YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.
Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.
Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.
Page Contents
Youtube Kya Hai ?
YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.
Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi
Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.
Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.
Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.
Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.
YouTube Par Upload video kare ?
Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
– Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
– Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?
YouTube Video ko Monetize kare ?
Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.
YouTube se Kamai kaise hoti hai ?
Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se
YouTube se Paise kaise milte hai ?
Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.
Youtube se paise kab milte hai ?
Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..
Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?
Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.
muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.
or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp
Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari
- Youtube channel ki analytics kaise dekhe, Kirne Views, income hui wo sab
- Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai
- High Quality Youtube Video Bnane ke Liye Kya hai Jaruri [7 tips]
- YouTube Subscriber Badhane Ke 6 Jabarjust Tips
- YouTube Channel Custom URL Kaise Set Kare
- YouTube Account ko Verify Kaise karte Hai in Hindi
aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.
Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.
Sir i am working in military.kya aap apna mobile number muje e-mail kar sakthe ho kya
Sorry par aapko jo bhi jaankari chaiye aap site par comment karke puch sakte ho
Sir agar apna website banakar koi aisi cheez matlap g.k,science,geography yeh sab apna blog me type karnese.agar koi yeh sab subjects ko koi padtha hai tho kya humara accont mein paisa ayega.
Paise to ads se aate hai b jo hamse blog par ham lagate hai
Agar koi humara apna nahi.dusra koi video upload karega tho kya humein cash milega
Sir i am from paramilitary you tube mein video upload karney keliye koi apna naam ka koi website hona zaruri hai kya
May website kaysay bnau…kuch guide kar skhthyy hio
Aap is post ko pado – Website kaise banaye
Sar namskar me rajesh aapne ek bat nahi batai ki ye pesha a/c me kese jayega sab bataya bahut jankari mili bas ek bat or bata dijiye mail par
rr916093@gmail.com
Adsense ke madiyam se Hamare bank account me aata hai
website ko kha par rejister krna padta jisse us per aane wale visitor se income hoti h or kaise pata chlta h ki kitna Income hua.
Adsense, Media.net, Bidvertiser par account bana kar uske ads ke code apni site par lagane padte hai.
plz aap mujhse whatsapp per jhud skte h mujhe money ki urjent problem h.
Sorry, Par mere pass aesa koi tarika nahi hai jisse jaldi se paise kamaye jaa sake. Me Blogging or Youtube se paise kamane ke bare me batata hu.
plz aap Mujhse whatsapp pe jhud skte h
kaise Income hoga mujhe start se please btaye.
Agar aap youtube se kaise income hogi ye jaanna chate ho to aap meri in post ko pado. Or aage bhi me post likhne wala hu.
Sir m Ye jaanna chahta hu ki gmail account ka password Kaise change hoga android mobile m ???
muje music website se kaise incom hota h janna h
website par jo ads aate hai un se income hoti hai.
Mene abhi ak Punjabi song tyar kiya h us par kafi kharch hua hai to usse income kese kare
sir google adsense pe account bnane aur payment prapt krne ke liye kis kis cheez ki zrurat pdegi???
jese debit card/credit card/pan card???
ya sirf bank account se kaam chal jayega????
Bank account dena hai. Hamari income usme aa Jati hai. Debit-credit card to paise nikalne ke kaam aayege
Mobile par video record karne ke kon kon se software he aur wo youtube par copyright bhi na aye
Hello Mera Name mujeev hai kya aap bata sakte hai 100 baar agar koi video dekhta hai to kitna rupya milega
Mujhe paisa kamana he net se kaise kamaye
Aap youtube ya for blog bana ka paise kama sakte ho. Uski jaankari mene site par di hai http://www.HMH.pe
Sir maine you tube par vidoe load kiya hai but aap ke batane ke anusar jab mai chek kar raha hu to Your channel does not have any views yet. If you recently published a video, please check the realtime report please iska salusion bataye
2 din baad analitics me aati hai detail
Sir, Jaise maine adsense khola to ush par Ye aa raha hai ” I will show add on ”
wanha par url dalne ko kah raha hai, kya daalun wanha par. Plz sir
sir me paise kamana chalata hu kuch tarik bata do hepl me sir
Me jis trha se kama raha hu ussi trha se bataoga. Aap youtube or Blogger par blog banao. Uski jaankari mene site par di hai http://www.HMH.pe
Bhai tmne kaha ki AdSense hme paisa dega jb hmari income 100$ hogi,mai puchhna chahta hu ki mai AdSense ko apna address ya bank account kaise btau ki wo mujhe payment kre bina address ya bank account k to payments hogi nhi to ye btao mujhe ki mai apni jankari kaise du AdSense ko???
Adsense account me login Karke apni profile or payment detail update karo.
Mai google par apni picture upload kaise kr
PLEASE HELP ME
Kya Help Chaiye
MAIN NAHAI BANA PA RAHA HUN
dear Rohit ap apna skype ID day do or me ap se youtube se earning ka triqa or video ko edit kar k dalny ka triqa ya video me jo copyright ka msla ata hai us ka kea haaal hai ye pochna hai mera skype id javed_prince hai ap ka kea hai ??
Javed abhi me jaha hu bha par abhi mere pass computer nahi hai. Or network bhi tik nahi hai. Me aapke sabalo ke jabab yahi dena chahuga.
Youtube par earning video view hone par hoti hai uske phele hame apne video ko monetize karna padta hai.
Copyright © jab hota hai jab aapne kisi ka video download karke upload kar diya. Ya fir aapne jo video banaya hai usme aapne koi copyright © song use kiya ho. Aesa karne par ham video se paisa nahi kama sakte
ad sence par accont kase banaye?
Aap ye post pado. isme mene bataya hai kaise youtube ke liye adsense account banate hai.
Thanks Rohit is wonderful information ke liye, Ye sab ke liye bohot upyogi he..
Shukriya..
Thanks,
Apne dosto ko Hindi MeHelp ke bare me jarur bataye or meri help kare.
Mere videos ke 300 views ho chuke hai or ha maine monetize bhi kr diya pase kitne views pr milenge
Itne view par to naa ke barabar. Aap thode or badiya video dalo kam se kar 5000 view har din Hona chaiye jab hi aapka har mahine badiya check aa sakta hai. 100$ hone ke baad hi paise aate hai Hamare pass
Sir blogger me website banaiye hai. Usme 60 post bhi kiya hai. Uski design pasand nahi aa raha hai. SSY70.BLOGSPOT.COM
sir sundndar design kaise banate hai.mera help kijiye.
design ke liye aapko blog ka template change karna padega.
Blogger ka template kaise badle
Aap is post ko dekho, aap google par search karlo koi acha sa mobile friendly or SEO friendly template. Mene post me ek template bhi share kiya hai aap usko tri kari ya fir koi dusra template download karke usko upload karo
Jo wordpress ki website 3gp free milti hai image ke liye kya us memory me blog post Nahin ho sakta kya.
blog post to ho sakte hai par jo sabse main hai plugin jo wordpress ko or bhi jada eassy banati hai, ham unko install nahi kar sakte. agar free use karna hai to me aap ko suggest karuga ki aap blogspot use karo. isme aap apne hisab se pura customize kar sakte ho.
Ye doname and hosting me kitni rupay lagega sir
Domain me 599 or hosting me lagbag 8000-10000 per year.
Agar aapko Jada jaankari nahi hai hosting bagera ki to aap simple Blogger par blog banao or usme sirf domain hi lena padega or Jada dikkat bhi nahi aayegi.
Mera wordpress free wali website banaya hai jisme 3gp space milta hai sir
Hosting ki kb jarurat padti hai. Abhi kare ki 3gp full hone ke baad
Agar aap self hosted WordPress blog banana chate ho to aapko hosting bhi lena padega or domain bhi. Uske baad hi aap wordpress ke pure future ke Faida Utaa sakte ho.
Jo wordpress 3gb free de rahi hai bo sirf image ke liye hai par image ke aalaba agar aapko koi plugin install karni hai to hosting jaruri hai
Sir bina hosting ke sirf doname wordpress me kya liya ja sakta hai.
hosting lena jaruri hai.
Sir mera ek wordpress ki website hai uspar doname ko kaise. Karte hai.
Aapko domain ke sath sath hosting bhi leni padegi. Aapko hosting me wordpress ko install karna padega
wordpress ki website me godady se doname and hosting kaise lagate hai.
Please give me details
Godaddy se domain Lene me kya dikkat aa rahi hai. Aapko hosting bhi leni padegi. Hosting Lene Ke baad simple wordpress ko install karna padta hai. Aap iske liye youtube par search karo how to install wordpress manually tutorial for newbies
Bhaiya mene bank account nhi diya h home addres diya h koi problem toh nhi hogi na plz help
Bhaiya mene apna.bank account number nhi diya h home addres diya h kya karu help me plzzzz…
But Bhaiya mene bank account nhi diya h addres diya hai Ghar ka..toh kya karu..???
bank account ki detail, adsense account me dalni hai.. wo address verify hone ke baad dal sakte hai..
Bhaiya mere YouTube par dollar kam jyada hote.rehte h kya karu please help me…
Ye to Aam baat hai. Aap youtube ki term conditions padoge to usme saaf saaf likha hai ki jo youtube par jo income dekhege bo galat bhi ho sakti hai. Aapki jo legal tarike se income hogi uski income aapko adsense account me har mahine 15 tarikh ko add ho jayegi
youtube blog mai apne he banaye gaye videos se kamaya ja skta hain ya jis ki bhi videos ho chalega?
blog par aap kisi bhi video embed kar sakte ho par paise kamane ke liye aapko blog me ads lagana padega unse aapki income hogi. video play karne se to jiska video hai uski hogi youtube par
yaar rohit mera blog tha..
but jab maine adsense acount banaya to vo disapprov ho gya.
Blog tha se kya matlab hai aapka blog delete ho gaya hai kya.
AdSense account disapprove hone ke bhut se Karan hai.
Kisi se copy kiya ho
Kuch illegal dala ho
Site Sahi se design naa ki ho
Post 400-500 sabd ki naa ho
Bhai bidvertisr ka add Jo Maine blog pe lgya h o desktop pe to show krta h bt mobile pe nhi show ni krta h Kya kru ki mob. Pe hi ads show ho
Bhai jaise apne hi to hola n ki blog me mega tag add krne ko bhai
Haa to aap meta tag add karo apne blog me.
Is tool ki madad se aap apne blog ka meta tag bana sakte ho
http://hindimehelp.com/meta-tags-generator/
Or blog me meta tag kha se hoga Bhai
Meta tags kahi show nahi hote bo sirf search engine ke liye hote hai.
Bhai Maine Jo blog bnaya h usk title ya url ko serch k liye Google pr dalna chahta hu to Kya ap bta skte ho ki hme Kya krna Hai
Aap google webmaster me site ko submit karo. Or vlog me meta tag bhi add karo
bhai maine ek blog banya hua tha aur use bidvertiser pe add kr diya mere blog blog pe bidvertiser ka ad b ane lga h bt mai jb bidvertiser pe login krta hu to usme earning 0 $ dikhata hai…is trh se
Recent revenue update: May-05-2015 Next expected revenue update: May-06-2015
Date:
From: Date selection widget To: Date selection widget (mm/dd/yyyy)
BidVertiserTitle URL Type Impressions Revenue Point Revenue Status
my title my url HTM 43 1 $0.00 (Partial) Running
total 43 1 $0.00 (Partial)
bhai isi trh se login krne pe dikhata h ab btao kya krna h ……thoda step by step btana plz
Aapke blog par kitne visitor hai per day. Kam se kam 1000 to Hona chaiye jab hi kuch income dekhegi.
Or khud to bilkul click mat karna nahi to jo income hogi bo bhi chali jayegi. 24hrs me hoti hai earning update
How can open my account
Aapka jo Gmail ka account hai ussi se you par jaa kar account khol sakte ho. Aapko Gmail ka hi id or password daalna hai youtube par bhi.
Blog se kis prakar se income hoti hai
Uspar ads lgane se. Jese aap meri site par bhi ads dekh sakte ho
Hi sir mera nam surendra pratap hai mai youtube chainal dealet karke dusra chsinsl banana hai maine aap help karo mujhe rupey ki bahut jarurat hai
app google+ par ja kar uske naam ka page delete karde.. channel delete ho jayegi..
Youtube par ek account me ek se jada channel bhi bana sakte hai
Mere pas pancard nahi h to koi or pancard use karke paise hamare account me aa sakye h kya
Jis naam se pan card hai ussi naam ka bank account Hona chaiye
Paypal account banane ke liye kin chijo ke jarurat hoti hai
Aap is post ko pado.
http://hindimehelp.com/paypal-par-account-kaise-banaye-india-me-puri-jaankari/
Bhai new apps banakar us se paise kaise kamate
Aapne dekha hoga ki kisi app me ads aate hai. Un ads ki madad se income hoti hai. App banane ke liye coding bhi aana chaiye
Or bina pancard ke rupeey bank account me aa sakhte hai kya
Nahi,
Bina pan card ke paisa lena matlab tax naa bharna or ye to chori hai