Jab aap ek naye post par work karte hai aur apna work uss post par completed karne ke baad aap usko publish karte hai. phir uske baad aapka new post internet par live ho jata hai. Post publish karne baad aapka kaam khtam nahi hota balki Asali kaam uske baad hi suru hota hai aur woh kaam hota hai new blog post ko promote karne ka. Apne new post ko promote karne ke liye aapko bahut se step ko follow karna padhta hai.
Aapke uss blog post par jyada traffic tabhi Milega jab aap usko internet ke har ek place par promote karege. Jitne effective tarike se aap apne post ko promote karege utna hi badiya aapko uska benfit milega.
Mai aapko kuch badiya step ko bataoga jisko aap apne post ko publish karne ke baad waha par promote kar sakte hai. kyoki kewal post ko publish karne se sab kuch nahi hota hai balki usko promote bhi karna padhta hai. Bina promotion kiye hue aapka post jyada logo tak nahi pahuchege.
Mai un main point par focuse karuga jaha par aap apne new post ko promote kar sakte hai.
Blog Post ke SEO par bhi jarur diyaan de
Page Contents
- Blog Post ko Promote Kaha or Kaise kare
- 1. Facebook Page Par Share Kare Post ko
- 2. Facebook Group me Post Share kare
- 3. Twitter Par New Post Share kare
- 4. Pinterest Par Post ko Promote kare
- 5. StumbleUpon Par Link Share kare
- 6. Digg Par Post Bookmark kare
- 7. LinkedIn par Post ko Share kare
- 8. Slideshare Par Post ki Slide share kare
- 9. Instagram Par Post ko Share kare
- 10. Delicious Par Post Promote kare
- 11. Scoop.It
- 12. Share on Email Newsletter
- 13. Share Post On Blog Niche Forums
- 14. Social Bookmarking Site par Share kare
- 15. Infographic Sites par Share kare post ko
- 16. Youtube Aur Dailymotion Par Share kare
- 17. Whatsapp
- 18. Telegram
- 19. Imgur
- 20. Podcast
- Bonuse Tips
Blog Post ko Promote Kaha or Kaise kare
Sayad hi koi aisa hoga jo facebook ka naam nahi suna hoga. Facebook ek bahut bada brand hai jaha par daily 200000k User ate hai. Internet par google aur youtube ke baad 3th sabse bada network Facebook hai. in numbers se aap ye soch sakte hai ki facebook kitna papular sites hai. Chuki Facebook par daily bahut hi jyada user ate hai isliye ye ek perfect place hai apne new content ko promote karne ke liye..
Sabse pehale aap apne blog ke naam se ek facebook page banaye aur uske baad apne dhwara publish kiye gaye har ek new post ko waha par shere kare.
Jab aap apne blog post ko facebook page par share karne jaye to apne post se related ek badiya sa long size ka image choose kare. Image choose karne ke baad aap uss image aur new content ka link dono sath me hi apne facebook page share kare. image ke sath link share karne par logo ko aapke post par jyada focuse padhega. Aur usse aapko badiya traffic milega.
Ek aur baat facebook page par new blog post ke publish karne ka sabse badiya time 8pm-9pm hota hai kyoki iss time me facebook ke jyada se jyada user active rahte hai. Iss liye 8pm-9pm ke bich Me hi apne post ko facebook page par publish kare
Read: Facebook se Blog par Traffic lane ke badiya tarike
Facebook page ke bare me to maine aapko bata diya. Thik ussi prakar facebok group Bhi ek bahut hi badiya palce hai apne new post ko promote karne ke liye. Yadi mai kahu ki agar aap badiya tarike se facebook group par apne post ko promote karte hai to ye facebook page se jyada traffic aur benfit aapko dega.
Facebook par har ek topic par lakho group hai aapko apne blog ke niche(topic) se related papular group ko join karna hoga. Papular group ka mtlb jiss group me jyada member ho. facebook par apne blog niche se related jyada se jyada group ko join kare aur ho sake to apne khud ka bhi fb group banaye.
Phir jiss parakar ke content maine facebook page par share karne ke liye bataya hai thik ussi prakar ke content aur images un sabhi facebook group me bhi share kare. Aisa karne par apake blog par bahut hi badiya traffic ayega.
Udharan– Man lo ki aap ne apne niche se related 15 group ko join kiya hai aur har ek group me 10k (10 hajar) member hai to jab aap in sabhi group par apne new post ko publish karege to aapke ye post 15*10000= 150000 logo tak jayega aur itne logo me se kam se kam 500-1000 logo to aapke blog post par click kar hi dege! Aapke ek new blog post par kewel facebook group se itna traffic aa raha hai mtlb facebook group ek bahut hi uniqe aur effective place hai new post ko promote karne ka aur aap isko miss na kare balki Use kare
Note: Post ko aese Group me share na kare jo Allow nahi karte jese Hindi Me Help ka FB Group.
Facebook ki tarah twitter bhi ek bahut hi papular social networking site hai jiski Global ranking 09 hai. Worldwild 9 ranking ka mtlab iska bahut hi bada network hai aur isko use karne wale million me hai.
Twitter ke 22.5% user USA ke hai jabki kewal 9.4% log twitter ko india me use karte hai. Maine dekha hai ki india ke bloggers twitter par apna jyada time nahi spent karte hai. lekin agar aap ek plan ki tarah twitter ko apne blog post ke promotion ke liye use karege to twitter bhi ek bahut hi badiya place hoga apne blog post ko promote karne ke liye.
Twitter par koi bhi post share karna bahut hi easy hota hai. Agar aapke blog me social sharing wedget laga hoga to Uss wedget me facebook ke baad twitter Ka hi option ata hai. Jab aap apne New post ko ready karke publish kare to uske turant baad hi uss post ko twitter par bhi tweet kar de.
Aap apne post ko bahut hi easy tarike se Twitter par tweet kar sakte hai aur Haa! apne tweet me hashtags lagana naa bhule kyoki hashtags lagane se aapke post ka fouse badh jata hai.
4. Pinterest Par Post ko Promote kare
Pinterest ka naam indian bloggers sunte hai lekin isko kaise use kiya jata hai ye unko nahi pata hota hai. Pinterest ko use karna bahut hi Aasaan hai. Jab aap new blog post ko publish kare to usme jo image hota hai usko Pin karna hota hai. Pinterest mainly Photo share karne ke liye Social networking site hai.
Jab bhi new post publish kare to uske image ko pin karna naa bhule. Mai hmesa apne har ek post ko pin karta hu. Honestly mere hindimehelp par Pinterest ke dwara bahut hi badiya traffic ata hai. Pinterest ek huge social media site hai jo aapke har ek new post ko pin karke badiya tarike se promotion karta hai. Isliye aapne new post ko Pinterest par Pin karna naa bhule.
Pinterest kya hai or kaise isko use kare uski jankari yaha par hindi me di hui hai.
StumbleUpon ek bahut hi papular social bookmarking sites hai. Sabhi professinal bloggers apne har ek content ko StumbleUpon par share karte hai. Mai bhi apne har ek new post ko StumbleUpon par sahre karte hu!
Post ko share karne ke kuch hi time baad StumbleUpon se mere blog par view ane lagte hai. Jab bhi aap koi naya blog post publish kare to uske link ko StumbleUpon par jarur share kare. Kyoki StumbleUpon apne aap me ek internet ka bada brand hai. Isliye apne har ek new post ko StumbleUpon par share karna naa bhule.
6. Digg Par Post Bookmark kare
Digg bhi same StumbleUpon hi ki tarah hai. Ye bhi ek badiya network hai apne new blog post ko free me promotion karne ka. Just digg ke website par jaye aur apna ek new acount banaye aur apne new blog post ke link ko waha par submit kar de. digg par apne new post ko submit karna bahut hi easy hai.
Jaha tak mere manana hai ki jyada se jyada bloggers apne link ko digg par submit karte hai. Aap bhi digg ko miss naa kare balki apne har ek post ke link ko yaha par submit kare. aisa karne se aapke blog ka badiya tarike se promtion hoga aur aapke blog par accha traffic bhi ayega.
Ye Facebook ki trha hi Social Network site hai, jaha aap apni Post ko Share karke Promote kar sakte hai.. Iss Website ki abhi khas baat ye hai ki isko organic reach abhi bhut badiya hai jiska faida ye hai ham koi bhi post karte hai to wo jada logo ko tak phuchti hai par facebook me aesa nahi hota.
slideshare ek bahut hi defferent document sharing sites hai. slideshare ki ranking google par bahut high hai. slideshare par apne new post ko share karne ke liye aapko apne post Ko powerpoint me convert karna padhega.
Powerpoint me new post ko convert karne ke baad usko Slideshare par upload kar do. Agar aap aisa karte hai to bahut hi jada traffic aapke blog par ayega. Aur bahut hi acchi tarah se aapke new post ka peomotion hoga.
Instagram ek naya aur huge network hai new post ko promote karne ka lekin aap Instagram par content nahi share kar sakte hai. Instagram par aap kewal image ko hi share kar sakte hai. Mai apne personal picture ke sath sath apne new post ke image ko bhi Instagram par share karta hu. Aisa karne se mere new post ka promotion acchi tarah se hota hai. Apne new post ke har ek image ko Instagram par share karna naa bhule. Sab kuch waha par ek case ki tarah share kare.
10. Delicious Par Post Promote kare
Delicious ke bare me muje bhi jaldi hi pata chala hai. Aur mai abhi Iska new user hu. Jab maine Delicious par apna acount banaya to mai sochta tha ki ye bahut hi defult hoga lekin isko use karne ke baad muje pata chal ki ye to ekdum stumbleupon aur digg ke jaisa hi hai.
Yaha par apne new post ko share karna bhi bahut Easy hai. I think Delicious ek bahut hi badha promoter place hai. Isliye apne content ko Delicious par promote karna naa bhule aur apne har ek new post ko yaha par share kare.
11. Scoop.It
Scoop.It ek free content promoter sites hai jaha par aap apne har ek new content ko free me promote kar sakte hai.
Scoop.It par apne new post ko share karne ke liye sabse pahle aapko yaha par apna profile banana hoga. phir uski baad aap apne new blog content ko apne Scoop.It profile se share kare.
Ye ek bahut hi easy aur very effective tarika hai apne new blog content ko promote karne ka. Scoop.It Par apne new blog content ko share karne se aapko accha benfit milega.
Yadi aap ek acche bloggers hai to aapke pass apke readers ka email list jarur hoga. Yadi nahi hai to mai aapko high recomended karuga ki apne reader ka ek email list banaye aur apne new blog post ko publish karne ke baad uss post ko apne sabhi reader ke email par send kare.
Apne email ko reader ke paass send karne ke liye aapko email marketing ke tool ki jarurat padegi Agar aap ek new blogger hai aur aapke pass itna paisa nahi hai ki aap paid email marketing tool le sake to aapko tension lene ki jarurat nahi hai kyoki internet par bahut se aise tool aur software mil jayege jiss se aap free me apne email ko apne reader ke pass send kar sakte hai.
Free email marketing tool ke liye aap google par search kar sakte hai waha par aapko bahut se badiya option milege. Bus mai aapse yahi kahuga ki aap ek badiya email list banaye aur apne har ek new post ko publish karne ke baad uss email list par send kar de. ye ek bahut hi strong tarika hai new post ko promote karke traffic lane ke liye.
Aap Feed-burner par apni feed bana kar Email Subscribe option enable karke bhi kar sakte hai.
Email ka Subscribe Box add jarur kare site me
Forum ek esay tarika hai backlink aur traffic pane ka. Sabse pehel aapko apne blog niche se related kuch papular forum ko join karna hoga. Phir uske baad apne new post se related question ko find kare aur unke question ka answer de question ke answer ke niche apne new post ka link bhi de. Issi tarah kam se kam 10-20 question par apna
answer deke apne new post ko prmote kare.
Forums ek accha tarika hai apne post ko promote karne ka. Aap bhi yahi kaam apne new post ke sath kare. Mai aapko 2 bahut hi papular forum ke bare me batata hu jaha par aap apne new content ko promote kar sakte hai-
Apne new blog post ko top social bookmarking site par share kare. Top bookmarking site par apne new content ko share karne par aapka new blog post search engine par jaldi index ho jata hai aur isse aapko accha benfit milta hai. Mai aapko kuch top ki bookmarking site ke bare me batata hu.
Apne new post se related ek badiya sa infographic banaye. Infographic banane ke liye aap piktochart.com aur canva.com ko use kar sakte hai. Uske baat uss Infographic ko top Infographic sites par submit kar de. Mai aapko kuch badiya Infographic sites ke bare me batata hu Jaha se aap apne blog post ka badiya link paa sakte hai.
Video ek bahut hi papular tarika hai apne new post ko promote karne ka. Sabse pehle apne new post se related ek uniqe video banaye aur usko papular video sharing site jaise- Youtube aur Dailymotion par upload kar de.
Jab aap apne new video ko upload karne jaye to video ke describtion me apne new post ka link bhi add kar de aisa karne se jo aapke video ko dekhege to usko post ka link bhi dikhai dega. Aur bahut se log uss par click bhi karege. Agar aap video banakar apne new post ko promote karege to Aapke blog par bahut hi badiya traffic ayega.
Read: Youtube SEO ki 6 Tips Views Badane ke liye
Also Read: Youtube ki puri jankari ke liye yaha click kare
17. Whatsapp
Whastapp Download to lagbhag 99% Smart Phones me aapko mil jayega.. or muje pata hai aapke Mobile me bhi Whatsapp jarur Install hoga.. to aap apni Post ko Promote karne ke liye Whatsapp par bhi share kar sakte hai.
Whatsapp par aap Post ko Direct kisi ko personal message me share kar sakte hai ya fir Aap Whatsapp Group me apni Post ki link ko share kar sakte hai.
Whatsapp par apni Blog Post ki link ko share karte time ye jarur dhiyan rakhe ki aapko apni link sirf unko send karta hai jinko uski jarurat hai ya jo uss post ko read karna pasand karege.. warna log aapko ignore karna start kar dege spam message samaj kar.
18. Telegram
Telegram kya hai ye to aap jante hi hoge.. Ye Whatsapp ki trha ki App hai par jisme Whatsapp ki trha limitation nahi hai.. jese isme ham 2 lakh ka Group bana sakte hai or Bina apna number share kiye ham Group me message kar sakte hai.
19. Imgur
Imgur ek Image shareing website hai, to agar aapke blog me aapne koi badiya Image Bana kar use ki hai to wo aap yaha share kar sakte hai.. or uske credit link me apni post ki link de sakte hai.
20. Podcast
Podcast Kya hai or iske Kya faide hai wo mene detail me ek Post me share kiye hai aap usko jarur read kare.. Kyu ki Jis trha Youtube hai wese hai Podcast me aap Audio ke jariye apni Post ko Promote kar sakte hai or logo tak phuch sakte hai.
Bonuse Tips
Aap social media ke koi bhi plateform use kare. jab bhi apne new content ko social media par promote karne ke liye jaye to HASHTAGS! lagana kabhi bhi naa bhule. Ye ek bahut hi importent factor hai aur aisa karne par jyada se jyada people aapke post ko dekhege. HASHTAGS! lagane se aapka post attratctive lagata hai aur log isko ignor nahi kar pate hai. HASHTAGS! me aap apne post se related keyword ko use kare.
—
Aapne ye 20 tarike to jaan liye, par agar baat aaye blog ko promote karne ki to wo yahi khatam nahi hote.. aap yaha dekh sakte hai 50+ tarike Blog ko Popular karne ke.
ha to friends muje puri ummid hai ki agar aap insab ko tri karege to aapke blog ki traffic me jarur improvement hoga.. Agar aapke pass inke aalawa bhi koi tarika ya site hai jispar ham apni new post ko promote kar sake to comment karke bataye.
Very good article shared, thanks for this.
Rohit maine ek online shop open ki hai. main Is par internet cafe cahalata hun aur all online work karta hun mujhe ise sabse jyda pramot karna hai aur iske liye mene ek blog bho tayar kar liya hai par mujhe use disgin karna nahi ata use ek online center ke liye kis tarah disgn karu aur kese usse paisa kamau please help me main is blog par sare jobs court tenders ki news har roj update kar saku esa kuch batao mujhe….
Very Interesting And Informative Article.
I have bookmarked your blog.
Thanks for share such type of precious information.
Aapne vishay ke baare mein bahut hi achhi tarah se aur vistar se samjhaya hai. Itni achhi jankari dene ke liye aapko bahut dhanyawad.
Thanks Bhai aapne bahut acche tarike bataye hai
Bahut bariya tarika se likha hua content Hai… It’s so easy and sharply understandable. Thanks Rohit Ji.
Bhai did Everything, Ab intzar hai to Pehle Page ka Google k. thanks For Tips.
Love your blog
Sir mne bhi bnayi hai ek website… Kya aap bta skte hai mujhe kya improvement krna chahiye
गुड आर्टिकल रोहित भाई
rohit sir mere blog ko 1 year se bhi jyada ho gaya hai par blog traffic nahi badh rahi hai or facebook par jyada promote karne se facebook ne mere blog ko fb par spam list me dal diya hai aap ik bar mere blog ko visit karke bataye aakhir kya kami hai mere blog me.
Bhai meta description kya hota hai.. Please help me.Thanx
google me search karne par jo title ke niche 2 lines aati hai wo..
रोहित जी तुस्सी ग्रेट हो
Thanks 🤗
Nice Article Thanks to sharing
Good Sir Keep It Up
Hello sir
sir main ek blogger hun aur mere facebook page ko lagbhag 700 likes mile hain par mari blog post keval 40-50
logo tak hin pahunch pati hain, sir main kya karu ki meri post 700 logo tak pahunche please tell me.
Brother ye possible nahi hai.. Q ki jab aap post karte hai uss time sab online nahi hote..
Bhut acchi post hai apani new post ke promotion ke lie.
15 बहुत ही अछे अछे तरीके हैं sir,,, बहुत से नए तरीके जानने को मिला जिससे हम अपने blog पोस्ट को प्रमोट कर सकते हैं
Thanks Brother.. kosis bhi yahi thi kuch naya share kare..
Sir facebook par eise group kaise pata kare Jo blog post ko allow krte ho
wo to aap group ke discription me dekh sakte hai
Rohit Ji mere Adsense Khata Aprood Nahi Ho Raha Hai
aap domain add kare.. uske baad apply kare.
Hashtags ke baare mein aur deetails se bataiye bhai. Main kuchh samajh nahin paa raha hoon.
Brother, ye social media par use hote hai.. jisse ham post ko ek trha se category me kar sakte hai.
thanks rohit ji aapne bahut hi acchi jankari di thank you so much please ek baar mere blog ko chek kar ke bataye ki usme kya kya kamiya hai jisse mai unhe thik kar saku please
Sir Facebook me ek sath kitne group me apne post ko share kar sakte hai, jisse humahara Facebook account block na ho ?
Agar aaj auto facebook post se kar rahe ho to block hone ke jasa chance hai.. Or mene ye tri nahi kiya to me kitne kar sakte hai wo to nahi bata sakta. Par aap ek sath naa kare thode gap le le ke post kare,.. Kam se kam 5 minute ka gap leke.
Thank you sir for valuable guide
muje site bane me 2 mhina hu|
mere site hmesa vister 500 aare h.
kya website par ad laga skta hu?
bhi konsi company ke ad better re yga?
Kya blog me JavaScript ka use kar sakte hain
Hello rohit sir, mai aapaka bahoot bada fan hu… Aur me aapase ek problem share karana chahata hu… Sir, Maine apane blog me email subscribe wiglet add kiya hai. Feedburner par account bana kar.. Par problem ye hai ki koi bhi mere blog ko email se subscribe karata hai. Aur phir me new post karata hu toh usako mere new post ki sirf summary jani chahiye jisase ki vo link open karake post padhe. Par isa nahi hota… usako puri ki puri post email par send ho jati hai… Jisase visitors mere blog par nahi aate… Toh Ab me kya karu ki mere posts ki sirf summary hi visitors Ke email par pahuche… Please help me sir….
Uski setting aap feedburner ke account me kat sakte hai.. Abhi muje uska Sahi diyan nahi hai kaha hai uska option aap dekho.. Nahi to me dekh kar bata duga agar aapko nahi milta hai to.. :)
Hi Prasad surase
app agar blogger par hai to blogger setting mei jaye usme other par click kare aur allow blog feed ke samne custom feed select kare aur blog post feed short par save karde try this.
Thanks You Sir ji this is Very Cool Ideas
verry nice info.
Thanks
kishi bhe page ko menu ma add karna ka leya kya kara
bhai ap se main ek baat puchan chahta hun
please ans .. mera paypal a/c nahi hain magar main paisa kama chahta hun adsense se
magar mere papa ka hai paypal to kya main is paypal ko use kar skte hai kya
vidadviser main bhi yahi paypal ke jariye payments milnge toh main kya karun help me
Rohit, Bhot acha Article hy.. Aap ne bhot ache andaz se article ko likha.
Thanks you Rohit For posting Great Article. Ye mere bahut kaam aayega.
Please real name use kare or comment me link post na kare.. Connect ko delete kar diya jayega. Thanks
Hi….frnd
Kya android phone se blogger operate kr sakte hai….
Blog me Premium account kya hai.
Plz.bataye
Very good Article…..really nice…thanks for share it……..
nice article…
Sir,loan ke documents kya online deya ja sakta hain ya bank me jakar hi dene parhenge
Rohit apne bahut achhe se bataya. Sahi Kaha aap ne aaj kal social media par log jyada active rahte hain. To in par apne blog aur blog post ko promote kiya ja sakta hai.
Digit Only
Rohit Ji Ye Alexa Me ” Links In ” Ka Matlab Kya Hota He.
itni link us site par aa rahi hai, dusri sites se.
रोहित जी, बहुत अच्छे टिप्स दिए हैं आपने .
Sir, sare bank ke sites par net se loan ke liye apply karne dete hain name,email id,phone number and lekar.wo jo documents humse lete hain wo kya online hi upload kar sakte hain ya bank me jakar hi dena parta hain?
hello,
Rohit maine ek online shop open ki hai. main Is par internet cafe cahalata hun aur all online work karta hun mujhe ise sabse jyda pramot karna hai aur iske liye mene ek blog bho tayar kar liya hai par mujhe use disgin karna nahi ata use ek online center ke liye kis tarah disgn karu aur kese usse paisa kamau please help me main is blog par sare jobs court tenders ki news har roj update kar saku esa kuch batao mujhe….
hello sir
maine apna ekk blog banya hai magar mujhe yeh bat samajh men nahin aarahi hai ki kiya hua hai kyun ki uski koi response nahin mila hai aur plz mujhe reply karenn aap mere sawalon ke jawan nahin dete mani aapki we site par din men bhi kai dafa jati hoon mujhe aap bata den ki aap kab online hote hain
plz reply my request main apko preshan nahin karn chahti hoon ek bar aap mujhe samjhade ki kistarah se hota aur income ke liye kiya accounts banane padte hain
mein tumble bhi use krra hun kaafi mene post lgai hai pr kuch benifites ni hora hai kya krun kuch hlp dijiye…or mein us ki site pr work krra hun us site ki keyword eank krany k liye mene blog bnaya hai ,blog ki trefic key liye kon kon c site thik hai, or aj mere 1 article aprovd ho gya hai kya me us aprovd article ki bookmarking kr skta hun
hlo rohit….mujhy printrest or StumbleUpon use krna nhi atta jb printrest mein creat new bord krty hai hAI FIR KYA KRNA HOTA HAI. OR StumbleUpon SE TREFIC KAISE LEIN
Pinterest me Image ke share hoti hai.. to aap agar alag alag catogry me share karna chaite hai to new create kar sakte hai.. Stumbleupon me post submit hoti hai.. or agar isme hamari post par jada like aate hai to hamari post ko rank achi milti hai isse traffic hamare blog par aati hai.
Thanks for one more great informative content, but i think one more Social Bookmarking site you need to add in your content is Reddit.com
Ok Thanks
Sir
Website पर. Ads लगाने के लिए कितने visitors होने चाहिए ।और ads site पर कैसे लगता है?
Please. मेरे email पर. Send कर दो
Navedhussain82@gmail.com
visitor jada maine nahi rakhte par agar visitor kam hai to income bhi naa ke bara bar ho hoti hai.. ads laganeke liyeaapko html me paste karna padega.
Bhai Instagram par link share nhi hot to Instagram se kaise promote kare post ko
Websites ki ranking trah kya hum app ki ranking ya popularity dekh skte h,
I think whatsapp bhi acha trika h promot krne ka
haa agar hamare Mobile user hai to whatsapp bhi ek acha jariya hai visitor ko badane ka.