Pendrive Se Shortcut Virus kaise Htaye Hamesa ke liye

Pendrive Se Shortcut Virus kaise Htaye Hamesa ke liye

Dosto aap pendrive toh use krte hi hoge. College ke computer me, office ke computer me ya kisi friend ke computer se koi Data lene ke liye pendrive ka jyadater istemaal hota hai. Aise me kbhi kbhi aapke pendrive me shortcut wala virus aa jata hai. Jo aapke file aur folder ko shortcut bna deta hai. Aur wo file open bhi nahi hoti hai. Aur yah aisa virus hai jo Kisi normal antivirus se bhi delete nahi hota hai.

Iss post me aapko btaunga ki aap apne pendrive se shortcut virus kaise remove karenge.

Advertisements

Page Contents

Pendrive Se Shortcut Virus hatane ke Tarike

1. CMD ke dwaraShortcout Viras hataye:

Aap apne computer me CMD (Command Prompt) ke jariye shortcut virus ko remove kar skte hai hain. Iss Method se 95% chances rhte hai virus ko htane me .

CMD dwara iss virus ko remove karne ke liye steps ko follow kare:

Step 1: Sbse phle CMD window open kar lijiye. CMD window open karne ke liye Star par click kare aur RUNme jaaye. Fir ek dialog box open hoga usme CMD type kare. Fir Enter par click kare.

Step 2: Jab aapka CMD open ho jayega tb aapko C drive ka path milega. Lekin aapko apne pendrive ka shortcut remove krna hai toh aapko Pendrive ka Path dena pdega.

Step 3: Pendrive ka path dene ke liye pendrive ke name kea age jo Letter hoga usko likh ke Enter kr dijiye. Jaise maan lijiye mere pendrive ka letter “I” hai toh maine (“ I: “) likh diya.

cmd ki madad se pendrive ke virus hataye1

Step 4: Ab aap pendrive ke path me chle jayenge. Ab aapko type krna hai :  attrib i:. /d /s -h -r –s. Dhyan rhe aap “I” ke jagah par apna pendrive letter likhe.

cmd ki madad se pendrive ke virus hataye2

Step 5: Attib likhne ke baad Enter kar dijiye. Aur wait kijiye jbtk cmd process kar rha hai. Iske baad aapne Pendrive se shortcut virus remove ho jayega.

2. Software ke dwara

Agar aap kisi software ke help se iss virus ko remove krna chahte hai toh aap ek software ka use krke bhi iss shortcut virus ko remove kar skte hai. iss Software ka naam hai “USBFix“.

USB Fix se shortcut virus kaise htaye:

Step 1: Sbse phle aap “USBFix” software yaha se download kar lijiye .

Download Here

Step 2: USBFix ko install kar lijiye fir apne system ko restart kijiye.

Step 3: Fir apne Pendrive ko apne system me connect kr lijiye. Jisme shortcut virus wali file hai.

Step 4: USBFix software me aapko ek Clean naam ka option milega. Uspr clik kr dijiye.

usbfix ki madad se pendrive ke virus hataye

Step 5: Ab aap wait kijiye jb tk USBFix software aapke shortcut virus ko remove krta hai.

Iss tarah se aap apne pendrive ke shortcut virus ko easily remove kar skte hai. Yah dono method bahut hi effective method hai. Agar aapko yah post helpful lga toh kripya apne dosto ke jarur share kare.

Ye bhi pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

24 thoughts on “Pendrive Se Shortcut Virus kaise Htaye Hamesa ke liye”

  1. Hi!sir maine kabhi computer to use nahi kiya hai par kabhi kabhi net cafe chala jata hoon mai ye janana chahata hoon ke computer se koi chiz download kar ke pen drive me kai drag kare.please sir help me .

    Reply
  2. Assalam-O-Alaikum !!
    Bro! aap se 1 request he k If may be possible to aap ” Bootmgr ” jo agr remove hojy to iski problem solve kesy karty hein means isy install kesy karty hein.

    Reply
  3. Hello rohit bhai. Ap muje yah btay ki apne apni site me jo screen shot liye phir us pr step k dwara likha 1, 2 3,…yah apne short to printscan keyboard key se kiya hoga.pr bad me site pr paste kese kiya
    Or yah blogs pr adsens approve kese karte hai or kya yah hr blog pr addsens approve ho jayga help me

    Reply
  4. Thanks for accept my advice. Rohit bro aapki ab aapke blog ki theme bahut achi hai. blog open karne se hi pata chalta hai ki ye ek popular site hai. sath hi paindrive se virus delete karne ki jankari ke liye bhi mai aapko thanks kahna chahunga kyuki maine aapke step follow karke hi paindrive se virus delete kiye hai.

    Reply
  5. sir bahut log kahte hai hindi me blog banaoge to usme adsense approve nahi hoga hindi me bole to jaise aapka blog hai na usi type ka blog me kafi dosto ne kaha adsense approve nahi karega ye sach baat hai kiya aur agar ye sach hai to fir aapke blog me adsense laga hua hai.

    ab aap hi kuch batao please

    Reply
  6. weri nice rohit bhut usefull hai or aap ke liye mene ek logo teyaar kiya hai jo mene HMH group me post kar diya hai aap dekker btana kesa hai mene apni menat se bnaya hai koi site ki help nhi li aap ye bi btaye ki mare site blog me koi kami to nhi

    Reply
  7. Sir mera problem hai ki google me apna site bina www ke add karta hu to google nhi leta hai add nhi hota hai plz help dijiye sir ji ….

    Reply