Youtube Par Video Kaise Upload Kare in Hindi

Youtube ek bhut hi Saral or free tarika hai online ache paise kamane ke ham ye to jaante hai. or humne pehle ye bhi jaan liya tha ki youtube se paise kis tarike se kamate hai. Bhut se mere dost youtube se paise to kamana chahte hai par unko ye pata nahi hota ki youtube par apne video ko kaise upload karte hai, to Aaj ham jaanege, Video ko Youtube par kaise Upload karte hai.

youtube par video kaise upload karte hai

Page Contents

Kaise Video Dale(Upload) kare

Muje step by step follow karo. kahi par kuch pareshani aati hai to comment karo.

Advertisements

Step 1:

Computer me Youtube Account me login karo. (*Mobile me upload karne ka alag tarika hai. agar aap bo janna chahte hai to hame comment ke jariye bataye.)

Step 2:

Login karne ke baad Jo upar upload ki button hai us par click karo

Step 3:

Upload par click karne ke baat ek naya page khulega. aapko yaha par apna video ko dalna hai.

  1.  Apne Video ko aap yaha par click karke apne computer se select kare fir video upload hona start ho jayega.
  2. Agar aap ka koi video Google+ par hai to usko aap direct youtube par daal sakte hai.
  3. Direct apne webcam se record karke aap youtube par daal sakte hai
  4. Agar aap apni Images ka slid show video banana chahte hai to yaha par click karke apna photo select kare. Is ke baare me or jankari aap ko baad me duga.
  5. Google+ se video chat karte hue aap apni live video youtube par daal sakte hai
  6. Aapne jo video pehle se upload kar rakhe hai usko yaha par jaa kar edit kar sakte hai. kaise edit karte hai ye me aapko baadme bataoga.

*Aap video ko apne computer mouse se pakad kar Upload ki screen par laa kar chod de. Video upload hona start ho jayega.

drop your video here

Step 4:

Jaise hi aapka video upload hona start hoga ek naya page khulega. diyaan rahe jab tak aapka video pura upload nahi ho jata aapko ye page band nahi karna hai.

  1.  Aapka video kitne percent upload huaa bo yaha dikhta hai
  2. Aap ko yaha apne video ka tital daalne hai. (Video Ka Naam)
  3. Video ke baare me likhna hai – Video me kya hai or bo kis baare me hai.
  4. yaha par tag dalne hote hai jin topic par aapka video hai bo.
  5. Jab aapka video upload ho jaayega to yaha par aapke video me se 3 image aa jayegi. unme se aap ek select karlo. ye image video ke start hone se pehle dikhti hai. yaha par ham apni khud ki banai Thumbnail (image) bhi upload kar sakte hai.
  6. yaha par aap set kar sakte hai ki is video ko kon kon dekh sake. Agar aap chahte hai ki puri duniya aapke video ko dekhe to Public karde.
  7. yaha se aap direct is video ko Google+ or Twitter par share kar sakte ho.
  8. yaha par aap playlist bana sakte ho. Playlist matlab bhut se video ek hi topic par to aap unka ek playlist(group) bana sakte ho.
  9. Jab aap apne video ki detail bharde or video pura upload ho jaaye phir Publish ki button par click karde. aapka Video ab Youtube par Upload ho chuka hai.
  10. Apne upload kiye huye video ko dekhne ke liye yaha click kare
  11. Agar aap or video upload karna chahte hai ek sath to yaha par click kare

Aap Jo Video upload kar rahe hai uski sahi tarike se setting or detail dalne par hi wo search me aata hai kisi ke search karne par, to aap ko uska bhi dhyan rakhna hai. Youtube Video Setting kaise kare uski jankari yaha di hui hai.

Dosto hamne ye to jaan liya ki video upload kaise karte hai. chaliye ab jaante hai ki video upload karne ke baad paise kamana start kaise karte hai youtube se.

Youtube ki or bhi bhutsi jankari ke liye hame follow jarur kare Facebook, Twitter or Youtube par.

Agar aapka koi sabaal/doubt ho to aap comment ke jariye puch sakte ho.

Aapko ye jankari kaisi lagi ye jarur bataye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

324 thoughts on “Youtube Par Video Kaise Upload Kare in Hindi”

  1. Bhai m ek Clark hu meri Taiping speed achhi h dono languages me (Hindi/English) but m apni salary k sath kuch alg se bhi kmana chahta hu… aap ki site dekhi to maine socha ki syd aap meri help kroge.. sir agr koi bhi esi site ho jis pr taiping krne se pase milte ho ya fir offline taiping kr k paper site pr upload kr skte h to pls esi koi bhi site btao ya fir en sab k alava koi or trika ho to bhi btao…. maine bht site dekhi h pr jab register krte h to apne account se un k account me phle paise dalne k ly bolte h….. agr koi asi web site ya koi center ho jis pr m office me baithe baithe paper typ kr k upload kr du or fir vo site meire actt. me paise dall de to m y bhi kr skta hu… pls reply… i am wait at my email..

    Reply
  2. kaisa type ka video ko monetize karsaktahaa.kohi download keya gaya video ko edit karka firsa upload karka usko monetize kar sakta haa ki nahi.

    Reply
  3. sir mene apne srabh781@gmail se youtube me video upload kiya hu yadi me srabh781@gmail me hi chanle banau too kya mene jo videos pahle upload kiya tha isi gmail me vo mere chanle me dikhenge

    Reply
  4. sir…mene… abhi ek naya gmail.se youtube me.. khata khola hai ek video bhi upload kiya hu yadi me इसी gmail me .. chanle banaunga tooo kya jo video mene upload kiya hai wo video me dikheng

    Reply
  5. sir agar hum adseness ko apne chanle se jode bager video upload kare too kya . paise nahi milenge adsenees canect karna jaruri hai kya

    Reply
  6. sir mene youtube par acount banakar video uplod kar diya …..fir baad me youtube chanle banaya hu….mujhe yeh samj nahi aa raha ki jo video mene pahle uplod kiye thhe un videos ko my chanle me kese jodhu….kya video ko adness se jode begar bhi youtube se paise kama sakte hai

    Reply
  7. helo sir

    mera YouTube account hai
    us me 19 video hai Jo monetize hai
    an Jo Bhi video upload karta hu vo monetize nahi hotel

    usme ! simbol aata hai

    ! simbol me Jake acsep karta hu to ? ye simbol aata hai

    $ simbol nahi milta

    apne mobile se video download karke upload kiya fir Bhi nahi hota $ simbol

    or ek bat meri wapka site me AdSense ad rakh sakta hu?

    YouTube channel ka name hai Koday

    dusri Kodaywap Jo bandh hai invalid click 9month

    Reply
    • Aapne video khud se nahi banaya hai or aapne kahi se copy kiya hai.. Copy kiye video ko monetize nahi kar sakte.. Kuch ho jate hai par unke bhi paise nahi aate..

      Me phele bhi kitni baar bata Chuka hu agar youtube se paise kamana hai to copywrite video se nahi kama sakte.. Khud ke video upload karna hai

      Reply
  8. YouTube per video upload karne k baad paise kaise kamaye… Maine apki post mein pada tha ki paise hamare bank accont mein transfer kiye jayenge,, to ap mujhe ye bataiye ki apna bank account No. Kaise submit kare,,, or humein bank account submit karne k Liye ab kaha jayega…
    ,. PLzz heLp mE… i’LL be vry thankfuL to uu…
    .
    .
    pLzz mujhE e-maiL kar k ya whatsApp pE msg kar k mEri pRobLem ka soLution bata dijiye…
    ..
    mY whatsaPP No. is 8869894893

    Reply
  9. Hello sir I am emraz me ap se bohut helpe ki jururat hai kya ap hame helpe karki ……Akar ap hame helpe karna sati hai to ap hame whatsapp me ….8761865642 is nobur …
    Please sir……..
    Ki hame helpe ketina karna hai ki..
    Internet se kese Microsoft windows kese dis me copy kese karthy hai bash atine hi karna hai …..
    Or kuch hai bo me bat me boluki..
    Please.

    Reply
  10. Mughe ye janna hi k me ne youtube pr video upload kar di hi pr me ne jo tittle diya hi wo serch pr click karta ho to ni aata hi kisi aur k acount se bhi kar ke dekha hi pr ni aayi video aur mughe ye btao ke youtube pr jo nayi video uplod hoti hi wo mobile se kaise pata chale gi

    Reply
  11. sir mera you tube par account me monetize green ho gaya hai lekin account verify nahi ho raha hai aur adsense account bhi reject ho gaya hai ab adsense account again creat nahi ho raha hai please help

    Reply
  12. bhai mai jab bhi video upload karunga tab bhi monetize enable karna padega kya
    bhai or you tube ka paisa milta kaise hai
    dobara likhane ke liye sorry bhai lekin jaruri hai btaiye bhai

    Reply
  13. Hi
    ek mai new video upload kiya hu,kya hum monetizetion upload ke time kar sakte hai,kyo ki jab upload pura ho jata hai to basic info ke bagal me monetizetion ka opption aata hai.to direct yaha se ho sakta hai,ya jaise pahle kiya tha. jab monetizetion ho jata hai ya monetizetion ka logo aajata hai to adsense ho jata hai ya karna parata hai.

    Reply
  14. thanks bhai mai aab youtube ka video download karna sikh gya thankyou so much bhai
    bhai ak or jankari chahiye ki internet pe website kaise bnate hai

    Reply
  15. bhai mujhe bhot jarurat he me rupe kamana chata hu me apni website kese banau or kese kese kya karu mujhe abhi bhai kuch bhi nhi pta bhai apna no de ye jo mera ekamil he ye mera fb me acount he please bhai mujhe vha ake help kar de yrr mujhe jada jarurta he peso ki

    Reply