Jab koi kisi website ka owner kisi wajah se apne domain ka renewal nhi kra pata to weh domain expire ho jata hai. Aur usko koi bhi kharid sakta hai.
Dosto, sabse pehale mai aapko expire domain ke fayde ke bare me batata hu fir mai aapko bataunaga ki aap godaddy se expired domain kaise kharid sakte hai.
Page Contents
Expire Domain Register karne ke Fayde
# Pehala Fayda – SEO ke liye achha
agar aap kisi Purane expired domain ko apne blog me use karte hai to weh aapke blog ke liye SEO friendly hoga. jyadatar Expired domains ki pehale se kuchh backlinks aur page rank bhi hoti hai. Agar aap 10 – 12 saal purana domain ko apne blog ke liye use karte hai to isame koi doubt nhi weh domain aapke blog ke SEO liye bahut hi achha hoga.
# Dusara Fayada – Domain Ko Resell karna
isame koi shak nhi koi domain jitna purana hoga weh utna hi jyada SEO friendly hoga. Bahut sare logo ko iss tarh ke domains ki talaas rehati hai. Aap expired domains ko kharid kar usko kai guna jyada kimat par bech sakte hai. Mera aapko salaah ki aap we expired domain ko kharide jo 10 saal ya usase jyada purana ho. Domain jitna jyada purana hoga weh utna hi achha hoga. Jyada profit paane ke liye aise domain name khojiye jo popular topic se related ho jaise – health, finance, sport, blogging etc.
Bahut sare log domain ko kharid aur usko fir bechkar lakho dollers kamate hai.
**Aapko ye Pata hona Chaiye**
Domain Kharidne ke phele ye Jane ki Badiya Domain Name kaise Select kare.
Godaddy se Domain kaise Register kare Apni Website ke liye.
Agar aap New Domain pheli war register kar rahe hai to aap ₹99 me kharid sakte hai, ₹99 me Domain register kaise kare uske ware me mene bataya hai.
Godaddy Se Expired Domain kaise kharide / Register kare
Godaddy auction site par jaye – in.auctions.godaddy.com
jaisa aap image me dekh rahe hai.
- ‘Popular searches‘ me bane drop down menu mar click kare
- ab ‘closeouts (No membbership required)‘ ko select kare.
- ‘Search Results to Return‘ ke drop down menu ko click kare fir aap jitne expired domain ko ek saath dekhana chahte hai usko select kare.
iske bad aapke samne expired domains ki list aa jayegi. aap image me dekh sakte hai ki inn expired domain ki kimat lagbhag 600 – 700 rupye hai. koi domain kitna purana hai isko janane ke liye uss par click kare. jaisa ki image me dikhaya gya hai. Jo domain aapko register karna hai usko select kare. Jis domain ko mai select kiya hu uski kimat $5 (Rs 350) hai. Aur 11 saal purana hai.
Jis Domain ko lena ho Buy Now ki link par Click kare.. Fir Go to Cart par click kare.
ab aapke samne ek nya page khul jayega. yeha par aap dekh rahe hai ki total 1405.44 rupaye ( Rs 694.44 domain ki kimat + Rs 699 renewal + Rs 12 ICNN fee) payment karna hai. aapko bahut sare domain isase bhi saste mil jayenge bas aapko thodi research karne ki jarurat hai.
ab ‘proceed to checkout‘ par click karke aap domain ko register kar sakte hai.
# Domain ko kahan sell kare
Domain sell karne ki kuchh top sites:
- Flippa.com
- BuySellWebsite.com
- forums.DigitalPoint.com
- WebsiteBroker.com
- Afternic.com
- huntingmoon.com
- ebay.com
Godaddy Auction se Paise Kamaye Domain ki Nilami karke uski detail me jankari yaha di hui hai.
iske alawa bahut aap apne khud ke sites par bhi domain ki selling ko promote kar sakte hai.
Agar aap soch rahe hai ki koi aapse domain kyo kharidega ? We log khud bhi to Godaddy auction (closeouts) Par jaker expired domain ko saste me kharid sakte hai.
to mai aapko batata hu , Bahut log aise hai jo godaddy auction (closeouts) ke bare me nhi jante. expired domain generally lakho rupye me bikte hai. Agar unko 10 hajar/ 15 hajaar ( 10- 15 thousands) rupye me milega to khushi se le lenge.Aap chahe to domain ko resell karke bahut jyada paisa kama sakte hai.
Aur jin logo ko godaddy auction (closeouts) ke bare me pata hai unme se kuchh logo domain par research karna pasand nhi hota. iss bare me we thode aalsi hote hai. Mai aisa isliye keh reha hu kyoki aise bahut se sites hai jeha par purane domains lakho rupye me bikate hai aur log unko kharidte bhi hai.
Dosto mujhe ummid hai ki iss janakari se aapko jarur fayda hoga. Comment karke apna feedback jarur de.
HMH Note: Ye Guest Post hai, Agar aap bhi HMH.pe Guest Post karna Chate hai to Yaha click kare
nice
Bahut achhi jankari sher ki hai bro
bahut achha laga ye post badhke.. bahut kuchh sikhne ke liye mila thankss !!
Sir mera Domain godaddy se kisi ne buy kr liya h an me kya kron
ab aap unse contact karke wapas le sakte hai agar wo de to. warna kuch nahi ho sakta.
thank rohit ji. But sir pr aisa jarrori to nhi jo website mai kharid rha hu wo bikri ho jaye..
or ek baat or log purane website hi kharidte kyu hai. Wo to nya bhi bna skte hai.
Jitni bada purana domain hota hai.. Utni hi Jada value hoti hai..
Hello Rohit
Mera domain 3 mahine pehle expire ho gaya hai. lekin isko jab main dobara karidna chahta hoon to ye kareeb 5000 Rs mangta hai. Domain Godaddy se purchase kiya tha 1 year purana hai.
Jab mere pas isko renewal karane ka message aaya tha 25 Feb 2017 me to ye 800 Rs ke liye keh raha tha 1 Year ke liye.
mere blog se abhi koi income bhi nahin kya itna piasa lagana sahi hoga.
Ya Phir new domain kharidu. Main 1 year ke 1000 Rs tak ka domain purchase kar sakta hoon isse zyada nahin.
Agar aapki Brand hai uss name se to aap wahi le.. q ki new domain lena matlab starting se start karna.
Domain bechne ke liye kya kya process se gujarna padta hai?detail me batayenge?
Rohit ji,domain bechne ke liye konsi site best hai?aur domain kharidne ke baad bechne ke liye kya kya process se gujarna padega?thoda detail me batayenge?
Rohit ji,domain bechne ke liye best site konsi hai?aur ek domain kharidne ke baad bechne ke liye konsi process se gujarna hota hai?thoda detail me batayenge?
Rohit ji,domain ko agar sell karna ho to koun sa website best hai?aur iska process ke bare me thoda detail me batayenge?
Roht ji,agar Mai domain bechna chahu to mujhe kaha aur kis process se gujarna padega?thoda detail me batayenge?
Knowledgable post. Thanks for sharing.
Hello Vinod
Thanks For Sharing Something Different.
Keep It Up!!!!
bhai Ji hamne wapka pe site bana li hai
or usme hame desine lagana nhi aata hai to hame kya karna chahiye please bhai Ji hame bhi help kro
I am Gaurav Singh
maine ek abhi jald hi suru kiya hai
par abhi jyada kuch nahi kar paya hun
Please Dear help me
Koi Dikkat nahi.. Ek din me koi sab kuch nahi sikh sakta.. me aaj bhi roj kuch na kuch aesa sikhta hu jo muje kal tak nahi aata tha.
Thanks Rohit Bhai
rahul ji godaddy me domin lene ke liye kiya accunt bnana hoga ya aise hi le sakte hai mujhe waha kuch smjh nai arha to kya aap btayenge ki me kya kru godaddy me acunt bnau ya fir aise vi le sakta hu..
account to hona hi chaiye.. domain kaise kharide uski jankari yaha hai
rohit bhai ek bat puchu tumara domain matlab blog kitne tak ka hoga kuch andaja h
Rohit bhaiiya Adsense Hindi to support karta hai but ap posts ko roman me likhte ho to ap ko approval kis trha mila ap ne kia kia.. uski thori detail bta den men b website bnana chahta hun jis me logon ki help kar sakun
Adsense Hindi or English dono support karta hai..
Sir
Mai Gaurav
Mujhe ek aisa website banani hai jis pe ham apni pasand ki song video rakh sake aur us link she dusra bhi download kar sake Kaiser Banat sir
bhyi mera domain expired ho jayega to wo kitne rs me renue hoga plz ans
Jyada nhi only 1000 ya 900
Bhai 3 din pehle mene adsense ke liye apply kia tha, to mujhe apna address details dene ke liye bola geya to mene sab kuch dia fir mujhe ek code dia aur bola ki apne site me lagane ke liye aur niche dikhaya ki
“While your account is under review, we’ll only serve blank ads on your site. After the review is complete, you’ll recieve an email from us. If your application is successful, we’ll start serving real ads on your site”
iska matlab kya hai…???
mujhe samajh me nehi aa raha ki mera account aprove hua hai ya nehi, kya me ad laga sakta hu,
kuch samajh me nehi aa raha,
help kijiye bhai,
mene ussi din code ko laga dia tha par abhi bhi koi email nehi aaya…
Mera account aprove ho geya hai kya…
Plssssss todha help kijiye bhai, me samajh nehi pa raha hu, mene new blog banaya hai, isliye itna kuch nehi janta…
ek sawal aur hai sir please reply. sir, maine apni website par kuch din pahle chitika ke ads lagaye the but chitika ke dashboard me meri earning 0 hi hai aur impression daily 50 se upar rahte hai aur ha jab koi visitor meri site par aakar un ads par click karta hai to ek new tab khulta hai but us new tab me kuch bhi nahi hota siway privacy policy ke. please sir meri problem sollve kijiye abhi mai blogging me naya hu sir please.
Add kaise lgate hai bhai btao na, Or domain kharidu ki nhi is ka benefit bhi plz 🙏 reply me sir
Thank you sir.. aapne mere iss guest post ko publish kiya…Jaldi hi mai apna agla guest post submit karunga.
sir, jab hum domain ko in sites par bechte hai to turant bik jata hai kya. aur humare kharide hue domain ki keemat kaun nirdharit karta hai hum ya site ya kharidne wala. please reply sir.
Turant to nahi.. Jab koi uska kharidar aayega jab hi to sake hogi.. Or jo uska price hai wo hame hi set karna hai..
Rohit ji,agar Mai ek domain bechna chahu to iske liye mujhe kaha aur kis process se gujarna padega?thoda detail main batayenge?
Alok gift kar do
यह जानकारी मेरे लिए अभी काम की नही है परंतु इसका लिंक सेव रख लेता हुँ बाद में काम आ सकती है।