Blog Post Ke Liye Catchy Images Kaise Banaye | Online Image Editor

Maine bahut se naye bloggers ko dekha hai content toh accha likhte hai par ek chiz me maar kha jaate hain, wo hai images ka sahi dhang se upyog nahi karna matlab jaisa bhi image unko online mila waisa hi upload kar dete hai bina kuch modify kiye.

Is topic par Hindi bloggers me se kisi ne achhe tarike se post bhi nahi banai jinse naye bloggers ko kuch sahayta mil sake.

Advertisements

Toh aaj me aapko bataunga kaise aap catchy images bana sakte hain apne blog posts aur social media profiles ke liye.

Blog Post Ke Liye Catchy Images Kaise Banaye | Online Image Editor - Blogging

Page Contents

Images Create Karne Ke Kya Fayde Hain?

  • CTR (click-through rate) badhega matlab increase in page views.
  • Jaahir si baat hai bounce rate decrease hoga.
  • Social media sites se traffic increase hoga.
  • Aapke blog ki ek alag hi pehchan hogi, visitors readers me jyada convert honge.
  • Blog post ki engaging percent badhegi matlab comments hi comments.
  • Aur sabse main part aap apne blog se paise jyada generate kar paoge ;)

Sabse pehle toh aap jo article likhne wale hai us se related kuch copyright free images download karle. Aap Free Image 11 free stock images site se bhi kar sakte hai jo mene share ki hai.

Tools Jo Chahiye Images Create Karne Ke Liye

  • Monospan (screenshot lene aur image editing ke liye, Snagit jitne features to nahi hai but free hai so, me recommend karta hun aap install karle, is se liye gye screenshots aap neeche dekh sakte hai)
  • Canva (best tool mai apne blog aur social media sites ke liye graphics isi se banata hun aur almost saare professional bloggers ye tool recommend bhi karte hain)

Agar aap Canva ka naam pehli bar sun rhe hai toh me aapko thoda overview de deta hun Canva hai kya?

Canva ek online image editor tool hai jo ki aap web browser ke jariye Canva.com par jaa kar kuch bhi graphics create kar sakte hain, jaise ki apne Facebook page ke liye cover photo bnana ho, blog post ke liye featured image bnana ho, Pinterest ke liye, music album cover, etc. Canva.com par jis chaahe platform ke liye aap images bana sakte hain.

canva par account kaise banaye

Sabse pehle toh Canva.com par jaa kar naya account bna le.

  1. Custom dimensions: Isme apne hisab se width aur height dijiye jaise ki 1000×1000 image ka size pixels me.
  2. More: Yha premade design styles mil jayenge (like Facebook cover ka size hai 851×315 pixels me is tarah se) neeche screenshot me dekhe.
  3. Jo bhi abhi tak images create kiye hain wo aapko yha dikh jayenge.
  4. Explore templates: Ispe click karne par pehle se bane huye designs milenge jo ki aap edit kar apne hisab se jaisi chahe images create kariye.
  5. Add new folder: Free account me maximum 2 folders bana sakte hai, jaise agar aap 2 blog manage karte hain ya ek folder social media sites ke liye aur dusra apne blog ke liye bna lijiye, stay organized ;)
  6. Learn to design: Ye to me recommend karta hun, aap naye hain toh aapko pata chal jayega kaise Canva ka puri tarike se istemal kar sakte hai, yha videos me tutorials mil jayenge.
  7. Get design inspiration: Logo dwara bnaye gye designs se prerna lijiye kaise images edit kare, fonts, color combinations taaki aap achhi images create kar paye.
  8. Get help: Kuch samajh nahi aa rha koi baat nahi need help par click karke sahayta le sakte hain.

Blog Post Ke Liye Catchy Images Kaise Banaye Step-by-Step

blog post ke liye badiya image kaise banaye hindi me help

More par click karke neeche scroll down kare Blogging & eBooks section me “Blog Title” naam ka design type milega (jo ki optimal size hai 560X315 pixels) uspe click karne par new tab open hoga.

canva me badiya image kaise banaye full info
  1. Yha apni file ko naam dijiye, social media sites par share kariye, download filhal 3 formats me kar sakte hain .jpg, .png & .pdf me, apna design aap public kar sakte hain taaki dusre log aapke design se kuch prerna le sake.
  2. Waise to isme aap jo bhi edit kar rhe hain wo autosave hota rhega by the way agar aapko karna hai to file pe click karke apna design save karle, Undo to aapko pta hi hoga kuch galti kar di toh revert back kar sakte hain ctrl+z press karke, Undo ka ulta Redo ctrl+y karke bhi ya phir Redo par click karke, koi madad chahiye help option zindabad ;)
  3. Ye jo blank white page jaisa dikh rha hai yha aap design kar sakte hai tools ke dwara.
  4. Ye copy ka icon hai matlab jo bhi design bana rahe hain usse copy kar sakte hain.
  5. Ispe click karne par ek aur naya blank page add ho jayega.
  6. Apne bnaye huye images ko fullscreen slideshow kar sakte hai ya aapne koi presentation tayar ki hai to iski madad se dikha sakte hai, sath me zoom in aur out ka option hai.
  7. Kuch bhi icons, copyright free photos (jyadatar paid hain jo ki aapko $1 per photo milega isliye meri maano copyright free photos download karke upload kare design me istemal karne ke liye) ya illustrations yha se search karke apne design me lgayiye.
  8. Yha premade Canva layouts milenge jo ki apne hisab se image edit kare, time ki bachat ;)
  9. Ye hai Elements section jis bhi tarah ke icons, vectors, lines aap istemal kar sakte hain.
  10. Text section, images pe kuch likhna hai jaise ki maine featured image me post ka title likha hai.
  11. Background change karna ho jaise ki colors aur texture ka istemal karke.
  12. Upload section yha photos upload kare.
Blog post ke liye image banaye free me hindimehelp

Aur yeh maine featured image banaya hai is post ke liye. Kaisa lga? (Comments ke madhyam se hume btaye)

 Canva Alternatives online image editor

Tip: Apne design me icons ya illustrations ka istemal karna chahte hain toh illustrio.com se .png format me download kar Canva par upload karke istemal kar le (aur ye copyright free hai).

Filhal android users ke liye Canva ki app aayi nahi hai, iPhone aur iPad users ke liye app store me mil jayegi jisse aap Mobile me bhi aaram se edit kar payenge Image ko.

Conclusion

Shuruat me thoda time lagega, practice karte rahiye, jaise-jaise used to hote jaoge utni achi images create kar paoge. Pehle din se perfect koi bhi nahi ho pata jnaab ;)

Toh hume jarur btaye kaise lagi yeh post aur ye bhi jrur bataye ke aap kon se tools use karte hain images create karne ke liye? comments ke jariye :)

Dhanyavad!

Ye ek Guest Post hai, agar aap bhi Guest Post karna chahte hai to Guide Lines jarur read kare.

Dusri Guest post yaha read kare.

Share on:

Main Virendar Singh Uttarakhand se, main kaafi time se Blogging kar raha hun aur mujhe Tech Gadgets aadi jaise products ka review karna aur uske baare sahi jankari share karna bahut achha lagta hai.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

27 thoughts on “Blog Post Ke Liye Catchy Images Kaise Banaye | Online Image Editor”

  1. रोहित जी सभी ब्लॉगर के लिए इमेज बनाना एक चैलेंज जैसा लगता है, ऐसे में आपका ये पोस्ट बहुत ही हेल्पफुल साबित होगा। इसके लिए दिल से आपका धन्यवाद। मैने भी एक ब्लॉग बनाया है और उस पर 8 पोस्ट पब्लिश किये है but views नही आ रहा है। आप से request है थोड़ा सा अपना कीमती समय निकाल कर मेरे साइट को चेक करके बताये क्या प्रॉब्लम है?

    Reply
  2. Hello Rohit bro
    maine kal hi new blog blogger par banaya hai aur 1st articlez publish kiya hai. lekin maine lebles nahi lagaye sayad isliye mera articles search me show nahi ho raha hai. aur image jo lagai thi uska size kam tha isiliye wo show nahi ho rahi hai. aap ye bataiye ki publish hou post me dobara image lable add kar sakta hon kaise? aur ye bataiye abhi mujhe apne blog kya kya karna hoga mera blog dekh k bataiye… plz

    Reply
    • aap baadme bhi labels add kar sakte hai or jo aap khe rahe hai ki uske karan search me nahi aa rahi hai aesa nahi hai.. labels se search me naa aane se koi matlab nahi hai..

      or imaga ka size chota hone se bhi image nahi aaye share karne par ye karan nahi hai.. aap share karte time ek ware me nahi aaye to page ko refresh kare fir aa jayegi.

      Reply
  3. Virendar singh and rohit ji dono ko es post ke liye dhanyawad,,,,,, kafi achhha jankari share kiya aapne image create karne ka. mai aapke btaye huwe tariko ko jarur follow karunga…………

    Reply
  4. Bahut hi achchhi jaankari hai aapki Virendar bhai. Sabhi bloggers ke liye aapki ye information kaam aayegi. But mera aap donon, Virendar aur Rohit donon bhai se ek sawal hai ki kya hum apne blog ke image mein kisi software ke dwara koi theme laga sakte hain? Isse koi copyright problem to nahin hogi na? Yadi nahin to aap koi aisa tools ke baare mein bataiye jisse ki photo mein theme lagaya ja sake. Filhal to main ek tool use kar raha hoon lekin usmein bahut hi kam theme milta hai.

    Reply
  5. Vah bhai bahut hi achha tutorial hai lekin kuch Bloggers jaise ki mai mobile se blogging karte hain unke liye bhi koi tip do plzz.

    Reply