Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai

Ham starting me youtube par video upload karna shuru karte hai. Tab hamare khud ke banaye huye video bhi copyrighted ho jate hai. Isliye aapko videos upload karne se pahle ye jan lena jaruri hai ki ham kis tarah ke video youtube par upload kare.

Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai

Toh dosto aaj ki post mai aapko yahi bataunga ki ham apne videos kaise banaye jo ki copyrighted na ho. Mai umeed karta hu ki ye post aapke liye jarur helpful sabit hogi.

Advertisements

Jab hamari self created video copyrighted ho jati hai. To hamare man me yahi sawal uthta hai ki ye video toh maine khud banai hai lekin fir bhi copyrighted ho gayi. Lekin isme galti hamari hi hoti hai ham youtube ki policy ko sahi tarike se follow nahi karte hai. Aur hamari video copyrighted ho jati hai. Aksar ye problem new youtuber ko hoti hai. Aapko is post ko padhne ke baad copyrighted ki problem dur ho jayegi.

Video upload kaise kare ye to aapko pata hi hoga, agar nahi to pata to ye post bhi pade:

Youtube Me Kon Se Videos Copyrighted Ho Sakte Hai ?

Agar aap youtube me video upload karke paisa kamana chahte hai. Toh iske liye aapko youtube ki policy ko acche se follow karna hoga. Youtube me daily na jane kitne log youtube channel banate hai. Lekin 10% log hi success hote hai. Toh aaj mai apko yahi batane ja raha hu ki ham kaun se video youtube par upload nahi kar skte hai.

  1. Games and Software: Ham kisi bhi game ya software ki screen recording karke youtube par upload nahi kar sakte hai.
  2. TV and Movies: Ham kisi bhi tv serial ya movies ki recording karke youtube par upload nahi kar sakte hai. Agar hamne upload bhi kar diya toh Serial ya movies ke owner ham pr copyright ka claim laga kar hamara video delete karwa skta hai.
  3. Sound Recordings: Ham kisi ke bhi music ya sound ko upload nahi kar sakte hai. Agar music ya sound youtube par pahle se hi uploaded hai toh hamare video par copyright claim lag sakta hai aur hamara video delete ho sakta hai.
  4. Advertisement: Ham kisi ke advertisement poster ke videos banakar upload nahi kar sakte hai.
  5. Your Age: aap youtube par video tabhi upload kar sakte ho. Jab aapko age 17 year se ziyada ho. Agar apki age 17 year se kam hai toh aapki video delete ki ja sakti hai.
  6. Porn: Koi bhi aslil video bhi ham youtube par upload nahi kar sakte..
  7. Ladai Dange ya gali: aese video bhi upload karne par delete kar diye ja sakte hai jisme ladai bagera ho rahi ho ya fir kisi ko gali di ja rahi ho.. Aatankwadi gati bidiyo se sambandhit video ko bhi turant delete kar diya jata hai..
  8. Kisi ko koi problem na ho: Hamne jo Video upload kiya usse agar kisi insan ka nuksan ho raha hai to wo youtube se report karne us video ko delete karba sakta hai.
  9. Video ki permission: Agar hame koi video upload kiya hai jo copywrited hai to hamare pass kisa legal notice hona chahiye jisko ham youtube me upload karke us video ko upload kar sakte ha.
  10. Hacking Video: Agar aap kisi cheez ko hack karne ka tarika bata rahe hai video me. Jese Facebook kaise hack kare bagera bagera to bhi aap ka account delete ho sakta hai.

Agar aap is tarike ke video youtube par upload karoge toh aap ke videos copyrighted ho skte hai. Agar aap in points ko sahi se follow karoge toh aapke video kabhi bhi copyrighted nahi hoge. Ek bat apko hamesha yaad rakhna hai. Aap self created video hi youtube par upload kare, Kyoki dusro ki videos se ham kuch bhi nahi kama skte hai.

Video Upload karne ke baad uski setting kaise kare ki wo aasani se search me aa sake uski jankari yaha hai.

Youtube se sambandhit sabhi post’s ko padhne ke liye yaha click kare

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

160 thoughts on “Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai”

  1. Rohit Bhai jo aapne jaankari share kari vo bhut helpful h un sbhi naye youtubers k liye jo apna naya naya channel start krte h but jankari ki kami k karn copyrights ka issue face karte h.
    Kya background m use music bhi copyright m aayega? please iske baare m thoda bataye

    Reply
  2. sir Vlc player se screen record karsakta hai ya nehi sir ** vlc player se video se screen record karke kiya copy right hoga sir?
    2/ Sir Bina kisi software se , screen record video upload karsak ta hain sir? Kiya yeh copyright hoga sir?kiya yeh earrings hoga sir ?please

    Reply
  3. 1/ sir Vlc player se screen record karsakta hai ya nehi sir ** vlc player se video screen record karke kiya copy right hoga sir bina kisi software ?

    2/ Sir Bina kisi software se , screen record karke video upload karsak ta hain sir bina kisi software ? Kiya yeh copyright hoga sir?kiya yeh earrings hoga sir ?

    Reply
  4. Sir mai agar koi android game ko record karke YouTube par upload kar sakta hu?……matlab kisi game(Like Clash of clans, PUBG) ka tutorial bana kar upload kar sakta hu?

    Reply
    • mujhe confused hai sir ,laptop vlc si playar se screen record karke kiya youtube ko upload karsakta hain ya nehi sir ?? 2Copy right ayega ya nehi sir?

      2/Sir copyright se earnings karsakta hain ya nehi sir??

      2/ Sir mein old vdeo laptop VLC si player se screen record karke upload karna sosh raha hain kiya yeh earrings hoga sir?? kiya yeh copy right hoga sir? Please please mera questions ko answer diji sir?

      Sir apka blog main harrosh parti hoon .

      Reply
  5. pdkr kaafi accha laga … mera ek question hai agr mei education purpose se related video bnata hu jeise facts about countries ke baare mei or us video mei images ka slideshow use krta hu or disclaimer mei mei daal deta hu ki ye sbhi images google se li gyi hai ,…. to 10000 views ke baad mera monitization enable hoga????

    Reply
    • Google se liye image likhne se jo owner hai unko kya faida.. aap Google se Free image download kare uske ware mene post dali hai.. ya fir stock free image use kare.. baki agar aapki channel good stending me rahi to monetize hone me koi problem nahi hogi..

      Reply
  6. sir ji mera harmonium learning channel hai. but problem ye hai ki me Jo bhi Bollywood song ka lesson bana ke upload karta hu content I’d claim aa jata hai sare gama the royalty networks publishings ki taraf se …sir mujhe problem ye ki mera tanlent harmonium bajana hi hai to me kya karu ..mera khudka to koi song nahi aur na me femos hu to mujhe Bollywood song ka hi harmonium lesson bana sakta ..hu .to sir kya karu bataiye ki me content I’d claim na aye.

    Reply
  7. thank you sir aapne bahot aachi jankari di ….
    sir me ye puchna chahta hu ki kya ham apne youtube channel par cricket match ki highlight ya koi bhi editing clips dal ste h kya …plzz reply sir

    Reply
  8. sir kya hum bollywood movie ya koi movie ki video cutting paste kar edit karke youtube par upload karenge to hame earning hogi ya nahi
    pls tell me 9781457832 whats app

    Reply
  9. mera youtube channel suspend ho gaya hai… 3 se 4 baar request bhej chuka hoon magar abhi tak bhi youtube ne yahi jawab diya “Keep Suspended”

    ab kya karoon

    Reply
  10. Sir me ek film ki kuch choti choti clip edit karke ek vdo banana chahta Hun toh ushme kuch prblm he kya sir g

    Reply
  11. new youtube par ek video upload ke baad monetize enable kar dene ke baad turant $ ka nishan dikhai dega ya 10000 view hone ke baad???

    Reply
  12. Rohit Sir,
    maine youtube pr ak video upload kiya h
    ab video manager m video k saath msg aa rha h
    ‘Copyrighted content was found in your video.
    The claimant is allowing their content to be used in your YouTube video. However, ads might appear on it.’
    kya video copyright ho gya h!! is trah k video se earninng hogi kya..!!

    Reply
  13. dear rohit mein coreldraw software ki tutorial video banakar youtube par upload karna chahta hoon. kya mein aise video upload kar sakte hai. aapne sabse upar likha ka kisi game ya software ki screen recording karke video upload nahi kar sakte magar maine dekha ki bahoot se log games or software ke video upload kar rahe hai aur khoob kama rahe hai. mein coreldraw software ki tutorial bana kar channel shuru karna chahta hoon.
    kya main aisa kar sakta hoon.
    Video mein main yahi dikhana chahta hoon. ki coreldraw mein kya kaam kis tarah se karein.

    Reply
  14. Bahut acha jankari mila he es post se Rohit G …But mera ek chata probleb hi jo ki mera youtube channel youtube me too ata he o v last me aur google sarchme nahi ata he problem hi kya ? aur me channel k name change karna chahta hu e karsatahun q ki merahi name se kisi aur ne channel bana di he ….koy problem to nahi plzz help me..

    Reply
  15. Sir maine 1 saal pehle youtube channel banaya tha aur mai lagataar yhi soch kar video uplpad kar raha hu ki ek din to meri income achhi hogi magar na hi mere channel par adhik traffic aa raha hai aut din me 200+ hi page vieq hote hai jab ki maine apne channel par 604 video uplpaf kiyr hai aur meri earning keval 0.20 – 0.40 tak hi ho pa rahu hai please mujhe bataiye mere channel me kya problem hai jiski vajah se mwre channel par traffic nahi aa pa raha hai

    Reply
  16. Sir aapki iss post se sab kuch achhi tarah clear ho gaya hai
    Sir mera aapse ek question hai maine youtube par ek saal pehle channel banaya tha aur pichhle 10 maheeno se mai youtube par video upload kar raha hu magar mere channel ke views increase nahi ho rahe hai aur perday 10-15 ads bhi click hote hai par income 0.30 tak hi hoti hai mai iss baat ko lekar bahut pareshaan hu please meri help kijiye

    Reply
  17. Thanks rohitji .. aapne bahut hi achi jankari di he .par mera ek sawal hai ki kya me koy Android app se jo video banati ho usse video banakar YouTube par dal sakta hu . Jese ek app he viva studio

    Reply
  18. YouTube par ads kya dikhta hai, ads kaisa hota hai, kha hota hai, log video dekhkar ads par click kab karte hai.ads kis rang ke or kaisa dikhta hai.kya video dekh kar bina ads par click kiye hi video band bhi kar sakte hai.

    Reply
  19. Bahut he achi jankari hai bhai main ye pu6na cahta hu ki kisi free website se video maker se video banake YouTube pe upload KrKe Adsense se jod skte h?

    Reply
  20. Hi Rohit,

    Aap ki ye post muje bahut hi achi lagi or ye mere liye bahut hi help full h coz m youtube pe apna ak chanel chala rhi hun. So muje is post se bahut kuch sikhne ko mila ki muje kis kind ki video upload nhi krni chahiye. M ak fresher hun is fied me to mere liye is parkar ki jankari hona bahut jaruri h…

    Regards,
    Sneha Meena

    Reply
  21. aap Bata sakte Hai kya. YouTube par Maine 2 video dala hu khud ka bna hua..2
    mai kitna view paf YouTube ko adsence se cannect karu jisse mere YouTube par adsence ka ads. show ho

    Reply
  22. Thank u rohitji aap se hamko achcha knowledge mila hai.. Me ye puchna chahta hu ki YouTube ke video uploading ke liye Jo camera etc. Tools apne bataye hai uske liye vo invest karna jaroori hai ya, phir kisi bhi ache megapix smart phone se video uplod kar sakte hai? Aur u tube me video content kaisa hona chahiye?

    Reply
  23. I need your help Rohit ji PLZ tell me ki mene suna he ki YouTube me current account ki zarurat padti he and jam hum monatize karte he video ko t singing koi current account ka optiona nahi aata to paise kese milenge

    Reply