Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye

Internet par agar kisi bhi topic par discussion karna ho to to uska sabse best place Forum hai jisme koi bhi join karke apne question puch sakte hai or dusre user ke question ka answer de sakte hai.

Page Contents

Forum kya hai

Forum website ka hi ek formate hai jisme user apna account bana kar apne question post kar sakte hai, ya jo dusre user ke question hai unke jabab de sakte hai. Simple Words me kahe to User waha Discussion kar sakte hai.

Advertisements

Agar aapki koi website hai or aap uspar information share karte hai to aese me aap ye jarur chahege ki jo user aapki site par aaye unko jo bhi information chaiye wo unko mile.. to aese me aap apni site me Forum Create kar sakte hai, jisme agar kisi user ka koi question hoga to wo khud waha Question post kar sakte hai. uske baad aap ya Forum me active member hai unka reply karke jabab de sakte hai.

Forum banane ka sabse bada fayda ye hai ki ham ek community bana sakte hai, jisme wo sabhi log add hoge jo hamare website me internest rakhte hai or uss topic ki jankari dena ya pana chate hai.

Forum se kya kya fayada hai:

  • Website ke Visitor wapas site par aayege, Forum me apna jabab pane ke liye ya jabab dene ke liye. jisse Website ka Bounce Rate kam hoga.
  • Koi bhi user apna sabal puch sakte hai ya jabab de sakte hai.
  • EK badiya Community ban jati hai users ki jo uss topic me interest rakhte hai.
  • Organic Traffic badne me fayda hota hai.
  • Content ka Idea aasani se mil jata hai Forum me.
  • Jis Topic par Forum hai usse related Jankari mil jati hai.

Aapne Internet par bhut se Forum dekhe hoge, or agar aapko Programming ka knowlage hai to aap badi aasani se Discourse se bana sakte hai jo Free Software hai Form ke liye.

Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye - Blogging

Free Forum Kaise Banaye

Forum banane ke bhut se tarike hai Internet par uplabd hai par agar aap Free me bina kisi technical knowlage ke Forum banana chate hai to aap nabble se bana sakte hai.

Chaliye jante hai kaise nabble ki madad se Free Forum banaye website ke liye.

Sabse pehele aapko nabble website ko open karke Signup karna hai.

Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye - Blogging

Forum banane ke liye apni Detail or Forum kis name se bana hai uski detail fill kare.. uske baad Create Forum par click kare..

iske baad aapka Forum banke teyar ho jayega.. aapko EMail verify karna hai jiske baad sabhi option aapko Forum me mil jayege.

Demo ke liye aap Hindi Me Help Forum dekh sakte hai.

Forum ko Website ke add kare

Forum to aapka ban jayega 2 minute me, ab usko Website me add karna bhi jaruri hai taki apni website par aaye user website par hi bane rahe or Forum ka use kar sake.

Iske liye aapko Forum ke option link par click karke Embedding options par click karna hai.

Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye - Blogging

Ab aapko Forum ka Embedding Code mil jayega, jisko Copy karke aapko apni site me add karna hai.

Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye - Blogging

Website me aap Forum ke Code ko New Page Create karke uske HTML Tab me paste kare.. Page ka Name Frum dekar Publish kare.

Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye - Blogging

Publish karke ke baad aapka Forum Ready hai

Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye - Blogging

At Last:

Ab aap jaan chuke hai Forum kaise bana kar apni website me add kare.. or uske kya kya fayde hai wo me aapko bata hi chuka hu.. to ab aap muje bataye aapko kya lagta hai Forum ka use karne se fayde hai ya nuksan.

Agar aapko Forum se related koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

15 thoughts on “Free Forum kaise banate hai Website, Blog ke liye”

  1. बहुत सही जानकारी प्रदान किए हो कम्यूनिटी फोरम के बारे में सर मुजे बहुत अच्छा लगता है कि आप ऐसे ही फुल usefulness information देते हो थैंक्स…. 👃

    Reply