Blogger.com Platform Q hai Sabse Best [13 Blogger ke Faide]

Internet Aaj Kaha pahunch chuka hai ye to sab jante hai hoge, Agar hame kuch bhi Jankari Chahiye hoti hai to ham sidhe Google Par search karke pata kar lete hai.. Kya aapko Pata hai wo jankari Dalta kon hai, Agar aapki Website ya Blog hai to iska jawab hai Aap..

Bhut log Website banana chate hai par paise, ya webdesign naa aane ke karan wo apni website nahi bana pate the, par ab wo Time gaya.. Agar aapko webdesign bilkul bhi nahi aati or Aap paise bhi kharch nahi kar sakte fir bhi aap ek badiya site bana sakte hai Blogger.com par jo Google ka Product hai.

Advertisements

Agar aapko Blog kaise Banaye Blogger par uski jankari chaiye to aap yaha read kar sakte hai.

Aaj is post me apko bataunga ki kyon blogger ek achha aur jana-mana platform hai aur kyon apko ise choose karna hi chahiye.

Waise HMH blog WordPress par hai. Lekin agar aap Blogger platform use karte hai tab bhi koi dikkat nahi hai. Kyon Ki aapko aaj me proof karne wala hu ki Blogger platform bhi ek professional blogging platform hi hai.

Agar aap thode paise kharch kar sakte hai to aap WordPress par bhi bana sakte hai, WordPress or Blogger me kya antar hai wo mene bataya hai, iske sath sath wordpress par site banane me kitna kharcha aata hai wo aap yaha dekh sakte hai.

Page Contents

Blogger/Blogspot ke bare me Thodi Jankari

Blogspot ek blogging platform hai, jise har blogging karne wale issi se sirubad karte hai, aur kai bar blogging expert bhi ise use karte hai.

23 august 1999 me Pyra Labs ne Blogger platform ko launch kiya tha. Aur 2003 ko Google inc. ne ise kharid liya.

Agar aap blogger platform par blog banate hai, tab Google apko ek subdomain free deta hai XYZ.Blogspot.com, aur apne ek Google account me ham 100 blogs bana sakte hai.

Blogger.com Platform Q hai Sabse Best [13 Blogger ke Faide] - Blogger

10+ Reason Blogger Platform Q Use kare uske liye

To chaliye ab me aap ko batata hu 10 reason jiski wajah se Blogger platform popular blogging platform hai aur aap ko yah platform kyon use karna chahiye.

#1 Security

Blogger platform Google ka product hai, jab Blogger platform ka dashboard open karna hai tab ham Google ka account login karte hai jo kaafi secure hota hai.

Apka blog hack hone ke chance naa ke barabar hote hai. Simple Sabdo me kahu to dusri kisi bhi site ko hack karne se muskil hai Blogger Blog ko Hack karna na mumkin hai..

Lekin aapko iss baat ka bhi dhyan rakhna hai ki aapka jo GMail account hack hua to aapka Blog bhi hack ho gaya samaj lo.. isliye aapko pata hona chahiye ki Gmail ki Security kaise badhaye

Blogger Blog ko hack hone se kaise bachaye uski tips bhi mene share ki hai, jisko agar aap read karle ek war to fir to bhul jao aapka blog hack bhi ho sakta hai ;)

#2 Data Space

a) Blogger me text kitna bhi rakho, apne article kitne bhi rakho yaha koi limit nahi hai.

b) Blogger platform me jab aap post ke liye photo upload karte hai to wo sab photo Google Picasa album me save rahte hai. Ab q ki yah bhi Google ka product hai to yahi bahut secure and bharosemand hai.

c) Video ke liye aap apni Video YouTube pe upload karke us video ko apne blogger post me show kar sakte hai.

Photo ke liye picasa other platform user bhi kar sakte, aur video ke liye YouTube other platform user bhi use kar sakte hai, lekin YouTube and Picasa Google ke hi product hai, jo sath me Blogger platform se ache friendly attach hote hai.

#3 Data Bandwidth

Aap Ki site ka jitna data use hota hai vah bhi count hota hai. Agar aap hosting use karte hai tab sasti hosting me apko yah problem face karni hoti hai ki jab user sab data use kar leta hai apki site ko bahut bar khola gaya hai ya apki site se bahut download ho raha hai tab aap ki site ka bandwidth end hote hi site band ho jati hai.

Lekin Blogger platform me unlimited bandwidth hai apko iske bare me sochne ki bhi koi jarurat nahi hai.

#4 Server Load

Kai bar kya hota hai ki jab ek hi time me site par kai jyada user live rahte hai tab sasti hosting ka server down ho jata hai.

Ek normal shared hosting 100+ user real time hone se hi server down ho jata hai. Aur iske liye apko mahangi hosting purchase karni hoti hai.

Agar aap Blogger platform use karte hai tab apko iske bare me koi bhi chinta karne ki jarurat nahi hai. Ye Free hai.

*Agar Aapko Live Visitor kaha se aa rahe hai or kya dekh rahe hai aapki site par uski puri jankari Detail me dekhna hai to aap apni site me Google Analytics Add kare agar abhi tak nahi kiya hai to.

#5 Server Up/Down

Blogger platform 2013 me 0.x sec. ke liye down hua tha. kahna ka matlab hai Blogger platform ka server bahut kam down hota hai ya esa kah sakte hai na ke barabar hi down hota hai.

Lekin dusri taraf agar aap self hosted blog karte hai tab server down and up hona apke hosting ki price ke upar depend karta hai.

#6 Server Response

Blogger platform ka response time millisecond me hota hai wahi dusri taraf self hosted blog ka minimum time sec. me hota hai.

Blogger platform par host sabhi blog bahut fast load hote hai. Agar Template bhi acha use kiya jaye too or jaldi load hoti hai site. Jo Site fast load hoti hai uski Post search me bhi upar aati hai.

#7 SEO (Search Engine Optimization) Update

Blogger platform me bhi SEO kafi acha hota hai, sath me agar apka hosting ki page load speed fast hogi to wo bhi ek ranking factor hi hai. Aur sath hi Blogger platform me SEO ke liye kai official option available hai jaise search description, meta tag, robot.txt, search title etc.

*SEO ki Puri jankari aapko yaha mil jayegi.

#8 Template Editing

Blogger platform me template ko bina coding ke bhi edit kar sakte hai. Color set karna, apne layout set karna, Header & Footer, Icon and Logo set karna etc. ko bina coding se set kar sakte hai.

#9 Optional: Easy Coding (For Web Designer)

Blogger Template HTML, CSSJavaScript, XML, GML language par base hai. Jisme agar apko kewal HTML and CSS language ko hi jante ho tab bhi kisi bhi template ko acha sa coding se edit kar sakte hai.

Aur sath me coding editor bhi kafi behtar hai, ab chuki template XML me hote hai to pura template ka code ek hi page me hote hai. So that apko ek hi page par coding karni hoti hai. Apko alag-alag page ke dhyan nahi rakhna hota hai.

Aur jinko PHP language nahi aati hai tab Blogger platform unke liye ekdam sahi hai, kyon ki blogger platform me yah language support nahi karti hai.

#10 Free Resources

Blogger platform use karne walo ko jyadatar sab widget, templates, tricks & tips internet par free me available ho jate hai.

Internet par Blogger platform ke liye bahut free templates available hai. Aur Blogger template looking me bahut achhe hote hai with responsive.

#11 SEO Attack

Agar aap blogging ke touch me rahte ho to aap ko yah pata hi hoga ki Google ke kai update jaise Panda, Pigeon, Penguin etc. hote rahte hai.

Aur agar aapne deep me dhyan diya hoga to dekha hoga ki 75% WordPress blog hi attack hote hai.

Almost mere experience se Blogspot ke content kafi high rank hote hai. Reason yah hai ki Blogspot ka server na kabhi down hota hai, fast page load speed, official option for SEO etc.

#12 Always Free

Jaisa ki abhi padha hai apne ki Blogger par kafi templates and widgets free available hote hai uske sath me Blogger platform me apko apne blog ko host karne liye apko ek bhi rupaya nahi dena hoga. It’s free and will be free forever.

#13 Use karne me Aasan

Blogger platform ekdam easy hota hai use me lene ke liye. Is platform ko na kewal technical person hi user karte hai balki iske sath me nontechnical person jo achhe writer, ya kisi anya topic ka acha knowledge rakhte hai, bhi use karte hai.

Example ke liye aap muje hi lelo, me ek Mechanical Engineer hu or HMH BLog ko itni badiya tarike se chala raha hu.. :)

Conclusion

Mera aim kisi ki tarif karna nahi hokar ek achhe product ki quality batana tha. Blogger ek bahut achha platform hai kaafi professional blogger ne bhi apni life Blogger platform se hi start ki thi, me bhi unme se ek hu..

Lekin is bat se me sahmat hu ki blogger platform me limitation bhi kai hai. Aur yah bhi dekha gaya hai ki agar aap koi term and policy follow nahi karte hai tab apke blog ko without warning delete kar diya jata hai. Isliye pahle achhi tarah se Blogger platform ki policy ko padh le.

Agar aap mere sujhav ki baat kare to me aapko kahunga, agar aapko blogging ke ware me kuch bhi nahi pata to aap Blogger.com par blog bana kar start kare, or chije kaise kaam karti hai kaise BLog ko manage karte hai wo sab sikhe.. fir jab aapko lage ki aap Blogging me kuch badiya kar sakte hai ya karna chahte hai to aap WordPress par Sift bhi kar sakte hai,badi aasani se ham wo kar sakte hai. 

Dosto ye Jankari aap ko Pasand aai hogi mujhe umeed hai, kafi Blogger use karne wale Blogger’s ko iski jarur help mili hogi Blogger ko or achi se samajhne me.

Agar aap Blogger PlatForm use karte hai Blogging ke liye to aapko isme sabse acha kya lagta hai, or agar kuch kami lagti hai to wo bhi bataye ki kya kami hai jiski aapko jarurat padti hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

90 thoughts on “Blogger.com Platform Q hai Sabse Best [13 Blogger ke Faide]”

  1. Rohit Ji , इस आर्टिकल में ब्लॉगिंग करने की शुरुआत करने वाले लोगों का Confusion दूर हो गया होगा ,
    की उन्हें शुरुआत कहाँ से करनी चाहिए ।

    और मैं तो ब्लॉगिंग वेबसाइट को Start से ही Google का प्रोडक्ट समझता था , लेकिन आपके इस आर्टिकल से पता चला कि ये पहले किसी ओर ने बनाया था ,

    और बाद में Google ने इसे खरीद लिया , बहुत अच्छी जानकारी है इस आर्टिकल में ।

    बहुत अच्छे।।

    Reply
  2. Sir maine blogging sikhne ke liye apni gmail id se blogger par account banaya tha lekin mane Apna gmail account deleted kar diya kya mein apni dusri gmail id bana kar blogger par account bana sakta hu kya bad maine google adsense approval process maine koi problem to nahi hogi.

    Reply
  3. Sir maine blogging sikhne ke liye apni gmail id se blogger par account banaya tha lekin mane Apna gmail account deleted kar diya kya mein apni dusri gmail id bana kar blogger par account bana sakta hu kya bad maine google adsense approval process maine koi problem to nahi hogi.

    Reply