Agar Aap Youtuber hai to aapka hamesa ye rheta hoga ki aap ek acha Video banaye jo dekhne me accractive lage. Ek ache video ke liye sirf acha cemera hi jaruri nahi, Video ke liye ek badiya Video editing software bhi jaruri hai jiski madad se ek acha video bana sake.
Paid Software to bhut mil jayege jinme ham aasani se video ko badiya tarike se edit kar sakte hai, par agar aap new hai or aapke pass abhi itne paise nahi hai ki aap software kharid sake to tension lene ki koi baat nahi hai, me aapko is article me Best Free Video Editing software ke ware me batane wala hu jinki madad se aap ek acha video bana sakte hai.
Best Free Video Editing Software ki List
1. LightWorks: Ye ek powerful video editing tool hai, jisme ek badiya movie bana sakte hai. Aapko jaan kar herani hogi par is software par Batman or Mission Imp[ossible jesi badi movie bhi bani hai.
Is Software me aapko ye future milege: timeline, multiscreen, effect add kar sakte hai or video ko cut bhi kar sakte hai jo bhut aasan hai isme karna. Ye Best Free Video editing software hai, or aap jese jese isko use karege aapko or jada achi se use karna aata jayega.
2. Windows Movie Maker: Ye Windows me phele se aata hai jo use karne me bhut aasan or simple hai. Is Video editior me jada option to nahi hai par agar aapko simple ek video banana hai to aap isme bana sakte hai.
3. VirtualDub: VirtualDub ek video recoder or editor hai jo 32 bit or 63 bit dono me work karta hai. Iska GNU license hai to koi bhi isko use kar sakta hai Free me. Is Software me badi file ko bhi jaldi edit kiya ja sakta hai. AVI or MPEG-1 formate me video bante hai is editor me.
4. T@b ZS4 Video Editor: ZS4 Video Editor ek free tool hai isko aasani se download karke use kiya ja sakta hai. Is Software ko mainly files ko add karke video banane ke liye use kiya jata hai.. jese Image, Sound, video ko add karke ek video bana sakte hai iss software me.
5. WAX: Wax is Professional Video editor hai jisme special effect add kiye ja sakte hai video. Wax me 2d 3d effect badi aasani se add kiye ja sakte hai or sabse main baat ye bhi free hai.
6. Cinefx Jashaka: Cinefx ek offline playback, editing, encoding, animation or visual effects tool hai jisme special effect add kiye ja sakte hai bhilkul ek professional editor ki trha. Hollywood me special effect ke liye bhi is tool ka use kiya jata hai.
7. Blender: Blender ek Free open source 3D Video editor hai, jisko koi bhi publicy use kar sakta hai. Is Tool me Edit kar sakte hai, 3D Graphics add kar sakte hai, special effect add kar sakte hai or bhi iske aalawa bhut kuch hai.
8. Avidemux: Avidemux ek free Video Editor hai Simple Cutting, filtering karne ke liye. Isme bhut se video formate suppport karte hai jese AVI, DVD compatible MPEG files, MP4 or ASF. Isme Video editing badi aasani se render ho jati hai.
9. MoviStorm: MoviStorm is puri trha se 3D Movie banane ke liye hai jisme aap badi aasani se cartoons, crime, music, horror etc bana sakte hai. Ye software animation video banane ke liye best software hai.
10. Movica: Movica ek Graphical user Software hai jisme movies ko aasani se edit kiya ja sakta hai. Is SOftware ki ek khas baat ye hai ki isme keyword ki shortcut keys use kar sakte hai jisse kaam or aasan ho jata hai.
11. Video Spin: VideoSpin ek free editor hai jo bhut acha hai dusre free software se compare kare to. Isme ham basic editing or movies badi aasani se or achi se bana sakte hai.
12. AVIedit: Ye bhi ek badiya SOftware hai .AVI files ko edit karne ke liye. isme ham badi aasani se Video ko edit, Chota bada, Cut , join kar sakte hai or Frame by Frame bhi edit kar sakte hai. Is Software ki ek or khas baat ye hai ki isme Video Compress hoke banta hai, matlan kam memory me acha video.
Also Read: Video ka Size kam karne ka Software or App [Compress Video]
13. StoryBoard Pro Software: Ye ek badiya SOftware ek Animited story banane ke liye, jisme aese tools diye hai, un tools ki madad se ham video me text, title, bagera add kar sakte hai. Editor me Video, Image, music bagera bhi add karke ek acha Video bana sakte hai.
StoryBoard Pro Software
14. AVI Trimmer: AVI Trimmer ek free or fast evideo editor hai jisme bina quality ko ka kiye video ko cut kar sakte hai, edit kar sakte hai. Video ko edit karne ke baad video ka formate bhi badal sakte hai apni marji ke hhisab se.
15. Zwei-Stien Video Editor: Agar aap koi aesa video banana chate hai jisme bhut sare chote chote video, image or sound clips hai to aap is software ka use kar sakte hai. isme aap 256 Video ko ek sath edit kar sakte hai, or image or audio ko bhi. Editor me hame 64 effect bhi milte hai jo ham video me add kar sakte hai.
16. DVDVideoSoft Free: DVDVideoSoft ek chota or aasan software hai jisme Video or audio ko edit kiya ja sakta hai. Is Ek software me ham video k edit bhi kar sakte hai or usko DVD me burn bhi kar sakte hai, or iske sath sath ham video audio ka formate bhi change kar sakte hai taki wo har divice me ham use kar sakke.
17. AVITricks Video Editor: AviTricks ek aasan or free video editor hai jisme ham live preview karke bhi dekh sakte hai. isme hame timeline bhi milti hai jispar ham video ko alag alag timeline me add karke edit kar sakte hai.
18. DVD Knife: Ek ek simple tool hai DVD me se Video ko save karne ke liye. Isme hame simple Video ko select karna hota hai starting or end point or fir jese hi save karte hai utni film hamare computer me save ho jate hai. Iski process bhut fast hai.
19. Mewa Film: Is Software me ham Video ko edit kar sakte hai, iska sabse main kaam hai ki agar koi cideo hai uske kuch part ko aage ya piche karna hai, ya koi part hai wo hatana hai to simpel drag n drop karke kar sakte hai.
To Dosto ummid hai aapko ye Video Editing ke Free Software ki list pasand aai hogi, agar aapki kisi or free software ka naam pata hai to aap comment me jarur bataye.. OR aap ye bhi jarur bataye ki aap video editing ke liye konsa software use karte hai.
Ye Bhi Padhe:
Awesome article sir, aapka aritcle parhkar bahut achha laga, aapne jis tarah apne baton ko samja kar likha hai wo kabile tarif hai. Thank you so much sir for your valuable and inspiration post.
Adobe premiere and after-effects kaisa software rhega ??
Thanks for sharing such an amazing list for video editing software. It will really useful to all.
kya wondershare filmora beginner ke thik hai?
jaankari nahi thi ke intne sare video editor windows ke liye uplabdh hai.
bahut hi badhiya jaankari.
IS POST ME KAAFI ACHHCHI INFORMATION DI GAYI HAI HAME KAAFI PASAND AAYI
Thank you for this useful information. its very help full for me..
Sir blender is best
And thanks for this info.
Professional keliye Premier Pro best he.