीछे कोई शब्द जोड़कर         टाइटल बनाया जाये 

    9- सरकारी नौकरी के तरीके पीछे कोई शब्द जोड़कर         टाइटल बनाया जाये 

    सर अब मुझे ये बताये कि इन 9 टाइटल में से post के लिए कौन सा टाइटल सही रहेगा। जिससे मेरी post first page पर rank करे और मेरी post ज्यादा से ज्यादा search में आये।

    सर मुझे इन दो question के जवाब देकर मेरी site का traffic बढ़ाने में मेरी मदद करें।  

     

    Reply
    • aap jo keyword sabse jada search kiya jata hai usko use kare.. or usko title me bhi use kare..

      title me jo main keyword hai wo phele add kare uske baad usse related jo word log search karte hai usko add karke ek longtail keyword banaye..

      Reply
  8. Bahut hi achhi tips di hai apne number par best offer pane ke liye …………..brother Aap apne blog par ab bahut kam post karte hai iski kiya wajah hai…….. kiya aap koi job karne lage hai jiski wajah se aap blogging me time nahi de pa rahe.

    Reply
  9. rohit bhaiya Aapne meri bahuy madad kari Online… Me apka fan hun… Sirf aapke hi wajah se meri Zindgi Badal gayi… Thnxx

    Bro aap Image per kuchh bhi kaise likhte h.. ya konsa software use krten h jrur btyen ?? need last hlp plzz

    bro aap hi kahte h ki Regular Updation jruri hota h … lekin aap kaha-kaha busy ho jaate hain ?? reply jrur dein

    visitor k naate apko btana hoga

    Reply
  10. रोहित जी, अच्छा है.
    आजकल वैसे भी New Offers चेक करने पर नए ऑफर नहीं मिलते. आपके आइडिया से तो कुछ ऑफर यूँ ही मिल जाते हैं.
    शुक्रिया भाई.

    Reply
  11. WordPress ki tarah blogger.com par example.com ka hi.example.com kaise add kre ? Godaddy se liye huye Domain par.

    Reply
  12. Sir Aapne Hinglish Use karna Start kar di dobara se..Ab aapka kya plan he..me par Hindi me likh rha hu ye Seo ke liye sahi rhega ya nhi

    Reply
  13. Mai yah trick bahut pahale use kiya tha … aur yah work karta hai.
    But jo log nahi janate unke liye yah behatarin tarika ho sakata hai.

    Reply
  14. Sir mera blog KO Maine on page kar liya hai aur koi free of page seo Ki site bataye Jo Mujhe site KO submit karna hai

    Reply
  15. Rohit bhai
    Aap apni author Box ki link bhej sakte Ho to please bhej de mujhe aapka author Box bahut hi achha laga

    Reply
  16. BHAI MERE BLOG ME 30 POST HAI LAKIN ADS SHOW MAHI HO RAHA MAINE EK MAHINA PAHLA ADS ACTIVE KAR DIYA HAI PLEASE BHAI CHACK KARKE BATAO KYU ADS SHOW NAHI HO RAHA

    Reply
  17. Comment:hello rohit sir

    maine aap ka article read kiya .
    muje aapka article bahut achha laga

    or mai aap ka bahot time se friend hu or Ap ko like karta hu aap ki personality ke liye

    aap ki har ek post best hoti hai or mai har post padhata hu

    aap ki all post mene read ki hai
    is se muje bahut fayada bhi huva ha

    bas aap ki ek choti si help chaiye ki muje aap ki web tempalete bahut pasand hai

    please aap muje aapka tempalet de sakte ho to muje email par bhejo

    thnx…

    Reply
  18. Rohit bhai, Ek help chahiye aapse.. pichle kuch samay se mere site par achanak hi visit badh ja rahi hai. Google Analytics me check karta hu to waha normal visit show karta hai or blogger me check karne par pageviews bahut jyada dikha raha hai, ye kya chakkar hai? aapke sath bhi aisa hota hai kya? please reply kariye…

    Maine HMH ke facebook group me bhi ye problem post kiya hai lekin abhi aapke approval ka intjar hai..

    Reply
  19. vaah sir bahut kamal ki jankari share kiye hain. aapki is jankari se bahuto ka help ho sakta hai so much rohit sir dhanywaad is best tricks ke liye.

    Reply
    • Gaurav, Hindi batter hai ya Hinghlish wo me nahi bata sakta.. par me Hinglish q pasand karta hu.. or kya fayde or nuksan hai HIndi or Hinglish me.. uske upar jald me ek detail post daluga.. jisme muje kya lagta hai or aap[ke liye kya sahi rahega un sab topic par baat karuga..

      Reply
      • रोहित जी आपसे बात नहीं हो पा रही.
        “बेस्ट ब्लागिंग पोस्ट्स हिंदी में” इस टॉपिक पर एक नई वेबसाइट बनाने का विचार चल रहा है मेरा.
        आप जैसे ब्लागर जो नई पोस्ट लिखते हैं ब्लागिंग के बारे में उन सबकी जानकारी एक वेबसाइट प्में एक स्थान पर देने का आईडिया कैसा रहेगा; आप बताएं.

        Reply
        • agar aap copy karke dalne ka soch rahe hai to ye idea fail hai.. par agar aap ek ek peragraph add kare.. usme baad main site ki link de.. taki jisko pura read karna hai wo main site par jaye to kaam chal sakta hai.. par aese me aap usse earning to nahi kar payege adsense se..

          Reply