CSS Code ko Blogger Me Add Kaise karte hai

CSS yani Cascading Style Sheets ek Website ki language hai jo Page design e use hoti hai. Jab koi HTML Page banate hai HTML me to usme design or effect add karne ke liye CSS ka use hota hai. Isko Style Sheet bhi khate hai Webpage ki.

blogger me CSS kaise add kare blogger me uski puri jaankari hindi me

Sabse jada Languages jo webpage banane me use hoti hai bo HTML, JavaScript or CSS.

Advertisements

To Aaj ham is Post me dekhege kaise ham apne Blogger me CSS Code ko Add kar sakte hai, or kase uski madad se apne blog ko design kar sakte hai.

Page Contents

CSS ko kaise add kare Blogger me

Friends CSS ko add karne ke 3 tarike hai Blogger me, Ham tino tarike dekhege –

Tarika 1: CSS Code ko Customise setting me add kare.

Ye jo Process hai bo bhut aasan hai or isme galti hone ke chances kam hai. Code ko Add karne ke liye

1. Deshboard >> Template >> Customise par Click kare.

CSS Add karne ke liye apne template ke customise section me jaye

  1. Ab jo Page khulega usme Advanced >> Add CSS 

CSS ka code advanced fir acc css ke baad apna code paste kare or last me save karde

  1. ab jo Box aayega usme apna CSS Code ko Daalkar Save Change ki button par click kare.

Tarika 2: Blogger ke Template me CSS ko Add kare

Is tarike me aapko apna template edit karke usme apna code add karna hai. Chaliye jaante kaha or kaise add kare Code ko –

  1. Blogger Deshboard >> Template >> Edit Template

template edite karne ke liye template ki edit button par click kare

  1. Editor me kahi bhi Click kare fir Ctrl+F ki Button dabaye. Ab jo search box aayega usme ]]></b:skin> type karke Enter kare.

template me click karke crtl f dabaye fir code daalkar enter dabaye

  1. Enter karne ke baad aap dekhege ki jaha par template me ye code hai bo highlite ho gaya hai. Ab aapko jo bhi CSS Code hai aap usko ]]></b:skin> ke upar daalkar Save Template karde.

Tarika 3: HTML/Java Script Widget me CSS add kare

Is tarike me aap CSS ko HTML/JavaScript widget me add kar sakte ho.

Read: HTML/JavaScript Widget ko kaise add kare

  1. Deshboard >> Layout >> Add Gadget

  2. Ab jo Widget ki list hai usme se HTML/JavaScript select kare.

  3. Ab aapko jo CSS Code add karna hai usko is trha add karna hai.

html widget me css ko add kare blogger par

<style>CSS Ka Code yaha Dale</style>
  1. Aapka ja code hai uske starting me <style> or last me </style> add karke Save karde. (Note: Agar Phele se koi HTML/JavaScript widget add hai aapke blog me to usko edit karke apna CSS Code uske last me add kare, isse aapke blog me widget ki faltu sankya nahi badegi.)

CSS Ka kaha use hai

Jese ki mene bataya ye hamare blog ke style ke liye use hota hai. Par bhut logo ke dimag me ye sabal aa sakta hai ki konsa code hai jo hame use karna hai or kaha karna hai. Aap meri ye post dekhe –

To Friends Aapko ye jaankari kesi lagi, ummid hai aapko kuch naya sikhne ko jarur mila hoga is post me. Agar aapka koi Sabal hai to comment karke jarur puche. or hamari Blogger se related Post yaha pade.
Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

58 thoughts on “CSS Code ko Blogger Me Add Kaise karte hai”

  1. rohit bhai maine aap ke blog se seekhte hue hee apni blog banai hai .
    bus seo scor chek karne par css line error show kar raha hai plz ek baar meri site visit karke ya css error pe koi post ho to bata de jisse main is fault ko bhi door kar sako.

    Reply
  2. sir mujhe aap ki lep chahia sir mene apne blog post me dusri post ka link add kia par oh link khul nhi rahi aur yeh error likh rha hai

    Reply
  3. sar mera blog hai
    mine blog post me
    absolute position
    estemal karke post banai hai
    notpad me sahee dikhti hai
    magr blog post me image shwo
    nahi ho rahi hai
    pless help me

    Reply
  4. bha mera blog hai
    mine blog post me
    absolute position
    estemal karke post banai hai
    notpad me sahee dikhti hai
    magr blog post me image shwo
    nahi ho rahi hai
    pless help me

    Reply
  5. sir blog me fastival coding kaise or kha par lgaye ??
    or hum codding kaise bnaye ?
    me aapko exp. de rha hu “happy new years ki hardik bdhai ” es prkar ke sabhi fastival ke code kaise, or kha par , or kaise bnaye lgaye ???

    pls reply ….

    Reply
  6. Hello rohit kya ham blogger ke tamplate design karke sale kar sakte jaise sora tamplates aur kaise sell kare
    Ye legal he aur is ke lye hame kya karna hoga

    Reply
  7. Sir mere blog me Widgets show nhi ho rhi he.
    Mene template change ki thi to widget pta nhi kaha gayab ho gai.

    sir ye share ka widget kese lagega?
    Mene aapki saari post dhoondh li but mujhe usme nhi mila. .

    Reply
  8. hello rohit ji jo aapne bataya hai ki css code cotstomis me advance me fir add css code lekin ye apply nahi ho raha hai please help me

    Reply
  9. brother mera blog check karke bataye koi mistic to nhi he mene ye blog abhi banaya he nd
    mera blog search me kabtak aane lagega mene ish aj hi google serch cosle me submit kiya he

    Reply
  10. sir mera css code kya hai kaise pata lagaye. aur mein jo post likhta hu usko page me kaise daale. post ki link kaha hoti hai. post publish krne baad jo sab post ek jagah par hota hai kya wo post ki link hai. plz detail me bataiye.

    Reply
  11. Jese ki www. waploft .com hai ish tarah ke website banana chata hu aur apni photo video aur gane upload kar saku kya me ish tarah ka website banna chata hu kese banau

    Reply
  12. Sir mera blog plz ek bar check kar ke bataiye ki koi kami nahi hai na aur mai ek domain lena chahta ho aap ka help chahiye kya mere blog par domain register ho payega help me sir……

    Reply
    • Jo hamari Feed hoti hai, usme wo message bhi jata hai jo ham isme add karte hai..

      Example ke liye maan lijiye kisi me aapke blog ki feed ko email par subscribe kiye to aapki post uske email par jati hai.. to last me jo bhi aap post feed footer me likhege wo bhi aayega..

      Aap isme Copywriter Message ya fir jo bhi aap chate wo likh sakte hai.

      Reply
    • jab hame kuch karna ho apne blog me, jese koi design change karna ho to ham jab css code use karte hai. me aage agar koi CSS code ka kahuga ki isko add karo to usko is trha se add karna hai.

      Reply
  13. hi sir google adsens account paypal ke bina nai ban sakta kya kyonki abhi me 18 ka nai huwa to abhi me income kar lu or bad me payment kar lunga jab 18 ka ho jaunga

    Reply