Submit URL to Google, Direct in SERP [Google New Update]

Friends agar aap ek blogger hai to aap google search me apni post ko lana kitna jaruri hai wo aap samaj hi sakte hai. Google me Post ko jaldi index karane ke liye hamne phele bhi ek post share ki thi jisme ham manually apni post ko google me index karne ke liye submit kar sakte hai. Par Google ne ussi kaam ko ab or aasan kar diya hai apni ek new update me, hum ussi ke ware me jaanne wale hai.

Aap Post likhne me mhenat karte hai or aap hamesa se bhi jarur chate hoge ki aapki post google me top par aaye, uske liye mene kuch tips bhi share kiye hai jinki madad se aap google search me apni post ko top par la sakte hai to agar aapne abhi tak un post ko read nahi kiya hai to aap jarur read kare.

Advertisements

Submit URL to Google, Direct in SEPR [Google New Update]

Sabse phele to me aapko bata du, agar aap apni post ko google me submit karte hai ya nahi karte hai usse kya fark padta hai taki aap samaj sake ki aapko konsi post submit karni hai or kab karni hai.

Google wese to hamare blog ki har post ko automatic hi index kar leta hai par kabhi kabhi aesa ho jata hai bhut time tak hamari koi post wo index nahi karta to aese me ham khud se bhi submit karke index kara sakte hai.

Khene ka matlab agar aapko jaldi hai apni post ko google me index karane ki to aap wait naa karte huee khud se URL ko submit karke google ko bata sakte ho ki ye koi URl hai jisko wo index kare.

Google me aaye Din naye update aate rhete hai ye to aapne dekha hi hoga, or abhi recently jo update aaya hai wo muje lagta hai bloggers ke kaam ka hai.

Google ka New Update Kya hai ?

Agar aapko google me apni post ko submit karna hai or google ko batana hai ki aapki koi post hai jinko wo index kare to aap direct google search page se wo kar sakte hai.

Aapko simple Google me search karna hai Submit URL to Google, uske baad aapke samne jo result aayega, usme sabse upar hi diya hoga URL submit karne ka.. simple waha aap apni jo bhi url hai jisko aap index karana chate hai submit kar dijiye.

 Submit URL to Google

Submit URL to Google in hindi  Ab search karne ke baad kuch aesa result aapke samne aayega jisme aapko apna website ka URL submit karna hai.

  1. URL dale jo aap google me submit karna chate hai.
  2. I’m not a robot par tik kare.
  3. Submit ki buttom par click kare.

Note: Yaha aapko ek baat or dhiyan me rakhni hai, aapka jis Email ID se Google search Console me account me aap usme login hona jaruri hai, jab hi aesa result aapke samne aayega URL submit karne ke liye.

Aap yaha URL submit karege uska ye matlan bhi nahi ki google me aapki site turant top par aane lage par google iski madad se jo index karne ki speed hai aapki site ki wo jarur improve ho jayegi.

Ye dekhiye issi post ko mene submit kiya to wo kitne time me index hoke google search result me dikhne lagi ;)

Submit URL to Google, Direct in SERP [Google New Update] result

To Friends ab aap jaan chuke hai kaise jald or aasan tarike se google ko bata sakte hai ki aapki koi new post aai hai jinko wo index kare or Google search me dikhaye. :)

Aapko ye jankari kesi lagi ya aapka kya view hai iss new update ko leke wo comment karke bataye.. or agar aapka koi sabal ya doubt hai to aap wo bhi puch sakte hai.

Happy Blogging!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

49 thoughts on “Submit URL to Google, Direct in SERP [Google New Update]”

  1. sir, meri website ko 3 month ho gaya hai sab kuch kr liya pr google mai show nahi ho rahi kya karu ki google m show ho jaye Pls Help me.

    Reply
  2. Pls Sir Help And Info ME
    Sir for ex. mene website banayi he lekin muje malum nhi ke step by step kya kam karna he.
    or kya kay work karna padta he.

    meri website display hone ke bad fir..
    pl guide me
    muje ek perfect website banani he to kya kay kam karna he wo.
    step by step sort detail me bataye pls. sir

    Reply
  3. Rohit bhai . mane site ka sitemap submit kiya h.. Pure post submit b nhi hue or index pending bta rha h….
    Aap check krke jarur reply dijiye..
    Thank u

    Reply
  4. Hello bhai sabse pahle to mai aapko bahut bahut dhanywad kehta hu.Kyu ki mera blog post search console me sumbit karne ke baad bhi index nahi ho raha tha.Lekin is tricks ke jariye maine ek post ko index kiya to turant ho gaya.Maine bahut se logo se is ka solution pucha tha par no answer.Is post ko share karne ke liye bahut bahut thanks…..Aur ap ek baar meri website ko check karke batao kaisi hai.

    Reply
    • Kya baat hai.. muje bhut khusi hai meri priyas se aapki help hui or aapki post index huii..

      aapne blog acha banaya hai.. aap blog me upar ki menu me link add kare.. waha aapne add nahi ki hai.. baki acha blog banaya hai aapne..

      Reply
  5. sir meri memory card m kuch important images or data Tha .vo delete ho gya h .Kya memory card m s data or images recover ho skta h .

    Reply
  6. Bahut hi badiya post hai Bhai mai is post ko kab SE dhind raha tha. Mere blog ka bahut Sara new post hai Jo 1 week hone ke baad bhi index nahi hota hai to kya hum har ek post ko is tarah SE index kar sakte hai.

    Reply
  7. jaruri kuch post ko jald submit karne ke liye ye sahi hai but mujhe lagta hai auto process se jo submit hota hai wo hi sahi hai.. aapko kya lagta hai har ek post karne ke bad is traha post ko index karna kya thik rahe ga bhai ???

    Reply
  8. jab bhi me apne blog ki post ko facebook par share karta hu to facebook par kuch tym me he us post ka url fb block kar deti hai. Jyada der tak share karne par esa kyu ho rha hai.. Ek ek ek krke mere blog ki har post ko jo bhi me jyada share kr rha hu use fb block kar rha hai aap pls koi solution bataye?

    Reply
    • aapke blog ka design sahi nahi hoga.. ya aap jo usme share kar rahe hai wo fb ko galat lag raha hoga.. aap ek hi link ko agar war war share karege to wo bhi spam kheta hai .. jinko bhi fb block kar deta hai.

      Reply
  9. Ye to bilkul nai baat pata chali or bahut hi kaam ki baat. Ab to apne naye post banate hi me google search me jarur submit karunga. :)

    Ek sawal or:- jab mai Submit url to google search kar raha tha to mujhe submite url to bing & Yahoo ka bhi option dikha. Bing me to maine submit kar diya lekin yahoo me submit nahi ho pa rha uske jagah wapas bing khul ja raha hai.

    Possible ho to ek post is par bhi banaiyega or agar aapne post bana rakha hai to uska link jarur dijiyega.

    Thanks.

    Reply
  10. Great Tips

    Kai baar google dwara post index karne me kaafi samay lag jaata he or humko kaafi wait karna padta he lekin ab hum is tips se bahut hi aasani se few seconds me apni post google search console me index karva shakate he.

    Thanks for sharing this useful informaion

    Reply