Hello Friends, Jese ke aap jante hai 2017 khatam hone ko hai or Iss Saal aapke sath kya kya huaa.. Kya acha tha kya bura tha wo sab aapke samne hai.. Saal ke starting me kya socha tha kya target rakhe the wo pure huee ya nahi huee sab samne hai. ab 2018 ki wari hai.
Me aapko mera exprience share kar raha hu or ummid karta hu iski madad se aap 2018 me kuch acha karege or jo aap chate hai wo aapko jarur milega.
Jese mene 2017 start hone par hi kuch target set kiye the mere liye, ki muje HMH me aesa karna hai usko yaha tak phuchana hai.. Itni Post karna hai.. Itne logo tak phuchana hai.. aese bhut se target mene apne liye set kiye the..
Par jese ki aap jante hi hai me pichle 2-3 mahino se HMH par active hi nahi tha.. q ki kuch aesi chije bhi aa jati hai hamari life me jinke ware me hamne kabhi socha bhi nahi hota hai.. or unki baja se me apna target pura nahi kar paya..
Life me utar chadav to aate hi hai, or agar kisi ki life me nahi aate to matlab wo kuch kar hi nahi rahe hai.. par in sabme sabse main hai ham kaise hamare kharab time me apne aapko shabhale or usse kaise nikle.
To Dosto, 2017 kesa raha acha ya bura usko ko ham nahi badal sakte, or uske ware me soch kar ab apna time barwad karne se bhi koi matlab nahi hai, chaliye aane wale saal 2018 ki planing karte hai or Kya kya Karna hai 2018 me uski Planning karte hai.
Jese ki aap muje jante hoge, me ek blogger hu to meri planing ussi ke upar hoge, par aap apni jo bhi field hai aap uske liye apne target set kare.. target kaise set karna hai uska tarika me aapko batane wala hu.
2018 ke liye Target kaise set kare
Apne liye koi bhi target set karne se phele aapko apne aapko jaanna hoga ki aapki chamta kitni hai, agar aap kisi dusre ko dekh kar apna target set karege to aapko maja nahi aayega, or ho sakta hai aapme wo khubi na ho to aap apna target pura hi nahi kar paye ya fir badi aasani se pura kar le, isliye aap sabse phele apne aapko dekhe ki aapme kya khubi hai or aap kya kar sakte hai.
Jese agar aapka koi blog hai or aapka usme interest hai to aap target set kar sakte hai ki aapko blog me itni post karna hai, blog me naya ye add karna hai, blogging orr acha kar saku uske liye HTML, CSS, JavaScript sikhna hai, iss trha ke target aap set kar sakte hai.
Agar aapki youtuber hai to aap usme bhi iss trha ke target set kar sahte hai apne liye jese aapko itne video banana hai, Video or ache bane uske liye kya karna hai..
Koi bhi target set karne se phele aap ye jarur dekh le ki aap usko pura kar sakte hai ki nahi,, q ki jada bada target bhi agar aapne set kiya to aap usko pura nahi kar payege or bich me hi har maan jayege, or jada chota bhi target set naa kare, nahi to aapko maja nahi aayega or jitna aapko mil sakta tha wo nahi mil payega.
To Sabse phele aap ek copy le or usme 2 list banaye.. ek me aap wo sab bate likhe jo aapne 2017 me kari, jo aapko aati hai, aapka talent hai, aapa interest hai, or dusri list me wo bate likhe jo aapko kamjor banati hai ya jo aap chate hai usme badha banti hai..
isse aapko andaja lag jayega ki aapko konsi chije hai jinpar work karna hai 2018 me.. or aap fir badi aasani se apna time table set kar payege or apne aapko badiya kar payege.
Jese mera target tha 2017 ka ki muje apni health bhi banani hai, abhi pichle 3 mahino me sab gadwad ho gaya to GYM bhi nhi gaya or health bhi down ho gai.. to mera health ka target me achieve nahi kar paya. Blog me bhi regular nahi kar paya.
Mera 2018 ke kuch task set kiye hai mere liye:
- Ek Alag phechan banani hai
- 2018 me kam se kam 20 Books ko read karna hai, or unki puri achi bate apne andar utharni hai.
- HMH par Regular rhena hai.
- Youtube par bhi Regularity banani hai jo abhi nahi hai.
- 100 Naye logo ko blogging me lana hai or unko iss layak banana hai ki wo 100 naye logo ki help kar sake.. (ye dekha jaye to bada target hai par maja bhi ussi me hai)
- Health bhi Banani hai, uske liye GYM bhi regular jana hai.
- Khana Pini bhi time se karna hai, jo me nahi karta hu… bhut war kaam ke chakkar me khana bhul hi jata hu.. (abhi bhi nahi khaya ;) )
- Apni Personal Life ke liye bhi time nikalna hai, or naye naye logo se bhi milna hai or sabse kuch na kuch naya sikhne ki kosis karna hai. wo bada ho ya chota koi fark nahi padta.
Baki koi buri aadate to hai nahi jinko choru jese Drink, Cigarette, or Gali bhi nahi bakta.. Inn baat ki khusi hai… to aesa to koi target set karne ki jarurat nahi hai muje.. par ye me isliye bata raha hu taki aap apne aapko acha banane ki kosis kare or agar aap kuch bhi galat karte hai uski jagha kuch acha kare jisse log aapko or jada pasand kare.
To Dosto ye rahe mere task, baki inke aalawa bhi or add ho jayege jaha muje lagega ki mujme ye kami hai..
Last me, aapse me ek hi baat khena chahuga, agar aap kuch acha karana chate hai to phele apni khubiya or kamjoriyo ko phechane, uske baad jo kamjoriya hai unko khatam karne ki kosis kare or jo aapne khubiya hai unko or badaye ke liye naya naya usme add kare.
To Friends abhi ke liye itna hi, mera 2017 acha hi tha overall dekhe to par last last me bhut si aesi chije hui jo mene nahi sochi thi.. jisme muje naya sikhne ko to bhut kuch mila or me strong bhi bhut ho gaya jo aage muje bhut kaam aane wala hai.
Aap Comment karke bataye aapke kya task hai jo aapko 2018 me pure karna hai. :)
Happy New Year in Advance
aap 2024 par bhi aesa plan par blog ye kafi achchi jankri hai
Aapne bilkul sahi post likhi hai mera bhi yehi khyal hai ki insaan ko apni galti se sabak seekhkar aage badhna chahiye. Maine apni blogging me yehi rule follow kiya hai
Thank You Sir aap ne 2018 ki achi planing kiya hai Bahut useful raha hai
Nice vai
Rohit bhai aapki site mobile me bhi pc ki tarh open ho rhi hai aur ads bhi sahi se open nhi ho rhe hai…. Isse fix karlo aap
Thanks Bhai..
Very nice article rohit sir..
Blogging me backlink Ka Pariman Kitna Hona Chahiye?
itna ki natural lage..
Bahut achha article. Kya inshan hai app sir really great.
Nice information thank you for sharing
nice article rohit sir
Sir mene bi apna goal set kardiya hai..to 2018 me jarur blogging me karke dikhauga but english me blog banana hai to sir basic english ki knowledge hai to chalega na ?? Please reply sir
Sir Bahut Badhiya Likhe Aap Sir Thora Problem Hai Adsense Bahut Kam RPM De Rha Hai Mujhe Sir Help Me
Sir Education blog ke liye kaunsa platform best hoga.
Agar aap New hai to blogger, baki Blogger me bhut si limitation hai.. aap yaha dekhe BLogger ya WordPress konse best hai
Dear Rohit Ji
Main bhi aise hi ek target karta hu . pahle choti phir isse badi target ki tarah target karke bade se bade target ko complete karta hu.
Aapke ye lekh bhi kafi had tak achi hai Jo ek byakti ko motivat kar sakta hai.
Bahut badhiya ….
Suraj Barai
Thanks
Hey Rohit
मैं आपके ब्लॉग का रेगुलर रीडर हूँ मुझे आपके पोस्ट काफी पसंद है.लेकिन आज आपसे फिर कुछ पूछना चाहता हूँ।.
क्या मैं HindiMeHelp के लिए हर रोज़ पोस्ट लिख सकता हूँ?
बताना भाई.
Thank You
Thanks brother.. Par agar aap paid post ke liye puch rahe hai to aap apni kuch sample post email par send kare.. Uske baad me bata paoga..
bohut umda post hai rohit bahi :)
Thanks bhai..
Good job
बहूत खूब भाई । मज़ा आ गया पढ़ कर । ओर मेरे भी लगभग आपके जैसे ही टास्क है । nice post bhai…
Thanks Bhai.. hope aap apne pure task complete kar paye..
Nice Post…jeevan me lakshya hona bahut hi jaruri hai kyunki agar aapke samne lakshay hai to aap uspe hamesha focused rahenge aur usme jarur kamyab honge
Sir .
Agar ham pahele post ko ms word me likh kar tyaar kar le fir uss ko apne blog me paste kar ke publish kar sakte hai sir please answer me
haa bilkul kar sakte hai.. koi problem nahi hai isme..
Hello mewada ji
Sir me amazon.in affiliate marketting link or adsence ek saath use kr sakta hu kya website pe.
haa bilkul kar sakte hai.. koi bhi problem nahi hai
Hello Rohit Mewada Sir !
Me Ek Student hu Lekin HMH ki sari Post Daily Read kar Mere Jivan me Success hone ki Power big ho gaya hai,aapka bahut fan ho gaya hu, Mene Ek blog banaya hai agar aap blog ki koi problems hai Aur suggestion dena chahoongay toh bahut achha hoonga.
aapne badiya blog banaya hai .. blog ki menu hai wo sahi open nahi ho rahi computer me aap usko tikh kare..
Hey rohit …… could you please help me to get some more knowledge to get organic traffic for my website…. i m doing my best for it, but not getting results as much as i want.
aap tending topics or jinki jada jarurat hai un topics par article likhe
Sir Hindi aur Hinglish Blog ka Rank itna Down kyo ho raha hai
ye aapke kisne kaha down ho raha hai.. agar koi hindi ya hinglish me search karega to english blog to aa hi nahi sakta..
Hello rohit bhai
Aap apne blog ke liye kisse software banwaye hai aur kitna paisa lagta hai please jawab jarur dijiyega
5000 me banbaya tha android app
Achha post hai…. Achha laga….saal bhar ki baaten bats di good….. I like it……
Blogging me naya hun ….
Air Maine AdSense bhi approved karwa liya…. Me apni site par kitni ad lagau.? Aur jyada ad lagane se kya nuksaan hai website lodding time ko chod kar
aap ads kitne bhi laga sakte hai par ye diyan rakhe koi bhi aapki site ko open karega to aapki p[ost ko read karne ke liye na ki ads dekhne ke liye.. to ads aese lagaye jisse visitor ko paresani naa ho..
Sir, aapane ise bahut acche tarike se bataya hai.
Please aap 2017 mein naye naye seo trends par article likhe.
isase new bloggers ko bahut fayda hoga.
baki ye post bahut badiya hai thanks.
ji sachin me iske upar jarur p[ost likhuga.. sorry.. par ab gape nahi hoga.. jo post me ho raha hai.
kya movies ke kisi part ko cut karke youtube par dalkar paisa kamaya ja sakata hai
nahi.. wo bhi copyrighted hoga..
mujhe http://www.wapking.in jaisa website banana hai.
isake liye mujhe kya karna hoga?
main isame videos kaha se lakar dalunga.
please reply fast.
video aap youtube par upload karke embed kar sakte hai site me.
Bahut badiya post likha hai sir aapne. Me aapko ek sawal puchna chahta hu ki mene wordpress me site
banaye hue 3 month ho gaye lekin abhi tak alexa rank me backlink nahi show hote aesa kyu?
bahut se site me comment karta hu lekin koi backlink nahi ban rahi. aap mujhe iska sollution
jarur bataye.
aap jo comment karte hai uss site par no follow hai ya do follow ye uspar bhi depend karta hai.. or backlink update hone me time lagta hai..
mere liye 2016 achha raha apki site se bahot sikhne ko mila ab 2017 me mere YouTube channel par 1video par 50 lac ke aspas view as rahe hai mera target 1 cr tak hai Thanks HMH
jaan kar bhut khusi huii… or me pray kata hu aap jo chate hai wo aapko mile.
Sir mai toh blogging karta hu kya aap mujhe bta sakte hai kaise mai blogging mai success matlab 2017 me kya oppurtunity hai ?
jo internet user abhi hai .. 2017 me ye or jada badege.. or ye aap dekh hi rahe hoge..
Bahut hin badhiya article Sir…
Bohot hi achhi jankari hai…Aisi Aur jankari ke liye achhihinditips.blogspot.com pe jaye aur apni ray dijiye….
Hello Rohit aap mera blog check kar lijiye kya Esme kya kami hai
http://Www.examgoalguru.blogspot. in
Bhai Mujhe Samajh Nhi Araha Hai sirf 1 Coment .And Plz Regular Posst Karte Rahe …Bhai
comment to bhut hai bhai.. par approve nahi kar pa raha hu.. time ki kami ke karan.
Nice Post Sir But Ab Apko Active Rahna Chahiye.
nice planning sir , thank you.