Android Phone ke liye Top 5 Best launcher App

Android Phone ke liye Top 5 Best launcher App

Mai apko android phone se related kuch batana chahta hu. Kya aap android phone ke default launcher ko use karke bore ho chuke hai.

Playstore me android phones ke 1000 toh nahi lekin 100 launcher jarur apko mil jayenge. Unme se kuch Top launcher hai or baki ke launcher ko download  or install karna dono time or Internet data waste karna hai.

Advertisements

Aap sabhi launcher ko try karke decide nahi kar sakte konsa launcher apk android phone ke liye best hai. Islye mai apko 5 Top android launcher ke bare me bata raha hu. Ye launcher apke phone ke look ko badal dega or apke phone ke features ko bhi badha dega. Ye sabhi apps Google play store pe free me download kar sakte hai. Sabhi launcher ko try jarur kare.

Also Read: Mobile ko Hang hone se kaise bachaye

Page Contents

Android Phone ke Best Launcher ki List

1. Yahoo Aviate Launcher

Buzz Launcher

Yahoo ne kuch din pahle apna android launcher banaya hai jiska name Aviate hai. Apne name ki tarah ye launcher cool hai or extraordinary features deta hai. Aviate launcher Use karne me easy hai. Launcher me apko 4 sliding screen milenge- home screen, important apps, setting option, Sabhi apps alphabetical arrange. Jab aap headphone ko apne mobile me plug karenge toh aap ke phone ka music app automatically launch ho jayega. Is launcher me pahle se wallpaper gallery hai jisne mujhe bahut impress kiya. Ye ek smooth or light launcher hai.

Read: Net se free call kare kisi bhi Nuber par

2. Buzz Launcher

Buzz Launcher-Smart&Free Theme

Ye launcher android phone ke liye best launcher hai. Buzz launcher ko use karke aap kabhi bhi bore nahi ho sakte. Launcher ki sabse bari khasiyat hai ki yaha 1000+ types ke home scree hai jisko time to time change karke apne ko new look de sakte hai. Launcher me Internet se bahut se icon download karke ya galleey se pic select karke home screen pe laga sakte hai. Buzz launcher ek super customizable or smooth launcher hai.

3. Google Now launcher

Google Now Launcher

Google now, upar ke launcher ki tarah good looking toh nahi hai, lekin is launcher ko use karke apne phone ko voice power de sakte hai. Apko sirf ‘Okay Google’  kahna hai or ye launcher James bond ki movie tarah aapke voice pe work karega.Agar aap ‘Call Puja’  kahenge toh ye launcher directly Apke phone me save kisi pooja ko call kar dega. Yadi aap ‘Take me to New delhi’  kahenge toh ye launcher apko android phone ke map ke through New delhi ka location dikhayega. Aise bahut sare commands hai jiska use karke aap apne voice se android phone ko use kar sakte hai.

4. Themer launcher

Themer Launcher, HD Wallpaper

Themer bhi good looking launcher hai, waise toh ye launcher buzz launcher se kuch milta julta hai. Lekin iske pas apna theme upload karne ka features hai. Aap yaha khud ka banaya hua bahut sara theme upload or use kar sakte hai. Iske kuch negative points bhi hai jaise ki ye launcher kabhi kabhi work nahi karta lekin mujhe pata chala ki mere phone me aviate or buzz launcher pahle se installed hai jiski wajah se ye work nahi kar raha hai. Phir mene aviate or buzz launcher ko uninstall kar diya tab jake ye launcher ache kam kar raha hai.

Read: Youtube par Video Upload kare Mobile App se

5. Smart launcher

Smart Launcher 3

Ye sabse cute launcher hai, Smart launcher me bahut se app drawer hai jo isye smart launcher banata hai. App drawer me sabhi apps category ke hisab se set hai. Games ek jagah hai toh, Internet apps ek jagah, music, video apps sabhi alag alag category me hai.Ye launcher easy navigation ke liye best hai.Smart launcher me Google now ki tarah Ok google features available hai.

Last Words

Play-Store pe bahut se Launcher available hai lekin mene apko top 5 launcher ke bare bataya hai. Apko jo launcher pasand aye usko choose karke install karle. Ye sabhi launcher apko play store pe free me mil jayega.

Ye ek Guest Post hai, agar aap bhi HMH Guest Post karna chahte hai to yaha click kare.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hi mera name Vikash Kumar hai, Mai GyanBook.in ka founder hu.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

44 thoughts on “Android Phone ke liye Top 5 Best launcher App”

  1. Sir mera nam moh:sakib hai sir maii ye janna chahta hu ki LANCHER chlane se mobail hank karta haii aur khrab hojata haii plz plz sir help me

    Reply
  2. Rohot si mene Lollipop Zip Dowoload ki hai to muje kuch samj ta nahi ki konti vali zip dowonload karu rohit sir or Odin3_v3.04 konta tray karu &CWM Recovery Non touch & Cm-12.1-20150418-UNOFFICIAL-i9082& gapps-Ipmr1-20150503-signed

    Ye sab kota tray karu sir mere mobile ko chalne vala aap koi Video nikalo sir Nahito kuch Upload karo sir apni Hindi me help Website par….plz…. sir

    Reply
  3. Hii
    ROHIT sir

    Rohit sir apne mobile ko kitkat se Lollipop Kaise banate hai …
    Rohit sir mere mobile Samaung Galaxy Core 2 SM-g355h
    Hai to Usmei Kitkat Version 4.4.2 Hai To Muze Lollipop karna hai to muje kuch tarika batao mene bahut tray kiya hai sir aap ko rasta nikalo Aap ko link Bhejo rohit sir …mene bahut sare Tarike tray kiye to aap hi hai sir mere help karo sir Plz…. Muje Email me send karo nahito aap koi tarika Nikalo sir

    Reply
    • Wo mene kharida tha.. Agar aapko chaiye to batao me saste me de duga.. Baki agar kahi se Crack download karoge to site down hogi.. Muje Facebook par message karo agar chaiye to.. Fb.com/RNMewada

      Reply
  4. Hello sir ye list me topics vice category kaise aati hai matlab jaise apki site.me go to home make money blogger YouTube iss prakar ki category h inko kaise jodu sir me.

    Reply
  5. hello sir me aap se ek sawal puchhna chahta hoo kya mobile ki internal memory bad sakti hai ya nahi aur version upgrad ho sakta hai ya nahi

    Reply
    • aap root karke jo per install app hai jo aapke kaam ke nahi hai.. unko uninstall karke thodi memory jarur bada sakte hai. par diyan se isme Mobile me agar koi galat app uninstall kar diya to ho sakta hai aapka mobile dead ho jaye.

      Reply
  6. Blog ke Alexa rank box me Jo links in 99 ya us se kam dikhta hai wo kya hota h. Uske badhne se hme kuch profit hota h kya. Agar us se profit hota h to use kaise improve kare

    Reply
  7. mai apne mobile data ko hamesha on rakhta hu aur mai ye chahta hu mera whatsapp message ko band chalu kar saku aisa koi apps ya koi salutation hai kya jo whatsapp message ko data on hone par bhi band rakh saku

    Reply