Tatkal Ticket Q Book nahi ho pati hai [Tatkal Ticket Secret]

Doston aajkal ke bhag daud bhari zindagi mein har insaan ka ana jana ek jagah se dusri jagah laga rahta hai. Aise men ek aam insaan train se lamba safar karna pasand karta hai. Magar ajkal train ticket ke liye ham tras jate hai chahe tatkal ticket ho ya 4 mahine pahle ka booking ho, kabhi koi seat khali nhi rahti.

Inke peeche ek bada raaz hai aj main usi ke bare men baat karne jar aha hun. Apko andaja bhi nahi hoga ki kaise yeh hacker 45 second men sari ticket book kar lete hain. Ek aam insaan jab tak id ko login karta hai aor yatra ki details bharke ticket search karta hai tab tak sari seat gayab ho jati hain.

Advertisements
Tatkal Ticket Q Book nahi ho pati hai ,Tatkal Ticket Secret

Page Contents

Aise software ko irctc nahi deti hai ijazat

Doston yeh aap ke liye bahut kaam ki baat ho sakti hai. Aise software ko puri tarah se gair kanuni mana gaya hai or na hi iska koi licence hai. Yeh sab software men apka bank details or private details bhari jati hai or na hi inko koi garanti hai ki yeh puri tarah se safe hai.

Doston ap hi soncho jo apne desh se bagawat kar sakta hai who apka private data kisi ko sell bhi kar sakta hai ya uska galat use kar sakta hai. Aise mamle bahut samne aye hain jismen kisi ke bank se ticket book ho jana yak hai or site pe online kuch purchase ho jana. Aor aisi online bahut site hain jahan par user ka private data sell kiya jata hai. Ap is software se bachke raho. Aor aise gair kanooni tatkal software ko sell karne wali kuch site bhi hai. Jinka list neeche main de raha hun.

https://www.tatkalsoft.info/
https://www.tatkalsoftservice.com/
https://www.taktalsoftware.com/

Irctc ticket ke liye Tatkal software name se ate hain hacking tools

Doston apne shi suna tatkal software ke liye lag alag name se hacking tools ate hain. Jinmen ek agent customer se liya hua ticket ka passenger details ko pahle se hin in software men feed kar deta hai. In software ke andar who sara details bhara jata hai jo ki tatkal ticket ya opening tatkal book karte time hamen apne haathon se type karna padta.

Aur jab tatkal ticket booking ka time hota hai to yeh agent log software ko open karke booking time se 3 minutes pahle login kar lete hain. Uske baad software apna kaam start kar deta hai.

Agent ko sirf dekhte rahna hota hai. Software irctc login captcha ko apne ap fill karke submit karta hai aor id login karta hai uske baad journey details fill karke yeh software train search karta hai or us train ka seat availability chek karta hai. or jaise hi tatkal ticket open hota hai yeh software automatically booking process age badhata hai.

Passenger page pe jake passenger ka sara details bharta hai, passenger page ka captcha bhi fill karke automatically submit karke payment process karta hai hai. Aor maje ki baat yeh hai ki payment karte time tatkal software bank se na koi otp ata hai aur na hi koi captcha ata hai sab bypass ho jata hai aor last men tatkal ticket book ho jati hai.

Dosto yeh sab pora process men software ko sirf 40 second lagta hai aor 40 second me irctc ki ticket book ho jati hai. In tatkal software ke name kuch is tarah hain redmirchy tatkal software, abs tatkal software, mac Tatkal software, orang tatkal software, etc.

Pair option se tatkal software ki chamta ho jati hai kai guna

Doston tatkal booking software men pair kholne ka option hota hai. Pair ka matlab ap jo ticket book karne ja rahe hai uske liye aap kai window khol sakte hai banega kisi ek hi window men. or ek normal insaan browser se ticket book karega aor who ek browser men ek tab se jyada nahi khol sakta, but in software men ap 1 ticket ke liye jitna bhi pair kholna chahe khol sakte hai bas apke pas irctc ki id honi chahiye 1 id se 1 pair login hoga.

Pair kitna bhi khole jismen payment pahle process hoga wahi book hoga baki sab pair ruk jate hain. Doston soncho in software men kitna advance trick hai aur yahi wajah hai ki ham ticket ke liye taras jate hai aor time pe ticket nahi milta.

Ip proxy ka hota hai bada kamal

Doston in software men ip lagane ka system hota hai 1 ip pe sirf 2 ticket book kar sakte hain. In software men unlimited ip lagaya ja sakta hai. Aor unlimited ticket book kiya ja sakta hai aor who bhi ek saath.

1 ip men 2 slot hota hai, 1 ip pe sirf ek dinmen 2 hi pnr banaya ja sakta hai aur har ticket alag name se alag alag slot men save kiye jate hain. Aor sare ticket ko ek sath open bhi kiya ja sakta hai apke laptop men jitna screen hai ap utna pair open kar sakte ho.

Premium tatkal set karne ki hoti hai suvidha

Doston software men premium tatkal ka fire limit dalne ki suvidha hoti hai. Jisse agent apne anusar ka limit daal sakta hai agar use jyada fire aya to software booking stop kardega fir agent jab tak manually click nhi karega tab tak payment nhi hoga jaise hi agent pay karta hai ticket book ho jayega.

Share on:

Internet Ki jankari ham Hindi Me Share karte hai.. Hamse Judne ke liye Social Network par hame Follow kare!


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

2 thoughts on “Tatkal Ticket Q Book nahi ho pati hai [Tatkal Ticket Secret]”