Affiliate Marketing Kya hai in Hindi Detail Guide 2023

Affiliate Marketing kya hai ya Affiliate Marketing Kaam kaise karti hai, kaise Kisi Affiliate Program ko join karke Paise kamaye jate hai or Kitne Paise ham Affiliate Marketing se kama sakte hai?.. jese sabhi sabalo ke jabab aapko Iss Post me milne wale hai.. sath me aapko Top Affiliate Sites or Program ke ware me bhi bataoga jinko aap join karke earning start kar sakte hai.

Agar aap ek Blogger hai ya Youtube’r hai to aapki ye kosis jarur rehti hogi ki aap jada se jada paise kama sake.. uske liye aap Ads laga kar apni site or Youtube Video par jada se jada Views lane ki kosis karte hoge..

Advertisements

kya aap jante hai Affiliate Marketing me bina Traffic badaye Earning badai ja sakte hai.

To agar aap bhi unn logo me se hai jo Hard work se jada Smart Work karna pasand karte hai to aapko Affiliate Marketing kya hai or kaise kaam karti hai samajhna hi hoga.. to chaliye jaan lete hai.

Affiliate Marketing Kya hai in Hindi Detail Guide [year] - Blogging

Page Contents

Affiliate Marketing kya hai in Hindi?

Affiliate Marketing, Marketing ka hi ek tarika hai jisme koi Vyakti kisi Platform jese Blog ya Youtube ke jariye kisi Product ko Promote karta hai.. Or agar wo Product koi uske through jakar kharidta hai to usko uska Commission milta hai.

Affiliate me jo Commission hai wo Product ke hisab se alag alag hota hai.. to kisi Product par jitne ka Product hai uske percentage hame milta hai to kisi par Fix hota hai..

Ab maan lijiye aapke Pass koi aisa Platform hai jaha aapse bhut log jude hue hai.. to aap unke kaam ka Product unko suggest kar sakte hai.. jisse agar aap aapki link se click karke uss Product ko kharidte hai to aapko uska Commission mil jayega.

Podcast: Affiliate Marketing kya hai Hindi

Affiliate Marketing kaam kaise karti hai?

Affiliate Marketing kaam kaise karti hai ye samjhane ke liye maan lete hai aapke Pass ek website hai.. or aapne us par ek article likha hai kisi Product ke ware me.. to aap usme uss Product ki Affiliate Link add kar sakte hai..

Ab agar koi aapki site par aane ke baad, aapki Affiliate link par click karke uss Product ko kharidta hai.. to wo sale affiliate site par track ho jayegi.. ki koi user aapki site se aaya tha jisne wo product kharida hai.. uske baad uss product ka jo bhi commission hai wo aapko mil jayega.

Affiliate Marketing ki puri Process 4 part me hoti hai, or ache se samajhne ke liye aap niche diye Diagram me dekh sakte hai.

Affiliate Marketing Kya hai in Hindi Detail Guide [year] - Blogging

Affiliate Marketing definitions

Affiliate Marketing ko or achi se samajhne ke liye usme jo bhi main words use hote hai wo aapko pata hona chaiye or unka kya matlab hai wo bhi..

Affiliates : Affiliates unn logo ko kaha jata hai jo kisi Affiliate Program jo join karke unke Product ko Promote karte hai.. or Product ko sale kara kar Commission ke tor par Paise earn karte hai.. Jese agar aapki website hai or aap uspar kisi Product ka Affiliate link promote kar rahe hai to aap bhi Affiliate kehlaoge.

Affiliate Marketplace : Kuch aesi Companies hai jo alag alag Product ke Affiliate Program Offer karti hai unhe Affiliate Marketplace kaha jata hai Jese ShaareASale, CJ

Affiliate ID : Affiliate Programs ke duara har ek Affiliate ko unique ID di jati hai, jisse uski link ko Track kiya jata hai.. uss unique ID ko hi Affiliate ID kaha jata hai.

Affiliate Link : Jab bhi ham kisi Product ko Promote karne ke liye uski link generate karte hai uss link ko Affiliate Link kehte hai.. Har ek link me hamari Unique Affiliate ID hoti hai..

Commission : Jitne bhi Affiliate Products hote hai unko sale karane par jo hame paise milte hai wahi commission hota hai.. ye Product or category ke hisab se alag alag ho sakta hai.

Link Clocking : Jab bhi ham kisi Product ki Affiliate Link banate hai to wo bhut lambi hoti hai, jisko share karne me or yaad rakhne me paresani hoti hai.. to uss link ko kisi Link management service ki madad se short kiya jata hai usko Link Clocking kehte hai.. Aap agar WordPress par hai to Pretty Link Plugin ka use kar sakte hai.. ya fir Bit.ly website ka use bhi kar sakte hai.

Affiliate Manager : Kuch Affiliate Program me unke Affiliate (yani ham) ki madad karne ke liye ek Manager diya jata hai.. jo hame New Offers ki jankari or hame kahi koi dikkat aati hai to usme help karta hai.

Payment Mode : ye to wese aap samaj gaye hoge.. hame ko commission milegi or ham kaise le sakte hai wo Payment Mode jese Cheque, Wire Transfer, Paypal etc.

Payment Threshold : Jo bhi ham commission earn karte hai product ko sale kara kar, uska minimum kitna hona chahiye jab ham payment le sake wo Payment Threshold hota hai.. ye har Affiliate Program ka alag alag ho sakta hai..

Affiliate Program Join kaise kare

Agar aapko Affiliate Marketing karni hai to sabse pehle aapko ye dekhna hoga konsa product hai jo aap promote kar sakte hai..

Jese Maan lijiye aapki Mobile Review ki website hai, jispar aap jitne bhi New Phone aate hai uski jankari share karte hai.. to ab aapko jo Mobile hai unka Affiliate Program join karke unki Affiliate Link bhi apne post me dena chahiye.. jisse hoga ye Jab bhi koi Uss Mobile ki jankari aapke blog par read karega.. or agar wo phone pasand aaya or wo kharidna chahenge to aapki di hui Affiliate Link par click karke wo kharid lege..

To ab baat aati hai Affiliate Program Join kaise kare.. to iska simple sa tarika hai aapko Google par Search karna hai, jin bhi Affiliate Program ko aapko join karna hai..

Jese agar aapko Flipkart Affiliate Program Join karna hai to aap Google par search kare Flipkart Affiliate.. ya jis bhi site ya Product ka affiliate Program join karna hai uske naam ke sath Affiliate likh kar Google par search kare.

Search karne ke baad aapne jis bhi Product ya site ka Affiliate Program search kiya hai agar wo hoga to wo First me hi aa jayega.

Affiliate Marketing Kya hai in Hindi Detail Guide [year] - Blogging

Kuch sites apne Affiliate Program ko khud manage karti hai.. par kuch sites ya Product ka affiliate Program kisi Affiliate MarketPlace se manage hota hai.. jese ShareASale, CJ etc..

Jo bhi Affiliate Program hai, bass aapko usme Affiliate account bana kar Signup karna hai.. jiske baad aapko Unique Affiliate Link mil jayega jisko aap Promote kar sakte hai.

Affiliate Product Select karke usse Earn kaise kare

Affiliate Product Promote karne ke liye aapko wo select karna hoga.. jisko aap promote kar sake.. jese maan lijiye aapki Tech related Youtube channel hai..

To aap usme kisi Tech related Product ki jankari share kar sakte hai.. or uss product ko kharidne ke liye uski Affiliate Link Video ke Description me de sakte hai.

Matlab aapko Products ko select karna hai, jis Field se aap hai or jo Audience aapki hai wo usme interested hai..

Jese agar aap Blogging se related Blog hai to aap Theme, Hosting ke affiliate Program join karke unke Product promote karne hoge.

Agar aapka Blog Beauty se related hai to aapko Beauty Product ko Promote karna hoga.

Agar Motivational Blog hai to aap Motivational Books, Audio, Video ko promote kar sakte hai..

Iss trha wass aapko ye dekhna hai, jis bhi field se aap hai usme kya hai jo user ko chaiye jiske ware me aap unko bata sakte hai.. wass fir uska affiliate join karke uski affiliate link apne users se share kar dijiye.

Best Affiliate Program Network to Join

Agar baat kare Best Affiliate Program ki to bhut sare Affiliate Program uplabd hai jinko join karke ham earn kar sakte hai.. par agar aap Affiliate Marketing me new hai to aapko sabhi par ek sath kaam nahi karna hai.. aap kuch Popular Affiliate Program hai unko join kare..

Aap agar India se hai or aap Physical Product promote karna chahte hai to Amazon Affiliate Program ya Flipkart Affiliate Program join kar sakte hai..

Amazon Affiliate Marketing kya hai or isse paise kaise kamaye, uski jankari aapko yaha mil jayegi.. issi ke sath Flipkart Affiliate se App ko promote karke earn kaise kare uski jankari yaha hai.

inke alawa agar aapko Affiliate Marketplace Join karna hai to aap vCommission, ShareASale, ClickBank, CueLinks, VigLink, Commission Junction (CJ) join kar sakte hai.

Agar aapka Travel Blog ya Youtube channel hai to aap www.travelpayouts.com join kar sakte hai, jo ki Travel Bloggers ke liye best hai.

Must Read:

Affiliate Marketing Program FAQ in Hindi

Que: Kya Khud ke Affiliate Link se Product kharid kar Earn kar sakte hai?

Ans: Yes/No, is sawal ka jawab dono ho sakta hai. Q ki kuch Affiliate Program to isko bilkul allow nahi karte.. par kuch Affiliate Program ko isse koi fark nahi padta kon product ko kharid rahe hai.. To jis bhi Affiliate Product ko promote kare usse pehle unki term condition jarur read kare.

Que: Affiliate Marketing karne ke liye Website hona jaruri hai kya?

Ans: No, Affiliate Marketing ke liye website ka hona jaruri nahi.. aap apni Affiliate Link Youtube par bhi daal sakte hai.. Par Kuch Affiliate Program aise bhi hai jinme account banate time hi website ka link pucha jada hai unko join karke ke liye website ka hona jaruri hai.

Que: Affiliate Marketing se Kitna paisa kama sakte hai?

Ans: Iski koi Limit nahi hai, jitna aapka potential hai aap utne logo ko product ko promote karke uska commission kama sakte hai.

Que: Affiliate Link par Click karne ke bhi Paise Milte hai kya?

Ans: Nahi, Affiliate Link par click karne se koi earning nahi hoti.. Earning sirf jab hoti hai jab koi Affiliate Link par click karke product ko kharide.

Que: Affiliate Marketing karne ke liye 18 Years ka hona jaruri hai kya?

Ans: Yes/No, Iss question ka answer dono hai.. q ki India me bhut se Affiliate Program 18 year se kam ke logo ko allow nahi karte.. par agar aap 18 se kam hai or talent 18 year walo se jada hai to aap apne Papa ji ke naam se bhi Affiliate Marketing kar sakte hai :)

Que: Affiliate Marketing karne ke liye minimum kitna Traffic hona chaiye?

Ans: Jada Traffic nahi chahiye, wass jitna bhi traffic ho Quality Traffic ho.. matlab bhale 100 log aapke blog par aa rahi hai par agar wo uss product ko kharidna chahte hai jisko aap promote kar rahe hai to wo unn 10000 logo se jada hai jo bhale aap ki site par aa to rahe hai par uss product ko kharidna nahi chate.

Que: Affiliate Marketing Adsense ads ke sath kar sakte hai?

Ans: Haa, aap Adsense ke ads bhi use kar sakte hai or Affiliate Link bhi add kar sakte hai Blog me.. par ek baat ka dhyan rakhe agar aapka earning ka main target Affiliate hai to me aapko suggest karuga aap Adsense ya dusre Ads use naa kare.. warna ye ho sakta hai user aapki affiliate link ki jagha kisi ad par click karke wo product kharid le.. to jaha aapko Affiliate se 100-200 rupee milte waha sirf 2-3 rupee mileage.

Conclusion :

To ab aap Jaan chuke hai Affiliate Marketing kya hai or kaise Affiliate Program Join karke Affiliate marketing se Paise kamate hai.

Aapko ye jankari kesi lagi wo comment karke jarur bataye or agar aapka koi sabal hai Affiliate Marketing se related to comment karne me sarmaye nahi.. me aapka reply karke aapki Help karne ki puri kosis karunga.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

128 thoughts on “Affiliate Marketing Kya hai in Hindi Detail Guide 2023”

  1. Informative Post, This post really helpful for me and those people who have interest in this field.
    Thanks for sharing Affiliate Marketing in Hindi.

    Reply