Stock Photography aisi chij hai jo sab logo ko pasand aati hai. Ye or Images ki trha Image hoti hai par isme kuch Special hota hai. Jisko ham Apne Blog, Presentation ya fir kisi project me use karte hai.
Stock Image hamari Aankhon ko attract karti hai.
Page Contents
Stock Photography Kya Hai
Wikipedia ke mutabik, Stock Photography ek aisi photography hai jiske jo Photographer rahte hai, Wo alag alag location se photo ko khichta hai. Ye jo Photo hote hai bo hamari jarurat ke hisab se bilkul sahi rehta hai. Ham in Photo ko bhut kam kimat me kharid sakte hai.
Aap Simple kharid sakte ho Stock Image websites se apni jarurat ke hisab se bhut kam kimat me.
Ye kuch Badiya Website Stock Image ke liye.
- Shutterstock
- Istockphoto
- Gettyimages
- Fotolia
- Stockfresh
Ye jo Websites hai inpar aapko High Quality me badiya Image mil jayegi bhut kam kimat me. Par bahut log hai jo Image ke liye kharcha nahi kar sakte, Unko Free Stock Image Chahiye jisko wo kahi par bhi use kare or unpar koi copyright Clam naa ho. Agar Aapka Blog hai to aap uspar copy image dalege to aapka Adsense Approve hone me bhi dikkat aayegi.
Mere Pass Bhut se sabaal aaye Stock Image ke liye, Specially jo Blogger hai:
- Kaha se Free Stock Image Download kare Blog Post ke liye?
- Badiya Image free me kaise Download kare?
- bina Copyright ki Image kaha se milegi?
Is tarah ke or bhi Sabal hai. Is liye aap me aapse Free Stock Image ki 11 Websites Share kar raha hu. usse pehle jaanle…
Google se Q Nahi Download kare Images ko
Kuch logo ke dimag me ye sabal bhi aa sakta hai ki itni matha pachi arne ki kya jarurat hai, sidhe google me search karlo or image download karlo, unko me simple khana chahunga ki aap bilkul aisa kar sakte ho or aapko image mil bhi jayegi. Par Image jo hoti hai unme se jada tar copyright hoti hai matlab ham agar unko use karte hai to ham par case ho sakte hai. Mera khane ka simple ye matlab hai agar aapka blog hai or aap usse adsense ke jariye paise kamana chahte hai to copyright material naa dale apni site par to hi acha hai.
Pade: 11 tarike Adsense Account ko Approved karane ke
Stock Images ki Free Websites
1. Pixabay
Pixabay bilkul shutterstock ki tarha hai. Bas itna firrent hai ki ispar HD image free me mil jati hai, jisko ham kahi bhi use kar sakte hai. Abhi is site par lagbhag 400,000 imges hai or sabhi free hai.
Free me image ek bada problem hai, bhut log kya galti karte hai ki Google image me image ko search karke use kar lete hai par copyright hone ki baja se baad me dikkat aati hai. Is problem ko solution hai Pixabay. Is site par ham free me image ko use kar sakte hai or koi link attribute kese ki bhi koi jarurat nahi.
yaha par kuch badiya mage pixabay par – PIXABAY Editor’s Choice Section
2. Stocksnap.io
Is site par wo roj HD image add karte hai. Is site par bhi jo Image hai wo Creative Commons hai matlab ham inko bhi free me use kar sakt hai or koi attribute dene ki bhi jarurat nahi. Is sie ki sabse badi baat ye hai ki ispar sirf HD image hi upload karte hai jo dusre logo se ispar submit ki hai.
3. Pic Jumbo
Ye bhi bilkul free stock photo dalt hai apni site par personal or kisi bhi project k eliye. Pic Jumbo par ultra HD image bhi hai par uske liye hame paie dena padta hai, jo sirf 6$/month hai. or is hisab se hame bahut badiya image mil jati hai.
4. Unsplash
Unsplash HQ Stock photo dalte hai. Is site par jada tar nature ke photo dale jate hai. Unsplash ke license ke hisab se aap unki photo ko copy, Edit ya khud baat sakte ho bilkul free. Agar aap unke email se subscribe karte ho to aapko daily 10 new photo bhi aapko send karege email par.
5. Designers Pics
Designers Pics Jessu John, India se banai hai. Sari Photo inhi ne khichi hai or ham inko free me use kar sakte hai.
6. IM Free
Agar aapko bhut Photos ki jarurat padti hai to IM free bhi aapke kaam ki site hai. Is site se bhi aap free me image ko download karke kahi bhi use kar sakte ho. Sare photo bahut badiya hota hai is site par HD me.
7. Flickr CC
Bhut logo ko ye pata hi nahi hai ki Flickr bhi ek badiya site hai stock image ke liye. Simple aapko ispar jo bhi free image search karna hai usko search kare fir only Creative Commons par click kare, jo ki free image oti hai.
8. SplitShire
SplitShire ek or badiya site hai jis par high quality ki image mil jati hai. Ye Image bhut hi useful hai Designers, Developers or bloggers ke liye. Jinko aap free me use kar sakte ho.
9. Stokpic
Is site par HD images hai jinko aap print kar sakte ho, Advertising me use kar sakte ho, Blog, Business or newspaper me bhi use kar sakte hai. Is site par bhi free images hai par kuch paise me bhi hai.
10. Gratisography
Jitni bhi pictures Gratisography par add ki jati hai wo sahi e bahut badiya hoti hai, Is site par wo jitni bhi image dalte hai categories wise. ham ispar aasani se image ko search karke kahi bhi free me use kar sakte hai.
11. Startup Stock Photos
Is site ke to naam se hi samj aa gaya hoga. Jab ham koi kaam start karte hai to usme use kar sate hai in images ko free me. Ye image small business or startups ke liye bahut badiya hai.
At Last:
To free images ki website ki list to aapne dekhli. or mujhe lagta hai in sites mese aapko apne kaam ki image jarur mil jayegi.
Par use karne ke pehle me aapko suggest karuga ki aap image ko ek baar check karle ki ye image or kaha use ki gai hai or kahi copyright to nahi hai. Uske liye aapko Simple jo image hai usko TinEye par upload karna hai ya fir image ka url bhi daal sakte hai. uske baad jese hi search karege jinti bhi jagha ye image hogi aa jayegi. Isse ham kisi bhi image ka source pata kar sakte hai.
Akhri me aapse ye hi khana chahuga ki aapka jo bhi topic ho usse related stock image hi use kare. Image use karne se hamari Post me jaan dal jati hai or agar ek badiya image ho to kya baat.
Aapke kya bichaar hai or koi suggestion hai to comment me jarur bataye..
bhai kisi festival post ke liye hume images ki jarurat padti hai jaise dussehra,dhanteras , diwali etc. inhe kaise le sakte hai free stock ki bahut si site par dekha par nahi mil rahi hai
kya ap hm sb ko apni monthly income show kr skte ho kya??
sorry nahi bata sakta.
Aapne jo bhi image lagayi hai usme apni site ka naam diya hai kya ye copyright se bachne ke liye hai kya?
haa, agar ham kisi site se image le rahe hai to unki credir link dekar ham copyright se bach sakte hai.
rohitji mere 2 question ha plase pls ans.
1 yeh jo apne free image Downlod karne ki website batai hai , kya in sito se image download krne per koi Copyright problems toh nhi hoga future me apne blog ke liye? koi risk toh nhi h? koi credit toh nhi dena padega issme ?
2.kya hum google per available kisi bhi image ka screenshot leker usse use kar skte hai kya apne blog me koi credit toh nhi dena padega , koi copyright issue toh nhi
my Tech blog :www.techexpedia.com
Ye jo site hai unpar free image hai.. wo aap unke about us me jakar dekh sakte hai.. or jo un image ke licence hai wo check kar sakte hai.
Agar aapko Google se Image use karna hai to aap ye tarika apnaye.. agar aap screenshot lege to bhi wo copy hi khelayegi.
Sir, agar koi blog bana liya jaye toh woh blog foreign countries mein bhi show hoga ya uske liye koi domain purchase karna padta hai.
Please help.
nahi.. par agar aap domain add karege to jada chance hai aane ka search me..
1.Sir images ki max size kitni honi chaiye post m
2.Or sr apne jo website btai h agr hum usse koi imageg downlod krke apni website k name likhte h to kya copyright btayega?
Jitni Khan rakh saje utni rakhe.. Loading time utna hi sahi rahega..
Or agar aap free image use karege to koi problem nahi hogi
Q.1Sir image ke dalne ke liye kha we permission le.
Q.2 Or sir blog ke Jo template hote hai WO sirf wha se Editting hi kr skte hai ya koyi dawnload bhi hota hai . download hota hai to aapne jo sbse phle blog blogger PR bnayi hogi wuska tamplate me Jo apko abhi tk aachi tamplate lgi ho WO send kre plz
Q.3 or mere blog me khuch gdbd ho to mujhe plz btaye npaskme.com meri blog hai
Mene Jo bhi kiya hai is blog me WO SB aapki help se Jo bhi article likhte ho me jrur pdta hu or mujhe aapke articles pdne bhut mja aata hai me aapke ek din share article PD luga sir. Dekhna
Q.3 sir AdSense ke liye me KB aply kru plz reply krna na bhule aapke Facebook group se judne ke liye link bhi send kre plz………………………………………………..
Sir mera bloh govt. Job ki jankari deta hai to muje police, army ki free image kaha se milegi
aap stock image me search kare.. unki image bhi mil jayegi..
Bhai images dalne se traffic hoti kya?
Hlo dost websait ke liye imese kayese milego pura jayese man lijiye google pe photo uplod hai uska photo lagvag 3.4photo hai kese melega
ThaNk sir
maine abhi kuch din pehle hi blog p site banayi hai kuch maine apki post padh kar kiya hai
please meri site p jakar mujhe uski kamiyan bataye taki main unhe door kar sakoon ap ki madad se please
and site ko modifie karne me meri help karen .
thank you.
hello sir,
pata kaise chalega ki jo image hamne download ki hai vo cpyright hai ya nahi
hlo rohit bhai pls help me ki ham copyright images ka kese pta lgaye ki yeh copyright image he
Agar mai inhi wali site se download kro aur uspe koi copyright na ho to?
aap iske interestion pade.. kuch to bilkul free hai par kuch me aesa hai ki aapko unki link deni hogi.. or ham aesi jagha use nahi kar sakte jaha ham kuch sale kar rahe ho aesi bhi hoti hai kisi kisi site ki.. to aap unki terms padege jab hi sahi clear hoga ..
Thank u sir
Kya mai image me apne blog ka name bhi likh skta hu, isme koi dikkat to nahi ki kisi aur ki image me mai apna name likh rha hu, free wali images me hi
agar aapki imahe hai to aap likhe.. kahi or se download karke apni site kaa naam likhne me dikkat ho sakti hai agar wo image copywrited hui to.
dear sir aap se baat bilkul nahi hoparaha hai meri kitne din se kosis karaha hu
rohit bhai yadi image ko edit kar ke blog pr uplod kiya jaye to bhi problem hogi kya
rohit bhai yadi hum kisi image ko edit kar ke apne blog pr lagaye to bhi problem hogi kya
Blogspot me sabse achha speed template konsa he?
dear rohit apki is post se photo download ke bare main bahut badhiya jankari mili. maine blogger par ek blog banaya hai. apne uski language change karne ko kaha tha. vo maine kar di hai. ek bar app mere blog ko dekh kar kuch tips de.
sir aap jo image use karte ho wo apne PC se screen shot lete ho ya fir inhi sites se karte ho or in sites pe to jo mai search kar ra hun wo kuch bhi ni aara ???
Sir mujhe Janna he ki aap apne post me Jo website ki image daalte he wo kese daalte Jo copyright nhi aata aur AdSense bina kisi paresani ke ban jaye aur edit kese karte he imge ko circle aur errow
Sir mujhe Janna he ki app apne post me website ki images dalte he wo kese dalte he
Kis software se capture karke dalte he jo blog par copyright nahi hota aur edit kese karte he circles aur iske alawa kya kya late jo image copyright na ho aur AdSense account bina kisi dikkat ke ban jaye plz. Sir reply jarror kijega
rohit bhai mai audio gana pr apna image set karna chahta hu koi aap batao ya kaise hoga ye batao
rohit bhai mai audio gana pr apna image set karna chahta hu koi aap batao ya kaise hoga ye batao
en website se img down;load karke blog me lagaye to copy nai kahlayegi na or adsenc approv ho jayega na
ARE YAAR YE IMAGE BHI SAARE ALREADY USED HOTE HE ….. TO AGAR ISSEY USE KARENGE TO ADSENSE BANNED HONE KA KHATARA HE…. ASAL BAAT TO YE HE KI FREE IMAGE MILANA NAMUMKIN HE.. KHUD KE CAMERA SE KHICHANE PADENGE :P
Bhai mera ek blog hai uska kai post hai jo kholne par nahi khul raha hai aur ek error message aa raha kai ki ye kisi dusre page page pe aapko bhej dega. Etc kuchh kuchh kuchh aisa hi message Sahi se yaad nahi
Waise to hum maximum error wala post hata diye ek post hai jiska naam hai search engine optimisation (seo) tips aap ek baar mere blog ko visit kar k bataiyega ki Kya problem hai
Jante hai i mean kai baar aapke hi blog pe padhe hai ki comments me url nahi chhode spam wagairah etc
But url nahi dalenge to aap mere blog ko visit kaise kar paiyega
Mere blog pe bhi view dijiyega mai seo wale post ko aapke site pe guest post karna chahta hu dekh k bataiye ga guest post k able hai ki nahi agar able hoga to Aage ka process comment me bataiyega mai aapka guest post wala post padha hu but ye samajh nahi aaya ki guest posting karte kaise hai
Plz help mere lagbhag 50 post me ye error hai
aapko comment me link add karne ki jarurat nahi hai.. comment karte samay jab naam ke sath website me aap jo link dalte hai uspar click karke bhi site kholi ja sakti hai..
aapki post open ho rahi hai.. mene open karke dekha hai..
Guest post karke ke liye aap yaha click kare or hame apni post likh kar mail kare.
ye creative comman ka kya matlab hai. ye bataye en site par jo image hai to unse ek hi image ko lekar kya kaei insan apne apne blog par dal sakte hai. jab kaei blog par ek hi image hogi to adsense aprove ho ga. kyuki en sito ki har image na jane kitne blog par hogi.
aap ne jo ye websites di hai en par bahut image hai. or har image ko hazaro bar download keya gaya hai. to ham kon si image download karke apne blog par dale. har image to pehle hi download karke kahi na kahi post kar di gaei hogi. please vistar se bataye
Copyright © sirf uske pass hoti hai jo image banata hai.. Or in site par jo image hai wo jinhone banai hai wo kahi bhi free me iska use kar sakte hai.. To kitni baar download huii ussi koi dikkat nahi.. Bas image creative common Hona chaiye
screen shot jo mobile se leya gaya hai. kya usko blog par daal sakte hai
Haa bilkul.. Use kar sakte ho usko.. Par aapke pass uski permission Hona chaiye.. Khane ka matlab hai aesa screen shot bhi use nahi kar sakte jisko share karna allow na ho.. Baki koi dikkat nahi
Blog to bana diya hai lekin google pe show kaise karau. Or kya kya karna padega apne blog ki about oro ki tarah bnane k liye.
Badiya post dale
Youtube paise pr viewer ke hisab se deta h ya minute ke hisab se. Aur kitna paisa deta h air kb deta h
Plz btaeye rohit bhai
Dono ke hisab se.. Minutes par Jada focus rhata hai..
Kitne deta hai ye koi nahi bata sakta.. Apke 1000 view par kitne income hoti hai aap usse andaja laga sakte ho
Rohit bhai jaise har post ke niche comment karne ka option aata hai.mai jb mobile se chek karta hu to comment ka option nahi dekhata hai web me chek karne par aata hai.mobile par comment ka option kaise aayega.
comment blog me aa rha hai bt apne mobile me dekh rhe to nahi show kar rha hai.
aap khana kya cha rahe hai me samaj nahi paa raha hu, please thoda clear karke bataye kya problem aa rahi hai.
https://www.graphicsprings.com/ is site se free option select karne par v download nahi ho rha hai buy karne ka option aa rha hai by karne par he download ho rha hai.
Aap sayad Hindi Me Help ke facebook group me add hai, mene iska jabab bha par diya hai. please aap bha par dekhe.. :)
Rohit bhai mujhe J logo image chahiye kaha se milega free me.Maine bahut search kia nahi mil rha hai.
aap is site par tri kar sakte hai, free me https://www.graphicsprings.com/
Rohit bhai mera blog mobile par comment ka option show nahi kar rha hai.
aa raha hai, mene check kiya aapke blog me..
Is site se free image use kar sakte hai
http://www.stockfreeimages.com/
http://www.freeimages.com/
http://www.imagesource.com/royalty-free
inke jese naam hai usse to lag raha hai.. aap inke about us me jaa kar or check karle ki image ko use karne par koi attribute to dene ki jarurat nahi.
Ek bat aur btayen bhai, jab ham free stock image search kar chuken to kya usko TinEye par search krke uska source pata krna kya zaruri hai? Aur agar pata krne par dekha k woh pehle se kai site pe use hai to kya ham bhi usko use kar sakte hain? Koi claim issue to nai hoga.
aap usko use kar sakte hai, tineye to mene isliye batai ki agar aapki kisi image ka source pata karna ho to aap iski madad se kar sakte ho..
ThaNk sir
Sir ek company h jiska naam setting company h Jo abhi aayi h us ne ye offer diya h SB ko ki ager hun 15 logo ka ek group bnaye to vo pr insane ko 35000rs denge or fir 2300,rs hr ka aadha hr 15 din me dena h to ye kese pta kre ki vo compny feck h ya nhi
Or jese hum net se paese kam skte h to sir usk pese hume kese milenge or kya hume apna accaunt no. Bhi dena padega kya net pr
Rohit bhai ap ne kaha k apne bloge pe image upload kren to stock image hi upload kren. To bhai woh kharid kar kren ya free wali bhi kar sakte hain. Ap ne kaunse k liye suggest kiya hai.
Free hi kare, aapko jo image chaiye agar wo free me nahi mi pa rahi tab aap kharide.
Sir agar mai google se image download kare aur use thoda edit kr k apni site me dale to chalenga kya … ???
agar copy writed hai to nahichalega.. aapko uska creadit to dena padega nahi to agar kisi ne clam kar diya to nuksaan ho sakta hai.. or edit bhi bina permision ke nahi kar sakte.
sir ye WordPress kya he
ye bhi blog ka platform hai.
Rohit bhai ek baat btaye……ke agr me apni website pr kisi dusri site ka content copy krke dalu aor likhu bhi kr (source by hindimehelp.com) ya phir thoda sa content dalu aor aage us website ke article ki link de do jo wo content wahi jakr padh sake……..to kya google adsense approve ho jayega na……….aor ad me bade banner lgane se jyada income hoti ya sbki brabr hoti h…
nahi adsense approve nahi ho sakta.. uske liye pura orignal coontanthona chaiye..
Domain kya chij he hume example deke batao pls
http://www.hindimeheko.com, http://www.facebook.com, http://www.google.com ye domain hai.. jjisko daalkar ham site ko kholte hai
Image ko tineye per upload kaise kare
aap site par jaye to upload ka option rhata hai usme
Sir ek post kitni pic dal skte hai.agar hmare blog pr jydaa image ho gyi to kya koi problm ho skti hai.
aap kitni bhi image daal sakte ho.. jaha par bhi jarurat hai aapdal sakte ho. par ek baat ka diyaan rahke jada image daalne se aapki site ki speed kam ho jayegi..
adfly open nai ho raha h or koi h kya plz . . .
jisme paypal ac. payment ke time mange
India Gov. ne usko block kar diya.
hi rohit how r u . .
agr me meri site weebly par banau or create karne ke bad agar me domain purchas karu to ho jayega kya because mene site banali or ab me domain rajister karu to .. . . .
haa kar sakte hai par me aapko sggest karuga ki aap blogger.com par banaye..