YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
Rohit ji mujhe ye btaye ki har vedio koalag alag monetize krna pdega .iske alawa kyaa ye blog ya web saite bnana jaruri h. Plz
kyo bhai isme our videos nhi dal sakte h or payment code dalne ke liye adsense site kha se khulengi or payment kese ayenga
video manager me video ke samne ye 3 icon nhi Aa rhe muje kya karna chahea
aap mobile me open kar rahe hai kya….aesa to ho hi nahi sakta..
Mobile me channel ka optíoÑ. Nhi ãàà rha hai update krne ke baad channel ka optíoÑ ãàà rha hai but video manager ka option nhi ãàà rha hai…plzz help kijiye
Mobile me channel ka optíoÑ. Nhi ãàà rha hai update krne ke baad channel ka optíoÑ ãàà rha hai but video manager ka option nhi ãàà rha hai…plzz help kijiye
aap youtube app ki madad se aaran se upload kar sakte ho
Youtube par video uplod karaneka koi charge lagata hai? Ke freeme uplof hota hai?
free hai
Bro mery pas monetization ka option green nhi ho rha ha
agar aapne vode copy kiye hai to nahi aayega option
Please help me
Sir kya me mob.se
siru kr sakta hu
haa kar sakte hai
Bhai mene ek youtub channel banaya tha 3 mahine pehale or aab uspar 10 thousand views hai lekin incom mai only $1.54. Hai jabki sare videos monetize hai per day only $0.01-$0.02 ki incom hi horahi hai please help me incom badane ke liye kya karu
sabse pheli baat to aap views se mat dekho ki itni views hai to itni income honi chaiye.. agar aapke video jada nahi dekhe jate.. matlab khane ka views nahi.. kitne time tak usse bhi fark padta hai..
Bhai Mene 3mhine pehale YouTube channel banaya tha or aaj uspar 10 thousand view hai lekin incom mai $1.54 hai jabki sare videos monetize hai kya karu please help
itneviews me intni income achi hai.. aap views badane par diyan de..
Bhai Mene 3 mhine pehale YouTube channel banaya tha or aaj mere channel par 10 thousand views hai lekin income only-$1.54 Hui hai videos bhee sabhee monetize hai copyright content bhee nahi aaraha hai kya karu please help
ooh 1.54 hai.. aapke video ke views bhut hi kam hai.. or bhut jada time me hue hai is liye oincome itni hai.. aap ache video banaye jada views aayege jaldi jaldi to aaoki achi income hogi..
mana jo youtube par video upload ki hai us ka monerizetion kr raha hun par wo ni ho rahi us video ka aaga wo select krna wala box ni aaraha .us ka bad monetizetion ka aaga Enable bhi ni aaraha .ya kya msla hai
sir jab hame AdSense ka account banate h to usme account no. to kahi nahi dalna padta fir pese account me kese aayege
Adsense account banane ke bad paise kese milenge
Sir seen karne ka paise kis type se aaye ga like kis account me
adsense account me aate hai paise..
Mera $ yellow AA raha h ise green karne ke liye kya krna hoga
Agar aapke video me koi copywrite contact hoga to green nahi hoga..
Mera $ yellow me show ho raha h iska kya mtlb h or ise green krne ke liye kya kru
aapke video me kuch contant copy hoga isliye..
Bro Jab Paise Hamare Account me aty hein to pata kaise chalta h
yaha dekhae kaise pata kare
Bro konsa Account dete hain jahan se rupees lety
Or bank se rupees lety
bank account ka
thank u rohit
youtube par adsense k liye approve kiya tha or adsense approve bhi ho gyi thi but video pr adsense nhi aa rahi hai to ab kya karu
Thoda time lagta hai ads aane me.. Or aesa bhi ho jata hai ki ads har bar nahi aate video play karne par.
monetize kaise kare adsene se kaise jode
Youtube me to connect karna hai jiski jankari mene site par di hui hai.
You tube par monetize kaise kare adsense se kaise jode
me mujhe step 3 ke aage samj me nhi aa rha hai to aap mujhe bataye
Computer ? me kare same process hi hai.
YouTube wale hamari kamai ka 50% bhag rakh lete hair kya?
Qk maine aaj bahut dino baad apni YouTube earning check ki to pahle se 50% hi bachi.
60% hame milta hai.. par jo earning hame batata hai wo cut hone ke baad hi batata hai..
mene video me image or song add kiya to ad nahi aa rahe hai kya karu…or copiright kya hai
ads har war nahi aate.. or agar aap kahi se copy karke upload karege video to wo copywrited khalayega.. jisse ham paise nahi kama sakte..
mere adsense to approve ho gyi but video pr adsense nahi bta rahe hai to kya karu
ads har war nahi aate,.
sir,mane video uplod ki h chenal me jaker (enbel)klik krate h to wah (erorr)500 bta rha h plese btaeye yh kse hoga ,
Aapne PayPal account ko YouTube k saath kaise jode….
inko nahi joda ja sakta.. adsense direct hamare bank me paise send karta hai..
sir isme bank account ka option kaha aaya…
10$ income hone ke baad aayega.. jab dalna hai
Rohit bhai maine youtube par 2 video uplod kiya hai montesize or absence bhi kar diya hai aur view bhi 500 – 500 dono video ke view hai lekin avi tak mere acount $0.00 show kar raha hai aisa kyu . and mere videos par open karne par ads nahi aata hai . aur absence acount conform hai mere youtube acount se aisa kyu.
Rohit bhai maine youtube par 2 video uplod kiya hai montesize or absence bhi kar diya hai aur view bhi 500 – 500 dono video ke view hai lekin avi tak mere acount $0.00 show kar raha hai aisa kyu .
and mere videos par open karne par ads nahi aata hai .
aur absence acount conform hai mere youtube acount se aisa kyu.
btaBhai My name is Aman Chhabra or mene Apna Account Monetization kr diya h.but Video ke Samne $ sign nhi aa rha h.tell me What should I do.plz…bta
Bro YouTube pr music Video upload krne ke liye Hme charges Dena hote h kya tell me bro
Or video ke samne $ singn nhi aarha h.Monetization open kr diya h.
Aapka watsaap no kea h
bhai agar hum kisi ka video copy karke uplod karana chahate hai to use ke liye permission kaise le sakkte hai ?
please detail mai bataye
mere 2 type ke nissan aa rahe hai ek to dollar ka or ek public ka to iska mtlb kya hai adesnse approve hui ya nhi or agr hui hai to adesnse kyu nhi aa rahi hai
pta kase chalega ki AdSense s connect ho chuka h video jse monitize hone PR to $ sign ajata h AdSense s connect hone PR bhi koi symbol ata h kya
hlo sir
mene apni video upload ki or monetize bhi kar diya but ab mene form bhi pura bhar diya or submit my application bhi kar diya lekin isse aage kuch nhi aa raha kuch asha bta raha hai (Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time.) to ab kya karu
kitne viewers p paise milna start ho jaayge
00 se hi.. asi koi limit nahi hai.
mere you tube me my channel option nhi aa raha h kya karu
Agar screen choti hoti hai to hide ho jata hai.. 3 dots me
Mobile me channel ka optíoÑ. Nhi ãàà rha hai update krne ke baad channel ka optíoÑ ãàà rha hai but video manager ka option nhi ãàà rha hai…mera 5.5 inch ka screen hai jabki
sir youtube s paise kmane k liy PayPal account ki to jrurt nhi pdti na or jin logo n hmara video subscribe kia h unk name kha dekh sakte h
Youtube ki payment hame adsense se milti hai jo direct bank account me transfer karte hai..
Subscriber aap is link par dekh sakte hai https://www.youtube.com/subscribers
hi bro mera problem yeh hai ki jo v video upload karta hoon Includes copyrighted content,, aata hai kya karu ?
aapne video khus se nahi banaya hai.. ya fir usme koi songs use kiya hai jo copywrited hai.. copyied video ko ham upload knahi kar sakte.
sir aap logo ki achi madad ker rhe h acha LGA y dekh kr . bs muje Hi reply nhi krte
thoda busy hone ki baja se reply nahi kar paya .. sorry
phli baar Hi AdSense s connect kerna hoga ya har baar esa krna hoga Matlab 2nd video m bhi esa kerna pdega kya game pta kase chalega ki account s add ho chuka h
sirf ek baar hi connet karna hai account.. par video ko alag se hi monetize karna hai.
Bhai mne ek video daal di h or view bhi aay h us k baad kya krna h …pr youtube me jo option hota h my chanal ka vo aa hi nahi rha
mobile me nahi aayega.. aap desktop view me dekhe..
AdSense s connect kerne k charge lgta h kya or esa nhi ho sakta ki kisi trah s add na aay bs vedio k paise mile
adsense ko koi charge nahi dena hota
sir mobitize bhi ho gya or AdSense s bhi jod dia ab kya kerna h esa kuch bhi krna hai kya ki add aane chaiy
ab kuch nahi aab aap apne vies par views badaye,,
Dear Rohit,
kya app apna email id hume de sakte ha.
contact as se contact kare.
video manager nh aarha my channel p click kerne pr
aap mobile me open kar rahe ho to usme hide ho jat ahai..
mene apni khud ki video daali thi