Zebpay Me Paise Add Kaise Kare Bitcoin Kharidne ke liye

Agar aapne Bitcoin ke ware me suna hai or aap chahte hai me bhi kuch paise ka investment Bitcoin me karu to aap badi aasani se kar sakte hai.

Me phele hi bata chuka hu India me Bitcoin kaise kharide, agar aapne wo post read nahi ki hai to pehle usko read kare.. iske sath sath jo Trusted or Popular Bitcoin ki website or App hai unki list yaha hai, aap in sab par apna account bana kar rakhe.

Advertisements

Bitcoin Ka rate Nov-Dec 2020 se bahut teji se badh raha hai.. Abhi iss post ko Update karte Time 1 Bitcoin ka rate ₹2500000+ hai. Bitcoin ka Current Price kya hai wo aap yaha dekh sakte hai.

Bitcoin kharidne ke bhut tarike hai, jisme se India me jo popular hai wo hai Zebpay or Unocoin, jinse ham badi aasani se Bank se paise transfer karke Bitcoin kharid sakte hai.

Zebpay Me Paise Add Kaise Kare Bitcoin Kharidne ke liye

Page Contents

Zebpay se Bitcoin Kaise Kharide

Zebpay se Bitcoin kharidne ke liye to sabse pehle aap ko uska App install karna hoga, to agar aapne abhi tak nahi kiya hai to abhi kar lijiye, Install karne ke baad aapko apna account verify karna hoga.. Zebpay Account kaise Verify karna hai uski jankari aapko yaha mil jayegi..

Download Zebpay

Zebpay App Install karne ke baad usme account banana hai, uske baad Zebpay Promo Code (REF74812203)  dale to aapko ₹100 Free Bitcoin mil jayenge, jab aap pehli war Bitcoin kharidoge.

Ab agar aapne App Install karke usme account bana liya hai, or apne Document upload karke apna account bhi verify kar liya hai to aap Zebpay se Bitcoin kharidne ke liye teyar hai.

Zebpay se Bitcoin kharidne ke liye kya kya chaiye

  1. Fully Verify Zebpay Account
  2. Aapka Bank Account – Bank Account me Net Banking chalu hona bahut jaruri hai, ussi se paise add hoge.
  3. Bank Account me Paise ;)

Zebpay se Bitcoin kharidne ke liye pehle aapko Zebpay me Paise add karna padega, fir aap unn paiso se Bitcoin kharid sakte hai..

Zebpay me Paise Add (deposit) Kaise kare

Zebpay me Paise add karna bahut aasan hai, wass iske liye aapko apni uss bank account me net banking chalu hona jaruri hai, jo aapne Zebpay Account me Verify me dali hai.

Step 1: Sabse pehle App me Deposit ki button par click kare.

zebpay me deposit par click kare

Step 2: Ab Paise add karne ke liye option aayege.

payU net Banking select kare zebpay me

Paise Add karne ke liye 3 option aayege, jisme me personally Express Transfer ko use karta hu.

Express Transfer me aapko ek Zebpay ka account diya jayega jo aapko Bank account me beneficiary add karna hoga, uske baad aap aasani se paise uss account me transfer kar sakte hai, iski limit ₹21 – 15,00,000 tak ek din me kar sakte hai, (isme Net Banking ka koi charge nahi lagega)

Payment Gateway – PayU me direct NetBanking se login karke transfer kar sakte hai. iski limit ₹2500 – 50,000 hai ek din ki. (isme Net Banking ka charge lagega.)

To chaliye Payment Gateway se kuch paise add karte hai..

Step 3: Ab aapko kitne Rupee Zebpay me add karna hai wo dale, uske baad Next ki button par click kare.

kitne paise jama karna hai wo dale

Step 4: Ab aapke samne Total amount aa jayega jo bank account se cut hoga, jisme aap jo amount add kar rahe hai wo + Net Banking ka Charge ka total aa jayega.. Aap Image me dekh sakte hai.. Proceed to Pay ki button par click kare.

Process to Pay par click kare

Step 5: Apni Bank select kare jo aapne Zebpay me add ki hai, uski Netbanking chalu hona jaruri hai q ki sirf ussi se payment hogi.

Apni Bank select kare, net banking ke liye

Note: agar aapne jo bank account Zebpay me add kiya hai uske aalawa aap kisi or bank account se payment karege to wo aapke account me wapas aa jayegi or aapka 250₹ charge cut kar liya jayega.. isliye iss baat ka khayal rakhe aapko apne ussi bank account se paise send karna hai jo aapne Zebpay me add kiya hai.

Ab aapko apni Bank select karke Payment ki Process complete karna hai, security ke karan me aapko Bank ki process nahi bata sakta.. par aap jese hi payment kar dege aapke samne aesi screen aayegi.

successful payment sent ho jayegi

Bank me paise cut ho jayege, par wo paise zebpay me abhi add hone me kuch time lagta hai, mene jitni war bhi add kiye hai 10 minute me add ho jate hai, par isme 24 hours bhi lag sakte hai..

*agar payment karte time bank server me koi problem hoti hai to wo paise aapke bank account me wapas aa jayegi 24 hours ke baad.

Zebpay me Bitcoin Kaise Kharide

Upar ki Process ko complete karke aapne Zebpay me paise to add kar liye hai, ab aapko Bitcoin kharina hai, uske liye kya karna hai chaliye dekh sakte hai.

Step 1: Buy ki button par click kare.

zebpay me paise add ho gaye hai

Step 2: Ab aapke Zebpay account me jitne paise aapne add kiye hai wo upar dikhai denge, aap unme se jitne bhi rupee ke bitcoin kharidna chahte hai wo Box me Enter kare, uske baad Buy ki button par click kare.

kitne rupee ke bitcoin kharidna hai wo enter kare

Step 3: Ab jo Zebpay me aapne PIN set ki hai wo aapko dalni hai, yaha khayal rakhe agar aapne galat PIN dali ya Forgot PIN? par click karke PIN change karna chaha to aapka Zebpay account 24 hours ke liye block kar diya jayega security ke karan..

Isliye PIN sahi se or dhiyan se Enter kare..

Zebpay PIN Enter kare

Sahi PIN Enter karne ke baad jo Paise Zebpay me the uske Bitcoin hamare account me aa jayegi. jo aap App me sabse upar dekh sakte hai.

At Last:

Ab aap Jan chuke hai kaise aap Zebpay me paise add kar sakte hai, or kaise Zebpay me Bitcoin kharid sakte hai.. isme agar aapka koi sabal ho to aap comment karke puch sakte hai.

Upar jo tarika mene bataya usme Express Transfer ki madad se paise add kiye, jisme 50,000₹ se jada add nahi kar sakte or isme Netbanking ka charge bhi lagta hai.. to me aapko suggest karunga aap NEFT, RTGD, IMPS se kare taki koi Extra charge naa lage or iski limit bhi 10,00,000₹ hai.

NEFT, RTGD, IMPS se paise add karne ke liye pehle aapko jo Zebpay se account number milega wo Bank me add karna hoga uske baad usme paise transfer karke yaha uski detail dalni hogi..

Ummid karta hu ab aap Bitcoin kharid payege India me agar aap usme Interested hai :)

Zebpay India me ek trusted Source hai Bitcoin kharidne or bechne ke liye, iske alawa bhi jo Website or App hai uski jankari mene di hai, aap unpar bhi apne account bana kar rakhe, taki jab bhi aap kharidna chahiye sabse saste damo me kharide..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

59 thoughts on “Zebpay Me Paise Add Kaise Kare Bitcoin Kharidne ke liye”

  1. काफ़ी टाइम से इसके बारे मे जानकारी इक्क्ठा कर रहा हूँ पहले थोड़ा Confusion था बिटकॉइन को लेकर लेकिन अब आपको देख कर सोच रहा हूँ थोड़ा बहुत निवेश कर दू, l

    Reply
  2. Thankyou so much kafi achi jaankari apne share ki hai Zebpay k bare mein or kafi ache se samjha diya apne screensort k sath. Bhot Badiya.

    Reply
  3. sir maine 3 mahino se adsense ke liye apply kiya hai abhi tak approve nahi hua… To kya aap meri site ko ek baar dekh kar bata sakte hai ki akhir meri site me aisi kya kami hai jo adsense approve nahi ho raha..

    Reply
  4. Sir me jitni bhi post likhta hu vo Sab 2nd aur 3rd page par show hoti he

    Sir Jo post Meri 3rd page par show hoti he use me 1st page par kaise Lau mughe Kya Karna hoga
    Please sir any advise

    Reply
  5. Sir me jitni bhi post likhta hu vo Sab 2nd aur 3rd page par show hoti he

    Sir Jo post Meri 3rd page par show hoti he use me 1st page par kaise Lau myghe Kya Karna hoga

    Reply
  6. Bohot hi badhiya post rohit bhai.
    Bitcoin achha ja raha hai abhi to group me bhi bat chal rahi hai aj kl

    To ab me bhi soch raha hu thoda sa invest kr du pr dar bhi lgta hai

    Reply
  7. Bhai plz help me mere adsense me pageviews update nahi ho rhe hain 23 pageviews pr 7300 impression ho gaye hain or 16 click hain. Page ctr 70 hai. Ye mere sath kal se ho rha hai .ab kya karun adsense to disable nahi hoga na .
    Plz bhai reply jarur karen …..

    Reply