Blogging karne ka maksad 98% se jada logo ka paise kamana hi hota hai.. or Bhut Log ache paise kama bhi rahe hai.. Par jo Blogging me naye hai unke dimag me bhut se sabal or confusion aate hai earning se sambandit jese Agar site par 1000 Visitor aaye to kitni Earning hogi ya ho sakti hai..
Blog se earning karne ke liye ham ads lagate hai apni site par.. Bhut se Advertiser Network hai jinke ads ham laga sakte hai jese Bidvertiser, Revenuehits .. Par sabse acha hai Adsense, par uska account aasani se approve nahi hota, adsense apply karne se phele ye kuch bate jo aapko pata hona chaiye.
Ham is post me adsense ki earning ki hi baat karege, or janege ki adsense ke ads agar lage huee hai site par to 1000 Visitor par kitni income ho sakti hai.
1000 Visitor se kitni earning ho sakti hai wo jaanne se phele ham ye jaan lete hai ki Ads se earning hoti kaise hai or kis hisab se hame paise milte hai.
Page Contents
Adsense Ads se kaise hoti hai Earning
Ham jo adsense ke ads apni site par lagate hai, or Jab koi Visitor hamari site par aata hai or wo Ads ko dekhta hai ya fir Click karta hai to usse hamari earning hoti hai.
Jo hamari earning hoti hai wo visitor ke aane se nahi, balki jo ads hai jo 1000 visitor aane par 1000 par dikhe hai, ab un 1000 bar me se kitni par ads par click huaa or hame kitna CPC (Cost Per Click) mila un ads ka uspar nirbhar karta hai.
Or achi se samajne ke liye chaliye thodi Calculation karte hai –
- CPC (Cost Per Click) – ek Ads Click par kitna mil raha hai wo.
- CTR (Click Through Rate) – isko Percentage % me bataya jata hai ki kitne log ads par click kar rahe hai.. jese agar 100 logo me se sirf 5 logo ne click kiya to CTR 5% hoga.
To ab ye to clear huaa ki earning ads par click karne par hogi or un click par kitna commission mil raha hai wo bhi nirbhar karta hai Earning me.
CPC Kis Hisab se Milta hai
Jab koi ads per Click karta hai to uska commission bhut si bato par nirbhar karta hai.
- Website ka Topic
- Country
- Language
- Ads Type
inke aalawa bhi bhut si bate hai jinki points hai jinki baja se CPC kam jada ho sakta hai.
#1 Blog ka Topic
Ye sabse Main karan hai hame jo CPC milta hai uska, Q ki jo ads hai wo ussi se sambandit aate hai.. to agar koi aesa topic rahega jiska CPC High hai to hame bhi ads par click karke ka acha commission milta hai.
Ye kuch acha CPC wale Topic –
- Education Niche
- Health Care Niche
- Insurance Niche
- Online Money Making Tips Niche
- Technology Niche
- Web Design Niche
- Domain & Hosting Niche
- Blogging Tutorial Niche
- Business Niche
*Blog in Topics par bana sakte hai.
#2 Visitor Location
Jo Visitor hai wo kaha ka hai usse bhi CPC par fark padta hai, Agar visitor Asia Country jese India, Pak, Nepal se hai to CPC kam milega or bahi agar US bagera se hai to jada.
#3 Language
Bhasa se bhi CPC me fark padta hai, Q ki English jada log jante hai to English ke ads bhi jada hote hai to uska thoda jada milta hai dusri bhasa se compare kare to.
#4 Ads Type
Ads kis Type ka aa raha hai wo bhi hamare earning par asar karta hai.. Jo ads hai wo 2 tarike se aate hai ek to hamne jo post dali hai usme jo sabd use kiye gaye hai usse sambandit ads aayega ya fir jo Visitor hai agar wo kisi site par gaya hoga phele to us site ke ads aa sakte hai.. To agar jo Visitor hai wo kisi aesi site par gaya hoga jo acha CPC deti hai to hamari income bhi achi hogi ya fir kam hogi..
To ab aapko ye to clear ho gaya hoga ki jo ek click ka paisa jo hame milta hai wo kaise milta hai or kis hisab se milta hai..
Chaliye ab ek Calculation kar lete hai ki 1000 Visitor par hamari kitni income ho sakti hai.
Earning me CPC or CTR jaruri hai..
1: CPC koi fix nahi hai or wo bhut si chijo par nirbhar karta hai par ham average maan lete hai ki hame $0.10 mil raha hai.. ho sakta hai isse jada ya fir kam mile.
2: CTR maan lete hai ki 5% hai.. matlab 100 log me se 5 click kar rahe hai to 1000 me se 50 log click karege ads par. ho sakta ho 5% se bhi kam ho CTR..
To ab jo CTR hai or Average CPC hai usko multiply karne par kitni income hogi wo aa jayegi.
CPC * CTR = Earning
$0.10 * 50 Click = $5 Earning
Matlab ye hai ki agar 1000 visitor me se 50 ads par click karte hai or jo CPC hai wo $0.10 mile to hamari income $5 ho sakti hai.. Ab ye jo $5 hai wo kam ya jada bhi ho sakti hai agar kisi bhi value me thoda bhi change hota hai to.. or ye fix to hai nahi ki itna hi milega.
Ab aapko Clear ho gaya hoga ki sirf visitor ke aane se earning nahi hogi.. jo ads hai unpar click karne se income hogi..
Agar adsense se achi income karni hai to uska sirf ye tarika hai ki ads ko sahi se site me laga kar ache contant dale jaye jisse jada se jada visitor hamari site par aaye or hamari income achi ho..
bhut log Adsense se 1$ bhi nahi kama pate agar aapko janna hai Q Log Adsense se Income nahi kar pate, to aap isko jarur read kare.
Must Read:
- Google Adsense Ad Placement Policies in Hindi
- Google Adsense Terms and Conditions in hindi
- Google Adsense Approve Kaise Kare
Ummid hai aapko Adsense ki ye jankari samaj aa gai hogi, iske aalawa bhi agar aapka koi sabal hai adsense se sambandit to aap comment karke puch sakte hai.
Rohit bro.. Aap meri bat samaj nahi rahe hai.. Meri site adsense ne block kar di hai.. Kya mai is block site ka app banau to wo bhi block mani jayegi..? Matlab application pe adsense show nahi hoga?
mene aapka jabab piche comment me hi de diya tha.. website or app ka ek dusre se koi samband nahi hai.. app me aap ads admob ki adad se lagaoge.. adsense se nahi.. to agar aapki site adsense ne block kar di hai to usse app par koi fark nahi padta..
रोहित सर गूगल प्ले स्टोर पर एप्प सबमिट करने के लिये जो रजिस्ट्रेशन फीस लगता है उसे कौन से बैंक का डेबिट कार्ड से पे कर सकते है? क्या sbi का सिल्वर कार्ड से पे कर सकते है? प्लीज रिप्लाई
HDFC Platinum Card use karta hu me usse ho jata hai.. baki muje dusre card ki jankari nahi hai.. aap apni bank se contact karke pata kare ki aapko international payment karni hai kis card se hogi..
SIR PLZ HELP ME
kya huaa wo bataoo..
sir mene +2 clear kar li he. Aur me ab enginnering karna chahatu hu. Me net se sambandhit enginnering karna chahata hu. isliye plz mijhe suggest kijiye ki me konsa enginnering karu. IT, electric and commn. yaa phir koi aaur. plz suggest me
CS me aata hai ye sab
sir, mene adsense par apne USA me rehane wale relative ka address diya huwa he. 21 days me pin aajana chahiye tha magar aaj 30 days ho gaya par pin abhi tak nahi aaya he. me kya karu???
Pin 10$ income hone ke baad send hota hai address par. fir jitne bhi din pin address par aane me lagte ho wo alag. kahi aesa nahi diya ki 21 day me aata hai.. ho sakta hai isse jaldi ya fir isse bhi jada time lag sakta hai..
sir, kabhi kabhi mere blog par jo visitor aate hai aur ads par click karte he wo sab adsense par dikhte par 2-3 minute badh page view, clicks aur money sab gayab ho jata hai. yesa q hota he sir?
sir, mere pas do websites hai. jismese 1 .work hai aur ek .blogspot (blog) hai. aur dono par hi ads lage huye hai. Me konsa website popular karne ki kosis karu???
mera matlab hai google jayada paise konsa website par dega, .work par yaa .blogspot par
rohit bhai mjty views barhane han google adsense youtube video koi tariqa batao
Dusari bar bhi aapne ye nahi bataya ki site baned hai to usaki android application bhi baned mani jayegi..?
Android app site alag alag chij hai.. or dono ko banane ka tarika bhi alag hai.
Yes Maine Abhi hi isi fix kiya hai
Friend I know But Latest post ke baad Old post bhi to aani chahiye means Preivous page number par click karte hai to bhi sirf abhi ki latest post hi dikhti hai
mene check kiya sahi work kar raha hai.. aap dusre browser me tri karke dekhe.
Bhayi koi aisa solution do agar kisi ne apne browser par ad block kiya hua h to wo meri site ki koi b post pad na ske plz advice me thank u..
uska ek code hai.. me jald usko share karne ki kosis karta hu.. abhi thoda busy hu..
Sir mera 1 blog hai sir us blog par Per day 3000 pageviews aate hai lekin
Sir mere blog ki adsense earning per day .50$ se upar nahi jati ? (Solution)
2.Mera Blog 5 months old hai mei Roj quality content daalta hu fir bhi Per day 3000 pageviews . Kya ye sahi hai…??
(Sir javab avshya de thanks )
aap jo post likhte hai usme aese keywords use kare jo thode jada pay karte ho.. khane ka matlab hai ki jis topic par aap post likhege usse sambandit hi ads aayege.. or agar jo ads aa rahe hai wo ache pay nahi karte to aapki income bhi kam hogi.. Aap ads header me or sidebar me bhi use kare.. or link ads bhi use kare wo aapne ek bhi use nahi kiya hai..
Post ko aesa dalo jo logo ki jarat ko pura kare ya fir uski kpoi help kare.. ya fir jo bnhi aapka maksad hai wo pura kare.. to jada user aapki site se attract hoge..
fb page me post bust kre iska Matlab kya h
facebook ko paise de kar apni post ko jada logo tak phucha sakte hai.
Hi Rohit I ask you a One Question Please Answer… Friends I use Newspaper Theme in My Blog But isme Category Navigation Page जो मैंने Add किये है में केवल Latest post ही दिखा रहा है जबकि नीचे 16 Page तक Numbers है लेकिन फिर भी सभी Pages में उन Categories की केवल Latest Post ही दिखा रहा है इसलिए मैंने फिलहाल इसे Change कर दिया है आप भी इस Theme का उपयोग कर रहे है इसलिए जरूर बताये
Category Page me us Category ki latest post hi to aayegi.. or kya lana chate ho aap
Maine Disclaimer me ye to likha hi hai.. Site baned ho gai hai.. Ab kaise adsense mile…?
Aur aapne ye nahi bataya ki adsense baned site ka android application banaye to yebhi baned mana jayega…
ban nahi hoga.. agar wo bhi adsense ke rule ke khilaf hoga tab hoga..
i hv selected diffrent topic 4 my blog bt now i m thinking 2 make simmilar 2 u
Jis Topic me ham ache hai wo kare to jada acha hai.. baki agar koi kisi topic me acha hai to ham usse compation karke usse aage nahi nikal sakte agar hame uski achi jankari or interest nahi hai to.. baki aapki marji jesa karna chaho kar sakte ho..
aap ek bar comment policy bhi pade
आपने काफी अच्छी जानकारी दी है रोहित जी क्योंकि adsense से संबंधित हमेशा डाउट रहता है हम सबको. बहुत बहुत धन्यबाद.
Thansk Prakash JI
Bhai agar kisi se kah kr click krwa deta h to uska pta kaisa chla ga or pta chal bhi gya to kya ho sakta h detail me btana bhai
kisi se kha kar click karbate hai to uska paisa nahi milta or account block bhi ho sakta hai aesa karne par.. Jab koi ads par click karta hai agar uska usme interest na ho to wo usko turant kaat dega isse hame uska paisa nahi milega.. or agar ham kisi se khate hai ki click kare to bhi wo agar click karega to uska paisa nahi milega q ki wo samaj jayege ki ye jaan bhuj kar clikc kar raha hai bar bar.. aese me account par risk jada hai or ek do click karta bhi hai to uska kitna milega.. isse acha click naa kare or naa kha kar karwaye..
Hlo bhai unko kaisa pta chla ga ki hum kah kr click krwa raha h or agar krwa bhi diya to kya ho sakta h
Mere har sawal ka jawab aapke pass hamesh hota hai. Or aaj bhi aapne mere kai sawalo ke jawab is post se de diye. Sath hi kai blogger ke bhi sawalo ka. Thank you bhai.
Most Welcome Shaikh..
aap mere site dekho koi kami ho to batao ads v check karna.
niche YO Template ko kaise hatau jb hatata hu to site ki link he change ho jati hai.
rohit bhayi kya aap bata skte he ki meri sitemap me koi prblm ho gayi kya kyo kyo site map me 236 post submitted or 126 indexed thi abi mene 2 din se dekh rha hu post submitted 236 hi par or indexed 216 ho gaya ya kam ho gaye indexed ab bad nhi rhe he or me post regualr dal rha hu bro kya abi plz batiey.
aap khud bhi index karwa sakte ho jaldi.. uski jankari yaha hai.. ya fir normally index hone de.. usme thoda time lagta hai..
hello rohit bro… mere site me daily 80,000 pageview Hai. lekin muje adsense nahi mil raha tha . ek blogme adsense mila to maine site me laga diya 8 se 12 $ aane bhi lage. kuchh dino bad account bandh ho gaya. site baned ho gayi .maine aaparel bhii kiya . kuchh fayada nahi hua. ab mai is site ki Andorid Application banana chahta hu. kya wo bhi baned mani jayegi ?
aapka account approve naa hone ka karan hai copywrite contant.. Q ki aapki site par sayri shari ki huii hai jo aapne nahi na kahi se to copy ki hai.. aese me aapki site par adsense approve hona muskil hai..
aap aesa kare ek page or banaye site par jisme ye detail dale ki agar koi copywrite contant hai hamari site par jiska copywrite aapke pass hai or aap usko hamari site se hatana chate hai to hame apni detail send kare.. ham 1-2 din me usko hata dege.. Isse Google ko lagega ki ham jo share kar rahe hai wo galat nahi hai.. fir sayad aapka account approve ho sakta hai..
rohit bhai meri madad karo me youtube google adsense ka account ha me use 1lack month ya 50000monthly earn karna chahta hon
uske liye aapko ads laga kar video par video ko popular banana padega ki jada se jada log usko dekhe.. ussse hi hogi aapki income.
रोहित जी, आपकी वेबसाइट बहुत बेहतरीन है॥ कृपया ये बताने का कष्ट करें की ब्लॉगर की पोस्ट के बीच में एक से अधिक adsense कैसे डालते हैं।
hey Rohit, google adsense me RPM kya hota hai (mera $4.26 RPM aa rha hai eska kya mtlb hai)
Kese seo friendly bnaye
yaha diya hai
Rohit, ji
Par Hame Blogspot me Visitors ka kaise Pta chalega k kitne hai ?
blogger me sirf page views dikhata hai lekin wordpress me views or visitors 2no hi pta chal jate hai…
mere per day 1500-1800 Page views hai to visitors kitne honge
aap Google Analytics ka use kare aap uspar puri trha or detail me apni site ko track kar sakte ho
bhyi seo ke liye bada title accha hota he ya chhota title better hota he plz suggetion
Bada par jada bada bhi nahi.. 70 sabd ka hona chaiye.. aap ye post pade SEO Title ke liye
Mujhe apni site se ye hatana hai niche aa rha hai Yo..!Templates
template me uska code diya hoga ya fir koi script hogi.. ye post dekhe
बहुत ही खूब आपका Topic, नए bloggers के लिए काफी knowledgeable.
hello Rohit ji
mere blog pe traffic nhi aa rha ,aap please dekh lo ek baar
aap apne Title ko thoda or SEO Friendly banaye.. Google search sugestion ki madad le title ke liye..
sir, jab CTR badhta hai to CPC ghat jata hai aur jab CPC badhta hai tab CTR ghat jata hai. yesa Q?
CTR to hamare visitor ke upar hai or hamari ads ki location par.. inka ek dusre se direct koi samband nahi hai..
fir bhi agar koi samband nikala jaye to aesa ho sakta hai ki jo ache CPC wale ads hote hai.. jese kisi Mobile ko purches karne ka ads par uspar sab click nahi karege q ki sab ko wo mobile nahi chaiye..
bhai kya jabardast post hai …Mazaa aa gya ..padh ke…!! keep it up rohit ji
Thanks Satish ji.. Aapka Comment bhi jabarjust hai :)
Thank you for great information
mere site hai is par ads lagaya hua hai aap chek karo kahi koi nkami hai to batao
aapne dropdown menu ke niche ads lagaye hai.. ye adsense policy ke khilaf hai.. ho sake to usko or kahi lagaye..
Yr ur btao k androide templete ko kese edit KR k Kuch dlt kiya ja e per kese
Computer se hi kare to jada acha rahega..
Bhayi aapse kuch puchna tha ki mene abi post dali to wo 2 min me Hi search me aa jati h par jo meri do din phle wali post h jese uspar 2 days ago aa rha abi me usko update karta hu to wo time change nahi hota yani wo 2 days Hi hoga usko min ago ya hours ago me aa Jana chahiye tha par nhi ata h iske liye kuch solution h apke pass agar to plz mughe bataiye thanks..
uski jankari yaha hai..
Agar aap regular post karege to google automatic aapki post ko jaldi index karne lagega.
hello sir template ko online zip convert to xml kaise karen website ka url batana
aare yaar kitni bar bata chuka hu.. agar XML file ko online upload kare to wo corrupt ho jati hai.. is liye usko zip file me upload karte hai.. Zip ek type ka folder hi hota hai jiske andar hamari main file hoti hai.. aap WINRAR softare install karke zip file ko open kar sakte ho fir usme se apni file ko bhar nikal lo.
sir, kitne impressions me 1 click milte he to acha rehata hai?
mera matlab hai..
20 impressions = 1 click ya phir
50 impressions = 1 click
??impressions = ?? click
jis se ki cpc acha rehata hai…
20 par 1 par isse thoda upar ya niche bhi ho jaye to koi dikkat nahi.. bas aap kha kar click mat kar wana..
100 impressen par 2 click hone chahiye nahi to adsense diseble ho jata hai
Thanks for this post
Bhai aap kitna kama lete ho please share ???
6 figure me..
Sir muje ye btaye ki blogger me post ke bich ye link ads kaise lgaye jaise aapke lgaye hua he?
Mene bhi blogging lagbhag 6-7 machine pahle suru ki he.mere man me bhi adsence ko lekar bahut se saval the.is jankari ke liye realy thanks. Plzz aap mare blog par visit karke dekhe ki mujhe AdSense approval ke liye or kya sudhar karna chahiye ?
Aap about us, contact us page bhi banaye.. or jada jankari ke liye aap ye post pade..
लेकिन इसे फिक्स मानना उचित नही। जरूरी नही कि आपके 1000 विजिटर ऐसी डिवाइस जा ब्राउजर उपयोग कर रहें जिसमें एड़स दिखतें हों।
sahi kaha aapne.. India me jada tak UC use karte hai jisme ads nahi dikhte.. usse bhi bhut asar padta hai earning par..
Hello rohit bhai aap please mere ko bataiye ki mere dusre blog par ads lag gaye hai par show nahi ho rahe so please is ka karan bataiye.
jab pheli bar ads lagate hai to ads jab dikhte hai jab adsense ki team hamare blog ko visit karke dekhti hai ki jo blog hai wo adsense ke layak hai ya nahi or kahi usme koi galat chij to nah hai..
Aap ne bahut achhi jaankaari di
Year apne ye n btaya k AdSense per account kese bnaye
youtube ke jariye bana sakte hai uski jankari yaha di hai
Rohit bhai
adsense site ko review kitne din me karti he????
ye koi fix nahi hai.. 2 hafte ya usse jada bhi lag jata hai.. agar jada request aati hai unke pass too..
Bhai ek baar confirm Karo ki yrr traffic se paisa Kaise junrate hota without adsens contact me 9399089194