Grammarly Kya hai | Best Tool for Proofreading and Spelling Mistake

Typing karne me Spelling Mistake hona normal hai, or bhut war aesa bhi ho jata hai kisi sabd ki sahi spelling hi samaj nahi aati.. English me kuch likha hai to ek word se uska matlab hi change ho jata hai to aese me sahi trha se likhne ke liye Grammarly ka use kar sakte hai.

Agar aap Blogger ya Writer hai or Online Writing se Earning karte hai to ye Tool aapke pass hona hi chaiye, q ki agar aapke article me spelling mistakes hogi to koi aapke content ko pasand nahi karege. Agar aapka main work hi Writing hai to aap iska Premium version use kare, full paisa wasul Software hai.

Advertisements

Grammarly Kya hai Best Tool for Proofreading and Spelling Mistake

Page Contents

Grammarly kya hai

Grammarly ek Writing Tool hai jo Type me hui mistake ko batata hai or unko sahi karne ka suggestion deta hai.

Grammarly ki madad se Spelling Mistake, Grammar, punctuation or sentance me hui galti ko simple click se sudhar sakte hai.

Likhne me mistake to hoti hi hai, bhale aapko bhut achi English aati ho ya naa aati ho. or agar aapko English kam aati hai to aapki jitni bhi galtiya hai wo aap iski madad se sudhar sakte hai.

Grammarly Free Premium Tool

Grammarly Tool ke kuch function free hai, jese free me Spelling mistakes sahi kar sakte hai.. or agar aapko writing ke extra feature chaiye jisme pure sentance ko sahi kar sakte hai to aap Premium le sakte hai.

Free Account banane ke liye niche diye hue button par click kare.

Grammarly

Grammarly Kaise use kare

Grammarly online Tool to direct website par use kar sakte hai, uske aalawa Computer Software or Chrome Browser extension bhi hai.

Online work ke liye Grammarly Chrome Extesnion Install kare

Grammarly Extension install kare Chrome Broser me

*Use karne ke liye sabse pehle to aapko apna account banana hoga, Uske baad login hona jaruri hai..

Grammarly Browser Extension Install karne ke baad aap kisi bhi website par type karege, to usme jo bhi galti hogi wo red line se high light ho jayegi.. jinpar mouse lejakar aap dekh sakte hai kya galti hai.. or click karke usko sahi kar sakte hai.

grammarly se type kaise kare

aap screenshot me dekh sakte hai.. jo mistake hai wo highlisht hai.. or uska sahi word bhi show ho raha hai.. corner me ye bhi batata hai page me kitni mistake hai.

Mistakes ko sahi karne ke liye jo words hai unpar click karke sahi word par click karna hota hai.

Proofreading kaise kare

Agar aap ek Blogger, Writer hai to Proof Reading kya hai or ye q jaruri hai ye to aapk pata hi hoga..

Proofreading ka matlab, article ko pura likhne ke baad usko publish karne se pehle ache se ek war pura read kiya jaye or jo bhi usme galtiya hai unko sahi kiya jaye..

To aese me jab bhi aap Proofreading karege, jaha bhi spelling mistake hogi wo aapko aasani se pata chal jayegi, or simple clicks se hi aap unko sahi kar sakte hai.

Aap Online Proofreading Work se bhi paise kama sakte hai, jisme aap badi aasani se proof reading kar sakte hai iss software ki madad se.

Grammarly Alternative

Grammarly wese to best tool hai, jisse Typeing me bhut help milti hai.. par usme kuch kamiya bhi hai.. to aap Grammarly Alternative bhi jarur try kare..

1. Ginger

Ginger ek best tool hai jiski madad se Wirting mistakes ko aasani se 1 click me sahi kar sakte hai.. iss Tool ki ek jo khas baat wo ye iske Tool sabhi platform ke liye hai to ham apna data sabhi device me access kar sakte hai.

Agar koi word Spelling me galat bata rahe hai par wo sahi hai to ham usko + button par click karke filter me add kar sakte hai.

Grammar Ginger

2. ProWritingAid

Grammarly ka ek alternative ye software bhi hai.. jisme Free version me hi pro se thoda jada feature mil jate hai.. to aap isko bhi try karke jarur dekhe.

ProWritingAid

At Last:

To ab aap jaan chuke hai sahi trha se bina mistake ke kaise likhe or konsa Tool hai jo hamari likhne me madad karega..

Aap comment karke jarur bataye, aap ye Grammarly Tool pehle se use karte the.. ya aap aaj se iss post ko read karne ke baad use karege.. :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

25 thoughts on “Grammarly Kya hai | Best Tool for Proofreading and Spelling Mistake”

  1. I know this site presents quality depending
    posts and other data, is there any other website which gives these
    stuff in quality?

    Reply
  2. Tool to accha hai but free version me bahot kam cheeje available hain aur full version bahot costlt.
    so groupseo buy karne ko bolte hain log to kya usko buy krna sahi hai ??
    aur kaha se kar sakte hain buy?

    Reply