Hello Dosto, Abhi ka sabse garma garam topic hai India me 500 or 1000 rupee ka Note Band hona.. Dekha jaye to ye bhut hi sahi fesla hai, isse hamare desh ko bhut faida hona wala hai or ye jaruri bhi tha.
Chaliye me aapko batata hu kya kya fayde hai ₹500 or ₹1000 ke purane note ko ban karne se or kya hai ₹500 or ₹2000 ke naye notes me or kaise aap unki sahi phechan kar sakte hai. Ye jankari dekha jaye to har ek Indian ke liye bhut jaruri hai to aap isko apne dosto or ristedaro se bhi jarur share kare.
Page Contents
₹500 or ₹1000 ke Purane Note Band karne ke Karan or Fayde
Hamare Desh ki jo pura paisa hai uska sabse bada amount yani 45% money 500 or 1000 ke notes me tha, or jitne bhi galat kaam hote the wo inhi notes ki madad se hote the. ye Kuch Points jinki madad se aap achi se samaj payege.
- Black Money par lagam lagai ja sakegi, or jinke pass bhi galat tarike se paise kamaye huee hoge wo samne aa jayega ya fir wo kisi kaam ka nahi bachega.. Jo Tax churate hai unko ab tax bharna hi padega.
- Nakli Note bhut jada ho gaye the, to ab wo bhi ab sab khatam.. Q ki jo naye Note aaye hai unka Design or unke banane ke tarika bilkul alag hai to unke nakli note banana ab muskil hai. abhi har 1000 noto me 4 nakli note nikal jate hai itne sare nakli note hai.
- Neta log chunav me voter ko kharid ne kle liye inhi noto ka use karte the, bote ko kharidne ke liye ab wo bhi possible nahi ho payega. q ki ab jo naye note aayege usko track kiya jayega unke number ki madad se ki wo kaha kaha gaye.
₹500 or ₹1000 ke Note ko Ban karne ka ek nuksan bhi huaa hai wo bhi me aapko bata deta hu.. wo hai Hamare Ghar ki Ladies ka huaa hai q ki wo apne kuch paise chupa kar rakhti hai taki wo apne kaam ke liye use kar sake.. par ab wo sab paise bhar aa jayege nahi to agar unko exchange nahi kiya to wo sirf paper bachege.. iss karan bhut ki Ladies ka Black Money bhar aa raha hai :) ye sirf ek majak hai.. ye bhut si sahi nirne hai hamare desh ke liye.
₹2000 or ₹500 ke naye Note me kya kya Khusiya or Future hai or kaise Asli or Nakli ka Pata kare
Dosto agar Aap Indian Rupee (₹) ko use karna chate hai to aapko ye jankari hona bhut hi jaruri hai nahi to bhut se galat log iska galat tarike se fayda utha sakte hai. Agar aapko pata hoga ki jo ₹2000 or ₹500 ke naye note me kya kya hai or usko kaise dekhna hai to aap badi aasani se pata laga sakte hai ki jo note hai wo asli hai ya nakli. in information ko har ek se share jarur kare.
₹2000 Rupee ke Note ke Future or Khubiya
- Note ke iss hisse ko agar rosni me dekha jaye to yaha 2000 likha huaa dikhai dekha.
- Yaha 2000 ki Image bani huaa hai.. jo samne se dekhne par sahi se samaj nahi aayegi, par agar Note ko teda karke dekha jaye to waha aapko 2000 likha huaa dikhai dega.
- Note me ₹2000 likha huaa hai ulte hath side Devnagari me.
- Mathma Gandhi ji ki tasvir hai bich me.
- Gandi ji ki tasvir ke piche chote chote aksaro me BRI or 2000 likha huaa hai.
- Note ke sidhe hath side suraksha dhaga hai. Agar Note ko Upar se dekha jaye to wo Nila dikhta hai or agar note ko teda karne dekha jaye to uska rang badal jata hai or hara rang ka dikhne lagta hai.
- Paise ada karne ka bada or Governor ke sign hai hai, uske niche RBI ka logo bhi bana hua hai.
- Jo Khali jagha hai waha Gandhi ji ka Photo ubhar aata hai piche se rosni karne par, or 2000 bhi likha huaa dikhta hai.
- Note ke jo Number hai unka aakar chote se bada hota jata hai.
- Number ke upar ₹2000 likha huaa hai jiska rang hare or Nile me badalta rahega.
- Ashok Stamp ka Chinya bana huaa hai.
- Ashok Stamp ke tikh upar ek kale rang me box hai jispar 2000 ubhra huaa hai, jisko chu kar bhi pata kara ja sakta hai.
- Note ke dono taraf 7 line khichi huaa hai, jinki ink ubhri hui hai.. inko chu kar bhi mhesus kiya ja sakta hai.
- Note me Piche ki taraf Note kis saal me chapa hai wo likha huaa hai.
- Swatch Bharat abhiyan or uska Logo bana hua hai. or uske niche Bhartiya reserve bank likha huaa hai.
- Alag alag bhasao me do har rupee likhe hue hai ek Box me jo lagbhag bich me hi hai.
- Note ke Piche Mangal Yaan ki tasbir bani hui hai. jo hamare desh ka safal antrikh yaan ki safalta ki nisani hai.
- Note ke Piche sidhe hath side upar Davagari me ₹2000 likha hua hai.
- Jo ₹2000 ka note hai uski chodai 66mm hai or uski lambai 166mm hai.
- Note ka rag maganta hai.
- 2000 rupee ke note me (₹) latter ke sath hai.
Video me Dekhe ₹2000 ke Hidden Future or Janiye kaise phechane Fake Note ko
₹500 ke New Note ke sabhi Feature Video me dekhe
Dosto ummid hai aapko ye sari Future or jo bhi khudiya hai wo pata chal gai hai or ab aap jab bhi Note ko use karege to inko jarur dekhege or kisi bhi farji bade se bachege.
Agar aapka koi sabal ya sujab hai to aap comment karke jarur bataye or aapko hamari Goverment ka ye fesla kesa laga wo bhi bataye.
Is Post ko Facebook or Whatsapp par apne Family or Dosto se jarur share kare. :)
Janiye kaise mene ek Mobile App se Kamaye ₹41,000 sirf refer karke
NYC post brother 🙂
Bahut achi jankari share kii.
Mene bhi abhi abhi blogging start kii h. Lakin traffic se judi jankari nhi ke baare me jada kuch pta nahi h. Kya aap apne kuch personal method share kr skte hain jisse hum apni site pr traffic increase kr ske.
nise post bro
Great post,
Your hard work in the rearch of this topic is seen.
Maza aa gya padh ke
Thanks Bro
is note band se bohot mushkil ayi par ab set ho ghya
sir ne apni blog post pe sharing button kaise add karu plez reply
Bhai Maine blog banaya hai to usme social media k links dale hai Lenin jab unpar click karta hoon to wo aide khulte hai
http://antartana.blogspot.in/www.Facebook.com/myusername
To bhai mei kya karoon
bahut badhiya info di hai.. har blogger ko time ke hisab se post publish karna apse sikhna chhaiye
Thanks for these details ! It will really help people because new 2000 duplicate note is already now available on market and people will aware from your post. Great Job
thanks
बहुत अच्छी पोस्ट दोस्त…..
आपने सही बताया….इसी तरह लिखते रहिये.
Mai ne Aap ko email kiya help me sir place
Rs. 2000 aur Rs. 500 ki note ke features ke bare me bhotut ache tarikhe se bataya hai bhai apne.
Thanks for giving valuable information.
Sir Mere Blog Par Pure Ke Pure Post Dikha Rahe Hai, Mai Ragular Member Hu, Help Me Sir.
mindblowing post bro
To paisa dekhne wala app kaise magayen bataiye
Sir me akshat mene kai compniyo ke ads blogger pe layout me laga ke dekh liye muze companiyo ke code to mil jate he lekin ads show nhi hote or post ke bich me bhi code laga liye lekin ads show nahi hote…
sir mere adsense me estimate earning 97.05 $ show hoti hai aur payable balance me $88.97 aa rhe hai. 1 month se earning update hi ni ho rhi hai.
month ke last me hoti hai update..
Hello rohit sir. Newspaper 7 WordPress theme kharidenge. Jo aap use kr rhe he… To kya har sal renew karana padega…
renew karne ki jarurat nahi hai.. par agar aapko suooprt chaiye to uska charge hai 15$ per year..
Good information rohit ji
Pahle Mai Kuch Earning Nahin Ker Pata Tha Lekin Ab Aapki Wajah Se Mai pahle mahina me 10,000 kma liya shukriya dilse …
Site:www.azmihelpz.com
bahut achhi jankari diya hai. iske bare mei mujhe jyada jankari nahi tha.
Hello sir , very good post aapne share ki
Welcome back sir, sir aapne kaafi time se post publish nahi ki to meine socha ki shayad ab blog par koi post nahi aayegi to meine blog ko visit karna band kar diya tha. Lekin aapki post aate hi dil khush ho gaya. Bhagwaan naa Kare par naa jane kya kya khyal aa rahe the mere man me. Par ab shayad sab theek hai. Aur aapki alexa rank bhi ab improve ho rahi hai. That’s great.
Thanks sir, keep blogging regularly
sorry Dev.. ab par aapko regular post milegi.. me apni puri kosis karuga.. thanks
Hello sir muje apka no. Chahiye tha Sir blogging ke bare mein kuch puchna hai sir
bahut achi jankari hai. bahut din ke baad apki new post dekhi. meri tarah aur bhi bahut sare log apnki new posts ka wait kar rahe hain.. thanks for this new post. and mujhe apke blog ke liye guest post deni hai.. kaise du
mujhe ek guest post karni hai apke blog ke liye kaise karu
email kare apni post admin@rohitmewada.com par
hello rohit ji wp http 500 error ko kaise sahi kare please help me
Rohit Bhai Mujhe Mere Blog Me Ek Problem Aa rahe Hai Me Jab Kabhi Html Use Kar Post Publish Karta Hu To Main Page Par Coding Dikhrahi Hai Mujhe Coding Ke Bajaye Post Ki Text Dikhani Hai To Please Meri Help Kare. Aap Ek Baar Mera Blog Check Kar Dekh Sakte hain Usme Main Page Par Html codes Show Kar Raha Hai.
Very Nice Post Bhai itni Tips To RBI Ne Bhi Clear Nahi Ki Jitni Aapne Batayi Hai, Thanks Bahut Accha Bataya Aapne
Maine do domain name liya hai .com .in .com to maine already laga diya h pr .in bhi mai usi site pr lagana chahta hu mai chahta hu ki dono se khul jaye please help
That’s fact/…. trully right
grt post yr..
we love u all