Hello Friends Aaj ham is post me dekhege apne blog ki search ranking kaise badaye Google Search me. Ham badi mhanat karke apni Post ko likhte hai par wo Google ke search me nahi aati to hame bhut nirasa hoti hai q ki hame hamari mhanat ka koi inaam nahi milta (visitor nahi aate).
Jese ki aap jaante hi hoge Google duniya ka sanse bada search Engine hai or agar kisi ko koi jaankari search karna hota hai to wo Google me hi karte hai, To hamare liye ye bhut jaruri hai ki hamari Likhi hui Post bhi search me aaye. Uske liye hame Google Search Console me apna account banana padega or fir usme apne Blog or Website ko usme add karke verify karna padega.
Google Search Console ko hi phele Google Webmaster Tool khate the abhi uska naam badla gaya hai.
Page Contents
Google Search Console kya hai
ye Google ki service hai webmasters ke liye (jinki website hai). wo apni site ko isme add karke apni site ko google me submit kar sakte hai.. or aapki site Google me kaise perform kar rahi hai wo aap detail me dekh sakte hai.. agar aapki site me koi dikkat hai jisse wo search me nahi aa pa rahi hai ya aapki site hack hoti hai to uski jankari bhi aapko yaha mil jayegi.
Yaha aapko apni site me agar koi error hai jo search engine ko aa rahi hai wo bhi dekh sakte hai.. sitemap submit karke site ko jaldi index kara sakte hai, or kis country ko target kar rahe hai wo set kar sakte hai, iske sath sath ye bhi set kar sakte hai konse page ko search me dikhaya jaye or konse page ko nahi.
Google Search Console me Account Banaye
Account banane me koi dikkat nahi hai Q ki ye bhi Google ki hi Service hai to jo hamari Gmail ki ID hai hame simple usse login karne hai.
Agar aapka Email Account nahi hai to Gmail par account banaye phele
Google Search Console me Account Banane ke liye sabse phele site par jaye
Sign in to Search Console par click kare fir apne Gmail ID se login kare
Ab aap Login to ho gaye hai.
Google Search Console me Website/Blog kaise Add kare
Blog ko Add karne ke liye apne Blog ya website jo bhi hai uska Address dale fir Add Property ki button par click kare
Ab ek naya page khulega usme aapko apne blog ko verify karna hai. Aap koi bhi tarike se kar sakte ho.
- Alternate menthods par click kare.
- HTML tag select kare fir code ko Copy kare.
- Ab aapko ye code apne Blogger ke template me add karna hai. add karne ke baad Verify ki button par click kare
Blogger template me Code ko Add kare
Apne Blogger me login karne ke baad Template ke section me jaa kar Template ko Edit kare.
Ab Apne Template me <head> code ko search kare. Tip: Ctrl+F daba kar kar sakte ho.
<head> ke niche apne Google Search Console ke code ko dale fir Template ko save karde. uske baad Apne Code ko Verify kare Console me.
Verify hone ke baad aesa message aayega
Ab Search Console ke home page par jaye to aap dekhege ki aapka Blog add ho gaya hai. Agar aapke or bhi blog hai to aap unko bhi add kar sakte ho Add A Property ki button par click karke kar sakte hai.
To ab aap ye jaan chuke ho kaise Google Search Console me apne Blog ko Add kiya jata hai.
Kya Kya Faide hai Google Search Console ke
- Agar hamari Site par koi Error hoti hai jiski baja se hamari site search me nahi aa rahi hai to uska pata chal jata hai.
- Search me jaldi aane lagti hai hamari site.
- Visitor kya search karte hai Google me to hamari site par aate hai uska pata chal jata hai.
- Agar Google kuch Update karti hai apne search karne ke tarike me to hame message aata hai ki ham uske liye kya kare jo hamari site search me aaye.
- Iski madad se agar ham chahe ki hamari koi ek post search me naa aaye to ham wo bhi kar sakte hai.
Inke aalawa bhi bhut faide hai, Simple saabdo me kahu to ye bhut jaruri hai hamare Blog SEO ke liye…
Google Search Console me Apne Blog ko Add karne ke baad apne Blog ka Site Map bhi jarur add kare. Sitemap kaise add kare Search console me uski jankari yaha di hui hai.
Blogger ki or adhik jaankar ke liye yaha jaye.
Hamesa ki trha agar aapko koi bhi dikkat aati hai ya fir koi sabaal hai to aap comment karke puch sakte hai.
*Agar aap Google use karte hai to aapko Google Useful URLs ke ware me bhi jarur pata hona chaiye.
sir meri site ka sitemap crawl ni ho rha piche kuch dino se, usme show kar rha, not fetched.
kya issue ho sakta hai?
even mere sare post index ho rhe hai properly.
search console me kabhi kahi hamara stepmap index nahi batata. par aapki koi tension lene ki jarurat nahi hai..
Very Very Nice Sir
Sir New Version Me Crawl Feature Nahi Hai Kya
thanku rohit ji par problem to yah hai ki search console ka error kaise thik kre
iske liye blog me apke dvara bataye gye breadcrumbs ko kaise set kre
rohit ji me google search console me ek article ka url submit karke use google search me lana chahta tha prntu mere 2 article aise hai jinme google search console error ke rup me Breadcrumbs show ho rha
iska kya kru kaise thik kru please reply me
ye website me Address link hota hai, jisse use ko saman me aata hai ki wo kis jagha par hai wesite me,,
Aap yaha dekhe, aapki website me kaha hai mene bataya hai.
Sir Google search console ke bare me aapne kafi achcha bataya hai, thanks