Youtube Par Video Kaise Upload Kare in Hindi

Youtube ek bhut hi Saral or free tarika hai online ache paise kamane ke ham ye to jaante hai. or humne pehle ye bhi jaan liya tha ki youtube se paise kis tarike se kamate hai. Bhut se mere dost youtube se paise to kamana chahte hai par unko ye pata nahi hota ki youtube par apne video ko kaise upload karte hai, to Aaj ham jaanege, Video ko Youtube par kaise Upload karte hai.

youtube par video kaise upload karte hai

Kaise Video Dale(Upload) kare

Muje step by step follow karo. kahi par kuch pareshani aati hai to comment karo.

Advertisements

Step 1:

Computer me Youtube Account me login karo. (*Mobile me upload karne ka alag tarika hai. agar aap bo janna chahte hai to hame comment ke jariye bataye.)

Step 2:

Login karne ke baad Jo upar upload ki button hai us par click karo

Step 3:

Upload par click karne ke baat ek naya page khulega. aapko yaha par apna video ko dalna hai.

  1.  Apne Video ko aap yaha par click karke apne computer se select kare fir video upload hona start ho jayega.
  2. Agar aap ka koi video Google+ par hai to usko aap direct youtube par daal sakte hai.
  3. Direct apne webcam se record karke aap youtube par daal sakte hai
  4. Agar aap apni Images ka slid show video banana chahte hai to yaha par click karke apna photo select kare. Is ke baare me or jankari aap ko baad me duga.
  5. Google+ se video chat karte hue aap apni live video youtube par daal sakte hai
  6. Aapne jo video pehle se upload kar rakhe hai usko yaha par jaa kar edit kar sakte hai. kaise edit karte hai ye me aapko baadme bataoga.

*Aap video ko apne computer mouse se pakad kar Upload ki screen par laa kar chod de. Video upload hona start ho jayega.

drop your video here

Step 4:

Jaise hi aapka video upload hona start hoga ek naya page khulega. diyaan rahe jab tak aapka video pura upload nahi ho jata aapko ye page band nahi karna hai.

  1.  Aapka video kitne percent upload huaa bo yaha dikhta hai
  2. Aap ko yaha apne video ka tital daalne hai. (Video Ka Naam)
  3. Video ke baare me likhna hai – Video me kya hai or bo kis baare me hai.
  4. yaha par tag dalne hote hai jin topic par aapka video hai bo.
  5. Jab aapka video upload ho jaayega to yaha par aapke video me se 3 image aa jayegi. unme se aap ek select karlo. ye image video ke start hone se pehle dikhti hai. yaha par ham apni khud ki banai Thumbnail (image) bhi upload kar sakte hai.
  6. yaha par aap set kar sakte hai ki is video ko kon kon dekh sake. Agar aap chahte hai ki puri duniya aapke video ko dekhe to Public karde.
  7. yaha se aap direct is video ko Google+ or Twitter par share kar sakte ho.
  8. yaha par aap playlist bana sakte ho. Playlist matlab bhut se video ek hi topic par to aap unka ek playlist(group) bana sakte ho.
  9. Jab aap apne video ki detail bharde or video pura upload ho jaaye phir Publish ki button par click karde. aapka Video ab Youtube par Upload ho chuka hai.
  10. Apne upload kiye huye video ko dekhne ke liye yaha click kare
  11. Agar aap or video upload karna chahte hai ek sath to yaha par click kare

Aap Jo Video upload kar rahe hai uski sahi tarike se setting or detail dalne par hi wo search me aata hai kisi ke search karne par, to aap ko uska bhi dhyan rakhna hai. Youtube Video Setting kaise kare uski jankari yaha di hui hai.

Dosto hamne ye to jaan liya ki video upload kaise karte hai. chaliye ab jaante hai ki video upload karne ke baad paise kamana start kaise karte hai youtube se.

Youtube ki or bhi bhutsi jankari ke liye hame follow jarur kare Facebook, Twitter or Youtube par.

Agar aapka koi sabaal/doubt ho to aap comment ke jariye puch sakte ho.

Aapko ye jankari kaisi lagi ye jarur bataye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

324 thoughts on “Youtube Par Video Kaise Upload Kare in Hindi”

  1. Rohit ji video dal ke paise nahi kama sakte jab ki youtub hame Aadas dega tabi paise kama sakate hai… Or ek bat youtub se paise kamane ke liye paypal acount bi nikalna padega help ke liye thanks

    Reply
  2. rohit bhai. youtube par mene bahut saare video dekhe jisme wo video k upar lkh dete hai ki video pasand aaya to subcribe kare, or ham jb uspr click karte h to unka channel open ho jata h. or kuch video me video ke andar hi channel subcribe & Fb page like key rehti hai. or kuch video me last me video rehte hai uspr click karte hi wo video open ho jate h, jese tseries ne koi video upload kiya to wo last me 3 video dete hai. uspr click karte hai to wo video open ho jaate h. to rohit pls reply. bcz mujhe jaldi hi youtube par video upload karna h.

    Reply
    • video last me add karne ke liye video editor me add karna padega
      video par link add karne ke liye youtube par anotation ko add karna padta hai. uska option youtube par hi aata hai.

      Reply
  3. sir ek purani id thi to espar video dalna chahta hu to upload karte hai to no apps can perform this action bat a RHA hai to kya kare ki video upload ho jae

    Reply
  4. sir ham1 hars07 minat ki video banae hai to agar hambechana chahe to kha bik sakti hai.q ki Esme ham 2 lakh lga chuke hai. plZ help sir

    Reply
    • ye koi fix nahi hai or iske bare me hame batay abhi nahi jata ki kis hisab se hame milta hai. Jo ads aate hai uska 55% milta hai par ads ki kya kimat hai iski koi detail nahi hai. Aap Ku
      hud andaja laga sakte ho ki aapko 1000 views par kitne mil rahe hai.

      Iska jaabab me bhi aapko nahi de sakta q ki aap kis trha ke video daalte ho or kaha ke log jada usko dekhte hai ye bhi nirbhar karta hai income par. Aap kuch tri kare or analyse kare ki kaise income ho rahi hai or kaise or badai ja sakti hai.

      Reply
  5. sir limit time 15 mint long bata rha hai to 15 se jayda ki video nahi dal sakte hai
    ham kitne minat tak ki video upload kr sakte hai

    Reply
  6. सर मेरा एक ब्लॉग है anshcomputer2.blogspot.in इसमें हम सजावट नहीं कर पा रहा हु या इसमें कोई विडियो साफ्टवेयर कोई भी डाटा नहीं डाल पा रहा हु कृपया इसको खोलकर इसमें कुछ डाटा डाल दे या मेरे इमेल rk4752352@gmail.comपर इसके बारे में भेज दे जिससे मै अपने ब्लॉग में डाटा डाल सकू

    Reply
  7. mujhe apni wesite par video photos sabhi kuch dalna hai kese dala jayega mujhe apne photos apni website par dalne hai bataeye kese dalun

    Reply
  8. HELLO SIR MAINE YOUTUBE PR AC BANA DIYA OR VIDEO BI UPLODE KR DIYA AB INCOME KAISE START HOGI OR MERE YOUTUBE KE AC KA NAME CHANG KRNA H KYA YE HO SKTA HE

    Reply
  9. Brother hamare par dya kar ke batado ki mobile se youtube par video dalna aur video dalkar paisa kamane ka pura details tarika batado please bhai batado

    Reply
  10. sir agar maine koi internet cafese adsense kiya to chalega kya khud ka computer na ho or adsense kardenese acount bananese kya paise kama sakta hoo bataiye sir

    Reply
  11. Rohit boss. main ek singer hoon main bahot sarein video record kiya hoon . main apna video upload karke paisa kamana chahta hoon .pls help me

    Reply
    • Haa to Aap youtube par account banakar apni video uspar upload karo. Jab koi aapki video ko dekhega to aapki Income hogi.

      Or aage me bhut kuch share karuga youtube ke baare me jisse aap or badiya se youtube ko use kar paoge

      Reply
  12. मेँ एक गायक हूँ मुझे अपना विडियो youtube के साथ साथ अंय साइट्स पर अपलोड करना हे आप मुझे बताएँ कौन कौन से वो जिन पर मेँ अपना नया विडियो लोड कर सकता हूँ मेरा मोबाइल नंबर

    Reply