Agar aapke pass computer hai or aap uske Internet use karte hai to ye jankari aapke liye bhut jaruri hai. Abhi ek new Virus aaya hai jiska naam hai Wanna Cry Ransomware Virus jisse 2,00,000+ computers affected huee hai world wild, or ye abhi tak ka sabse bada cyber attack bataya ja raha hai.
Chaliye Jaan lete hai akhir kya hai Wanna Cry Ransomware Cyber Attack or isse kaise bacha jaye or agar ye virus computer me aa gaya hai to usse kaise nipta jaye.
Page Contents
Wanna Cry Ransomware Cyber Attack Kya hai or Kaise Isse Bache uski Puri Jankari in Hindi Video
Wanna Cry Ransomware Cyber Attack Kya hai
ye ek virus hai jo computer me aane par computer ki sabhi files ko encrypt kar deta hai or files par ek lock lag jata hai, or uske baad agar aapko wo file wapas chaiye to aapko uske paise dene hoge, jo $100-$1000’s tak ho sakte hai. Ransomware ke computer me aane par computer ki jitni bhi Files, data, documents hai wo kuch bhi open nahi hoti.
Jo Rensom (firoti) magi jati hai agar wo bataye time me nahi de pate hai to wo or bad jati hai, or waha ek ye warning bhi aati hai jisme likha hota hai ki agar itne time me paise nahi diye gaye to files ko delete kar diya jayega.
Agar aapko apni files wapas chaiye to aapko paise dene hoge or jo payment send karni hai wo bitcoins me karni hai josko koi trace bhi nahi kar sakta ki kon paise de raha hai or kiske pass paise ja rahe hai.
Ye jo sabd hai Ransom iska hindi matlab hota hai firoti.. Matlab kisi chij ki kidnaping(churakar) karke usko wapas karne ke paise magna.. or jo ye Ransomware Virus hai wo yahi kaam karta hai. Hamara jo bhi data hai unko block kar deta hai or usko wapas lene ke liye paise magta hai.
News ke mutabik Ransomware Attack ka sabse jada aasar UK ke Hospitals par huaa hai, jaha iske baja se 1000s marijo ka ilaj nahi ho paya q ki unki sabhi detail locked ho gai.
Is Attack ka aasar kuch badi badi origination par bhi pata hai jese Renault, Telephonica, Germany railways, FedEx, Russian Central Bank etc.
To ab aap itna to samaj hi gaye hoge ki ye jo Virus hai wo kitna khatarnak hai, or ye abhi tak ka sabse bada Cyber Attack kaha ja raha hai.
Agar aapko dekhna hai isse or konse server affected huee hai wo aap Google Dork ki madad se search karke dekh sakte hai.
Wanna Cry Ransomware Google Dork Search: intitle:“Index of” “/ .WNCRY”
Ye jo Virus hai wo Online servers ke aalawa aapke computer or laptop me bhi aa sakta hai. Is Virus ka naam WannaCrpyt (WannaCry) hai.
Jab Virus Computer me aa jata hai to kesa message aata hai wo aap niche ki pic me dekh sakte hai, jisme dikh raha hai ki files encrypted ho gai hai or unko wapas pane ke liye pay karna hoga.
To ab aapko ye clear ho gaya hoga ki iss Virus se kya ho sakta hai.. ab dekh lete hai isse bacha kaise jaye or agar aapke computer me ye virus aa chuka hai to usse nipta kaise jaye ;)
Wanna Cry Ransomware Cyber Attack se kaise Bache
Iss Virus se bachne ka tarika hai isse dur raha jaye or uske liye kya karna hai wo aap dekh lijiye:
- Kisi bhi aesi link par click naa kare jiske ware me aapko jankari naa ho, jese kuch sites hoti hai jinpar click kisi or par karte ha or click hota kahi or hai.. to iss trha ki sites se bhi dur rhena hai.
- Agar aapke pass koi email aaye jiske ware me aapko jankari naa ho, to uska jo attachment file hai unko download naa kare.
- Iss Virus ka Patch Install kare jo Windows ne release kiya hai. (ye aapko jarur karna hai.)
- Ye jo attack hai wo Windows ke old version me ho raha hai, aap Apni Windows ko update karke windows 10 kar lijiye to aap safe rahege.
inke aalawa aapko apne computer me ek setting bhi karni hai, taki aap iss attack se bach sake.. uske liye aap meri steps ko follow kare:
Step 1: Windows me search kare Windows Features fir usko open kare.
Step 2: Ab aapko SMB 1.0/CIFS File Sharing Support se tik ko hatana hai. uske baad ok ki button par click kare.
Step 3: Isko karne ke baad aap apne computer ko restart kar lijiye :)
Is Trha aap is Virus se bach sakte hai, par agar aapke liye ye sab karne me der ho gai hai or aapke computer me ye virus aa chuka hai to ab aapko kya karna hai wo bhi jaan lijiye.
Wanna Cry Ransomware Cyber Attack se kaise Nipte
Agar aapke computer me Ransomware virus aa chuka hai to aapke samne jesa upar pic me bataya hai aesa message aa raha hoga.. to aap usse nipatne ke liye ek Decrypt code hai usko try kar sakte hai, par iski guarantee nahi hai ki ye work karega.
Wanna Cry Ransomware Cyber Attack Decrypt code : WNcry@2ol7
Second option hai aap apne computer ko format karke double se fresh Windows 10 install kare.. isme aapki sabhi files delete ho jayegi..
Tip: Aap Extra security ke liye apna jo bhi important data hai usko backup lekar kahi safe jagha rakh lijiye, taki jarurat padne par aap waha se usko recover kar sake.
To Firends, ab aap jaan chuke hai Ransomware Virus ke ware me or ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi.. Agar aapka computer ya aapke kisi bhi phechan ke bande ka computer iss virus se effected huaa hai to uske ware me aap comment karke jarur bataye.. Mere contact ke kuch Ethical Hackers hai jo sayad aapki help kar sake.
Ye jo Virus hai wo 13/05/2017 ko release huaa hai or iski sabse khatarnak baat hai wo ye ki ye abhi or badta ja raha hai, or isse bachne ka sirf ek ye tarika hai iski sahi jankari hona.. to please aap is jankari ko sabse share jarur kare or secure rahe. :)
रोहित सर
आपके द्वारा लिखे गए आर्टिकल बहुत ही बढिया है मुझे बढ़ कर बहुत ही अच्छा लगा/
मैं भी हिंदी में आर्टिकल लिखता हु जिसका लिंक निचे दिया हु
आपसे अनुरोध हैं की प्लीज मेरे साईट में विजिट जरुर करें
Bhaee Thanks You Very Much
Nice Post Thanks
Just Want To Know do you still accept Guest Post or not?
Waiting for your reply.
Aspect Bro
bro har ek point ka kafi achche tarike se details mai likha hai. Bahut badiya likhte ho. koi english blog bhi hai kya?
THanks Bro.. n English BLog nahi hai Bro. kuch niche blog hai jo share nahi kar sakta..
HI ROHIT
bahut hi achhi jankari post ki hai aapne, aapke blog par hamesha kuchh nyi nayi jankari milti hai
Thanks for helping us
Hello dear rohit sir, mera naam nazrul Islam hai,me wordpress par blog banaya hai, main baat to yeh ki me belkul bhi naya hu,Please kindly ek baar mera blog par najar ghuma ke dekhlijiye ga. kya hai nahi se post ogara. thik hai ya nahi hai.
Bahut achhi post hai kya aap bata sakte hai ki website ki security ko kaise badhaye thank you
Koi aisa work laye. Deta entry home ligal ho India ka ho
Our paise bhe India currentcy me deta ho Jo HMH me sab ko fayda dega
Bahut achi post hai ab in virus se bach kar rahena hoga taki humari kimati file ko save rakh sake
ha ye to hai.. wese darne ki baat bhi nahi hai in virus se.. was sinki sahi jankari ho or kaise bachna hai ye pata ho to koi bhi virus aa jaye koi problem nahi.
bahud badiya rohit bhai aap ke har article helpful hote hai
Yar kaha se late ho detailed information?
Jab bhi apka article padhta hu, fully satisfied hota hu. Sach me bro you are great. Kya muje apke struggle ke bare me jankari mil sakti hai?
Thanks Bro.. wese aapko struggle ke ware me kya jaanna hai.. aapko meri one year success story read karna chaiye agar nahi ki hai to.. aap HMH Fb group me post kare aapko agar kuch jaanna hai to..
Apki success story bahot badhiya hai.
Thanks Buddy :)
Bhot Hi Badhiya Post Hai Sir. Thank You
Thanks Buddy
Hi Rohit Sir
Jab se ransomware cyber attack ki news padhi he tabse computer start karte vqt or computer kaa use karte vqt man me aek dar saa laga rehta he ki kahi me bhi iska shikar n ho jaau.
Aapki yah tips bahut hi upyogi he or isse muje kaafi raahat mili he, me in sabhi tips ko jarur follow karunga jisse me iska shikar n ho shaku.
Thank you so much for this most useful information
Most Welcome Bro.. wass sahi jankari ki jarurat hai darne wali koi baat nahi hai. :)
Great article bro
Aj ki post me ek achhi jankari mili
Supar se bhi upar.
Bahut Hi Acchi Jankari Share ki hai apne Rohit Sir :)
Bahut hi badiyaa information
Hello Sir I am Tejas My Blog Name Is
COSPYNET.blogspot.com
Sir Muze Apki Site Template Bahot pasand aayi Lekin o WordPress theme hai isliye mai o use nhi kar sakta.
Sir app muze Apke Site Ke Template jaisi hi Same To Same Template ka Name Bataye.
Or sir apke site per Newspaper theme se phle koinsi Template uska name bhi bataye.
isse phele me minimalist use karta tha .. or ye jo theame hai wo aap blogger me use nahi kar sakte .. par yaha mene kuch badiya blogger template share kiye hai aap unko try kar sakte hai.
Sir muze Apki Newspaper Jaisi Hi same To same Template apne Blog par use karni hai please Sir muze aisi template bataye
Brother aesi aap blogger me nahi laga sakte.. same thoda aapko aesa design mil jayega.. par pura same work nah ho payega.. blogger me one page template hota hai.
to same aisa newspaper se milta julta template name batao sir please reply fast
Aap HMH fb Group join kare waha aapko mil jayega.
Rohit Bhai Sach me aapne bahut hi badhiya aur jaruri post ki hai. Kyuki ye ab tak sab se bada cyber crime mana ja raha hai.
Issey bachne ke tips dene ke liye apka bahut bahut dhanyavaad :)
Most Welcome Yasir
Nice information about RAINSOME WARE VIROUS
Bhai yah Decrypt code sabhi ke liye Kaam karega ya nahi
Version 2 aa gaya hai is virus ka.. sayad usme ye code kaam na kare.. par first me ye kaam kar raha hai.
Rohit bhai muje apne blog ko WordPress me install karna hai bina housting ke ho jayega
nahi, wordpress ke liye hosting hona jaruri hai.
Nice post rohit sir me abhi windows 7 use kar raha hu to Usme ye Wanna Cry cyber attack agar aa sakha hai kya or aa gaya to ye file ko encrypt karega yani lock hi karega ya fir mere pc me jo bhi important data hai vo hack ho jayega.
PC ka sara data lock ho jata hai..
Knowledgeable as always
sir mera website ek bar me nahi khulta kuch kuch problam dikhata rehta hai godaddy se domain and hosting li hai
aap browser ka data clear karke fir try kare..
Rohit Bhai .very Importent information ..Grate post
Dear rohit bro agar hamare pc me ye virus aa jaye aur agar hum dusri windows instll kar de to kya ye virus remove ho sakta hai.
haa, par uske liye hamare computer ko puri trha se formate karna hoga.. or jitni bhi file hai wo sab delete ho jayegi.
agar window 10 safe hai ,to itni badi badi companies par kaise attack ho gya kyki badi companies modtly latest softwares hi use krte hai? Isliye window 10 wale bhi bachkar hi rhe to hi sahi rhega…. aur aapne bahut hi useful jankari share ki, ab stark rehna padega….
Windows 10 me ye virus automatic run nahi hota.. baki agar ham galti se usko run karde to fir to kuch nahi ho sakta.. main hai hame hi uski jankari ho or ham usse bach kar rahe.. or ye virus sirf computer nahi, online servers ko bhi hack kar raha hai.
Great post…
I think first post on Ransomware Cyber Attack in all Indian blog.
THanks Bro..
hello rohit sir mere blog par 1449 pageview/day banta hai . lekin AdSense earning show nhi ho rha hai . kya karna hoga . lekin ek site me chek karne par $5 pratidin bata rha hai . please help
jo aapne kisi dusri site se check ki wo sirf ek andaja hai wo sach nahi hoti hai.. or agar aapki itni traffic hai to aapki earning to honi chaiye.. aap ads ki location change karke dekhe.
Es nayi aur awashyak jankari ke liye dhanya bad wase hame lag raha hai ye wahi attack karega jaha se ise jyada paise mil sake fir bhi hame satark ho jana chahiye. Mai ek bat aur kahana chahta hu ki jai hum naye bloger app ki post padhkar apanki jankari badhate hai waise ap bhi apani kimati samay se todha samay nikal kar hamar post padhe aur usme jo hm galti kar rahe hai ya kuchh achchh karne ka bataye aur uske liye hame apke kaur se post padhane chahiye iske liye coment kare
pls sir mai apne har post me app ap jaise mahan bloger ke coment ki pratiksha matlab wait karuga dhanyabad
bilkul Pramesh ji .. :)
thanks sir ji appne jo kaha use kiya bhi I aim very happy
Great information for security ~ thank u 4 share ????????
me apne blog me apke blog ke jesa comment box add karna chata hu
aap discous comment laga sakte hai… or ye jo aap dekh rah hai wo wordpress ka dafuelt comment hai
me apne blog ko kaise permote karu
Blog post ko promote karne me tarike