Facebook Page me Auto Reply kaise Chalu kare

Hello Friends, 5-6 din ke gap ke baad aaj me aap se share karuga jo mujse bhut logo ne pucha ki ham kaise Facebook Page ke Message me automatic reply set kare.

Facebook Page kaise Banate hai or ham usse kya kar sakte hai uski jankari me phele hi de chuka hu. Jo internet use karta hai us har saks ka Facebook par account to hota hi hai, to ye sabse badiya sadan hai hamari online promotion ke liye jo free bhi hai.. Ham Facebook Page par post karke un logo tak hamari baat phucha sakte hai jinhone hamare page ko like kiya hai..

Advertisements

Facebook Page or Group ke Like or Follower badane ki trick bhi pade, jiski madad se aap apne page ke likes bada sakte ho.

Facebook Page me Auto Reply kaise Chalu kare uski jankari hindi main

Jesa ki mene kaha ki ham facebook Page ki madad se logo tak hamari baat phucha sakte hai, Or agar koi hamse Facebook Page par Message se sampark karna chahe to wo bhi kar sakta hai. Uske liye hamare Facebook Page me Messaging Enable hona chaiye.

Facebook Page Messaging Enable kare

Facebook Account me login karke Facebook Page ko open kare.. Fir setting me ja kar Messaging chalu kare.. Image me dekhe kaise..

private message chalu kare facebook page me hindi main

  1. Settings par click kare.
  2. General ke section me jaye.
  3. Messages ke option ko edit kare, fir Allow Message kat tik kare.
  4. Tik karne ke baad Save Changes ki button par click kare.

Is setting ko Chalu karne ke baad koi bhi aapke page par aapko Message send kar sakta hai, is prakar aap unse ek direct sampark bana sakte ho or unki help kar sakte ho.

facebook page par message icon

Ab agar aapke Page par aapko koi message karta hai to aap uske message ka reply kar sakte ho, par aap hamesa to online rha nahi sakte.. To uska Badiya Solution hai ki ham ek Automatic Reply set karde.. usse hoga ye ki jab bhi koi hame facebook par message karega to uske pass hamara automatic message chala jayega.

Agar Aapne Hindi Me Help ke Facebook Page par koi message kiya hoga to aapke pass ek automatic replay bhi aaya hoga wo example hai is Future ka. Ham reply ki madad se apne facebook fans se ek badiya relation bana sakte hai.

To Chaliye dekhte hai kaise Automatic reply set kare facebook page me, Agar aapke Page par messages ka option chalu nahi hai to ye option aapke pass nahi aayega.

Facebook Page Auto Reply kaise karte hai

Sabse Phele apne Facebook account me login karke Apne Facebook page par jaye.

Page Open karne ke baad Page Settings par jaye

apne facebook page ko open karke page setting me jaye

Ab Messaging ke section me jaye. (Messaging Chalu hogi jab hi aayega ye option.)

Page setting me jane ke baad Massaging ke option par jaye

Ab hamare samne Instant Replies (Automatic replay) karne ka option aa jayega.

Auto Reply enable karke jaldi se reply kare apne facebook page ke user ko

  1. Sabse Phele Enable Instant Replies ko tik kare.
  2. Your Reply ke box me apna Message type kare jo aap automatic reply me send karna chate hai. 250 sabd ka message type kar sakte ho.
  3. Message likh kar Save Reply ki button par click kare.

Ab jab bhi aap offline hoge or agar koi aapke facebook page par message karega to usko aapka set kiya huaa message automatic send ho jayega.

Facebook Ki or jankari ke liye yaha click kare , or Agar aapne abhi tak Hindi Me Help Facebook Group join nahi kiya hai to abhi kare.

Aapko ye jankari kesi lagi comment karke jarur bataye, or agar aapko kahi kuch problem aa rahi hai to aap wo bhi comment karke puch sakte hai.

Aapko Ye bhi Pasand aayegi:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

44 thoughts on “Facebook Page me Auto Reply kaise Chalu kare”

  1. Sir mere me auto reply nhi ho rha h ye option hi nhi aa rha h facebook ka new version h to sir kaise banega reply please

    Reply
  2. Sr. Ma apne page ka name change karna chahta hu mere page par 22,265 like kai barr kar chuka hu
    Lekin Chang nhi ho rha ha kyo koi tarika batayen Sr. G plz…..
    dk897979@gmail.com is pe send kar dijiye Sr. Plz……..

    Reply
  3. Hyea Rohit
    Great posts ,…. !!! you should also start Email Subscribe option on your website .
    it will help alot to keep in touch with your followers.

    Reply
  4. Dear Sir!
    mujhy ap se 3 questions pochny hen,,
    1 agar koi page ke khilaf report kry to I’d block ho jati ha?
    2 mera ik group hai ghalti se Maine leave kar diya
    aur koi us ka admin bhi ni ha
    ma kis tarha dobara admin ban sakta hon
    3 agr I’d ke khilaf koi report kar dy to
    recover krny ke liye friends ki pics py name pochty hen
    us ke bad Jo I’d card ya license ka pochty hen us ka kiya matlb hai
    plzzzzz

    Reply
  5. nahi sar mene page ki setting me achhi tarah se dhekh liya ha usme koi option nahi aa rha ha cetegry chang karne ka. please sir help me……. plzzzzz

    Reply
  6. hello sar. mene apna facebook page cammunty par banaya tha lekin me usko change karna chahta hu just for fan me kese karu? please halp sar

    Reply
    • karega.. aap apne makan number ke sath pura sahi address dale jo aapki voter ID me ho.. agar 3 bar apply karne parbhi address par koi code nahi aata to ham ap ID proof upload karke bhi verify kar sakte hai apna address.

      Reply
  7. Rohit Ji Aap Photo Ko Edit Kon Se Software Se Karte Ho…
    Matlab Aap Photo Ko Red Colour Ke Auro Aur Numbring Se Kaise Navigat Karte Ho…!!
    Yah Bhi Bataye Ki Google AdSense Me Apply Karne Me Bad Kitna Samay Lagta Hai Approval Hone Me…??

    Reply
  8. Sir aap muje netseller acount ke bare me poori jankari de ye mobile wallet ki tarah hota hai kya isme koi fees bi lagti ho to wo bi bataiye

    Reply
  9. excellent information Rohit bro mai isko apne blog fan page par apply karuga ye har ek ke liye usefull information Tnxx for sharing this outstanding tips about fan page

    Reply
  10. sir, maine youtub par video upload karke montelization enable karke use adsense account se jod bhi diya hai….ab isse earning kaise hogi jabki koi account no. kahi include kiya hi nhi gya plzz sir thoda detail me bta do…

    Reply