Hello Blogger, agar aapka blog Blogger.com par hai to aapke liye ek khus khavri hai, Featured Post Gadget bhi add kar sakte hai ab blog me, jiski madad se aap apni pasand ki post home page par dikha sakte hai.
Page Contents
Kya Hai Featured Post?
Featured Post blogger ka ek gadget hai, iski madad se ham apne blog ki kidi bhi post ko sidebar me dikha sakte hai.
Widget kuch is prakar ka hai –
- Post ka Title dikhta hai.
- Post ka Chota Discription.
- Post ki Pheli Image.
or Blog me kuch is prakar ka dikhega –
Kya Faida hai Featured Post Use karne ka.
ye to aap jante hi hopge ki regualr post karna kitna jaruri hai, har blog ke liye.. Par bhut bar hota hai ham koi achi post publish karte hai, or uske baad kuch or post karte hai.. to hota ye hai ki jo hamari achi post hai jisko hamare readers ko padna chaiye wo niche chali jati hai or wo usko pad nahi pade..
Featured Post widget ki madad se ham hamari badiya post ko add karke side bar me dikha sakte hai, isse hamare visitor tak hamari important post phuch jati hai.
Also Add: Blogger Popular Post Widget
Kaise Add kare Featured Post Widget
Widget ko add karna bhut hi aasan hai, simple aap meri steps ko follow kare..
Step 1: Sabse phele apne Blogger account me login kare fir apne blog ke deshboard me jaye.
Step 2: Blog ke layout me jaye fir Add a Gadget par click kare.
Step 3: Ab Gadget me se Featured Post select kare.
Ste 4: Ab jo Page khulega usme hame Widget ki setting karni hai.
- Widget Title Dale. jo abhi Featured Post hai.. aap chahe ho isko change kar sakte hai ya fir khali bhi rakh sakte hai.
- Jo Widget hai usme Post Title dikhana hai to Tik kare.
- Widget me Post ki Image dikhani hai to Tik kare,
- Apni Blog ki kis Post ko Widget me add karna chate hai select kare.
- AB Widget kesa dikh raha hai wo aap Preview me dekh sakte hai.
- Sab setting karne ke baad Save par click kare.
Is trha aap aasani se Featured Post Widget ko apne blog me add kar sakte hai, or apni pasand ki post apne visitor ko dikha sakte hai.
Ye Kuch or Widget jo aapke Blog me hona chaiye –
Agar aapki Website/BLog hai to aapko ye pata hona chaiye –
Nice article thanks this post share
Hello, Sir has given you information. We hope that you continue to give better information in the future. We will be waiting for your upcoming information …
Sunilbairagi2728.blogspot.in site jispe gadjet set nhi ho rha h
Agar nhi hoga to kya karna hoga puri process.
Mere pas sunilbairagi2728.blogspot.in
Site h kya ispe facebook page like box ban sakta h kya ?
nhi ban sakta h to kya kare ?
hello sir
mujhe mere blog pr ”cetegory” wigit lagana he plz tell me how??????
Hiii
Rohit Maine 1 website banai hai .aur usme views v aane lage hai .but mai confused hu k website me views aane se earning hogi ya phir hm Jo post krte hai usme views aane se earning hogi tell me please..
views aane se koi earning nahi hoti hai.. ads lagane padte hai site par or jab koi hamari site par aata hai or ads par click karta hai to usse hamari income hoti hai.
Hello sir me ek gaming site banana chata hu
Nintendo DS psp PlayStation Games Download karke apni site per uplode karu to
Koi dikkat to nahi copyright or illegal to nahi
Puri trha se illegal hai Agar free me download karbaoge bina game developer ki permission ke.. Or download karne se koi income nahi hoti.
Sir I like your work sir ap mera blog check karke bataiye kya maine sahi banaya hai ager koi kami ho to bataiye please
label me kya daalu plz answer
jis topic par post hai or kis category ki hai wo dale..
meri website browser m to shi open ho ri h but google par pen hone m problem aari h please help me plzzz.
Rohit Ji aap adsense ads post ke bich me place karne ke liye kon sa plugin use karte ho…??
Mein ne ek blog bana li hai use Google par dikhane visible karne k lye kya karana hoga aur Google ad word ne visible karne k lye charges mang raha hai Rs 500 please help rahit sir Free mein visible kaise kare
abhi banaya hai to thoda wait to karo.. thoda time lagta hai.. Google hamari site par aata hai uske baad search me aayega.. usme time lagta hai. turant nahi aata.
rohit apki post se kafi jankari mili . magar main ye janana chahta hoon ki yadi ek ke alalwa aur post bhi blog ke side me dikhana chahoon to vo kaise karna hai. aur aap ek bar meri site ko dekh kar ye batayen ki thik bani hai. apne font badalne ko kaha tha vo maine hindi kar di hai.
Bhai paypal ac kesa banaya
yaha bataya hai
meri website browser m to shi open ho ri h but google par pen hone m problem aari h please help me plzzz.
Bhai sab kuch ho gya h mere site pe bas last steo hai money earning, bhagwan ne itna kuch me helo kiya hai meri earning bhu jarur hogi
aap har post me kam se kam ek image use kare.. taki share karne par or blog me bhi ek acha look aa jaye.
thanx for feed back bhai. mai pahle jaldi jaldi post karne ke chakar me pics pe utna dhayan nahi deta tha or mere pas computer ya lappy nahi hai, sab kuch mughe mobile se karna parta hai, agr 1 5000 earning ho jaye phir ek laptop leke sab kuch sahi karunga, lekin aaj se mai jitne bhi post likh raha hu sabpe images ka use kar raha hu. thanxxx for feed back waise apki pulsar wali pic jabardast hai :)
Thanks Vikash..
sir aapne nahi bataya ki templet ka color kaise change kare or comment box me anonymous kaise add kare pleace jaldi replay kare
Sir koi tamplate batao “elice” ke alawa. simple or SEO mobile friendly or AdSense ready or fast loading wala.
ye dekho
Bhai mene apko mast or jabardast guest post send kiya hai please usye apne site post kare jisye meei traffic kuch badh jayegi. Please udhar kare mere jaise new blogger ka :D
mene dekha hai aapki post ko.. jald hi aapki post publish ki jayegi.. :)
hello
sir kya aap bata sakte h ki apne apne site k liye app kaha se banaya h
Android App Banbaya hai.. AGar aapko banbana hai to aap mujse facebook par contact kare.
Sir mobile app kaise taiyar Kate hai.
bhai meri earning or cpc thora bahut badha hai. cpc 0.12 se lekar 0.16 tak ho gaya hai, or 10 days me $3.50 earninga hua. mere site pe 90 post hai.. acha traffic ke liye kitne post chahye site pe? 400 post ya 1000 ke ass pas
post ki ginti se kuch nahi hota.. agar post usefull hai to ek post hi kafi hai.. or jo cpc hai india me itna hi milta hai.. matlab aap ab apni traffic badane par diyan de income badiya hone lagegi.. par post ki sankiya badane se kuch nahi hota.. Quality main hai.
mere blog me hindi language ho gyi hai
sabhi cheej hindi me dikhata use english me kese kre
hi…Rohit bhai
alexa hame link in kese milta he???
aur aap link in kis tarah se dete ho sabhi ko
my new blog BestHindiTricks.blogspot.com
aapke sabal ka jabab yaha hai