Agar aap ek Blogger hai to aap Successful to jarur hona chate hoge, or iss Guest Post me batane ja raha hun ki kisi bhi blog ko successful banana ke liye badiya First Impression kitna jaruri hai.
* Kya aap bata sakte hai visitor kisi blog ko open karta hai to sabse pahle kya dekhta hai?
* Ek najar me popular blog aur new blog me difference kaise pata chalta hai?
Thoda apne nazron ko tej karne, aapko javab mil jayega.
Chaliye main bata deta hun, theme look/theme design hi woh pehli chij hoti hai, jispar
kisi bhi visitor ki pahli najar jata hai.
Because Sabse pahle theme design hi visitor par impression dalata hai. Theme design
achchi hone par visitor aapke blog par long time tak rahega aur dobara bhi visit
karega.
Aisa isliye hota hai ki iske piche ek simple sa psychology method work karta hai, ham
insane jab koi achi / beautiful chij dekh lete hai to usse jaldi attract ho jate hai
Jise general language me first impression kahte hai.
I am sure, aap school ke dino se apne friends par achcha impression dalane ke liye
dress se lekar apni speaking skill me improvement karte honge.
Aapka blog bhi bilkul aapke ki tarah hai, jisse bhi first impression ki jarurat padti hai,
taki vo maximum visitors ko attract kar sake.
Is first impression ke liye keval theme design se nahi, uske sath bhi kuch kuch hai jo acha hona chahiye.
iske bare me jane usse pehle First Impression ke ware me thoda janate hai-
Page Contents
Blog First Impression Kya Hai ?
Ek word me kahun to first impression kuch had tak love at first sight ki tarah hai. In details, first impression ek attractive ambiance create karta hai, jo keval visitors ke eyes ko acha nahi lagta hai, balki ye man se lekar heart ko touch karta hai aur sath hi visitors ko acchi cheezon ko yaad rakhne ke liye positive request karta hai.
Blog First Impression Ke Fayde
First Impression se hone vale benefits se kisi bhi blog ko popular aur successful banaya jata hai.
- Bounce rate low hogi aur user engagement time increase hogi.
- Regular visitors ke number increase hoga.
- Subscribers maximum milega.
- Comments badhega
- Overall Ranking aur Organic Traffic badhegi.
ye jitne bhi fayde hai badiya First Impression ke, wo Google ko sidha sidha signal dete hai ki ye jo website hai wo achi hai, or automatic hamare blog ki rank improve hoti hai.. kyu ki ye to aap jante hi hoge User Intention ek Google Ranking Factor hai, matlab User website par kitni der ruk raha wo.
Blog First Impression Ke liye Jaruri Chije
#1: Theme Design
Jaisa ki maine pahle hi kah chuka hun ki sabse pahle Theme design hi visitor par first impression create karta hai. Isliye aap beautiful theme hi use kare.
Iske alava ye tips follow kare-
- HD Logo bana kar lagaye, logo full banner ki tarah na lagaye.
- Sidebar me Widget ko jarurat ke anusar lagaye, non-essential widget ko hata de.
- Theme beautiful hone ke sath Fast aur SEO optimized ho.
- Responsive hona to aaj ki tarike me bhut jaruri hai, jo Mobile me bhi achi se open ho sake.
#2: Page Speed
Google report ke anusar aapka blog maximum 3 second me open nahi hoti hai to aap ka 60% visitors lose ho sakta hai. Sath hi page speed kisi bhi post ki ranking ke liye bahut important role play karta hai.
Page speed increase karne ke liye ye tips follow kare-
- Jetpack plugin install karen aur Speed Up Image feature enable kar den.
- Autoptimize plugin ke dwara CSS, HTML aur Javascript ko compress kare.
- Comment Avatar ko disable kare.
- Wp Rocket Plugin install kare WordPress me
- P3 Profiler Plugin se heavy plugin ko find kar remove kar de.
- Blog ko Cloudflare se setup karen.
Blog ki speed badhane ke Tips, jinki madad se aap site ka loading time or kam kar sakte hai.
#3: Post Title
Yadi aap UC News par likhte hai to aap jante honge ki Badiya Post Title kitna important hai.
Post title hi vah sabse pahli chij hoti hai, jise dekhkar visitor decide karta hai ki post padhe ya nahi.
Isliye post title attractive aur short banaye, jo SEO Friendly ke sath User Friendly bhi ho.
Behatar post title ke liye ye tips follow karen-
- Post title me long tail keyword include karen
- Question vale words dale.
- Numbers use karen.
- Yoast SEO plugin ki help se search engine ke liye alag title set kare. Jise web title kaha jata hai aur user ke liye alag se, jise post title kaha jata hai.
Badiya Post Title kaise likhne ke 5 Tip, phele HMH share kiye gaye the aap unko bhi jarur read kare.
#4: Feature Image
Kaha jata hai, ek image thousand words ke barabar hota hai. isliye yadi feature image high quality vala ho to aksar visitors post title ki bajay feature image se impress ho kar post padhane lagte hai.
Aapko bhi high quality vale feature image create karana chahiye, jise aap Gravit.io se easily create kar sakte hai.
High Quality Image aap Free wali hi use kare, jo aap Royalty Free Image website se Download kar sakte hai. or agar aap Google se Free Image Download karna chahte hai to wo kaise kare uski jankari bhi aapko mil jayegi.
#5: Quality Post
Ab tak main jis impression ki baat kar raha tha, vo external impression tha. Jiske kai work aap ya kisi ke help se easily kar sakte hai. Lekin Internal expression bhi bahut jaruri hai, jiski sabse badi factor hai, Quality Post Yadi aap quality post nahi karte hai to external impression ke liye kiya gaya all work waste ho sakta hai.
Isliye quality post likhane ke liye ye kare-
- Popular Blogs padhe
- Newspaper padhe
- News website padhe
- Post me hard word use na kare.
- Post me Readability ka pura dhyan rakhe
- Complete post likhe
- Post me related image jarur use kare.
#6: Related Post Section
Is section ka main work readers ko blog par banaye rakhna hota hai. Jisse blog ki bounce rate decrease hoti hai.
Isliye Related Post Section me Related Post Title ke sath high quality image bhi show karana chahiye.
#7: Comment Reply
Yadi aap kisi reader ke comment ko reply karte hai to reader aapse direct connect ho jata hai. Isse sabse jyada impression padta hai.
Isliye sabhi comment ka reply kare, badiya comment kaise karte hai uske liye aap iss post ko read kare.
Last Words
Aapka blog kitana jaldi successful hoga, ye keval blog par posting karane par depend nahi karta hai. Balki ye quality post ke sath blog ke first impression par bhi depend karta hai. Isliye aaj se hi blog ko behtar se behtar banaye rakhne ke liye bhi kaam kare..
sir kya cloudflare me ssl certificate free hota hai
sir koi mujhe batayga ki men apne blog ke titel ko center men kaise set ker sakta hun
please
iske liye aapko thoda HTML me code add karna padega.....
Rohit sir meri website google me rank nhi kar rahi hai
Rohit bhai Agar Hum Ek Aaisa Blog Banaye News Relative or Uspe Top Tranding topic pe hum blog likhe to humko Traffic aayega… reguler daily 2-3 Post kare to? or ye karna thik hai ki nahi?
bahut badhiya Post hai.. Likhte rhiye
Rohit bhai plzzz Hamko Iska Javab dijiyega
Me Ek Job site Banaya Hai English me Par Aab Me Confused hu Kyoki me Jab post dalunga to sabhi Post English me Hi Dalunga par Sab Post ka Contents jo honga vo sab to sam hi rahega Ex – ( Bank Recruitment 2100 Vacancy Applying Now ) Thik hai or Uske Andar jo Post honga Sab ne same hi Honga Jaise
1 How to Applying
2 Vacancy In XYZ Department
To Sabhi Post me Sirf muje Post ka Name or Kuch Hi Changes karna hota hai to sab post agar Ek Jaisa Honga to Uski Koi Effect hongi Ranking me or Adsnece ko Effects to nahi padega na. Or Isko Kaise Improve karu samajaiye..Kyoki Abhi Me Usko WordPress pe set karke Shuru karne Wala Hu
Aap ye sab detail to de par uske sath sath jo job hai usme kya kaam hai.. Kitna kaam hai.. Ye sab bhi likhe. Jo har job ka alag hi hoga.
Agar aap normal table banayege to problem hogi.. Par likha huaa content jada hoga to koi problem nahi hogi..
NICE INFORMATION
sir mujhe aapka likhne ka andaz hamesha accha lagta hai
Thanks Sanjoy bhai.. ?
nice article sir thnx for share
आपने बहुत अच्छी बात आपने अपने इस आर्टिकल के माध्यम से रीडर्स तक पहुंचाई है। क्योंकि किसी भी Visito के लिए अपनी वेबसाइट या ब्लॉग का फर्स्ट इंप्रेशन ही प्रभावित करता है। अगर आपकी वेबसाइट या ब्लॉग दिखने में बहुत अच्छी है। आपने वेबसाइट या ब्लॉग के कंटेंट को सिस्टेमेटिक ढंग से जमाया हुआ है। तो वह देखने में बहुत ही Attractive लगती है। जिससे Visitor के दोबारा आने के चांस ज्यादा होते हैं।
Bilkul.. wahi :)
Thanks
very nice and use full information, Jyadatar Log in cheejon par dhyan nahin dete. But is post ko padhne ke baad sabhi new bloggers ko ye samajh aa jayega ki blogging ke liye first impression ki kya importance hai.
बहुत अच्छी जानकारी दी क्योंकि आजकल हर कोई पैसा कमाना चाहता है जिसके लिए ब्लॉगिंग एक आसान तरीका समझ बैठते है. सोचते है एक ब्लॉग बनाकर पोस्ट करने लगे और पैसा आना सुरू हो जाये लेकिन यह मालूम नहीं होता है किय यह सब बेकार हो जाता है जब तक आपको पूरी तरह से ब्लॉग को डिजाइन और एससीओ पर ध्यान नहीं देना होता है. बहुत बढ़िया जानकारी दी आपने.
Thanks brother ❤️
Ha ye baat bilkul sahi hai ki theme design visitors par bahut jyada impact dalti hai lekin high quality Content bhi apne aap me ek success ki key hai. Kahne ka matlab hai ki blog design ke sath sath ham yadi Article ki quality aur need par dhyan dekar blogging kare to success milna 100% possible ho jata hai. Anyway nice post and keep sharing like this forever.
Aapne kuch hatke bataya bloggers ko Nice1
Hi Bro! I have a question.
Maine ek domain buy kiya tha. Baad me pata chala yeh domain expired tha jo maine buy kiya. Jab maine us domain ko webmaster tools me submit kiya to weh domain google search se spam nikla ab maine us domain ko review karne ke liye google webmaster par request daali hai. Lekin ek question hai us domain par adsense ad laga kar rakhu ya hata du ??? (Now review under progress.)
Waiting for your reply…
Adsense use kar sakte ho agar abhi uske kuch galat nahi hai to..
Sahi kaha Sir. First impression bahot jaruri hai. Bahot hi amazing tips aapne bataye hai.
Thanks
Thanks to author
Blog open hote hi first impression half work kar deta hai. Baki half work quality post karata hai.
Thanks both of you.