Popular Posts Widget kaise Add kare Blogger me

Hello Blogger, Is Post me ham Blogger ki baat karege jo bhut basic hai par important hissa hota hai hamare blogger blog ka. Jese ki Aap jante hi hoge Blogger me ham apni hisab se jo chahe wo add kar sakte hai layout me widget add karke. jese Facebook Like Box add karne ke liye ham HTML/JavaScript Widget ka use karte hai.

Mene phele hi bhut se Widgets ke bare me bata chuka hu or is post me jis widget ki baat karege wo Popular Posts Widget hai jo bhut jaruri hota hai ek blog ke liye..

Advertisements

Popular Posts Widget kaise Add kare Blogger me

Popular Posts Widget ki madad se ham apne blog ki jo Popular Post hai unko Dikha sakte hai, jisse agar koi visitor hamare blog par aaye to wo un popular post ko bhi pade, jisse hamare blog ke Page Views bad jate hai. To Chaliye dekhete hai kaise Is Widget ko add kar sakte hai apne blog me.

Popular Posts Widget ko Blogger Blog me Add kaise karte hai

jese ki mene post ke starting me hi kha tha ki ye ek basic jankari hai, Q ki is widget ko add karna bhut aasan hai.. Aap meri steps ko follow kare.

Step 1: Blogger.com me Login kare fir apne Blog ke Deshboard me jaye

Step 2: ab hame Blogger ke Layout ke section me jana hai.

blogger ke layout me jaye

Step 3: layout me aane ke baad, Jaha aapko Popular Posts Widget ko add karna hai wha par Layout me Add a Gadget par click kare.

Add a Gadget par click kare blogger ke layout me

Step 4: Ab ek Popup Window khulegi, jisme bhut se widget ki list hogi jo ham apne blog me add kar sakte hai.. Scroll Down karke Popluar Posts Widget par click kare.

Popular Posts ke wiget ko select kare.

Step 5: Ab Popular Posts Widget ki setting ka Page aayega.. Usme aap kesa dikhana chate hai blog me aesi setting kare.

Popular post widget ki setting set kare kya chate hai aap

  1. Widget ka Title de.. “Popular Post” “Top Post” “Top News” kuch bhi de sakte ho, ya fir khali bhi rakh sakte hai.
  2. Konsi Popular Post dikhani hai..
    1. Pure Time se jo Popular post hai uske liye All time select kare.
    2. Pichle 30 din ki popular post dikhane ke liye Last 30 days select kare.
    3. Pichle 7 din ki popular post dikhne ke liye Last 7 days select kare.
  3. image thumbnail: agar aap apni post ki image bhi dikhana chate hai to tik karde.
  4. snippt: Post ke title ke sath starting ki kuch line bhi dikhana chate hai widget me to isko tik kare.
  5. Widget me kitni Popular Post dikhana chate hai wo select kare.
  6. Puri setting karne ke baad Save ki button par click karke save karde.

AB aap apne blog ko Open karke dekhe Widget dikhne laga hoga or jo aapke blog ki popular post hai wo bhi usme dikhne ladi hogi. Agar isme aapko koi doubt ho to aap comment karke puch sakte hai..

Ye Post Bhi Pade

Happy Blogging…

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

54 thoughts on “Popular Posts Widget kaise Add kare Blogger me”

  1. Rohit bhai mene apne blog me popular posts widget lagaya hai lekin usme meri posts ki thumbnail crop hokar dikh rahi hai. Mujhe yeh bhi bataye ki agar post me ek se adhik image ho aur kisi ek ko thumbnail set karna ho to kese kare.

    Reply
  2. Hello Sir, apne batai hui sari steps mene thik se ki. Mene add karke turant website refresh ki par widget nahi dikh raha. Wo kitni der ke baad dikhta he?

    Reply
  3. sir Mujhe aapse bahut jaruri help chahiye.Please reply karna or uska solution dena.Sir me aapki website Visit krta hu too aapki post ko scroll down krta hu jb right side peaapne gadget lgaye hai.pr vo popular post widget sb scroll hote hai taaki vo area khaali naa lage.mtlb jab me post page scroll down krta hu tb vo widget vahi pe rehta hai.too sir aap samjh gaye honge mujhe vahi widget set krna hai jo scrolling kare taaki right side khaali naa lage.Please mujhe message karna or iska solution dena.

    Reply
  4. sir mere is blog m comment wala part kam nhi kr raha khaskr mobile m..jaise aoko asani se comment kr pa raha hoon..mere blog m kause hoga..plz sur help me..koi coding hogi kya sir

    Reply
  5. sir Maine domain kharid liya hai or blogging ke sath jor diya hai or ab mai chahata hu ki mai jaba post lagau apane blogger pe to loga dekhe or uske mujhe paise mile uske liye mai kya karu

    Reply
  6. Sir mijhe un sites ke sabhi naam bataye jo ads ko hmare blog pr lagane deti he jese ki chitika bidvertiser infolinks inke alawa koi aur bataye .

    Reply
  7. Sir mein website kese banaho mobile se mere pas nokia 6220 classic blogger par meine new blog me jata hon blog ka name aur title deta ho to mein create blog par button nhi click hota

    Reply
  8. Bhai pahle to mere adfly link par click karne par 3 click aaye lekin kal mene 100 click karwaye lekin wo nai aaye or last update se pahle hi kiye phir

    Reply
  9. jaise aapki site me sabhi categry uper ki taraf likhakar aati hai jaise ki make money blogger sawal jabab etc.
    wo mai apni site me kaise add karu mai apka wala hi template use kar raha hu muje bilkul apke jaisi site design karni hai plz bataiye sir

    Reply
  10. Rohit bhai apki is post ko jab ham home page pe dekhte hain to jo image dikhayai deti hai woh read more click karne k baad nazar nai aati balki ek dusri image dikhayi deti hai. Ye aapne kaise kiya step by step btayen. thankyou…

    Reply
    • mera blog wordpress par hai or usme ye option aata hai.. blogger me bhi kar sakte hai par usme code ki madad se hame first image ko post me hide karna padega.. usse acha hai aap sabse pheli image hi aesi use kare jo social network site or main page par dikhe.

      Reply
  11. Muje blogger me apni categry banakar post karna hai categiries kese banai jatai hai. Aur mai android app se post kar skta hu categry ke hisab se

    Reply
  12. Rohit bhai main ye janna chahta hoon….
    Agar ham apne blog pe jab tak google adsense approve nahi hota tab tak chitika k ads lagate hain, aur jab google adsense approve ho jaye to kya chitika k ads hata kar google k ads laga sakte hain.

    Reply
  13. सर जब आपने ब्लोग बनाया था तब आपको पता था कि आप सफल ब्लोगर बन जायेगेँ|सर आपके ब्लोग पर रोजाना कितने पेज VIEMS होते|सर HOSTING क्या होती है ओर क्यो लेनी पडती है| मेरे सभी सवालो का उतर जरूर दे ओर आपका ब्लोग मुझे सबसे अच्छा लगा ओर मेरी दिल से ईच्छा है कि आपका ब्लोग TOP MOST ब्लोग बने|

    Reply
    • Thanks Umesh ji aapke in sabalo ke liye, ki aapko lagta hai ki ye ek popular blog hai..

      Mene jab blog banaya tha iske phele mene bhut logo se sujab mage or dekha ki logo ki kya jarurat hai jo me pura kar sakta hu or muje ye idea aaya.. mera is blog ko banane ka main maksad logo ki help karna tha.. aap mere blog ka domain pad kar hi samaj sakte hoo.. mere blog par rojana lagbhag 50000 views aate hai or aapki madad or duaa se or bhi badege..

      Hosting ek trha se online memory hoti hai, jisme ham site ki file upload karte hai.. agar aapka blog blogger.com par hai to hosting ki koi jarurat nahi hai.

      Reply
  14. mai android mobile me blog use kar raha hu lekin android app se photo upload kyo nahi ho rahi hai
    plz sir bataiye ki photo upload kaise hogi kyoki mere pas laptop/computer nahi hai.

    Reply