Google Adsense Kya hai, Adsense Kaam kaise karta hai or Kaise Adsense se online Paise kama sakte hai, Bhut log ye jante bhi hai par bhut log janna chahte hai. To agar aap unme se hai jinhone Adsense ke ware me thoda bhut suna to hai par Adsense Kaam kaise karta hai uski sahi jankari nahi hai to aap sahi jagah hai.
Me abhi aapko bataunga Adsense kaam kaise karta hai or kaise aap uska use karke online paise kama skate hai.
Page Contents
Google Adsense Kya Hai
Adsense ek Program hai jo Google ka hai, jiski madad se jo Publisher hai wo apne content me ad laga sakte hai or un ads ki madad se paise kama sakte hai.
Agar aap Publisher hai matlab aapki koi Website hai ya koi Youtube Channel hai to aap Adsense Account bana kar uske ads in par laga sakte hai.
Adsense ke Ads Text, Image or Video ke format me aate hai, content ke hisab se ..
Google Adsense Kaam kaise karta hai
Google ka ek Program hai jiska naam hai Adword jo Adsense ka ulta hai, matlab agar kisi ko apna koi Advertisement karana hai to wo Google ko paise dekar apna advertise karate hai Adword ke jariye.. to iss trha Google ke paas ad dikhane ke liye content aata hai.
Ab jinki Website ya Youtube channel hai to Google Adsense ke jariye wo ad apni Site or Youtube Video par lagate hai.. to aese me jo ad aate hai usse traffic unki site par jati hai jinhone google ko advertise karne ke liye paise diye the.
Jitne Bhi Ad hote hai uska 32% commission Google apnepass rakhta hai or baki ka 68% wo Publisher ko deta hai jinki site par wo ad dikha tha..
Ab aapko ye to clear ho gaya hoga, Google ne apna sirf Program banaya hai jo ads hai wo koi or dete hai or unko dikhate koi or hai.. par iss puri process ko manage karne ka kaam hai google ka.
Google Adsense se Paise Kaise Kamaye
Agar aapko Google Adsense se paise kamana hai to aapke pass kuch aesa hona chaiye jispar aap unke ad laga sake.. iske liye aapki koi website honi chahiye ya youtube channel..
Agar aapke Pass ye hai to aap Adsense me account bana kar Apply kar sakte hai, par yaha ek baat jo aapko dhyan rakhna hai.. Adsense ki Policy bahut kathin hai..
me aapko suggest karunga aap Adsense account bana kar apply karne se pehle unki policy ko achi se jarur padhe.
Inke alawa mene ek Post likhi hai, jisme mene Adsense ki Puri Jankari or uske sabhi Sabalo ke jabab diya hai to agar aapka koi sabal hai to pehle aap uss post ko read kare, or agar uske alawa bhi koi sabal ho to aap comment karke puch sakte hai.
Adsense Account Apply kab kare
Adsense account banana simple account banane jitna aasan nahi hai, q ki account ko approve karne ke liye hamare paas kuch aisa content hona chahiye jike liye wo hamara adsense account ko approve kare.. Ab ya to wo Youtube channel ho sakta hai ya koi website.
Website ke liye Adsense Kab Apply kare:
Agar koi website hai, to sabse pehle to uspar badiya content, Badiya Design or badiya Navigation hona chaiye taki koi bhi usko achi se chala sake.. uske baad kuch visitor bhi hona jaruri hai taki site ka review jaldi ho or account jaldi approve ho.
Agar aap Website ke liye apply karne wale hai to Google Adsense Approve Kaise Kare Blog/Website ke liye wali guide jarur read kare.
Youtube ke liye Adsense kab apply kare:
Youtube par pehle to Channel bana kar Channel verify karke turant apply kar sakte the.. par ab Channel par total 3000+ Watch hour or 1000+ Subscriber 1 saal me hona jaruri hai, uske sath channel Good Standing me hona chahiye jab Adsense connect kar sakte hai..
Youtube se Adsense Kaise connect karte hai uski jankari aapko yaha mil jayegi.
Adsense se Earning Kaise Hoti hai
Abhi tak aap ye to jaan gaye hoge, ki Adsense ek Ad network hai, jisko join karke ham apni Youtube Video or Website par Ads dikha sakte hai or unki madad se earning kar sakte hai.
Adsense se jo Earning hoti hai wo ad se hoti hai, or ads bhi Alag alag tarah ke hai jisme Link Ad, Display Ad or Video Ad shamil hai.
Ab hota ye hai, jese hamne apni website par Ad lagaya hai to agar koi hamari website ko open karege to unko wo ad dikhega.. or agar wo unki pasand ka huaa to wo uspar click bhi karege.. usse hame paise milte hai.. Tikh issi trha Youtube Video ka bhi hai.
Ek click par kitne paise milte hai wo fix nahi hai, q ki har ad ka alag rate hota hai, fir bhi aap andaja laga sakte hai ki aapko kis hisab se mil raha hai, mene bataya hai Adsense 1000 Views par kitni earning hoti hai.
Google Adsense se Paise Kaise Milte hai
ab baat aati hai jo hamari Earning hui hai Adsense se wo hame kaise milegi.
Google Adsense har mahine ki 21 tarikh ko payment send karte hai, or jo minimum payment hai wo hai $100.. matlab agar isse kam earning huaa to Next month me add hoke aayegi.
Adsense Payment lene ke liye hame pehle Adsense Account Verify karna hota hai, Adsense account verification ke liye hamare Address par Adsense me $10 Income hone ke baad ek Latter send kiya jata hai.. Latter me Code hai hai.. Wo Code hame Adsense account me dalna hota hai, jisse hamara adsense account me address verify ho jata hai.
Account Verify hone ke baad, hame ek option milta hai, jisme hame apni Bank ki detail dalni hai, uske baad har mahine 21 tarikh ko paise transfer kar diye jate hai agar wo $100+ hote hai to..
Last Word:
Ab aap Jan chuke hai Google Adsense Kya hai, usko kaise Join karna hai or Kaise usse Earning hoti hai or kaise wo hame milti hai..
Agar aapka koi Adsense se Sawal hai to aap Comment karke puch sakte hai or aapko ye jankari kesi lagi wo batana na bhule. :)
Agar aapko bhi Guest Post karna hai to uski Jankari yaha hai.
Very nice
Very Nice and deeply explained about adsense.
Very helpul, Thank you.
Really awesome article, keep writing 😍
bahut hi useful baate batayi hai aapne adsense ke liye. thank you very much sir
music site se adsnese kaise approved hoga
nahi kar sakte.. wo copyright hote hai.
music website se adsense kaise approve hoga.
blog me ad show nahi kar rhaa hai sir plz help
Thanks sir bahut accha laga article read kar ke bahut jankari mili
Thanks
Rohit bhai, maine adsense ke liye apply kiya tha lekin wo disapprove ho gaya. Mujhe iske liye mail bhi aaya lekin main samajh hi nahin saka ki us mail mein wajah kya bataya gaya hai. Kya aap mere mail ko dekhkar mujhe iski wajah bata sakte hain? Dedh saal tak wait karne ke baad bhi aisa result milne par main kuchh dinon se bahut hi udas ho gaya hoon aur blogging mein ab mera dil bhi nahin lagta hai. Abhi mere blog par 54 post publish hai aur mera sabhi post 1K+ word ka hai. Yahan tak ki jab adsense disapprove hua tha us samay blog ka pageviews 1k+ tha aur present mein 1.5K+ hai. Wo mail main aapko kis email par forword kar sakta hoon?
Main hatash ho chuka hoon aur wait kar raha hoon please reply jaroor dijiyega.
bhaut badiya sir
I follow your information, sabhi post ko padhta hun….lekin pata nahi kyon adsense work nahi karta meri website par..please help in this regard
sir, aapne jo adsense ke ad plugin use kiye hai us plugin ka name hai.
bahut hi badhiya jankari share ki hai sir ji aapne.sir ji me ak bat puchna chahta hu mere ad pe click nahi ho rahe hai.aap mere blog par visite karke mere ko bataye ad palacemant me kami hai ya koi aur kami hai plg help
Aap Post ke starting or bich me ad lagaye.. or post ke last me..
mera ad show nahi kar rha hai sir
plz chek
Thank you bhai
Mera ek sawal hai mere 1 Adsense account h or mene us ek Adsense account se bhut se website me ads lga ya hai kia koi problem ho ga
Thank you sir,
bahut achi tarkike se btaya h aur aap isi tarh help krte rho.
thankew.
Nice post bhai….bahut achhi jnakri di apne
Sir aap apne website per but ache ache post share karte ho jisse hamko bhut kuch janne no milta hain aaj aapne adsence ke bare me bhut achi information share ki hain.
Nic
bahut badiya article bhai aap ek baar meri sites ko visit karke bataye kaise hi kya kya change karu so guide im waite
Bahut Badiya jankari Hai Sir
thanks for a useful information.
thanks for useful information.
sir nice post,
New blogger ke liye kafi helpful post hai sir..
Mere adsense me kuch problum hui hai mene apni site se sare ads hata diye hai fir bhi mere adsense dashboard me pageview or click count ho rahe hai kya karu mughe kuch samaj nhi aa raha hai kuch batayenge
Adsense ke Dashboard me My Ads Section me Custom Channels $ URL Channels hote hai…Uska kya use hai or usme kaun se url add karne hote hai? Ho sake to is par detail me ek post likhiye…
Nice post sair
Adsense ke baare me achchhi tarah bataya.thanks
Good Article Mr Rohit Tks For Sharing
nice sir good work
mewada sir mera ek sawal hain …. me mere blog me agar english use karta hu or usi me agar me ek subdomain banakar hindi bhi post karta hu to kya mujhe adsence kis language ke liye apply karna padega…
ek baat or mere pas ek adsence ka account hain or monetization bhi on hain jo ek youtube channel se link hai yani hosted account hain.. to ise me kaise apni website per use karu or ad lagau… kaise hosted ko non hosted me change karu please reply jarur karna…thanks
bahot hi important jankari hai jinko ye nahi malum tha. Humare Site Ko Bhi Jarur Visit Kare AllHelpHindi.Com
bahut accha article hai. i am new in this field and write article in hindi. me aapse ye puchna chahti hu ki kya main hindi me article likhu to google adsense ad muje milegi ya usme problem aa sakti hai. please reply.
bahut hi Badiya information di sir aapne ,aapka bahut bahut dhanyabad
hello sir
good articale
very helpfull
tnx for shareing
Bhai manlo meri month ke end me total earning $97 h or vo agle mahine 21 tarik se phle $100 plus ho jati h to payment kb aayegi?
thanks brother bohot din baad sahi se samajh aya…thank u for this all
बहुत अच्छा सर
rohit bhai nice article
Please also visit my blog koi suggestion ho to batana
Nice info about Adsense rohit bahi
Thanks Bhai..
Hello..Rohit bhai..kia hum Wapka song download site pai AdSense used kor sokta hai. plz pata korke bataye.
nahi bhai.. songs copyright hote hai.
Nice Information, Mera question hai ki hinglish language ke liye adsense me konsi language select karni hai? kuch logo ka myth hai ki hinglish ko approve nahi karwa sakte to apne kese karwaya hai? Please reply
ap hindi select kare..
really good post bro
Bahut hi ache se explain kiya aapne. adsense ki is tarah ki puri jaankari aur kahi nahi hai
Thanks
Adsense ke bare me bahot badiya jankari di hai sir aapne adsense cpc badane ka tarika bataye
Very nice. .
Boss, website (blog) ya YouTube channel, me hm jis Email id ka pryog karte h.. us email id ko banane me hm jo details bhare hote h (like- name, birth date, etc) unme & hmare real details me antar ho sakta h.. to
Kya adsens me esase koi problems ho sakte h
bhai koi problem nahi hai usse.. bilkul use kar sakte hai..
Thanks brother
Very nice article mera ek swal hai rohit sir ap se kya mere blog ka navigation aur footer ka font style Shi hai check kar ke plz btaiye
haa sahi hai bhai.. wass footer me muje aesa laga thoda space jada hai wo sahi kare.
Rohit bro, Mere blog ko open karke kisi post ko open Karke dekhe mere blog ke kisi bhi post Me comment box nahi dikh raha hai. Jiske karan mai pahle se aaye hue comment ka reply bhi nahi kar pa raha hu,So aap mujhe bataye ki ye kaise thik ho sakta had, Mere sath achank aisa kyu his. Please bro plz…
brother aap template change kare.. wo bhut old hai..
Kya HMH blogger template update hua hai Bhai.Ya koi dusra lagane Ko kah rahe hai.
bhai koi dusra use kare..
AAPKA NOTI FICATION MILA PADH KER BAHUT KHUSI HUI BAHUT ACHHI JANKARI DE HAI AAPNE MUJHE ISKI JARURAT BHI THI
SIR MERA EK OR SABAL HAI KI KYA AAP MUJHE SARKARI RESULT.COM KE JAISE THEM BANA KER DE SAKTE HAI YA BTA SAKTE HAI KI BLOGER BLOG MEN STATIC PAGE KAISE BNAYE
JISSE HOME PAGE ALAG OR POST FULL WIDTH MEN KHULE
Bhai muje Coding nahi aati to me bana kar to nahi de sakta..
hello sir koi SEO ki tips do ,agar apne koi Post likha he ya video tutorial banaya he to do hamko please,
thanks , i use blogger.
Tikh hai Bhai aage k=me kosis karuga.. step by step sab bata saku.. wese mene bhut si chijo ke ware me phele hi bataya huaa hai.
bahot important jankari hai Adsense ke bare me.
Thanks Rajesh ji..